0% found this document useful (0 votes)
3K views212 pages

Ye Ishq

The story revolves around Raj Verma, a 19-year-old college student who moves to Rudrapur for his studies, where he encounters Ritu Singh, a wealthy and arrogant girl. Their initial interactions are filled with tension and conflict, as Raj refuses to bow to Ritu's arrogance, leading to a series of confrontations. Ultimately, Raj is advised by his friend Manish to apologize to Ritu for the sake of his family's honor, setting the stage for further developments in their relationship.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
3K views212 pages

Ye Ishq

The story revolves around Raj Verma, a 19-year-old college student who moves to Rudrapur for his studies, where he encounters Ritu Singh, a wealthy and arrogant girl. Their initial interactions are filled with tension and conflict, as Raj refuses to bow to Ritu's arrogance, leading to a series of confrontations. Ultimately, Raj is advised by his friend Manish to apologize to Ritu for the sake of his family's honor, setting the stage for further developments in their relationship.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 212

YE ISHQ

RUDRAPUR ek chota sa hill station jaha charo taraf pahadiya nadiya zharne ped paudho
se ghira hua hai jo dekhne me bohat hi sandar hai aadhukikta ke mamle me ye kisi bade
sahar se kam nahi hai yaha hospital school college clubs malls sari sukh suvidhaye hai iss
kahani ki starting hoti hai SS College se iss college me aaj Raj ka pehla din hai

Intro: name Raj Verma age 19 year height 5.9

Hometown Lucknow: (UP) smart and good looking

Raj apne maa baap ka eklota ladka hai uske pita Lucknow me ek bank me job karte hai
maa housewife hai Raj yaha ek private hostel me rehta hai sadharan si zindagi jine wala
Raj jise ye nahi pata tha ki uski zindagi aage chalker badalne wali hai Raj to bas apni masti
me khoya hua bindas college me enter hota hai Raj ek student se

Raj:- ye first year ki class kaha hai?

Student:- first floor third room

Raj:- thanks ab Raj jaise hi aage badhta hai ek awaaj uske kadmo ko rok deti hai

aye mister zara hum se bhi milte jao Raj jab uss taraf palatta hai to wo dekhker hairan rah
jata hai ek ladki jiske ek hath me beer aur dusre hath me cigarette hai apne group ke saath
idhar hi dekh rahi hai

Intro: Ritu Singh age: 19 year height: 5.2 bold and sexy apni sundarta par bohat jyada
ghamand hai ho bhi kyu na wo hai itni sandar hai ki college ke sare ladke uske peeche jo
pade rahte hain par wo kisi ko bhaw tak nahi deti uska bas chale to sare ladko ko apne
jute ke nok pe rakhe maa baap ki ekloti ladki bade naazo se pali har shok pura karti hai
baap ka Delhi me bada business hai paiso ki koi kami nahi ghar me kisi Rajkumari ki tarah
rahti hai be rok tok ki zindagi ne usse iss had tak gira diya ki ab usme insaniyat naam ki koi
cheej nahi rahi

Ritu:- sunai nahi deta kya? main tujhse baat kar rahi hon Raj kuch sochta hai aur aage uski
ore badhta hai

Raj:- sunai to deta hai par tum jaiso ko sunna jaroori nahi samjhta

Ritu:- oye apne aap ko bohat smart samjhta hai? tujhe pata nahi hai ki main kon hon

Raj:- achi tarah se janta hon tum logo ko aamer baap ki bigdi aulad ho tum log jo college
me nasha kar rahe ho
Aman:- (Ritu ka friend) dekh aaj tera pehla din hai to thodi si ragging to karni hi padegi

Sonal:- (Ritu ki friend) chal tayyer ho ja

Raj:- acha to tum log meri ragging loge dum hai?

Ritu:- dum to itna hai ki 2 minute me yaha se utha ke bahar phikwa sakti hon

Raj:- zara aaram se kahi aap ki nazuk si kalaiyo me mooch na aa jaye hahaha

Ritu:- bohat hasi aa rahi hai apne aap ko bohat smart samjhte ho ek din teri sari akad ko
khatam karke apne kadmo pe na la diya to mera naam Ritu nahi

Raj:- galat fahmi hai tumhari apne baap ke paise ka rob kahi aur dhikhana mujhe koi farak
nahi padta lekin ek wada hai ki tumhare ghamand ko choor choor na kar diya to mera bhi
naam Raj nahi itna keh kar Raj apne balo me hath pherta hua class ki taraf chal deta hai
Ritu bas Raj ko gusse me dekhti reh jati hai class me pahuch kar Raj baithne ki jagah
dhundta hai waise class aadhi khali thi fir Raj ek bench pe baith jata hai uske bagal me ek
ladka baitha tha jo kitabo me apna mouh ghusaye kuch padh raha tha

Raj:- hi I am Raj

Ladka:- hello I am Manish new admission?

Raj:- han aaj pehla din hai aur tumhara

Manish:- mujhe yaha 1 hafta ho gaya

Raj:- yaar zara yaha ke bare me to batao?

Manish:- kya batao yaha ki padhai ke bare me to tum jante hi ho teachers to ache hai par
yaha ke students bohat gande hai na to khud padhte hai na hi kisi ko padhne dete hain

Raj:- yaar tum padhai ke alawa aur kuch nahi sochte ho kya yaar zara yaha ke logo ke bare
me batao kuch apne bare me batao

Manish:- yaha ke logo ke bare me zyada nahi pata par han main Jhansi ka rehne wala hon
papa ki sarkari job hai maa housewife hai ek badi bahan hai jiske shadi ho chuki hai

Raj:- yaha kaha rehte ho?

Manish:- wo pass me jo Vk hostel hai waha par

Raj:- yaar waha pe to main bhi rehta hon


Manish:- (khush hote hue) are wah ye to acha hua chalo main bhi waha baat karke
tumhare room me shift ho jata hon undono ki baat aisi hi chal rahi thi ki Ritu aur uska
group class me aate hai wo samne ki bench par baith jate hai Ritu ki nigahe bas Raj par hi
tiki thi par Raj iski koi parwah nahi karta thodi der me teacher aata hai aur padhai suru ho
jati hain class khatam hote hi Raj aur Manish hostel pahuch jate hain Manish Raj ke room
me shift ho jata hai dono fresh hoke aaram karte hain shaam ke 7 baje dono ghumne jate
hain market me ghumte 9 baj jate hain wapas aa kar dono khana khaker so jate hai

Agli subah Raj aur Manish uthkar fresh hote hain aur nashta karke college chale jate hain
college pahuch kar Manish library chala jata hai aur Raj canteen me canteen me Ritu apne
friends ke saath baithi hoti hai jaise hi Raj canteen me entry karta hai to uski nazar Ritu
par padti hai Ritu uski hi taraf dekh rahi hoti hai Ritu ka gusse se lal chehra dekh kar Raj
ko hasi aa jati hai par wo apni hasi ko control karta hai aur ek chair pe baith jata hai

Raj:- (mann main) yaar aakhir iss ladki ki problem kya hai kis baat ka ghamand hai isko koi
hoor ki pari to hai nahi bas baap ke pass paise hai ussi ki dum pe itna nachti hai waise
mujhe kya karna hai yaha main padhne aaya hon to padhai pe dhayan dena chahiye Raj
apna sar jhatak deta hai dusri taraf jab Raj ya sab baate soch raha tha tab Ritu ke dimag
me ek saitani aati hai wo uthkar canteen wale ke pass jati hai aur usko kuch kehti hai
tabtak Raj bhi waha pahuch jata hai aur canteen wale se kehta hai

Raj:- yaar 2 samosa 1 coffee dena

Canteen wala:- 200 Rs

Raj:- (chonkte hue) kya itne se item ke 200Rs kya pagal to nahi ho gaye

Ritu:- pata nahi jab logo ke pass paise nahi hote to yaha kyu chale aate hain Raj gusse se
Ritu ki taraf dekhta hai

Ritu:- (haste hue) bhaiya tum isse de do paise main deti hon waise bhi garibo ko khana
khilane se punnya milta hai Ritu ki baat pe sab log hansne lagte hain Raj gusse se aag
babula ho jata hai uska mann to bohat karta hai ki 2-3 tamache Ritu ko lagaye par wo aisa
nahi karta

Raj:- garib zaroor hon par bhikhari nahi aur itna pagal bhi nahi hon ki itne se cheej ke liye
itne sare paise du waise agar main pyaas se mar bhi raha hon to tumse pani nahi
mangunga Raj waha se jane lagta hai ki tabhi Ritu bolti hai

Ritu:- (haste hue) are kya hua munne ko bura lag gaya Raj iska koi jawab nahi deta
Ritu:- pata nahi aise bhikhari kaha kaha se chale aate hain Raj ka sabar tut jata hai wo Ritu
ko sabak sikhane uski ore badhta hai par beech me waha Manish aa jata hai Aur Raj ko
chalne ke liye kehta hai

Manish:- chal na yaar kyu inke mouh lagta hai

Shiv:- (Ritu ka friend) han han le ja isse warna ye ab mouh dikhane ke kabil bhi nahi rahe
ga hahaha sab log phir se hasne lagte hain

Manish:- yaar tujhe meri kasam tu chal yaha se Raj aur Manish dono bahar nikal jate hain
Ritu ke chehre me ek vijayi muskaan fail jati hai Manish Raj ko kheech ke bahar le aata hai

Raj:- (gusse se) yaar chod mujhe aaj main iss ladki ko zinda nahi chodunga sali kya samjhti
hai apne aap ko

Manish:- chal chod de na yaar ignore kar usse

Raj:- nahi hota yaar jab se aaya hon tab se mere piche padi hai ab to kuch karna hi padega

Manish:- acha kya kar lega tu itna sun le ki tu uska kuch bhi nahi bigad payega tu abhi tak
usse nahi janta

Raj:- mujhe janna bhi nahi hai main jo ek baar than leta hon usse kar ke hi chodta hon

Manish:- Indra Dev Singh Rana ka naam suna hai iss sahar ke sabse bade businessman iss
college ke trusty Ritu ke papa aur Rana sahab dono dost hain aur to aur Rana sahab ka
eklota beta Vinod Singh Rana aur Ritu dono ek dusre se pyar karte hain soch le agar tu
Ritu ka kuch bhi bigadega to wo log tujhe zinda nahi chodenge

Raj:- to iska matlab wo apni mannmani karti rahegi aur ham sab sehte rahenge

Manish:- to hum kar bhi kya sakte hain tu ek kaam kar uss se maafi mang le

Raj:- (gusse se) tu pagal to nahi ho gaya main usse maafi mangunga main mar jaunga lekin
usse maafi nahi mangunga

Manish:- yaar maafi to tujhe mangni hi padegi apne liye na sahi apne ghar walo ke liye
ghar walo ka naam sunte hi Raj ekdum khamoos ho jata hai

Manish:- (samjhate hue) dekh bhai tu apne maa baap ka eklota hai kitni aashaye hai unhe
tujh par kya kya sapne dekhe honge unhone aur agar tujhe kuch ho gaya to wo dono jite
ji mar jayenge iss liye kehta hon tu Ritu se maafi mangle aur jo hua usse bhool ja Raj bilkul
chup chap Manish ki baato ko sunta hai usse kuch samjh me nahi aata hai ki wo kya kare
kya na kare uska dil fata ja raha tha aankhe num ho gayi the wo jor jot se rona chahta tha
aaj usse apni maa ki bohat yaad aa rahi thi kash abhi wo apne ghar me hota to apni maa
ke aanchal se lipat jata kitna sukun milta tha usse jab uski maa uske baalo ko sahlati pyar
se uske maathe ko chumti to uske dil ka sara dard khatam ho jata puri duniya me ek wahi
to hai jo usko ache se samjhti hai par aaj uski maa uske pass nahi hai wo to usse koso dur
baithi hai wo chah kar bhi uss tak nahi pahuch sakta tha dil ka dard aankho ke raste aansu
banker bahar nikalne lagte hai Manish ye sab dekhta hai uski bhi aankhe nam ho gayi thi
par wo usse nahi rokta tabhi achanak Raj ka mobile bajne lagta hai Raj apne khayalo se
jagta hai apni aankho se aasuo ko pochta hai ab Raj ki nazar jaise hi screen pe jati hai to
uske dil ka sara dard khatam ho jata hai uski maa ka phone tha

Raj:- maa

Maa:- kaise ho beta tum theek to ho?

Raj:- han maa main bilkul theek hon par tum aisa kyu puch rahi ho?

Maa:- bas aise hi beta mera dil thoda ghabra raha tha wo chod ye bata teri padhai kaise
chal rahi hai

Raj:- achi chal rahi hai maa

Maa:- abhi tu kaha hai?

Raj:- college me

Maa:- chal baad me call karti hon bye

Raj:- bye maa aur call cut ho jata hai Raj thodi der chup chap mobile ki taraf dekhta rehta
hai Raj ke chehre me bohat hi sukun ke ghav the uske maa ke phone ne uske dil ke dard
ko khatam kar diya tha uske andar ek nayi shakti jagrit hoti hai ab usse sab kuch samjh me
aa gaya tha ki usse kya karna hai wo palat ke Manish ki taraf jata hai

Raj:- yaar mujhe lagta hai ki tu jo keh rah hai wo hi theek hai mujhe Ritu se maafi mangani
chahiye lekin iska matlab ye nahi ki main usse dar gaya main kisi bhi tarah se kamjor nahi
hon ye to bas main apne ghar walo ke liye kar raha hon Manish ke chehre me ek sukun
bhari muskaan fail jati hai

Manish:- yaar ab ki na tune akalmando wali baat waise bhi zindagi me jeetna hi sab kuch
nahi hai zindagi ka ek naam sacrifice bhi hai jo insaan halaat ke saath chale wo hi asli
mayne me vijeta hota hai chal ab der na kar dono canteen ki taraf chal dete haiRaj ka dil
to nahi kar raha tha ye sab kerne ko par wo halaat ke aage majboor tha jab dono canteen
ke andar jate hai to Ritu apne friends ke saath wahi baithi milti hai Raj dheere-2 uski aur
sar jhukake badhta hai Ritu ki nazar Raj ke upar hi hoti hai

Raj:- (sar jhukaye) Ritu I am sorry maine tumhare saath jo bhi badtamizi ki hai uske liye
main maafi mangta hon dobara kabhi aisa kaam nahi karunga jisme tumhari beizzati ho
Ritu bina kuch kahe bas Raj ki taraf dekhti hai

Ritu ka friend:- abe kya bol raha hai tej bol kuch sunai nahi deta sab log hasne lagte hai

Ritu ka friend:- abe jaldi bol aur tej bol itna time nahi hai

Raj:- (tej) I am sorry Raj ki aankhe fir se bhari ho gayi the usne aisa kaam pehle kabhi nahi
kiya tha uska dil to fata ja raha tha

Ritu ka friend:- chal tune to sorry bol diya par maafi to tujhe Ritu hi degi waise bhi Ritu ki
shart to tujhse yaad hai na chal suru ho ja Raj ko Ritu ki wo baat yaad aa jati hai ki ek din
Raj ko uske pairo me girker maafi mangani padegi aaj wo baat sach hone ja rahi thi Raj ke
sabar ka bandh tut jata hai uski aankho se aansuo ki dahra behne lagti haiaisi beizzati uski
kabhi nahi hui thi dil to kar raha tha ki waha se bhaag jaye par wo halaat ke aage majboor
tha wo caah kar bhi kuch nahi kar paa raha tha Raj dheere se apne ghutno ke bal baithta
hai dheere se apna sar Ritu ke kadmo me rakh deta hai waha pe maujood sab log abhi bhi
Raj ki bebasi par hash rahe the Manish bhi wahi tha uski aankho me bhi aansu the par wo
bhi mook darshak bana ye sab dekh raha tha wo bechara kar bhi kya sakta tha Raj abhi
bhi waise hi baitha tha Ritu chup chap ye sab dekh rahi the uske chahre pe koi bhi
expression nahi tha fir wo uthi aur jane lagi lekin fir palti

Ritu:- tum to badi jaldi haar maan gaye maine to socha tha ki iss khel me bada maza
aayega Ritu palti aur teji se bahar chali gayi uske peeche peeche sab bahar chale jate hai
ab canteen me sannata chaa jata hai waha kewal Raj aur Manish hi reh jate hai Raj abhi
bhi waise hi sar jhukaye baith tha uski aankho se abhi bhi aansu bahe ja rahe the uske
andar itni takat nahi bachi thi ki wo khud uth ke khada ho sake aaj ek aur sedhe sadhe
aam insaan ki ghairat kuch ameer zado ke mauj masti ki wajah se khatam ho gayi thi ab
Manish dheere dheere Raj ki taraf badhta hai aur uske kandho ko pakad ke upar uthata
hai Raj ki aankho me abhi bhi aansu the Manish apne hatho se Raj ke aansuo ko pochta
hai

Manish:- chup ho ja yaar ab ho gaya jo kuch hona tha Manish Raj ko apne gale se laga leta
hai Raj to andar se bilkul tut chuka hota hai uske andar bolne ki shakti bhi nahi thi
Raj:- (rote hue) yaar please mujhe yaha se le chal Manish uski haalat achi tarah se samjh
sakta tha iss liye wo bhi chup tha Manish Raj ka hath pakad ke hostel ki taraf chal deta hai
raste bhar dono khamoos hi the kuch hi der me dono hostel pahuch jate hai abtak uske
aansu bhi sukh chuke the par wo kuch bol nahi raha tha Manish hi mahool ko halka kar ke
liye baat suru karta hai

Manish:- yaar chal kahi ghoom ke aate hai par Raj koi jawab nahi deta hai wo to bas sar
jhukaye gumsum sa baitha rehta haiab Manish se uski ye udasi sahan nahi hata

Manish:- yaar tujhe meri kasam ab apni ye udasi chod de apne liye naa shai mere liye
bhool ja sab kuch Raj apna sar utha ke Manish ki taraf dekhta hai

Raj:- kaise bhool jaon ab main pure college me mouh dikhane ke kabil nahi rahamann to
kar raha hai ki aatmahatya kar lu par wo bhi nahi kar sakta ab Manish ka gussa satwe
aasman me chad jata hai aur ek kheech ke tamacha Raj ke galo par lagata hai

Manish:- (gusse se) tu pagal ho gaya hai abhi thodi der pehle to tu keh raha tha ki tu
kamjor nahi hai ab kaha gayi teri himmat Raj ke mouh se koi awaaj nahi nikalti

Manish:- dekh bhai wo log bade aadmi hai aur bade log chote logo ko zyada der tak yaad
nahi rakhte aur rahi baat college ki to dekhna do din ke baad sab kuch bhool jayenge aur
chal do din ke liye hum kahi bahar se ghoom kar aate hai Raj bhi ab pehle se kafi normal
ho chuka tha

Raj:- par hum jayenge kaha? iss sahar me to hum kisi ko jante bhi nahi

Manish:- tu chinta mat kar pass hi ke sahar me meri mausi rehti hai hum wahi chalenge
dekhna waha bada maza aayega ok

Raj:- bhai jo tu theek samjhe waise bhi ab mera yahamann nahi lag raha hai chal fir chalte
hai

Manish:- ye hui na baat chal ab jaldi se fresh ho ja hum abhi niklenge dono taiyaar hoker
bus stand ki taraf chal dete hain thodi hi der me dono bus station pahuch jate hai 10
minute baad bus bhi chal deti hai theek 2 ghante baad bus pahuch jati hai dono mausi ke
ghar ki taraf chal dete hain thodi der baad dono mausi ke ghar pahuch jate hain Manish
door bell bajata hai thodi der baad darwaja khulta hai Raj samne ka drishya dekh kar
hairan ho jata hai samne ek sandar si ladki khadi thi gora badan bade boobs kaatilana
muskaan aisa lag raha tha ki aasman se koi apsara utar aayi ho Raj to uski khoodsurti ka
diwana ho chuka tha ho bhi kyu na usne aaj tak itni sandar ladki nahi dekhi wo to uski
sandarta me kho sa chuka tha tabhi Manish bool pada

Manish:- hi Sonal didi

Sonal:- hello Manish tabhi Raj hosh me aata hai

Raj:- hi

Sonal:- hi

Sonal:- aao andar mummy kab se tum logo ka intejar kar rahi hai fir Sonal palat kar andar
ki taraf chalne lagti hai dono uske peeche peeche chal dete hai Sonal unko kamre me le
jati haiandar mausi sofe me baithi hoti hai Manish unke pair chuta hai

Manish:- kaisi ho mausi?

Mausi:- theek hon aur tum?

Manish:- acha hon mausa ji aur bhaiya kise hai?

Mausi:- sab ache hai

Manish:- kaha hai dono?

Mausi:- tumhare mausa ji to office gay hai aur Pankaj ka pata nahi (Pankaj Manish ka bhai)

Sonal:- mummy bhaiya to market gaye hai kuch saman lena tha

Mausi:- chalo chodo usse ye batao ki ye kon hai (Raj ki taraf ishara karte hue)

Manish:- ye mera dost Raj hai hum dono ek hi college me padhte hai aur ek saath hi rehte
hai bas thoda bore ho gaye the to yaha chale aaye Raj ki aankhe abhi bhi Sonal pe the unki
baate aise hi chal rahi thi ki Pankaj bhi aagaya Pankaj bhi dekhne bilkul Manish ki tarah
tha khair sabki baate aise hi chalti rahi shaam ke 6baj chuke the mausa ji bhi aagaye thodi
der mausa ji se bhi baat hui fir Raj Manish Sonal aur Pankaj charo ghumne nikal gaye ye
jagah rudrapur se bhi zyada sandar hai yaha ki sandarta ko dekh kar Raj apne sare dukh
bhula chuka tha

Sonal:- aur Raj kuch batao apne bare me

Raj:- kya batau?

Sonal:- are apni life ke bare me apni gf ke bare me


Pankaj:- Sonal kya faltu sawal hai puch rahi ho

Sonal:- are bhaiya faltu sawal kaha puch rahi hukitna important sawal hai ye

Manish:- Sonal didi tumko to har sawal hi important lagta hai chodo Raj tum inki bato par
dhayan mat do

Raj:- are yaar sawal mujhse pucha gaya hai to jawab bhi main hi dunga haan Sonal pucho
kya puch rahi thi

Sonal:- (muskurate hue) haan ye batao ki koi gf hai ya nahi

Raj:- nahi abhi nahi

Sonal:- kyu koi mili nahi ya pasand nahi aayi

Raj:- abhi tak to koi pasand nahi aayi par ab aisa lagta hai ek ladki hai jise main apni gf
bana sakta hu

Manish:- yaar tune mujhe bhi nahi bataya

Raj:- yaar kewal mujhe pasand aayi hai pata nahi wo maane gi ya nahi

Sonal:- itne handsome ho tum agar kisi bhi ladki ko propose karoge to wo mana nahi
karegi

Manish:- yaar kab propose karega?

Raj:- soch raha hon ki abhi kar du par Raj tirchi nazro se Sonal ko hi dekh raha tha

Manish:- yaar par wo hai kon

Raj:- tu usse janta hai

Manish:- paheliya mat bujha jaldi bata mere hath paw fool rahe hai

Raj:- wo Ritu Manish ye naam sunker chonk jata hai

Sonal:- waw Ritu kon hai ye kaha rehti hai

Manish:- 1 minute didi Raj tu uss ladki se pyar karta hai tu pagal to nahi ho gaya

Raj:- yaar aisi koi baat nahi hai

Manish:- to kisi baat hai aur ye hua kab

Sonal:- tujhe kya lena dena jo bhi ho jalan to nahi ho rahi tujhe Raj se
Manish:- didi aap nahi samjh rahi mujhe bhala Raj se jalan kyu hone lagi aap nahi janti ki
ye Ritu kon hai fir Manish Sonal ko sari kahani batane laga

Sonal:- Raj tum aisi ladki se kaise Pyar kar sakte ho jisne tumhare saath aisa kiya

Raj:- are main Ritu se koi Pyar nahi karta

Sonal:- to tumne uska naam kyu liya

Manish:- haan haa bol

Raj:- wo to mujhe yaha dikhi hai iss liye maine uska naam liya

Manish:- to pehle kyu nahi bola

Pankaj:- are tum dono usse kuch bolne doge to wo kuch bolega tum log to bas apni si suru
kar dete ho

Raj:- aur nahi to kya

Sonal:- acha chodo ye sab ye bataw kaha hai wo

Raj:- wo samne wali dukan pe khadi thi

Manish:- ab kaha gayi

Raj:- mujhe kya pata

Pankaj:- to chalo pata karte hai fir charo ussi dukan ki ore chal dete hain Raj to mann me
bas yahi soch raha tha ki aakhir Ritu yaha kya kar rahi hai usse subah wali ghatna yaad aa
jati hai uska dil fir se tutne lagta hai ki yaha se wapas usse ussi college me hi jana hai pata
nahi waha par sab log uske saath kaisa bartaw karenge lekin Raj ab tak apne aap ko bohat
had tak sambhal chuka tha usse ab iski zyada tention nahi thi jo hoga dekha jayega
aakhirkar charo uss dukan par pahuch jate hai

Pankaj:- bhaiya abhi ek ladki yaha khadi thi wo kaha gayi

Dukan wala:- kon si ladki

Raj:- wahi jo abhi 2 minute Pehle yaha pink dress me khadi thi

Dukan wala:- acha acha aap uss ladki ki baat kar rahe hai wo to abhi abhi ek car me baith
ke chali gayi

Sonal:- kis taraf gayi hai


Manish:- are chodo na usse jane do jaha gayi hai uske chakker me hum apni enjoyment
kyu kharab kar rahe hai

Raj:- haan yaar chodo usse

Pankaj:- chalo kuch khate hai

Sonal:- mujhe to bohat bhook lag rahi hai fir charo ek restaurant me jake khana khate hai
fir ghar ki taraf chal dete hai sorry main to Sonal aur Pankaj ke bare me batana hi bhool
gaya

Sonal:- Manish se 1 saal badi hai aur Pankaj se 2 saal choti BSc 2 year me hai issi sahar ke
college me padhti hai figure hogi kuch 36-28-36 dikhne me bohat khoobsurat par apni
khoodsurti ka zara bhi ghamand nahi hai ladko se zyada matlab nahi rakhti ghar se college
college se ghar bas swabhaw se kafi chanchal hai hamesha apne bhai ke piche padi rehti
hai par Pankaj iska jara bhi bura nahi manta pyar jo bohat karta hai apni bahan se

Pankaj:- sabse bada jimmedari se kabhi piche nahi hatta sadharan si kad kathi padhai puri
kar chuka job ki talash hai uski bhi life bas ghar me hi simit hai ab kahani pe aata hon charo
baate karte hue ghar pahuch jate hai Raj aur Manish ko upar ka room milta hai dono fresh
ho ke sone chale jate hai jaise hi dono sote hai tabhi door knock hota hai Manish derwaja
kholta hai samne Sonal khadi thi night suit me

Sonal:- so gaye kya

Manish:- nahi bas tayari kar rahe the Sonal andar aati hai wo Raj ko ek meethi si smile
deti hui ussi ki taraf badhti hai Raj ka dil jor jor se dhadakne lagta hai wo to bas Sonal ko
hi dekhe ja raha tha Sonal lag bhi bohat khoobsurat rahi thi

Sonal:- kya dekh rahe ho kya kabhi koi ladki nahi dekhi

Raj:- dekhi to bohat hain par tum jaisi nahi dekhi

Sonal:- kya matlab

Raj:- matlab tumhare jaisi sandar

Sonal:- (sharmate hue) acha kya main itni sandar hon

Raj:- sandar ye sandar sabdha tumhare liye kam hai Manish ye sab bohat der se dekh raha
tha ant me wo bhi bol pada
Manish:- oye bas kar meri bahan hai saram nahi aati mere samne aisi harkate kar rahe ho
tum dono

Raj:- yaar main kon sa bhaga ke le ja raha hu

Sonal:- are meri wajah se tum dono kyu jhagda kar rahe ho chali jati hon mai

Manish:- are didi tum baitho hum to bas aise hi mazak kar rahe hai fir teeno thodi der tak
baate karte hai aur fir Sonal uth kar apne room me chali jati hai aur ye dono bhi so jate
hai aaj Raj bohat khush tha sayad Sonal usko pasand kerne lagi thi par Raj ko ye nahi pata
tha ki kal uske saath kya hone wala hai wo to bas Sonal ke khayalo me khoya hua meethi
neend so raha tha

Agli subah 8 baje Manish ki aankhe khulti hai wo uthkar fresh hone chala jata hai tabhi
Raj bhi jag jata hai Raj jaise hi uth ke baithta hai tabhi koi door knock karta hai Raj jaise hi
darwaja kholta hai touska mouh khula ka khula reh jata hai samne Sonal khadi thi kya
kayamat lag rahi thi black color ki chudidar jo uske body par bilkul kasi hui thi chehre me
halka sa makeup hontho pe halke red color ki lipstick maathe pe ek choti si bindi kaano
me chote chote jhumke baalo ki ek lambi si choti jo uske kamar tak ja rahi thi ye sab uski
sandarta ko aur badha rahe the Raj to bas kahi kho sa gaya tha ho bhi kyu na Sonal lag hi
itni sandar rahi thi ki Raj to kya koi bhi usse dekh kar pagal ho jaye Sonal Raj ko iss tarah
usse ghurte hue dekh kar sarma jati hai aur meethi si awaaj me kehti hai

Sonal:- good morning Raj ko jaise kuch sunai hi nahi deta wo to bas ek tak bina palke
jhukay Sonal ko hi dekhe ja raha tha

Sonal:- ab bas bhi karo Raj jaise koi sapne se jagta hai

Raj:- sorry main wo Raj kuch nahi bol pata bas darwaje ke samne se hat jata hai

Raj:- aao andar aao Sonal andar aati hai

Sonal:- aise kyu dekh rahe the mujhe

Raj:- aaj tum kayamat lag rahi ho bas apne aap ko control nahi kar paya

Sonal:- (sermate hue) baate bohat bana lete ho

Raj:- are main sach keh rah hon waise tum itni subah subah ja kaha rahi ho

Sonal:- college aur kaha

Raj:- kya yaar aaj chutti nahi le sakti main to yaha bor ho jaunga
Sonal:- bor kyu hoge sab log to honge ghar me

Raj:- jab ghar se roonak hi chali jayegi to baki logo ke hone na hone ka kya matlab

Sonal:- chalo hato itni bhi sandar nahi hon mai

Raj:- bhai heere ki kadar to kewal joohari hi janta hai

Sonal:- acha ji to janab apne aap ko joohari samjhte hai

Raj:- haan aur aap ko heera Sonal ka cehra saram se lal ho jata hai tabhi Manish bathroom
se fresh hoke bahar aata hai

Manish:- kya baate ho rahi hai Sonal hadbadake khadi ho jati hai

Sonal:- kuch nahi main to bas yahi kehne aayi thi ki maa tum dono ko neeche bula rahi hai

Manish:- bas abhi aate hai Sonal ek chupi hui smile Raj ko deti hai aur waha se chali jati
hai Raj to wahi dher ho jata hai Raj jaldi se fresh ho jata hai aur dono neeche aa jate hai
neeche sab hall me baith kar chai pi rahe the dono bhi sab ke saath baith jate hai Raj ki
najar bas Sonal pe hi tiki hui the Sonal bhi chup chup ke Raj ko hi dekh rahi thi jab dono ki
najre milti to Sonal sarmake najar neeche jhuka leti isi tarah chai nashte ka daud khatam
ho jata hai Sonal fir se ek meethi si smile Raj ko deti hai jise sirf Raj hi dekh pata hai Raj ka
dil fir se ghayal ho jata hai

Sonal:- maa bhai to aaj busy hai to main college kise jaungi

Maa:- jaise roj jati hai bas se

Sonal:- maa aaj wo meera nahi jayegi to main aakeli kaise bas me jaungi

Maa:- to fir kya karegi

Sonal:- wahi to ye Manish ko bhi motorcycle chalani nahi aati

Maa:- to kya hua ye Raj hai na kyu Raj tumhe koi problem to nahi hai na Raj to jaise yahi
chahta tha

Raj:- ye aap kaisi baat kar rahi hai aunty mujhe bhala kya problem ho sakti hai

Sonal:- chalo fir jaldi karo mujhe der ho rahi hai thodi der me dono nikal padte hai Raj ko
talash thi ek mauke ki Sonal ko propose kerne ke liye aaj wo mauka mila hai Raj usse kuch
kehne hi ja raha tha ki Sonal bol padi

Sonal:- Raj hum college nahi ja rahe


Raj:- to kaha ja rahe hai

Sonal:- bakwas mat karo bas chalo waise bhi tumhari wajah se sab gadbad ho gayi hai Raj
bilkul chonk jata hai

Raj:- ye kaise baat kar rahi ho aur maine kya kar diya

Sonal:- ek baar me baat samjh me nahi aati kya chup chap chalo Raj to Sonal ka ye roop
dekh kar bohat shoked tha Raj to Sonal ki herkato se bilkul shoked tha wo to chup chap
bike chalay ja raha tha thodi der baad

Sonal:- Raj uss park ke pass rokna Raj park ke pass bike rokta hai

Raj:- kya hua yaha kuch kaam hai kya Sonal kuch nahi bolti bas ghoor ke ek nazar dekhti
hai fir Sonal apne mobile se kisi ko call karti hai

Sonal:- haan hum pahuch gaye tum log kaha ho dusri taraf se koi kuch kehta hai

Sonal:- theek hai hum andar hi hai fir Sonal call kat karti hai Raj ko to kuch samjh me nahi
aa raha tha ki ye Sonal aakhir kar kya rahi hai wo to bas chup chap Sonal ko dekhe ja raha
tha Sonal idhar udhar dekhti hai aur samne ki ek bear shop me jati hai wo waha se ek bear
ki bottle leti hai wo bottle le ke park ke andar jati hai Raj ye dekh kar hairan reh jata hai
wo jaldi se bike ko parking me lagata hai aur Sonal ke peeche peeche chalne lagta hai
Sonal ek jhadiyo ke pass aake khadi ho jati hai wo peeche mud kar Raj ko dekhti hai aur
wahi baith jati hai Raj jaldi se Sonal ke pass jata hai

Raj:- Sonal ye sab kya hai tum sarab bhi piti ho Sonal ke chehre pe ek kutil muskaan fail
jati hai

Sonal:- tujhe kya lagta tha ki main ek seedhi saadhi bholi bhali gharelu type ladki hon
galatfahmi hai tumhari are main to aaj ki ek modernaur bindas ladki hon jo sirf apne dil ki
sunti hai duniya ki koi parwah nahi hai hai mujhe

Raj:- to kya ghar me jo sab karti ho wo sirf dikhawa hai Sonal haste hue

Sonal:- kitne pagal ho tum ye sab kya main gharwalo ko dikha ke karu ghar me to main
seedhi saadhi banne ka natak karti hon taki mere aane jane me koi rok tok na ho itna
kehker Sonal bottle ka dhakkan kholti hai aur 4-6 ghoot mar leti hai Raj ko ab bardast
karna muskil ho gaya tha wo Sonal se bottle cheenne ki kosis karta hai par tab tak Sonal
khadi ho jati hai aur ak thappad Raj ko lagati hai thappad itna jor dar tha ki Raj ke hontho
se khoon nikal jata hai Raj ke pairo se to zamen hi khisak gayi thi wo to soch bhi nahi sakta
tha ki Sonal uspar hath bhi utha sakti hai Sonal ki iss harket ne Raj ke dil ko bohat choot
pahuchai thi aaj ek aur ladki ne uske dil ko toda hai wo bhi uss ladki ne jise wo pyar kerne
laga tha Raj ne na jane kya kya sapne dekhe tha aaj Sonal ne wo chur chur kar diya Raj
chup chap khade hoker Sonal ko khamosi se dekhe ja raha tha jaise puch raha ho ki tumne
mere saath aisa kyu kiya

Sonal:- tumhari himmat kise hui mujhe chune ki Raj apne aap ko ab aur nahi rok pata

Raj:- kyuki main tumse pyar karne laga hon Sonal Sonal ye sunker jor jor se hasne lagti hai
Sonal hahaha pyar aur tumse chal apni aukat mat bhool tujh jaise hazaro ladke mere
peeche pade rehte hai

Raj:- rehte honge par mere jaisa koi dusra nahi milega

Sonal:- tere jaisa koi cahiye bhi nahi waise bhi aaj kal pyar vyar ka koi matlab nahi bas
sabko paise se matlab hai

Raj:- matlab tumhare liye pyar ki koi keemat nahi dekh lena ek din tum bohat ro go
pachatao gi iss pyar ke liye par tab tumhare aansu pochne wala waha koi nahi hoga yaad
rakhna meri baat

Sonal:- (haste hue) meri fikar chodo apni socho ki abhi tumhare saath kya hone wala hai

Raj:- kya karne wali ho mere saath

Sonal:- main kuch nahi karungi jise karna hai wo aata hi hoga

Raj:- kon hai

Sonal:- khud hi dekh lena Raj ko kuch samjh me nahi aata ki ye Sonal cahti kya hai wo to
sochne lagta hai usne yaha kiska kya bigada hai wo ye sab soch hi raha tha ki peeche se
koi uske kandho pe hath rakhta hai Raj jaise hi peeche palatta hai to wo shocked reh jata
hai peeche ek lamba chauda robdar ladka khada tha Raj usko nahi pehchanta tha par uske
saath jo ladke the usse wo janta tha ye sab uske college ke hi ladke the Raj ko abhi bhi
kuch samjh me nahi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai

Raj:- tum log yaha

Ladka:- kyu koi problem hai

Raj:- mujhe kya problem ho sakti hai waise bhi main tumko janta bhi nahi
Ladka:- jante nahi to jan jaoge itne me waha par Ritu bhi aa jati hai usse dekhker Raj ko
sab samjh me aa jata hai Raj Sonal ki taraf palatta hai Sonal ke chehre pe ek kutil muskaan
thi

Raj:- acha to ye sab tumhari chal thi tab tak wahi ladka Raj ko kheech kar apni taraf ghuma
leta hai

Ladka:- usse kya puchta hai main batata hon mera naam Vinod Singh Rana hai main Ritu
ka boyfriend hon tune jo Ritu ke saath badtamiji ki hai uski saza to tujhe zaroor milegi

Raj:- dekho bhai iske liye maine Ritu se maafi mang li hai

Vinod:- Ritu ne tujhe maaf kiya hoga par maine nahi

Raj:- dekho ye tum theek nahi kar rahe ho Raj itna bol hi pata hai ki ek jor ka thappad uske
galo par padta hai thappad itna jor ka tha ki Raj apna balance kho diya aur neeche gir pada
Vinod ne uska kollar pakad kar upar uthaya aur fir se ek mukka uske pet me mara Raj
thodi dur pe neeche ja gira Raj apna pet pakad ke neeche pada raha isse pehle ki Raj
sambhal paye Vinod aur uske dosto ne laat aur ghunso ki boochar karni suru kar di Raj to
bechara neeche pada karah raha tha uske andar virodh karne ki bilkul takat nahi thi hoti
bhi kaise Sonal ne uska dil jo tod diya tha wo to abhi bhi Sonal ko hi dekhe ja raha tha usse
pad rahe laat ghunso se koi dard nahi ho raha tha uska dard to dil me tha jo Sonal ne usse
diya tha Raj ki aankho se bas aansu hi bahe ja rahe the Sonal ko iski koi parwah nahi the
usse to ye sab dekh kar maza aa raha tha Ritu jo Sonal ke bagal khadi thi uske chehre par
ek vijayi muskaan thi usse jo cahiye tha shayad wo mil gaya tha thodi der aur pitne ke
baad Vinod ne uska kollar pakad kar uthaya

Vinod:- aaj ke liye to main tujhe jane deta hon par yaad rekhna fir kabhi tune agar Ritu ka
dil dukhaya to main tujhe jaan se maar dunga Vinod Raj ko dhakka deker fir se neeche
gira deta hai ab Vinod aur uske dost waha se chale jate hai par Ritu aur Sonal wahi khadi
rehti hai Raj khade hone ki kosis karta hai par khada nahi ho pata Sonal uske pass aati hai
aur Raj ko sahara dene lagti hai par Raj uska hath jhatak deta hai

Raj:- ab kya lene aayi ho

Sonal:- main kuch lene nahi aayi hon bas tumhari madad karne aayi hu

Raj:- kar to di itni madad Raj jaise taise khada hota hai

Raj:- ek baat batau Sonal kabhi kisi sacche pyar karne wale ka dil mat todna warna sari
zindagi sacche pyar ko taras jaogi
Sonal:- dekho Raj isme sari galti tumhari thi Raj Sonal ki baat ko beech me katte hue

Raj:- main ghar ja raha hon tumko chalna hai

Sonal:- nahi mujhe abhi kaam hai lekin

Raj:- ghabrao mat main kisi ko kuch nahi bataunga Raj ladkhadate hue bahar ki taraf jane
lagta hai

Sonal:- tum aisi halat me kaise jaoge

Raj:- jab aisi halat kerne wali hi tum ho to ab mere tension kyu le rahi ho Raj ab palat kar
jane lagta hai wo dono Raj ko jate Hue dekhti rehti hai Raj jaise taise parking me jaker bike
lekar ghar ki taraf chal deta hai raste me ek jagah ruk kar Raj apna cahra aur khoon saaf
karta hai taki kisi ko kuch pata na chale thodi der me Raj ghar pahuch jata hai aur sabki
nazar bacha ke apne room me chala jata hai room me jake Raj ek pain killer le kar sone ki
kosis karta hai par usko neend nahi aa rahi thi uske dil ko aaj bohat thes pahuchi thi zindagi
me pehle bar kisi se pyar hua tha ussi ne uske saath aisa kiya yahi sab sochte sochte Raj
ki aankh lag jati hai dopahar ke 2 baj rahe the Raj gahri neend me soya hua tha Manish
kamre me aata hai

Manish:- Raj Raj uth na ab kitna soyega Raj bina aankh khole angdaai lete hue

Raj:- kya yaar thoda aur sone de na yaar

Manish:- nahi chal uth dekh 2 baj gaye hai sab khane me tera intezar kar rahe hai ab Raj
uth ke baith jata hai

Raj:- tum log kha lo yaar mujhe bhook nahi hai

Manish:- pagal ho gaya hai aise kaise bhook nahi hai chal jaldi kar nahi to mausi upar aa
jayengi subah jo kuch bhi hua tha uss wajah se usse bilkul bhi bhook nahi lag rahi thi fir
bhi sabka dil rakhne ke liye wo uthta hai Raj fresh hoke neeche jata hai wo jaise hi dyning
room me jata hai to sabse pehle uski nazar Sonal par padhti hai Sonal ko dekh kar uske
kadam apne aap ruk jate hai par wo jaldi apne aap ko sambhal leta hai aur jaker Manish
ke bagal me baith jata hai Sonal bhi Raj ko hi dekhe ja rahi thi

Mausi:- are Raj tumhari tabiyat to theek hai na

Raj:- han aunty par aap ko aisa kyu laga


Mausi:- nahi bas aise hi fir sab log khana khane lagte hai mausa ji aur Pankaj ghar pe nahi
the khana khane ke baad Raj apne room me jane lagta hai

Manish:- kaha ja raha hai chal baith kar tv dekhte hai

Raj:- nahi yaar mood nahi hai

Manish:- ab tere mood ko kya hua subah tak to theek tha Raj ki nazar Sonal par padhti hai
Sonal Raj ko dekh kar zharili muskaan deti hai jisse Raj ka dil jalne lagta hai

Mausi:- chalo tum log baitho main sab ke liye coffee lati hon

Sonal:- maa tum ruko aaj main sabke liye coffee banati hon itna keh kar Sonal uthti hai
aur kitchen ki taraf jane lagti hai tabhi achanak Sonal ka pair fisal jata hai aur uska sar
samne rakhi table se takrati hai takkar itni jor ki hoti hai ki Sonal ka sar fat jata hai aur wo
behosh hoker neeche gir jati hai jise dekh kar mausi ki cheekh nikal jati hai pure ghar me
bhagdad mach jati hai Sonal ke sar se kafi khoon behne lagta hai Raj daud ke Sonal ke pass
jata hai aur apne rumal Sonal ke sar par bandh deta hai

Raj:- Sonal Sonal Raj uske mouh par pani ke cheete marta hai par Sonal ko hosh nahi aata
hai

Udhar mausi ka to ro ro kar bura haal tha Manish usse sambhalne ki kosis kar raha tha par
maa to maa hoti hai uske samne uske bacche ko Chot lagi ho to wo chup kaise ho jati

Mausi:- Sonal Sonal beta kya hua mere bacche ko ye kuch bolti kyu nahi

Raj:- aunty ghabraye nahi Sonal abhi behosh hai hum abhi Sonal ko leker hospital chalte
hai

Mausi:- haan haa beta jaldi karo

Manish:- main abhi taxi leker aata hon

Raj:- jaldi ja Manish bhag ke bahar jata hai Sonal ke sar se khoon abhi bhi beh raha tha
uska sar Raj ke god me tha jisse Raj ke kapde uske khoon se san gaye the udhar mausi to
chup hi nahi ho rahi thi

Mausi:- haay mere baccha kya ho gaya tujhe aankhe khol beta Raj mausi ki halat achi tarah
samjh sakta tha Raj unhe samjhane ki kosis karta hai
Raj:- aunty chup ho jao kuch nahi hua hai Sonal ko mai isse kuch nahi hone dunga itna
kehker Raj Sonal ko apni baaho me utha leta hai aur bahar ki aur jata hai mausi bhi peeche
peeche chalne lagti hai tab tak Manish taxi leker aa jata hai

Manish:- yaar taxi bahar khadi hai jaldi chal

Raj:- haan theek hai tu ek kaam kar ghar ko lock kar de aur mausa ji Pankaj bhai ko call
kar de

Manish:- haan abhi karta hon Raj aur mausi Sonal ko le kar taxi me baith jate hai tab tak
Manish bhi ghar lock kar ke aa jata hai sab hospital ki taraf chal dete hai thodi hi der me
sab hospital pahuch jate hai Raj abhi bhi Sonal ko apni baaho uthay andar ki taraf bhagta
hai aur Dr ke cabin me ghus jata hai uss samay waha zyada bheed nahi thi Raj Sonal ko
wahi rakhi bed par lita deta hai

Dr:- kya hua inhe

Raj:- wo Dr sahab ye gir gayi thi aur sar pe chot lagne ki wajah se behosh ho gayi hai

Dr:- 1 minute mujhe dekhne dijiye Dr apna check-up karta hai

Dr:- dekhiye sar pe ghaw kafi gehra hai Tannke lagane padenge

Mausi:- aap jo bhi kariye par jaldi kariye

Dr:- theek hai tab tak aap log bahar jaker wait kare teeno bahar chale jate hai Dr ek nurse
ko bulata hai aur apna kaam suru kar deta hai bahar mausi abhi bhi roye ja rahi thi

Raj:- are aunty ab chup bhi ho jao ab sab theek ho jayega

Manish:- haan mausi didi ko kuch nahi hoga par ek maa ka dil hai itni jaldi kaise shant ho
jati abhi un logo ki baate chal hi rahi thi ki nurse bahar aayi

Nurse:- dekhiye operation to ho gaya hai par khoon zyada nikal jane ki wajah se abhi halat
theek nahi hai Dr keh rahe hai ki aap log me se koi unhe apna de de

Mausi:- aap mera khoon le lijiye

Nurse:- nahi aapki age ke hisab se hum aap ka khoon nahi le sakte

Manish:- to aap mera le lijiye

Raj:- tu ruk waise bhi tere sharir me itni jaan nahi hai ki khoon de sake madem aap mera
khoon le lo
Nurse:- haan chaliye aap ke blood ki zanch kar lete hai waise bhi blood ke blood dena hota
hai Raj nurse ke saath chala jata hai ye to Raj ki insaniyat thi ki itna kuch ho jane ke baad
bhi wo Sonal ko apna khoon de raha tha wo bhi uss ladki ko jiski wajah se aaj subah hi
uska khoon nikla tha khair koi baat nahi thodi der baad Raj bahar aa kar unke saath baith
jata hai fir mausa ji aur Pankaj bhi aa jate hai mausi unko sari baat bata deti hai mausa ji
Raj ke pass aate hai

Mausa ji:- Raj beta aaj tumhari wajah se Sonal ki jaan bach gayi aaj agar tum na hote to
Raj beech me baat katte hue

Raj:- are uncle ye to mera farz tha meri jagah koi bhi hota to yahi karta mausa ji aage
badhker Raj ko gale se laga lete hai fir Pankaj bhi Raj ko gale laga leta hai

Pankaj:- thanks bhai sabki baate chal hi rahi thi ki Dr bahar aata hai

Dr:- aab ghabrane ki koi baat nahi hai patient ki halat aab theek hai sabke cahere par khusi
chalak padti hai

Mausi:- kya main apni beti se mil sakti hon

Dr:- abhi unhe private ward me shift kiya jayega tab aap log unse mil sakti hai waise abhi
wo behosh hai 1 ghante baad hosh me aa jayengi mausi ab thodi normal lag rahi thi sabke
chehre par khusi thi siway Raj ke shaam ke 4:30 baj chuke the achanak Raj khada hua aur
uncle aunty ke pass jaker

Raj:- acha to aunty ab hum wapas ja rahe hai apne sahar

Aunty:- par beta abhi kal subah chale jana

Uncle:- haan beta abhi tumko bhi to aaram ki jarurat hai

Raj:- nahi uncle main theek hon waise bhi kal se college join karna hai

Manish:- par tu aisi halat me chal sakega

Raj:- kuch nahi hoga tu chal Raj ke zor ke aage sab haar jate hai aakhirkar Raj aur Manish
apna saman lene ghar chale jate hai aur Pankaj unhe bas stand tak chodne chala jata hai
shaam 6 baje ki bus me dono baith kar apne sahar ki ore chal dete hain ussi sahar ki ore
jaha se sukun pane ke liye wo yaha aaye the par yaha to Raj ki puri kahani badal gayi thi
kal se fir wahi sab zhelna tha usse par ab Raj ka dil sakhat ho chuka tha usse ab kisi bhi
baat ki koi parwah nahi thi wo to iss samay ko jald se jald bhool jana chahta tha kal se
usse fir se ek nayi zindagi jini thi wahi purane Raj ko usse wapas lana tha jo bindas bina
tension full confidence me rehta tha Raj yahi soch kar apne andar fir se aatmviswash ko
badhta hua mehsus kar raha tha bas tezi se apne manzil ki aur badhi ja rahi thi Update 7
thodi der me dono rudrapur pahuch jate hai hostel pahuch kar dono fresh ho jate hai aur
kal college jane ke bare me baate karte hai

Udhar Sonal ko bhi hosh aa jata hai

Aunty:- beta ab kaisa feel kar rahi ho

Sonal:- main theek hon maa Sonal bed se uthne ki kosis karti hai

Aunty:- nahi nahi beta abhi tu aaram kar

Sonal:- par maa main abhi theek hon

Aunty:- mujhe kuch nahi sunna hai tu bas aaram kar Sonal apne charo taraf dekhti hai
room me sirf un charo ke alawa aur koi nahi tha

Uncle:- beta tu abhi aaram kar tab tak hum Dr se mil ke aate hai uncle Pankaj ki aur dekhte
hue

Uncle:- Pankaj chal zara mere saath

Pankaj:- haan papa chaliye dono bahar chale jate hai

Sonal:- maa ye Manish kahi dikhai nahi de raha

Aunty:- beta wo dono to wapas chale gaye kal se college bhi join karna tha unhe

Sonal:- meri aisi halat hai ye jante hue bhi chale gaye mujhse mile bhi nahi

Aunty:- maine unse kaha bhi tha ki kal subah chale jana lekin tab bhi wo nahi ruke shayad
college ki tension rahi hogi

Sonal:- jane do maa ye batao hum ghar kab ja rahe hai

Aunty:- tere papa to gaye hai dekh ab Dr kya kehte hai Sonal apnemann me sochti hai
chalo acha hua ki ye Raj ka baccha chala gaya warna usne kuch bol diya hota to meri khair
nahi thi thodi der me uncle aur Pankaj wapas room me aate hai

Aunty:- kya kaha Dr ne

Uncle:- keh rahe the ki aisi hatal me hum patient ko jane nahi dete par patient ki halat iss
samay theek hai aur ye ek government hospital hai aur yaha bed ki kami hai to hum unhe
jane de rahe hai par aap logo ko patient ka theek se khayal rekhna padega
Aunty:- wo to ab hum rakhenge hi

Pankaj:- ab kya chalo ghar chalte hain fir charo apne ghar chal dete hai

Udhar Raj aur Manish bhi khana kha kar sone jate hai

Manish:- Raj tujhe kal ki tension to nahi ho rahi

Raj:- kis baat ki

Manish:- wahi ki kal tu college me kaise jayega

Raj:- (muskurate hue) isme tension lene wali koi baat nahi kal jo hoga dekha jayega

Raj:- (mann main) yaar ab isse bura aur kya hoga mere saath jisse main itna pyar karta tha
ussi ko mere pyar ki koi kadar nahi aur rahi baat college walo ki to ab mujhe unse koi farak
nahi padega

Manish:- (khush hote hue) yaar ye hui na baat chal ab raat bohat ho gayi hai so ja dono
ab neend ki aagosh me chale jate hai

Agli subah dono jaldi se fresh ho kar college ki taraf chale jate hai abhi class shuru hone
me thodi der thi to dono canteen me jate hai Raj aaj fir se wahi purane andaz me tha
bilkul bindas aur confident dono canteen me entry marte hai waha par aaj Ritu nahi thi
but uske friends the unki nazar Raj par padhti hai sab Raj ko dekhker hasne lagte hai par
Raj uss taraf koi dhayan nahi deta aur Manish ke saath ek table par baith jata hai unme se
ek ladka canteen wale ki taraf jata hai wo wahi harkat karta hai jo uss din Ritu ne kiya tha
Raj bhi canteen wale ki taraf jata hai

Raj:- 2 coffee 4 samose

Canteen wala:- 400Rs

Raj:- (haste hue) tu abhi tak sudhra nahi

Canteen wala:- abe kayde se baat ker

Raj:- 2 minute me tera sara kayda kaanon andar ghused dunga

Ladka:- acha tu kya kar lega

Raj:- (muskurate hue) ab bada ho ja bacche kab tak londiya ke dum par bolta rahega kuch
apna bhi soch liya kar Raj ki baat se ladke ko gussa aa jata hai

Ladka:- bohat zyada bol raha hai na tu Raj gusse se uski ore ghurte hue
Raj:- chal nikal warna main tujhe apni matri bhasa me aisi moti moti galiya dunga ki tu aur
tera pura khandan milkar bhi uska matlab nahi nikal payega waha maujud sare students
Raj ki baat sunker hasne lagte hai ladke ko bohat sarmindagi mehsus hoti hai wo aur uske
sare friend canteen se bahar chale jate hai Raj ab canteen wale ki taraf dekhta hai canteen
wala Raj ke gusse se lal aankho ko dekhker dar jata hai

Canteen wala:- bhaiya abhi deta hon wo jaldi se coffee aur samoshe Raj ko de deta hai

Raj:- kitne paise hue

Canteen wala:- ji 50 rs Raj muskurate hue paise deta hai aur saman le kar Manish ke pass
jata hai Manish to Raj ka ye roop dekh kar hairan reh jata hai

Manish:- wow Raj kya baat hai yaar aaj to maza aa gaya

Raj:- (muskurate hue) chal kha le fir class me bhi jana hai dono wahi baith kar khane lagte
hai

Dusri taraf Sonal bhi uth chuki thi ab wo bohat fresh mehsus kar rahi thi wo uthkar hall
me jati hai waha uski maa baith kar sabjiya kaat rahi thi

Sonal:- good morning maa

Maa:- good morning beta ab kaisi tabiyat hai teri

Sonal:- bilkul fit hon maa

Maa:- chal tu baith main tere liye nashta le kar aati hon

Sonal:- ok maa jaldi lana badi jor ki bhook lagi hai

Maa:- (haste hue) bas abhi layi Sonal ki maa uthkar kitchen ki aur chal deti hai Sonal wahi
baith kar idhar udhar kuch dekhti hai

Sonal:- maa ye bhai aur papa kaha hai

Maa:- (kitchen se) wo dono to apne apne kam se chale gaye kyu kuch cahiye tha

Sonal:- nahi maa bas aisi hi tab tak Sonal ki maa nashta le aati haiSonal jaldi se apna nashta
khatam karti hai

Sonal:- maa main bathroom ja rahi hon wo uthkar bathroom chali jati hai par jaise hi wo
andar ghusti hai to uski nazar ek t-shirt par padhti hai jisme khoon laga hua tha wo usse
uthati hai aur kuch sochne lagti hai turant usse yaad aata hai ki ye to Raj ki t-shirt hai par
ye yaha kya kar rahi hai aur isme ye khoon kiska laga hai (jab Raj waha se wapas ja raha
tha to usne apna t-shirt change kiya tha par jaldi jaldi me le jana bhool gaya tha) Sonal ko
to kuch samjh me nahi aata wo apni maa ke pass jati hai

Sonal:- maa ye Raj ki t-shirt yaha kya kar rahi hai aur isme khoon kiska laga hai

Maa:- are beta isme jo khoon laga hai wo kisi aur ka nahi balki tera hai Sonal ye sunker
chonk jati hai

Sonal:- mera wo kaise

Maa:- beta kal agar Raj nahi hota to jane kya se kya ho jata

Sonal:- matlab

Maa:- wahi to tha jo tujhe utha kar hospital le gaya tha aur to aur jab tujhe khoon ki
zaroorat thi to usne hi tujhe apna khoon diya beta aaj tu Raj ke hi wajah se sahi salamat
khadi hi ye sunker Sonal ke pairo ke neeche se zameen hi khisak jati hai Sonal apnemann
me sochte hue haay ye maine kya kar diya itna bada paap mujhse kaise ho gaya kitna pyar
karta tha wo mujhse aur maine hi uske saath aisa kiya hamesha apne jhute gurur me jiti
rahi jo cheej mera nahi ho sakta usse paane ki kosis karti rahi aur jo mera tha main ussi
ko nahi pehchan saki kitna dukh diya tha maine usse haan shayad tabhi to bhagwan ne
mujhe ye saza di hai Sonal ki aankho me aansu aa jate hai wo bhag kar apne room me jati
hai aur door lock karti hai Sonal ab foot foot kar rone lagti hai

Sonal:- I am sorry Raj mujhe maaf kar do ek baar wapas aa jao Raj plz bas ek baar mujhe
apne seene se laga lo Raj plz apni iss Sonal ko maaf kar do main hi bewakuf thi jo tumhare
pyar ko nahi samjh payi plz Raj aa jao aa jao Raj Sonal Raj ki t-shirt ko apne seene se
lagaker bed par let jati hai wo itni thak chuki thi ki kab uski aankh lag gayi usse pata hi
nahi chala

Dusri taraf Raj iss samay class me baitha padh raha tha aaj Ritu college nahi aayi thi waise
bhi ab wo usse derne wala nahi tha khair 2 baje unki chutti ho jati hai dono apne hostel ki
taraf chal dete hai udhar Sonal ki bhi neend toot jati hai wo turant apne mobile se Manish
ko call karti hai ring jati hai Manish screen ko dekhte hue

Manish:- are Sonal didi ka phone Raj ye sunte hi soch me pad jata hai

Manish:- haan didi kaisi ho

Sonal:- main ab theek hon bhai ye batao ki tum log mujhse mile bina kyu chale gaye
Manish:- main to rukna chahta tha par iss Raj ko badi jaldi thi Raj ka naam sunte hi Sonal
ke chehre me chamak aa jati hai

Sonal:- kya Raj waha par hai

Manish:- haan kyu baat karni hai kya

Sonal:- haan phone do usse Manish Raj ki taraf phone badha deta hai

Raj:- mujhe abhi kisi se koi baat nahi karni meri tabiyat theek nahi hai main hostel ja raha
hon itna keh kar Raj waha se chala jata hai Sonal uski sari baate sun leti hai uski aankho
se fir se aansu behne lagte hai

Manish:- didi Raj ki tabiyat theek nahi hai

Sonal:- koi baat nahi tum uska number mujhe de do

Manish:- ok main abhi uska number send karta hon Manish phone cut kerdeta hai aur Raj
ka number Sonal ko send kar deta hai

Sonal:- abhi to kewal tumhara number mila hai par thode hi din me tumhare pyar ko bhi
paa ke rahungi ab tak Raj hostel pahuch chuka tha

Raj:- (mann main) ab ye mujhse kyu baat karna cahti hai ek baar mujhe zaalil karkemann
nahi bhara kya iska jo dobara karna cahti hai Raj yahi sab soch hi raha tha ki uske mobile
pe ek sms aata hai Raj plz ek baar mujhse baat karlo main tumse maafi mangna cahti hon
mujhse bohat badi galti ho gayi tumhe pehchanne me I am sorry

Raj :- (Sonal) Raj ye sms padh ke ek dam shocked reh jata hai

Raj:- (mann main) ab isse kya ho gaya itni meethi meethi baate kyu kar rahi hai kahi fir se
mujhe fasane ke liye koi chaal to nahi chal rahi hai 1 minute isko mera number kaha se
mila maine to kabhi usko apna number nahi diya kahi Manish ne to Raj ye soch hi raha
tha ki Manish waha aa jata hai

Manish:- yaar teri tabiyat ko kya ho gaya subah tak to tu bilkul theek tha

Raj:- are yaar ab tabiyat kya bol ke kharab hoti hai ho gayi achanak

Manish:- acha ye bata ki tune Sonal didi se baat kyu nahi ki

Raj:- yaar baad me baat kar lunga


Manish:- theek hai kar lena unhe tujhse kuch baat karni hai Maine tera number unko de
diya hai

Raj:- tune mera number kyu diya

Manish:- yaar wo mang rahi thi Raj ab baat aage nahi badhata kyuki wo janta tha ki baat
aage badhi to wo Manish ke sawalo ko koi jawab nahi de payega wo chup ho jata hai thodi
der me Sonal ka ek aur sms aata hai par iss baar bhi Raj koi jawab nahi deta hai din bhar
thodi thodi der baad Sonal Raj ko sms karti rahi par Raj har baar ignore karta raha

Agla din college me kuch khass nahi hua Ritu aaj bhi college nahi aayi thi ab uske friends
Raj ko ghoorne ke alawa aur kuch nahi kar paa rahe the khair wo din bhi gujar gaya Sonal
to bas thodi thodi der me usse sms ya call karti par Raj na koi call pick karta na hi kisi sms
ka jawab deta issi tarah do din aur kat gaye

Aaj subah dono tayar ho kar college pahuche to unhe pata chala ki college me hadtal hai
aur ye 3-4 din chalne wali thi issi mauke ka fayda utha kar kuch students bahar ghumne
jane ka plan bana rahe the Ritu ke sare friends bhi unke saath jane wale the to Raj aur
Manish ka koi chance hi nahi banta tha par Manish ki planning alag thi

Manish:- yaar main soch raha hon ki kyu na kuch dino ke liye apne ghar chala jaon

Raj:- haan han ja na

Manish:- tu kya karega

Raj:- main to yahi par rehne wala hon abhi ghar jane ka mood nahi hai

Manish:- theek hai to fir main aaj hi nikal jata hon dono hostel chale jate hai thodi der
baad Manish chala jata hai ab Raj akela tha wo bahar ghumne ke liye nikal jata hai din ke
11 baj rahe the wo ek market me jata hai thodi der waha ghumne ke baad wo aur aage
badhta hai waha usse ek bohat hi pyara ha mandir dikhai deta hai mandir itna sandar tha
ki Raj na cahte hue bhi uss mandir me chala jata hai jute utarne ke baad wo mandir ke
andar ghusta hai samne radha krishan ki murti thi itni sandar murti dekh kar Raj apne
aapko rok nahi pata aur unke samne aankh band karke hath jodkar khada ho jata hai Raj
ke dil ko itna sukun kahi nahi mila tha jitna yaha usse mila tha wo thodi der tak aise hi
khada rehta hai fir wo apni aankhe khol kar jaise hi palatta hai to apne samne dekhkar wo
ek dum dang reh jata hai samne Ritu apni aankhe band kiye hue hath jodkar khadi thi Raj
aise hi kuch der tak usse dekhta hi rehta hai Ritu itni pyari lag rahi thi ki Raj apni nazar uss
par se hata hi nahi pata hai ekdum bholi bhali pyari si gudiya lag rahi thi wo
Raj:- (mann main) kitni sandar hai ye kitni masumiyat hai iske chehre me isse dekh kar to
lagta hi nahi hai ki ye koi aise waisi harkate kar sakti hai par asliyat me to ye ek bigdi
nawabzadi hi hai Raj yahi sab soch hi raha tha ki Ritu apni aankh khol deti hai wo Raj ko
apne samne paa kar ek pal ke liye chonk jati hai par agle hi pal apne aap ko sambhal leti
hai ab Raj bina kuch kahe waha se jane lagta hai par Ritu uska rasta rok leti hai

Ritu:- kya baat hai bhagwan se mujhse bachne ki dua mang rahe the Raj Ritu ki taraf ghoor
ke dekhta hai par kehta kuch nahi hai wo jaldi se bahar nikal jata hai aur aage ki taraf
chalne lagta hai

Shaam ke 6 baj chuke the andhera hone laga tha Raj palat ke hostel ki taraf chalne lagta
hai par abhi Raj ke saath kya hone wala hai ye to wo bhi nahi janta tha wo to apni hi masti
me chala ja raha tha wo mandir wale raste se hi wapas aa raha tha uss samay waha kafi
sunsaan ho chuka tha par raste me khadi ek ladki ko dekhkar uske pair jaha ke taha ruk
jate hai wo ladki koi aur nahi balki Ritu thi jo abhi tak wahi khadi thi shayad kisi ka intejar
kar rahi hogi raste me jalti road light ke neeche apne dono hath bandhe khadi Ritu itni
pyari aur maasoom lag rahi thi ki kisi ka bhi dil uss par aa jaye wo street light ke khambe
me apne kandhe aur sar ko tikay neeche ki aur dekh rahi thi aisa lag raha tha ki wo kisi
gehri soch me dubi ho pure road me uss samay ek bhi insan nahi tha bas thodi thodi dur
par road light ki hi roshni thi itne sannate me wo bilkul akeli khadi thi usse kisi bhi cheej
ka dar nahi tha Raj ko to bilkul samjh me nahi aata ki wo yaha kar kya rahi hai udhar Ritu
apna sar dheere dheere upar karti hai jaise hi uski nazar Raj par padhti hai to uske
murjhaye hue chehre par ek chamak aa jati hai wo seedhi khadi ho jati hai aur Raj ki taraf
dekhne lagti hai Raj uski taraf se nazar hata leta hai aur chalne lagta hai wo Ritu ke pass
se hota hua jane lagta hai wo Ritu par koi dhayan nahi deta Ritu ka cahra ab gusse se lal
ho jata hai ab usse bardast nahi hota wo daud kar Raj ke samne khadi ho jati hai Raj ye
dekh kar thoda hairan aur thoda gussa ho jata hai wo Ritu ko kuch kehne hi wala hota hai
ki usse pehle Ritu ek jor ka thappad uske gaal pe dhar deti hai thappad ki gunj har taraf
fail jati hai thappad marne ke chakker me Ritu ke purse se kuch girta hai aur zhadiyo me
ghuss jata hai jise sirf Raj dekh pata hai

Raj:- (apne gaal sehlate hue) aaww ab kya kiya maine

Ritu:- (gusse se) apne aap ko bohat bada hero samjhte ho kya dikhana cahte ho tum
duniya me akele mard ho aur koi nahi hai yaha

Raj:- are aakhir maine kiya kya hai


Ritu:- bhaad me jao tum itna kehkar wo palti aur tazi se waha se chali gayi Raj thodi der
apne gaal pe hath rekhkar wahi khada raha

Raj:- (mann main) ye ladki pagal hai kya bina matlad ke thappad mar diya fir Raj achanak
yaad aata hai ki Ritu ke purse se kuch gira tha wo usse dhundta hai wo usse zhadiyo ke
pass pada hua dikhta hai Raj jaldi se usse uthata hai wo ek diary thi Raj usse le kar hostel
chala jata hai waha pahuch kar Raj diary ko apni table par rakh deta hai aur fresh hone
chala jata hai bathroom se nikal kar wo khana khane chala jata hai thodi der baad wo
apne room me aata hai aur bed par let jata hai fir achanak usse uss diary ki yaad aati hai
wo jaldi se uthkar diary ko le kar fir se let jata hai diary ke upar bade hi sandar tarike se
Ritu likha tha wo diary ko kholta hai ye Ritu ki perSonal diary thi Raj diary ke panne palatta
hai usme Ritu ne apni dincharya ke bare me likha tha wo aur panne palatta rehta hai tabhi
achanak uske hath ek panne pe aa kar ruk jata hai wo usse bade dhayan se padhne lagta
hai

Page: 1

Aaj pehli baar usse dekha usne shayad aaj hi college me admission liya hai kitna handsome
hai wo tez uske chehre se zhalak rahi thi kisi ka bhi usse koi dar nahi hai kash ki ye meri
zindagi me pehle aa gaya hota are Ritu ye tujhe kya ho gaya hai tu bhool rahi hai ki tu uss
kamine Vinod se judi hui hai oh god kash agar papa aur indar uncle dost na hote kash agar
main uss Vinod se na judi hoti kash

Raj:- ab ye sab kya hai matlab Ritu waisi nahi hai jaisi wo dikhti hai wo Vinod se pyar bhi
nahi karti agar pyar nahi karti to chod kyu nahi deti shayad family relationship ki wajah se
na kar pa rahi ho waise wo ladka kon hai jiske bare me Ritu ne likha hai itna to pakka hai
ki wo hai to hamere hi college ka par wo hai kon tabhi door knock hota hai Raj bilkul chonk
jata hai wo jaldi se uthkar darwaja kholta hai samne ussi hostel ka ek ladka khada tha

Raj:- haan kya hua

Ladka:- yaar wo zara apna mobile charger dena mera kharab ho gaya

Raj:- ruk abhi deta hon Raj usse charger dekar jaldi se chalta karta hai aur wapas aakar
diary padhne lagta hai par jaise hi wo diary ka agla panna palatta hai to wo ekdum shocked
reh jata hai uska pura sarir kapne lagta hai uska gala sukh jata hai uski aankhe fati ki fati
reh jati hai
Raj:- (mann main) ye kaise ho sakta hai nahi ye meri aankho ka dhoka hai ye sach nahi hai
Raj apni aankhe jor se malta hai fir wo dheere se apni aankhe kholta hai lekin jo sach tha
wo usse jhutla nahi sakta tha

Raj naam hai uska haay kitna pyara naam hai par ye kya aaj pehle hi din usse mera zhagda
ho gaya wo to mujhse gussa ho gaya ho bhi kyu na aakhir maine harkat hi aisi ki hai kya
zaroorat thi mujhe uske samne iss tarha jane ki aise baat karne ki par ek baat hai wo gusse
me aur bhi zyada handsome lagta hai kash ki wo meri majburi samjh sakta kash ki wo sirf
mere liye hi aaya hota bas ek bar bol do Raj ki tum mujhse pyar karte ho main apni sari
zindagi tumhare naam kar dungi tum sirf mere ho Raj main tumhe kisi aur ka nahi hone
dungi tumhare bina main zinda nahi reh sakti Raj main tadap rahi hon tumhare baaho me
aane ke liye mujhe apni baaho me le lo Raj main tut ke bikhar jana cahti hon tumhari
baaho me plz Raj plz ye sab padh ke Raj ke hosh udd jate hai usse kuch samjh me nahi
aata hai ki aakhir wo kare to kya kare

Raj:- (mann main) yaar ye to mujhse pyar karti hai par kyu agar ye mujhse pyar karti hai
to mere saath aisa bartaw kyu karti hai aakhir kya majburi ho sakti hai manta hon ki wo
bohat sandar hai par maine usse jis roop me dekha ya suna hai usse to yahi lagta hai ki
wo ek bigdi baddtamiz ghamandi ladki hai jis andar insaniyat naam ki koi cheez nahi hai
lekin abhi jo uske bare mr padh raha hon wo aakhir sach kya hai main to pagal ho jaunga
Raj ab diary ka agla panna palatta hai next page aaj main college me thoda jaldi aa gayi
meri aankhe to sirf Raj ko hi dhund rahi thi par wo kahi dikhai nahi de raha kya abhi tak
aaya nahi wo chalo koi baat nahi tab tak canteen me hi baithti hon main waha friends ke
saath baith kar coffee pi hi rahi thi ki wo aa gaya par ye kya usne to mujhe dekha tak nahi
kya abhi tak naRaj hai wo mujhse par ab jo maine kiya shayad wo nahi karna cahiye tha
sab kuch ulta ho gaya per Raj tum kyu zhuke mere samne mujhe ek thappad kyu nahi
mara waha sabke samne yakin mano Raj wo sab maine nahi kiya main to aisa soch bhi
nahi sakti thi waha par tum nahi zhuke Raj mera pyar zhuk gaya mujhe maaf kar do Raj I
am sorry Raj ek lambi saas chhodta hai

Raj:- (mann main) yaar iss ladki ko samjhna muskil hi nahi na mumkin hai chalo aage
dekhte hai aur kya kya likha hai isne mere bare me Raj agla panna palatta hai next page
ye kya kaha chala gaya wo pura college dhund liya par wo kahi nahi dikha Raj kaha ho tum
class bhi khatam ho gayi par wo hai kaha kahi usse kuch ho to nahi gaya hi bhagwan mujhe
bohat dar lag raha hai agar usse kuch hua to main bhi zinda nahi rahungi par kaise pata
lagau haan uske hostel se abhi kisi ko bhejti hon par ye kya wo to yaha hai nahi dusre
sahar gaya hai main bhi jaungi jaha mera Raj hoga wahi main rahungi chahe wo mujhe
pasand kare ya na kare

Raj:- acha to wo mere peeche peeche waha gayi thi chalo aage dekhte hai aur kya kya
likha hai next page haay maine Raj ko dekh hi liya par wo uss Sonal ke saath kya kar raha
hai ye Sonal bohat hi tez ladki hai kahi wo mere Raj ko mujhse cheen na le nahi nahi main
aisa nahi hone dungi mai kal subah hi usse baat karke sab sach bata dungi hye bhagwan
ye Vinod yaha kaise aa gaya sara plan chaupat ho gaya ab kya karu par ye mujhe le kar
kaha ja raha hai are ye to Raj ke pass ja raha hai Sonal iss ladki ko main zinda nahi
chhodungi hi bhagwan ye Vinod usse kyu maar raha hai plz Vinod chhod do usse maar to
Raj kha raha tha par chot mujhe lag rahi thi mann to kar raha hai ki uss Vinod ko goli mar
du koi to rok lo usse ab Raj ja raha hai wo to theek se chal bhi nahi pa raha hai kash main
uss sahara de kar le ja sakti wo chala gaya main use bas jate hue dekhti rahi wo to yahi
soch raha hoga ki ye sab bhi maine karwaya hai par sach mano Raj ye sab maine nahi
karwaya

Raj:- iska matlab wo mujhse sach me pyar karti hai ab main kya karu usse jakar bol du nahi
nahi itni jaldi nahi par iska anjam kya hoga agar uss Vinod ko pata chal gaya to waise Ritu
hai to bohat pyari main to faltu me uss Sonal ke peeche pada tha ab dekho Ritu main
tumhe kaise satata hon agar maine tumse i love you na bulwa diya to mera naam Raj nahi
Raj aaram se bed par let jata hai aur aankh band karke Ritu ke saath aane wale samay ke
bare me sochte hue gehri neend me so jata hai

Agli subah Raj ki neend mobile ki ring se khuli Raj apne mobile screen me dekhta hai maa
ka phone tha

Raj:- hello maa kaisi ho

Maa:- theek hon beta tu bata tu kaisa hai

Raj:- main theek hon maa

Maa:- tujhe to hamari yaad hi nahi aati

Raj:- aisi baat nahi hai maa yaad to bohat aati hai par kya karu thoda padhai me busy tha
iss liye phone nahi kiya

Maa:- chal main khoob janti hon ki tu kaha busy rehta hai

Raj:- kya matlab


Maa:- matlab kisi ladki wadki ke chakker me to nahi pada hai na tu

Raj:- kya maa tum bhi subah subah suru ho gayi

Maa:- (haste hue) are beta main to mazak kar rahi thi chal wo sab chhod ye bata teri padhi
kaisi chal rahi hai

Raj:- achi chal rahi hai abhi college me chuttiya chal rahi hai to room me baith kar hi
padhunga

Maa:- chal theek hai apna khayal rakhna ok

Raj:- ok maa bye

Maa:- bye phone cut ho jata hai Raj uth kar fresh hone jata hai thodi der baad jab wo
wapas aata hai to uski nazar diary par padhti hai

Raj:- (mann main) aaj se mission Ritu suru karna hai chuttiya khatam hone se pehle usse
I love you bulwana hai matlab sirf 2-3 din ka hi samay hai uske baad to Manish bhi aa
jayega uske aane se pehle mujhe ye sab karna hai kisi ko bhi pata nahi chalna chahiye nahi
to gadbad ho jayegi ab Raj neeche hall me nashta karne jata hai waha par aur bhi students
the Raj nashte ki plate le kar baith jata hai tabhi ek ladka jiska naam Ajay hai aata hai wo
bhi ussi hostel me rehta hai

Ajay:- yaar tera aaj ka kya plan hai

Raj:- kuch khas nahi kyu

Ajay:- yaar soch raha tha kyu na sab milkar kahi picnic par chalte hain

Raj:- (mann main) yaar agar main inke saath chala gaya to mere plan ka kya hoga maine
to socha tha ki aaj fir uss mandir me jakar Ritu ka wait karunga wo agar waha aayi to nahi
nahi main inke saath nahi ja sakta

Raj:- yaar tum sab log jao mera mood theek nahi hai Ajay yaar agar tu nahi jayega to
hamme se koi bhi nahi jayega jayenge to sab saath me

Raj:- (mann main) yaar ab isse kaise samjhau

Raj:- yaar dekh tum logo ke saath tumhari girlfriend bhi hongi to main waha tum logo ke
beech me akela acha nahi rahega waise Manish bhi nahi hai agar hota to uske saath mera
time pass ho jata
Ajay:- (haste hue) bas itni si baat yaar tum faltu ki tension le rahe ho manta hon ki waha
hamari girlfriend hongi par waha aur ladkiya bhi hongi jinke pass koi boyfriend nahi hai tu
unke saath busy ho jana

Raj:- (mann main) yaar ye to maan hi nahi raha

Raj:- matlab main unke saath flirt karu dekh mujhse ye flirting nahi hoti

Ajay:- yaar main flirt kaha karne ko keh raha hon agar koi pasand aa jaye to usse propose
kar dena

Raj:- tu nahi manne wala chal theek hai ye bata kitne baje chalna hai

Ajay:- ye hui na baat 12 baje tak chalenge ok

Raj:- (mann main) tab to theek hai tab tak main Ritu se bhi mil lunga

Raj:- ok Raj apne room me aata hai abhi 9:30 baj rahe the aadha ghanta lagta hai hostel
se mandir tak jane me

Raj:- ab kya karu chalo tab tak naha hi leta hon Raj nahane chala jata hai naha ke tayar
hote hote 10 baj jate hai Raj ab mandir ke liye nikal jata hai Raj dheere dheere mandir ki
taraf badh raha tha uske dil me ek ajeeb si khusi thi wo to soch soch ke khush ho raha tha
ki Ritu ko cheedne me kitna maza aaye ga jab wo gussa hoti hai to aur bhi pyari lagti hai
wo uska wo gusse wala chehra dekhne ke liye bohat hi zyada utsuk tha wo jaise jaise
mandir ki taraf badh raha tha waise waise uski utsukta bhi badhti ja rahi thi thodi der me
usse mandir dikhai dene laga tha uski dil ki dhadkane badh gayi thi jaise jaise wo mandir
ke najdeek ja raha tha uske dil ki dhadkane bhi badhti ja rahi thi ab usse aur bardast nahi
ho pa raha tha wo daud kar mandir tak pahuch gaya usne apne jute utare aur andar chala
gaye aaj mandir ka nazara usse aur manmohak lag raha tha har taraf shanti hi shanti thi
Raj ke dil me Ritu ko le kar kai umange beh rahi thi wo charo taraf apni nazar daudata hai
Ritu usse kahi nazar nahi aati wo ghadi me time dekhta 10:45 ho rahe the

Raj:- (mann main) yaar abhi to 10:45 hi hue hai abhi to Ritu ke aane me time hai chalo
kahi baith kar uska intezar karte hai Raj thodi dur par ek ped ke neeche rakhe bench par
baith jata hai aur Ritu ka wait karne lagta hai Raj wahi baitha intezar karta rehta hai wo
time dekhta hai 11:15 ho raha tha

Raj:- (mann main) yaar ye aayi kyu nahi kahi gussa to nahi ho gayi ho bhi sakta hai tabhi
to kal thappad mara tha aisa na ho ki wo aaye hi na nahi nahi aayegi pyar bhi to karti hai
agar nahi aayi to think positive Raj mandir me aaj zyada bheed nahi thi log waha aa rahe
the jaa rahe the par ek Ritu thi ki aane ka naam hi nahi le rahi thi abhi Raj waha baitha hi
hua tha ki uss mandir ka Pujari Raj ke pass aata hai

Pujari:- kya hua beta kisi ka intezar kar rahe ho kya Raj Pujari ko dekh kar khada ho jata
hai

Raj:- han Baba

Baba:- are khade kyu ho gaye baitho fir Baba aur Raj dono baith jate hai

Raj:- main wo apni friend ka nahi nahi apne ek dushman ka wait kar raha hon

Baba:- (haste hue) par wo jo tumhari ek dushman hai wo hai bohat hi pyari Baba ki baat
sun kar Raj ek dum chonk jata hai

Raj:- par Baba aap ko kaise pata chala

Baba:- beta main koi andha nahi hon tum kal bhi yaha aaye the na aur uss ladki ne tumse
kuch kaha tha jisse tum gussa ho kar chale gaye the

Raj:- haan Baba aap ne sahi kaha par aap bata sakta hai ki wo yaha kitne baje aati hai

Baba:- wo to roj hi yaha aati hai par samay ka kuch pata nahi kabhi bhi aa sakti hai abhi
un dono ki baat chal hi rahi thi ki Raj ka phone bajne lagta hai Ajay ka phone tha Raj phone
uthata hai

Raj:- haan kya hua

Ajay:- kaha ho

Raj:- bas thoda kam se bahar aaya tha

Ajay:- to chalna nahi hai kya

Raj:- yaar tum log hi chale jaao

Ajay:- fir wahi baat maine bola na agar tu nahi to koi bhi nahi jayega bas jaldi se aa ja

Raj:- par yaar

Ajay:- koi par war nahi bus aa gayi hai tu bhi jaldi aa

Raj:- abe kitne log hai

Ajay:- yahi koi 25-30 log


Raj:- itne sare

Ajay:- ab koi bahana nahi bas jaldi aa

Raj:- (be mann se) theek hai abhi aata hon call cut ho jata hai Baba Raj ki pareshani samjh
jate hai

Baba:- kya hua beta

Raj:- kuch nahi Baba wo mere dost log mujhe kahi le jana chahte hai par mera mood nahi
hai

Baba:- lagta hai ki tum uss ladki se pyar karne lage ho Baba ki baat sunkar Raj bilkul sharma
jata hai

Raj:- kya Baba aap bhi

Baba:- shayad tum bhool rahe ho ki tum kaha khade ho ye Radha Krishan ka mandir hai
pyar ke mamle me inse acha udaharan aur kya ho sakta hai

Raj:- lekin Baba agar wo aayi to

Baba:- beta sab bhagwan par chod do wo kuch galat nahi karega tum befikar ho ke jaao

Raj:- theek hai Baba main jata hon kal fir aaunga Raj waha se nikal jata hai wapas aate
samay Raj sochne lagta hai yaar ek baar aa jati ek baar main usse dekh pata kal se usse
nahi dekha are ye mujhe kya ho gaya hai pehle to kabhi aisa nahi hua mere saath shayad
issi ko pyar kehte hai ye Ajay bhi na sale ko kya jarurat thi mujhe le jane ki uski wajah se
Ritu se nahi mil paunga yaar kash ek baar Ritu ko dekh pata Ritu kaha ho tum Raj yahi sab
sochta hua hostel pahuch jata hai waha par ek bas khadi thi sabhi log andar baith chuke
the siway Ajay ke Raj uske pass jata hai

Ajay:- kaha chala jata hai tu sab tera hi wait kar rahe hai

Raj:- yaar to chale jana tha na

Ajay:- ab nootanki mat kar baith chalkar Raj bemann se andar jata hai wo apne liye baithne
ki jagah dhundta hai par uski nazar ek seat pe aake ruk jati hai waha Ritu baithi hui thi wo
bilkul hairan reh jata hai wo jaldi se neeche aa jata hai

Raj:- yaar wo Ritu andar Ajay beech me hi baat kaatte hue


Ajay:- plz yaar ab mana mat karna wo meri gf aur Ritu dono room mate hai iss liye wo
usse lekar aayi hai par Raj ka to khusi ka koi thikana hi nahi tha bas wo zahir nahi kar pa
raha tha

Raj:- chal koi baat nahi tere liye kuch bhi

Ajay:- ye hui na baat chal ab ab dono bas me chad jate hai bas puri full thi bas ek hi jagah
thi wo bhi Ritu ke bagal me Raj to samjh gaya tha ki Ritu ne uske liye hi ye jagah bachai
hai par wo usko jalana chahta tha wo Ajay ke pass jata hai

Raj:- yaar apni item ko bol ke Ritu ke pass jaye

Ajay:- bhai baithne de na tu kahi aur adjust ho ja

Raj:- tu bhej raha hai ki main utru

Ajay:- acha mere baap abhi bhejta hon fir Ajay apni gf ko Ritu ke pass bhej deta hai Ritu
ka chehra gusse se lal ho jata hai Raj ko ye dekh kar bohat hansi aati hai par pyar bhi bohat
aata hai wo kisi tarah apne aap ko control karta hai aur Ajay ke bagal me baith jata hai ab
bus chal deti hai Ritu to gusse se lal khidki se bahar dekh rahi thi uska to mann kar raha
tha ki wo uthke Raj ko ek jor dar thappad mar de par abhi wo aisa nahi kar sakti thi wo
bas chup chap baithi gusse ko apne andar dabati ja rahi thi Raj ka pura dhayan sirf Ritu
par hi tha uska mann to kar raha tha ki abhi Ritu ko kiss kar le par halaat ke aage sab
majboor the bas me sab mauj masti me lage the

Raj:- yaar hum ja kaha rahe hai

Ajay:- yaha se karib 20 km dur ek water fall hai hum wahi ja rahe hai yaar bohat hi mast
jagah hai dekhna bohat hi maja aayega Raj ek lambi saans leta hai

Raj:- (mann main) aise jagah me to sirf apni girlfriend ke saath jana chahiye Raj Ritu ki
taraf dekhta hai wo abhi bhi khidki se bahar dekh rahi thi uska gussa ab kuch normal lag
raha tha par jaise hi Ritu Raj ki taraf dekhti hai to Raj ko thodi hansi aa jati hai jise dekh
kar Ritu ka gussa fir badh jata hai wo apne bagal me baithi Ajay ki gf se kuch kehti hai fir
Ritu uth kar Ajay ke pass jane lagti hai Raj ye dekh kar dar jata hai aur sochne lagta hai

Raj:- yaar ab ye yaha kyu aa rahi hai ab kya karegi ye kahi sab ke samne fir se thappad to
nahi meregi bohat jor ki marti hai yaar izzat utar jayegi mari kya karu Raj abhi yahi sab
soch hi raha tha ki Ritu samne aake khadi ho jati hai Raj ka hath apne aap apne galo par
chale jate hai aur wo Ritu ki taraf dekhne lagta hai Ritu ye dekh kar samjh jati hai Raj ki
halat dekh Ritu ko hansi aati hai par wo apni hansi apne chehre tak nahi lane deti wo Ajay
se kehti hai

Ritu:- Ajay wo Poonam (Ajay ki gf) tumhe bula rahi hai kuch baat karni hai Ajay Raj ki taraf
dekhta hai

Ajay:- yaar main bas 2 minute me aaya

Raj:- bhai jaldi aana Ajay uthkar chala jata hai Raj abhi bhi ussi tarah gal par hath rekh kar
Ritu ki taraf dekh raha tha Ajay ke jane ke baad Ritu dheere se Raj ke bagal me baith jati
hai

Ritu:- daro mat main nahi marungi Ritu ki baat sunkar Raj buri tarah jhep jata hai wo jaldi
se galo se apne hath hata leta hai Ritu apna sar ghuma kar khidki ki taraf kar leti hai aur
muskurane lagti hai Ajay bhi ab shanti se baith jata hai dono bilkul chup chap baithe hue
the dono ek dusre se kehna to bohat kuch chahte hai per dar aur sankoch ki wajah se aisa
nahi kar pa rahe the khidki se aa rahi hawa ke jhonke Ritu ke badan se takra kar Raj ke
saanso me ghul rahe the Ritu ke badan se aa rahi mehak se Raj madhosh hota ja raha tha
uska mann to kar raha tha ki Ritu ko kas kar apni baaho me le le par apni hi vivasta ke
karan nahi kar pa raha tha usse ab bardast karna mushkil ho raha tha par wo jaise taise
apne ko control kiye tha dono bilkul khamosh baithe the bus apni gati se chal rahi thi ab
Ritu ne hi apne beech ki chuppi ko todte hue kaha

Ritu:- sorry Raj jaise apni chetana se jaga

Raj:- kis liye

Ritu:- kal jo maine tumhe thappad mara tha mujhe aisa nahi karna chahiye tha

Raj:- waise maine kya kiya tha pehle to Ritu Raj ki aankho me dekhti hai fir dheere se apna
mouh ghumakar khidki ki taraf kar leti hai

Ritu:- wo tum nahi samjoge Raj thoda sa mushkura deta hai

Raj:- waise mujhe bhi tumhe sorry bolna tha Ritu hairani se Raj ki taraf dekhti hai

Ritu:- tum kis liye bolna chahte ho

Raj:- uss din ke liye jab mera iss college me pehle din tha aur maine tumhari insult ki thi
Ritu ek lamdi saans lete hue
Ritu:- ohh its ok wo to main kabka bhul chuki hon tabhi Raj ke dimag me ek saitani aati
hai wo Ritu ko cheedte hue kehta hai

Raj:- waise iss black dress me tum bilkul bhi achi nahi lagti Raj ne uski diary me padha tha
ki Ritu ka favorite color black hai tabhi wo usko chidha raha tha

Ritu:- tumhe isse kya matlab main kuch bhi pehnu meri marzi tum kon hote ho bolne wale

Raj:- (muskurate hue) mujhe dar lag raha hai aisa lag raha hai ki koi kali jungli billi mere
bagal me baithi hai Ritu ka chehara gusse se fir lal ho jata hai wo Raj se kuch kehne hi wali
hoti hai ki achanak bas ruk jati hai water fall aa chuka tha Raj jaldi se bus se utar jata hai
wo palat ke Ritu ko dekhta hai wo abhi bhi wahi baithi Raj ko gusse se ghure ja rahi thi Raj
Ritu ki halat dekh kar mushkuraye bina nahi pata bohat hi khoodsurat jagah thi charo taraf
haRiyali unche unche pahad usme se girta pani wo pani jaha gir raha tha waha badi badi
chattane thi jisme khade hokar log naha rahe thekhel rahe the apni family ke saath masti
kar rahe the wahi side me kafi badi badi chattane thi jiski aad me kuch premi jode apni
leelao me magan the ab tak bas se sare students utar chuke the Ritu sabse baad me utri
uski nazar abhi bhi Raj par hi thi par Raj to itne sandar nazare ko dekh kar kahi kho sa gaya
tha

Raj:- (mann main) yaar kya jagah hai ab bas ek baar Ritu meri ho jaye to main uske saath
yaha jaroor aaunga par yaar kab hogi wo meri kab wo mujhe I love you bolegi ab nahi
saha jata wo bilkul bhawok ho jata apne sare friends ko mauj masti karte dekh wo aur
akelapan mehsus karta hai wo tarsi hui nigaho se Ritu ki taraf dekhta hai jaise puch raha
ho Ritu aur kitne din tum mujhe tarsaogi ab bas bhi karo bol bhi do main mar raha hon
tumse I love you sunne ke liye

Udhar Ritu ki nazar jaise hi Raj ki nazro se takrati hai to wo uske chehre ki udasi samjh jati
hai uska gussa turant hi gayab ho jata hai

Ritu:- (mann main) plz Raj samzho mujhe bohat pyar karti hon tumse kaise batau mujhe
tumhari jarurat hai Raj tumhare bina adhuri hon main aake mujhe pura kardo Raj mar
jaungi tumhare bina wo dono aankho hi aankho me na jane kitni baate karte hai Raj ko
pata nahi kya ho jata hai wo dheere dheere Ritu ki taraf badhne lagta hai udhar Ritu bhi
Raj ki taraf khichi chali jati hai abhi Raj do kadam aage badhta hi hai ki tabhi Ajay uske
samne khada ho jata hai Raj jaise apni neend se jagta hai

Ajay:- yaha akele kyu khada hai chal ne mere saath dekh kitna maza aa raha hai
Raj:- kuch nahi yaar bas aise hi chal Raj Ajay ke saath chalne lagta hai wo ek baar peeche
palat kar Ritu ko dekhta hai Ritu abhi bhi waise hi khadi thi Ritu ki aankhe bhar jati hai uski
aankho se aansu ki do bund gir jati hai wo turant apna sar ghuma leti hai par Raj ki aankho
se ye nahi chupta wo turant ruk jata hai Ritu ki aankho se aansu dekh kar uska dil fata ja
raha tha wo chaah kar bhi kuch nahi kar sakta tha Ajay Raj ko fir se waise hi khada dekh
kar kehta hai

Ajay:- ab kya ho gaya Raj kuch nahi kehta wo palat kar Ajay ke saath chalne lagta hai
samne hi ek chota sa lawn tha sab log wahi baithe the Raj bhi Ajay ke saath wahi baith
gaya par uska dil waha nahi lag raha tha uski nazar Ritu ko talash rahi thi par wo kahi nahi
dikh rahi thi Raj bechain ho jata hai

Raj:- (mann main) kahi ho tum ye mujhe ho kya raha hai abhi tak itni nafrat thi ab itna
pyar ho gaya ki usse dekhe bina raha nahi ja raha Raj yahi sab soch raha tha ki Ajay bola

Ajay:- Raj ek baat karni hai

Raj:- haan bol na

Ajay:- yaar tu bura to nahi manega

Raj:- ab bol bhi de chal nahi manta bura

Ajay:- wo picnic aane ka plan mara nahi tha

Raj:- to kiska tha

Ajay:- wo wo Ritu ka tha ussi ne mujhe kal phone karke ye picnic arrange karne ko kaha
tha aur khas kar tumhe iss picnic me lane ko kaha tha Raj ye sunkar soch me pad jata hai

Raj:- (mann main) iska matlab Ritu mujhse baat karna chahti hai kahi apne dil ki baat to
nahi batana chahti nahi ab main nahi ruk sakta ab to jakar bol hi dunga

Raj:- chal theek hai tu enjoy kar main abhi aata hon

Ajay:- kaha ja rahe ho

Raj:- bas abhi aaya wo khade ho kar charo taraf apni nazar ghumata hai sabhi apne me
busy the Ajay bhi apni gf ke saath busy ho gaya Raj ab Ritu ko dhundta hua waha se bahar
aa jata hai wo usse dhundte hue kafi dur nikal jata hai wo ek aisi jagah pahuch jata hai
jaha charo taraf thodi thodi duri par ped hi ped the dekhne me wo ek jungle jaisa tha Raj
andar jata hai jaise hi wo thodi dur jata hai waha usse ek bench par Ritu baithi dikhai deti
hai Raj usse dekhkar rahat ki saans leta hai Raj dheere dheere Ritu ki taraf badhta hai jaise
jaise wo Ritu ki taraf badhta hai waise waise uski dil ki dhadkane bhi badhti jati hai Ritu ki
peeth Raj ki taraf thi iss liye wo Raj ko nahi dekh pa rahi thi wo bas apna sar neeche
jhukaye bilkul shant baithi thi Raj ab jakar theek uske peeche khada ho jata hai wo kuch
der chup chap Ritu ko dekhta rehta hai jaise samjhne ki kosia kar raha ho ki wo kar kya
rahi hai jab usse kuch samjh me nahi aata to wo bol hi padta hai

Raj:- Ritu tum yaha kya kar rahi ho Raj ki awaaj sunkar Ritu ekdum se chonk jati hai aur
turant khade hokar peeche palatti hai uski aankho se aansu beh rahe the jise wo apne
haantho se jaldi se ponch deti hai par aankho ka kya uski aankhe sab bayan kar rahi thi
uski aankhe lal ho gayi thi aisa lag raha tha ki wo abhi bohat royi ho Raj ka dil ye dekh kar
fat jata hai

Raj:- tum ro kyu rahi ho Ritu apna sar dusri taraf ghuma leti hai

Ritu:- tum se matlab

Raj:- matlab hai isiliye puch raha hon

Ritu:- tum jaao aur jakar apne dosto ke saath masti karo

Raj:- (gusse se) pagal ho gayi ho tum main waha enjoy karu aur tum yaha roti raho wo bhi
meri wajah se

Ritu:- kisne kaha ki main tumhari wajah se ro rahi hon Raj ab aage jakar Ritu ke samne
khada ho jata hai

Raj:- dekho Ritu mujhe sab pata hai ab mujhse chupane ki kosish mat karo

Ritu:- nahi tumhe kuch nahi pata hai ye sirf tumhari galatfahmi hai main to Vinod ko yaad
kar rahi thi itna kehkar Ritu fir se apna chehra dusri taraf ghuma leti hai Vinod ka naam
sunte hi Raj ka gussa satve aasman me pahuch jata hai uska chehra lal ho jata hai wo Ritu
ke kandhe ko pakad kar apni aur ghumata hai aur ek jor ka thappad uske galo pe lagata
hai

Raj:- khabardar agar dobara uska naam bhi liya to Ritu apna ek hath gal pe rekhkar hairani
bhari nazro se Raj ki taraf dekhti hai usse iss thappad ka bilkul bhi dard nahi tha balki usse
to hairani ho rahi thi ki aakhir wo Vinod ke naam se itna kyu chidha Ritu ye sab soch hi
rahi thi ki Raj fir se bol pada par iss bar aansu Raj ki aankho me the
Raj:- tum aisa kyu kar rahi ho Ritu aakhir kab tak apne andar ghutti rahogi kab tak sab se
jhoot bolti rahogi ki tum Vinod se pyar karti ho jabki sacchai to ye hai ki tum sirf mujhse
pyar karti ho ye sunkar Ritu ke pairo tale zameen khisak jati hai wo sawal bhare nazro se
Raj ko dekhti hai jaise puch rahi ho ki tumhe kaise pata chala Raj uski aankho me uth rahe
sawalo ko samjh jata hai

Raj:- mujhe pata hai ki tum kya janna chahti ho yahi na ki mujhe ye sab kaise pata jabki
tumne to kisi ko bataya bhi nahi par Ritu uss samay kuch bol nahi pati wo abhi bhi Raj ko
waise hi dekhti rahi

Raj:- (muskurate hue) ye sab tumhari hi meharbani hai uss din jab tumne mandir ke pass
mujhe thappad mara tha tab tumhare bag me se tumhari diary neeche gir gayi thi aur wo
diary iss samay mere pass hai

Ritu:- aur tumne wo diary padh li tumhari himmat kaise hui meri diary padhne ki

Raj:- are agar main padhta nahi to pata kaise chalta ki koi ek aisi pagal hai jo mujhse itna
pyar karti hai Ritu sharmake apna sar neeche karke bench me baith jata hai Raj uski iss
ada par bilkul dher ho jata hai wo Ritu ke samne ghutno ke bal baith jata hai aur Ritu ke
dono hatho ko apne hatho me leta hai

Raj:- kya hua Ritu kuch to dolo

Ritu:- (sharma ke) tum bohat gande ho

Raj:- mujhe pata hai ki main bohat bura hon kitna rulaya hai maine tumhe ab main
tumhari aankho me pani nahi dekh sakta plz Ritu ek baar bol do ki tum mujhse pyar karti
ho main tarash gaya tumse ye sunne ke liye Ritu apna sar dheere se uthati hai aur Raj ki
aankho me dekh kar kehti hai

Ritu:- tumhe meri aankho ko dekh kar samjh me nahi aata

Raj:- par main tumhare mouh se sunna chahta hon Ritu apna mouh dusri taraf ghuma leti
hai

Ritu:- nahi tum bolo mujhe sharam aa rahi hai Raj ab uthke uske bagal me baith jata hai
tabhi uske mobile par ek sms aata hai wo sms dekh kar mushkura deta hai wo Sonal ka
sms tha Raj ab Ritu ko chedta hai

Raj:- theek hai mat bolo sharmati raho zindagi bhar lekin tumhare aisa karne se koi dusri
ladki baazi na mar le jaye Ritu turant apna mouh ghuma kar Raj ki taraf karti hai
Ritu:- koi hai wo Raj muskurate hue apna mobile Ritu ko deta hai Ritu mobile lekar sms
padhti hai to chehra fir se gusse se lal ho jata hai

Ritu:- iss Sonal ki himmat kaise hui tumhe massage karne ki main usse zinda nahi chodungi
aur khabardar jo tumne isse kabhi baat ki to

Raj:- wo to theek hai lekin jab tak tum mujhe I love you nahi bolti tab tak kuch bhi ho sakta
hai

Ritu:- main ladki hon main kaise pehle bol sakti hon tum bolo na Raj khada ho jata hai

Raj:- bologi to tum hi wo bhi 2 din ke andar

Ritu:- nahi tum pehle bolo ge

Raj:- theek hai mat bolo mera kya mere pass to Sonal hai hi tab tak ussi se kaam chalaunga
itna kehkar Raj waha se jane lagta hai Ritu bhi khadi ho jati hai aur Raj ko awaaj lagati
rehti hai par Raj nahi rukta Ritu bhi uske peeche peeche chal deti hai ab Raj lawn me sabke
saath baith jata haiuske chehre me ab bohat shanti thi uska dil jhoom raha tha ho bhi kyu
na aaj usse apna pyar jo mil gaya tha thodi der me Ritu bhi waha aa jati hai wo bhi lawn
me sabke saath par Raj se thodi dur baith jati hai sab apni mauj masti me lage hue the Raj
aur Ritu bhi aankho hi aankho me ek dusre ke saath cheed chaad kar rahe the fir nashte
ka daud chala kab saam ke 6 baj gaye pata hi nahi chala sab bas me baith gaye iss baar Raj
akela baitha tha Ajay uske bagal me baithne laga

Raj:- kaha baith raha hai apni Poonam ke pass ja na

Ajay:- abhi jata hon par usse pehle mujhe tujhse ek jaruri baat karni hai

Raj:- haan bol

Ajay:- yaar tu bura to nahi maanega na

Raj:- abe sale bol na kyu time pass kar raha hai darasal Raj ko jaldi thi ki kab ye jaaye aur
kab Ritu aakar yaha baithe

Ajay:- yaar pehle promise kar

Raj:- chal kiya ab bol

Ajay:- wo wo Ritu hai na wo wo

Raj:- (jhunjlate hue) yaar kya tab se wo wo laga rakha hai bol na theek se
Ajay:- yaar wo Ritu Vinod se pyar nahi karti wo to tujhse pyar karti hai aur Ajay usko sari
baat batata chala gaya Raj to bilkul shocked tha usse to yakeen tha ki Ritu ne ye baat kisi
ko nahi batai hogi par yaha to sab ulta tha pata nahi usne aur kis kis ko ye baat batai hogi
Raj abhi apne himann me ye sab soch hi raha tha ki Ajay ne usse awaaj di

Ajay:- yaar kya sochne laga dekh unsab me uski koi galti nahi hai aur haan ek baat to tay
hai ki Ritu jaise dusri ladki tujhe aur kahi nahi milegi ab tu soch le ki kya karna hai

Raj:- (mann main) yaar kya karu isse sab bata du nahi pehle mujhe Ritu se baat karta hon

Raj:- theek hai lekin main sabse pehle Ritu se baat karunga Ajay ye sunkar khush ho jata
hai

Ajay:- ruk main abhi usse yaha bhejta hon Ajay uthkar chala jata hai kuch der baad Ritu
waha aakar baith jati hai Raj abhi bhi apni soch me duba hua tha Ritu Raj ko kuch na bolte
dekh khud hi bol padti hai

Ritu:- kya hua koi problem hai

Raj:- yaar ye batao tumne hamere baare me aur kis kis ko bataya hai

Ritu:- (muskurate hue) acha to ye baat hai iss liye janab ka mood upset hai ye baat sirf
Poonam ko hi pata hai kyuki wo meri bachpan ki friend hai aur mujhe uss par pura bharosa
hai uss ne Ajay ko bola tha tumse baat karne ke liye par meri diary ki wajah se tumhe sab
pehle hi pata chal gaya

Raj:- par Ajay ko batane ki kya jarurat thi agar usne kisi ko bata diya to mujhe apni fikar
nahi hai bas tumhari chinta hai agar uss Vinod ko pata chal gaya to pata nahi tumhare
saath kya karega aur haan agar usne tumhe chua bhi to main usse jaan se mar dunga

Ritu:- (haste hue) itna gussa Ajay waisa ladka nahi hai jaisa tum soch rahe ho wo to khud
Vinod se nafrat karta hai tum uss par pura bharosa kar sakte ho

Raj:- mujhe sirf tum par bharosa hai tum jo kahogi main wahi karunga ok

Ritu:- (muskurate hue) soch lo main jo kahugi wo kar paaoge

Raj:- jaan bhi maang lo wo bhi de dunga

Ritu:- khabardar jo aaj ke baad se kabhi marne ki baat ki to warna main tumse kabhi baat
nahi karungi

Raj:- ok Baba nahi karta par mujhe tumse kuch chahiye


Ritu:- mera to sab kuch tumhara hi hai jo chahiye le lo

Raj:- wo mujhe ek kiss chahiye Raj ki baat se Ritu ekdum sharma jati hai wo apna sar
neeche jhuka leti hai

Ritu:- dhaat besharam ye sab abhi nahi milega pehle tumhe mujhe I love you bolna padega

Raj:- (muskurate hue) wo to tum hi bologi tab tak ke liye main bardast kar lunga Ritu apna
sar upar uthati hai aur Raj ki aankho me dekhti hai Raj abhi bhi muskurate hue Ritu ki taraf
hi dekh raha tha

Ritu:- tum nahi sudhroge acha ye lo apna mobile tum wahi bhool gaye the apni cheejo ki
zara bhi care nahi karte itna kehkar Ritu mobile Raj ki taraf badha deti hai Raj mobile lene
ke bahane uska hath pakad leta hai Ritu ki dil ki dhadkane tej ho jati hai sharam ki lali uske
chehre me saaf dikhai de rahi thi wo pehle idhar udhar dekhti hai kisi ki nazar un dono par
nahi thi wo fir sharma kar apna sar neeche kar leti hai

Ritu:- plz chodo na koi dekh lega

Raj:- to dekhne do mujhe koi farak nahi padta kya tumhe dar lag raha hai ki koi Vinod ko
na bata de Raj ki baat ka Ritu koi jawab nahi deti na hi apna hath chudane ki kosis karti
hai Raj uski dil ki baat samjh leta hai wo dheere se uska hath chod deta hai ab dono thodi
der tak khamos rehte hai fir Ritu bol padti hai

Ritu:- meri diary to wapas kar do

Raj:- aaj raat ko kar dunga

Ritu:- (chonkte hue) raat ko kaise mere hostel ki warden 7 baje ke baad kisi ko bahar nahi
nikalne deti

Raj:- tum uski tension mat lo diary to aaj raat ko hi tumhe milegi Ritu Raj ki baat se ghabra
jati hai

Ritu:- dekho Raj tum kuch galat mat karna tum diary kal subah wapas kar dena main nahi
chahti ki tumhe koi bhi problem face karni pade

Raj:- main aisa kuch bhi nahi karunga jisse tumhe dukh ho dekho tumhara hostel aa gaya
hai ab tum jaao aur mujhe I love you kaise bolni hai ye socho baki mujh par chod do ok ab
Ritu mushkuraye bina nahi reh pati thodi der me girls hostel aa jata hai sari ladkiya bas se
utar jati hai Ritu bhi utarke sabki nazar bacha kar Raj ko hath hila kar bye bol deti hai aur
daud kar andar chali jati hai Raj bas usse khidki se jate hue dekhta rehta hai boys hostel
ki taraf chal deti hai thodi der baad bas boys hostel pahuch jati hai Raj utarke apne room
me chala jata hai waha pahuch kar wo sochne lagta hai ki kaise aaj raat ko hi wo Ritu ko
diary wapas kare

Udhar Ritu ka dil aaj jhoom raha tha wo itni khush thi ki uski khusi uske chehre se dikh
rahi thi baat baat par wo chahak rahi thi choti se choti baat par wo aise khush ho rahi thi
jaise bohat badi baat ho uski aisi halat dekh kar Poonam usse puchti hai

Poonam:- yaar aaj tujhe kya ho gaya kayi salo baad tujhe itna khulkar haste hue dekha hai
warna to main bhool hi chuki thi ki tu hasti bhi hai

Ritu:- are khush kyu na hou aaj meri iccha jo puri ho gayi hai Poonam jaise uske dil ki baat
samjh jati hai

Poonam:- (khush hote hue) kya iska matlab ki Raj ne haan kar diya Ritu sharma kar sar
neeche kar leti hai aur sar hilakar haan ka ishara karti hai

Poonam:- are wah ye hui na baat finally tujhe tera pyar mil hi gaya aaj main bohat khush
hon par ye hua kab matlab usne tujhe kaise propose kiya

Ritu:- yaar ye sab meri diary ki wajah se possible hua hai

Poonam:- diary ki wajah se matlab fir Ritu Poonam ko sari baat batati chali gayi

Ritu:- par yaar wo kehta hai ki main usse pehle propose karu ab tu bata main ladki hokar
pehle kaise bol sakti hon

Poonam:- (muskurate hue) yaar to bol de na tu hi pehle dekh tu bole ya wo ek hi baat hai
isme sharam kaisi maine bhi to Ajay ko pehle propose kiya tha Ritu Poonam ki baato ko
sunkar kuch sochne lagti hai

Poonam:- zyada soch mat kal subah hi jakar usse bol dena ok Ritu haan me apna sar hilati
hai

Ritu:- ok

Poonam:- ye hui na baat chal main Ajay ko call karti hon fir Poonam Ajay ko call karke sari
baat bata deti hai

Wahi Raj apni soch me duba hua tha ki uska door knock hota hai wo turant apni soch se
bahar aata hai aur uthkar gate kholta hai samne Ajay khada tha Raj andar aa jata hai uske
peeche peeche Ajay bhi andar aa jata hai
Ajay:- aakhir tune baazi mar hi le

Raj:- (muskurate hue) isme baazi marne wali kon si baat hai Ajay jab tune diary me sab
padh liya tha to tab nootanki kyu kar raha tha react to aisa kar raha tha ki jaise tujhe kisi
ne goli mar di ho

Raj:- ab chod na wo sab ye bata ki tu meri help karega ya nahi

Ajay:- tu bol na yaar tere liye kuch bhi

Raj:- yaar mujhe abhi Ritu ko diary wapas karna hai wo bhi uske hostel me ja kar aur tu
bhi mere saath chal raha hai ye sunkar Ajay ki hawa kharab ho jati hai

Ajay:- yaar kyu marwa raha hai kyu sher ke mouh me hath dalne ja raha hai tu nahi janta
waha ki warden ko sali moti bohat kamini cheej hai yaar wo agar pakde gaye to
punishment pakka

Raj:- to kya punishment ke dar se pyar karna chod de

Ajay:- dekh bhai pyar kal subah kar lena abhi kyu meri fadwana chahta hai

Raj:- theek hai tu yahi ruk main to jaunga Ajay ek baar fir usse samjhata hai

Ajay:- dekh bhai tere waha jane se bohat bada bawal khada ho jayega waise bhi hum yaha
padhne aaye hai agar ghar walo ko pata chal gaya to kya jawab dega padhi aise ki jati hai
Raj Ajay ki baat sunkar thoda mushkurata hai

Raj:- yaar padhi kaise ki jati hai wo to nahi pata par pyar to aise hi ki jati hai Raj itna bolkar
jane lagta hai fir ruk kar Ajay se kehta hai

Raj:- waise waha teri wali bhi hogi ab tu khud soch le wo kya samjhegi tujhe

Ajay:- tu mujhe blackmail kar raha hai main darta nahi hon usse chal main bhi chalta hon
par sirf tere liye Raj ki haasi nikal jati hai aur wo dono girls hostel ke liye nikal jate hai dono
chupte chupate apne hostel se bahar nikalte hai Ajay ki to dar ke mere halat kharab ho
rahi thi

Ajay:- yaar mujhe bohat dar lag raha hai aaj tak main kabhi bhi itni raat ko hostel se bahar
nahi nikla kahi kisi ne dekh liya to sala lene ke dene pad jayenge

Raj:- tu itna dar kyu raha hai kuch nahi hoga main hon na tu bas ye soch ki itni raat ko jab
tu Poonam se milega to kitna khush ho jayegi thodi hi der me dono girls hostel ke gate ke
bahar khade the gate band tha andar do watchmann khade the raat ke 10 baj rahe the
charo taraf sannate chaya hua tha halki si bhi awaaj dur tak jaa rahi thi aise me samne se
jana possible nahi tha Ajay abhi bhi Raj ko samjhata hai

Ajay:- dekh bhai abhi bhi samay hai wapas chalte hai

Raj:- yaar ab manzil ke itne karib aakar main to wapas nahi jane wala itna kehkar Raj hostel
ke peeche ki taraf chala jata hai bechare Ajay ko bhi uske peeche jana padta hai peeche
ki deewar zyada unchi thi par ussi deewar se laga ek ped tha jiske sahare andar jaya ja
sakta tha Raj uss ped ke pass jata hai

Raj:- chal andar jane ka jugad to ho gaya itna kehkar Raj aur Ajay jaise taise ped par chad
kar andar kood jate hai

Raj:- ab ye bata ki unka room kon sa hai

Ajay:- wo jo first floor par second window dikh rahi hai na wahi hai unka room uss samay
room ki light band thi

Ajay:- dekh light band hai shayad so rahi hai chal hum log bhi chalte hain

Raj:- pagal hai kya ab andar bhi aa gaye hai ab kyu dar raha hai uss pipe ke sahare upar
chalte hai chal

Ajay:- yaar mujhe pipe pe chadna nahi aata ek kaam kar tu ja agar koi gadbad hui to main
awaaj laga dunga

Raj:- sala fattu theek hai tu yahi ruk main jata hon Raj dheere dheere uss pipe ki taraf
badhta hai uske pass pahuch kar wo pipe ke sahare upar chadne lagta hai thodi der me
wo khidki ke pass pahuch jata hai Raj khidki se andar jhankta hai bahar se aa rahi chand
ki roshni se wo andar ka nazara dekhne lagta hai andar Ritu aur Poonam dono so chuke
the chand ki roshni Ritu par pad rahi thi jisse Ritu ka badan chandi ki tarah chamak raha
tha wo gehri neend me soyi hui the uske chehre par ek halki se muskan thi shayad koi
pyara sa sapna dekh rahi ho uske baalo ki laate uske gaalo ko chukar jhoom rahi thi wo ek
short tshirt aur lagi me thi uska tshirt uske nabhi tak chada hua tha jisse uske pet ka
adhiktar hissa Raj ke aankho ke samne tha ye sab nazara dekh kar Raj ki halat kharab ho
gayi thi uske dil ki dhadkane badh gayi thi usse theek se khada bhi nahi hua ja raha tha ek
to waha jagah kam thi upar se aisa nazara uske hath paw fool rahe the wo andar ghusne
ke liye jaise hi khidki ko halka sa dhakela khidki khul gayi wo chupke se bina awaaj kiye
andar ghuss gaya ab wo dabe paw bed ki badhta hai aur waha jakar Ritu ke sar ke pass
zameen par ghutno ke bal baith jata hai uss samay Ritu karwat ke bal leti hui thi uska
chehra Raj ki hi aur tha Raj chup chap baitha bade pyar se riru ki taraf dekh raha tha

Raj:- (mann main) yaar kitni pyari hai kitni sandar hai ye kisi ki nazar na lag jaye meri jaan
ko mann to kar raha hai ki abhi ise bhaga kar kahi dur le jau jaha iske aur mere alawa aur
koi na ho kitna tadpi hai ye mere liye kitna royi hai aaj se kasam khata hon ki main mar
jaunga par iski aankho me aansu nahi aane dunga iske liye to main sari duniya se bhi lad
jau to ye sala Vinod kya cheej hai Raj apnemann me soch hi raha tha ki uski nazar Ritu ke
dono hatho par padi Raj ka to ye dekh kar hosh hi uud gaya Ritu ke dono hatho me matlab
kandho ke neeche se lekar kalaiyo ke upar ke hisse par kafi sare cut ke nisaan the jise
dekhne me zyada purana nahi lag raha tha

Raj:- (mann main) ye sab kya hai itne ghaw kisne diye honge kahi uss kamine Vinod ka
kaam to nahi agar ye ussi ka kaam hua to main Ritu ki kasam khakar kehta hon ki main
usse zinda nahi chodunga Raj apna hath Ritu ki ghawo par halke se rakh deta hai jaise hi
wo apna hath Ritu ke ghaw par rekhta hai tabhi Ritu ki aankh khul jati hai

Ritu:- kya dekh rahe ho Raj chonk jata hai wo dheere se Ritu se kehta hai

Raj:- soyi nahi ab tak Ritu jab meri jaan ko neend nahi aa rahi hai to main kaise so sakti
hon waise bhi mera dil keh raha tha ki tum aaoge jaroor

Raj:- (muskurate hue) acha ji to tumne sab dekh liya ki main kab aaya kab aake yaha baitha
Ritu ab uthke baith jati hai aur Raj ka hath pakad kar usse uthati hai aur apne pass bithati
hai Ritu apna sar dheere se Raj ke daaye kandhe par rakh deti hai aur khud hi Raj ka dahina
hath apni kamar par rakh leti hai Raj bhi ab Ritu ko kas leta hai

Ritu:- tum nahi maane na maine yaha aane se mana kiya tha na

Raj:- tumhe dekhne mann kar raha tha ab Ritu waha se uthti hai aur Raj ka hath pakad kar
study room me chali jati hai jaise hi dono study room me pahuchte hai Ritu kas kar Raj se
chipak jati hai ye itni jaldi hota hai ki ek pal ke liye Raj ko to kuch samjh hi hi nahi aata
usne aaj tak kisi ladki ko gale nahi lagaya gale lagna to dur usne aaj tak kisi ladki ko chua
tak nahi ab wo anpe dil me ek ajeeb sa sukun mehsus kar raha tha aisa sukun jo usse kahi
nahi mili Ritu ka phoolo se bhi komal sarir Raj ki baaho me tha Raj apne aankhe band kiye
uski komalta ko apne rom rom me mehsus kar raha tha Ritu ke badan se aa rahi bheeni
bheeni khusboo ko wo apni nas nas me utarne ki kosis kar raha tha Raj ka hath dheere
dheere Ritu ke badan me kasta chala ja raha tha
Wahi Ritu bhi Raj ke majboot baajuo me simatti ja rahi thi Ritu ne apna sar Raj ke kandho
pe rakha hua tha Raj dheere dheere apna sar neeche jhukata hai aur apne honth Ritu ke
komal gardan par rakh deta hai jise Ritu bardast nahi kar pati wo halki halki siskiya lene
lagi Ritu ke hath Raj ke peeth par kaste ja rahe the duniya se bekhabar dono ek dusre ki
baaho me simatte hi chale ja rahe the ki tabhi achanak peeche se ek awaaj aati hai ab bas
bhi karo tum dono mujhe to jaga hi diya ab kya pure hostel ko bhi jagane ka irada hai kya
ye awaaj sunte hi dono chonk jate hai aur jaldi se alag ho jate hai dono apni badhi hui
saanse aur badhi hui dil ki dhadkano par control karte hue peeche palatte hai samne
Poonam khadi thi wo un dono ko dekh kar mushkura rahi thi Ritu normal hoti hui kehti
hai

Ritu:- tu kab jaag gayi

Poonam:- are yaar jab tu aisi aisi awaaje nikalegi to koi bhala so sakta hai Poonam ki baat
sunte hi Ritu ekdum sharma jati hai tabhi Raj kehta hai

Raj:- are tum hamari chodo aur jakar neeche dekho Ajay bechara kab se tumhara intezar
kar raha hai Raj ki baat se Poonam bilkul ghabra jati hai

Poonam:- kya Ajay matlab tum usse bhi apne saath yaha laye ho khud to maroge aur usse
bhi marwaoge itna kehkar Poonam waha se bhagti hui chali jati hai Raj fir se Ritu ki taraf
palatta hai Ritu abhi bhi sharmain hui waise hi khadi thi Raj apne ek hath se uske chehre
ko thoda upar uthata hai

Raj:- yaar tum itni sandar kyu ho Raj ki ye baat sunkar Ritu aur zyada sharma jati hai aur
fir se Raj se chipak jati aur apna mouh Raj ke seene me chupa leti hai

Ritu:- tum bohat gande ho Raj bhi apni baaho me Ritu ko kas leta hai

Raj:- wo to mujhe pata hi hai ki main bohat hi ganda hon ab dekhna ye ganda ladka tumhe
kaise kiss karta hai

Ritu:- dhaat badmash aur dheere se ek ghunsa Raj ke seene me mar deti hai abhi dono
me ched chad chal hi rahi thi ki Raj ko kuch yaad aata hai wo turant Ritu ko apne se alag
karta hai par Ritu tarsi nigaho se Raj ki taraf dekh rahi thi jaise puch rahi ho ki apne se alag
kyu kiya

Raj:- ek baat batao ye tumhare dono hatho me ghaw kaise hai kisne kiya ye kahi uss
kamine Vinod ne to nahi kiya bas ek baar bol do main uski jaan le lunga
Ritu:- (muskurate hue) nahi jaan ye kisi ne nahi kiya ye to mere paapo ki saza hai jo maine
apne aapko diye hai

Raj:- (chonkte hue) paapo ki saza matlab

Ritu:- ab chodo na jaan wo sab purani baate hain

Raj:- dekho tumhe meri kasam batao mujhe ye kaise hua

Ritu:- ab jaan isme kasam dene ki kya jarurat hai acha to suno jab uss din Vinod ne
tumhare upar hath uthaya tha tab mera tomann kar raha tha ki usse goli mar du par aisa
nahi kar saki mera dil fata ja raha tha jisse main itna pyar karti hon use hi meri wajah se
maar khani pade wo main kaise bardast kar sakti thi jo dard tumhe uss din mila wahi dard
maine bhi apne aap ko diya chaku se apne hath katkar Ritu ki baat sunkar Raj ko itna gussa
aa jata hai ki wo Ritu ko ek jordar thappad uske gaalo me lagata hai par Ritu ko iska zara
sa bhi dard nahi hota wo to abhi bhi muskurate hue Raj ki hi taraf dekh rahi thi par Raj ki
aankho se aansu chalak gaye the wo Ritu ke dono hatho par apne hath se sehlate hue
kehta hai

Raj:- khabardar jo aaj ke baad se kabhi meri jaan ko koi takleef di to yaar tum pagal ho
kya Ritu apne hath se Raj ki aankho se aansuo ko pochti hui kehti hai

Ritu:- nahi main pagal to nahi par diwani hon tumhari ek aisi diwani jo tumhari ek hansi
ke liye kuch bhi kar sakti hai ab Raj fir se Ritu ko apne seene se laga leta hai Ritu fir se Raj
ke baaho me simatti chali jati hai Ritu Raj ki baaho me simatti chali jati hai

Raj:- itna pyar karti ho mujhse Ritu apni dono aankhe band kiye Raj ke seene me apna sar
rakhkar kehti hai

Ritu:- haan ab aur kuch mat bolo bas mujhe pyar karne do

Raj:- to karo na maine kab mana kiya hai

Ritu:- nahi aise nahi pehle apni aankhe band mujhe saram aati hai Raj muskurate hue apni
dono aankhe band kar leta hai

Raj:- lo band kar li ab theek hai Ritu apna sar uthakar Raj ki aankho ki taraf dekhti hai fir
apni pair ke panjo ke bal khadi ho kar dheere se apne komal hontho ko Raj ke maathe par
rakh deti hai Raj ki aankhe abhi bhi band thi wo Ritu ke dwara aage hone wali harkato ke
bare me soch kar uttejit hota ja raha tha kuch der Ritu apne komal hontho ko Raj ke
maathe par hi rakhi rahi fir waha se apne honth hata liye ab Ritu ne ek ek karke Raj ke
dono aankho pe kiss kiya uske baad naak pe fir dono gaalo par kiss kiya ab Raj se rukna
sambhaw nahi tha lekin chaah kar bhi kuch nahi paa raha tha wo to aankhe band kiye hue
Ritu ke agle kiss ka wait kar raha tha iss baar kiss uske hontho par hona tha par Ritu ne
aisa nahi kiya

Ritu:- bas jaan aaj ke liye itna hi Raj turant apni aankhe kholta hai aur pyaasi aankho se
Ritu ki taraf dekh kar kehta hai

Raj:- ye to galat baat hai jaha kiss karna chahiye waha nahi kiya baki sab jagah kar liya plz
bas ek baar karo na Ritu mushkurati hui kehti hai

Ritu:- waha nahi mujhe sharam aati hai

Raj:- acha to main karu

Ritu:- nahi abhi nahi baad me kal jab hum milenge tab kar lena

Raj:- ye to na insafi hai mood abhi kar raha hai aur tum kal ke liye tal rahi ho

Ritu:- abhi koi aa jayega jaan kal kar lena jo bhi karna ho ok Raj kuch sochte hue

Raj:- jo bhi soch lo

Ritu:- (muskurate hue) haan jaan jo bhi main sirf tumhari hon mere pure sarir par tumhara
hi hak hai

Raj:- theek hai kal tum 11 baje mandir me aana aage ka wahi sochenge

Ritu:- acha ab tum jaao agar kisi ne dekh liya to aafat ho jayegi

Raj:- theek jaisi tumhari marzi tab tak Poonam bhi waha aa jati hai

Poonam:- yaar abhi bhi tum logo ka hua nahi ab jaao Raj kab se Ajay neeche wait kar raha
hai

Ritu:- haan haa ja raha hai tujhe batane ki jarurat nahi fir Raj aur Ajay jaise aaye the waise
hi chale gaye dono apne hostel pahuchne ke baad

Ajay:- yaar aaj to maza aa gaya thanks

Raj:- kyu pehle to bohat dar raha tha

Ajay:- ab chod na wo sab ye bata ki aage ka kya program hai


Raj:- ab kya tu apne aur main apne room me so jate hai raat bohat ho gayi hai itna kehkar
Raj apne room me chala jata hai aur Ritu ki yaado me khoya hua gahari neend me so jata
hai

Udhar Ritu ki aankho se neend koso dur thi wo to besabri se subah hone ka intezar kar
rahi thi uski nazar table par rakhi apni diary par padti hai jo Raj ne waha rakh di thi wo
uthkar diary leti hai aur aakar fir bed pe baith jati hai wo ek ek karke panne palatti hai aur
apni hi likhi hui shabdo ko padh kar mushkurati hui sochti hai

Ritu:- ye koi sapna to nahi jis Raj ko pane ke liye main kisi bhi had tak ja sakti thi aaj wahi
Raj mere bina kuch kiye hi mera ho gaya aisa lag raha hai ki duniya ki sabse khusnaseeb
ladki mai hi hon ab mujhe aur kuch nahi chahiye par jaise hi wo diary me ek naam padhti
hai to uska pyara sa chehra murjha jata hai uske maathe par chintao ki lakire dikhai dene
lagti hai Vinod yahi wo naam tha jise padhkar Ritu ka phool se pyara chehra murjha gaya
tha

Ritu:- (mann main) ab iss Vinod ka kya karu agar isse sab pata chal gaya to wo to Raj ko
zinda nahi chodega nahi nahi mai aisa kuch bhi hone dungi agar meri jaan ko kuch hua to
main bhi zinda nahi rahungi Ritu bed se lage deewar pe apni peeth aur sar tika ke baith
jati hai wo upar chaat ki aur dekhte hue apni soch ke sagar me dubi hui thi ki achanak ek
tez hawa ka ek zhonka khidki se hota hua seedhe Ritu se takrata hai jisse uske baal uske
pure chehre per bikhar jate hai aur saath hi uski god me rakhi uski diary ke kuch panne
bhi palat jate hai ab wo dheere se apne ek hath se baalo ko apne chehre se hatati hai par
jaise hi uske baal uski aankho ke samne se hatti hai to uski nazar diary par padti hai uski
aankho par ek chamak aa jati hai usme Raj ne uske liye kuch likha tha Mujhe kisi se
muhabbat nahi siva tere mujhe kisi ki jarurat nahi siva tere meri nazar ko thi talash jiski
barso se kisi ke pass wo surat nahi siva tere jo mere dil meri zindagi se khel sake kisi ko
itni ijaazat nahi siva tere bas ek baar to bol do jaan I love you plz ye padhkar Ritu ka
murjhaya hua chehra fir se khil uthta hai wo ek gehri saansh leti hai

Ritu:- (mann main) ab mujhe kisi ka koi dar nahi ab main Vinod se kya puri duniya se bhi
lad sakti hon bas jaan tum mera saath hamesha dete rehna aur kal chahe kuch bhi ho jaye
main tumhe I love you bol kar hi rahungi Ritu dheere se diary me likhe un lineo ko kiss
karti hai fir diary ko apne seene se lagakar sukun ki neend so jati hai dono ke beech ek
aisa pyar janam le chuka tha jo iss duniya ki mooh maya se bohat upar tha ek aisa pyar
jise kisi naam ki koi zarurat nahi thi ye pyar sare bandhano se mukt tha iss pyar ka kya
anjam hoga iski un dono ko koi fikar nahi thi wo to bas ek dusre me hi jeena aur marna
chahte hai khair jo hoga so hoga

Agli subah Raj ki neend 10 baje khuli jaise hi usne time dekha wo hadbadake uthkar baith
gaya

Raj:- yaar 10 baj gaye aaj itni der tak sota raha 11 baje Ritu se bhi milna hai wo turant
uthkar fresh hone chala jata hai fir tayar hote hote 10:30 baj jata hai wo jaiae hi room se
nikalne wala tha ki Manish aa gaya Manish Raj ke gale lag jata hai Raj bhi Manish ko dekh
kar khush ho jata hai

Manish:- bhai kaisa hai tu

Raj:- theek hon yaar aur tu bata itni jaldi kaise wapas aa gaya sab theek to hai na

Manish:- kuch nahi yaar teri yaad aa rahi thi to wapas aa gaya

Raj:- chal acha kiya kal se college bhi khulne wale hai Manish goor se Raj ko dekhta hai
Manish wo sab to theek hai par tu itna ban than kar ja kaha raha hai Raj ko achanak hosh
aata hai wo ghadi ki taraf dekhta hai 11 baj gaye the

Raj:- (mann main) yaar 11 to yahi baj gaya baato baato me to main bhool hi gaya tha

Raj:- yaar tu aaram kar main abhi aata hon

Manish:- par tu ja kaha raha hai

Raj:- (mann main) ab isse kaise batau Ritu ka naam sunte hi ye badak jayega nahi abhi
kuch nahi baad me sab samjha dunga

Raj:- tu aaram karna bhai main abhi aata hon

Manish:- nahi tu abhi kahi nahi jayega abhi bohat sari baate karni hai aur maa ne tere liye
kuch bheja hai chal dikhata hon Raj bilkul hatas ho jata hai wo ab Manish ko samjhaye to
kaise Manish se baat karte karte 12 baj chuke the ab uskamann waha bilkul bhi nahi lag
raha tha par wo Manish se kuch keh bhi nahi paa raha tha wo iss samay doraho me khada
tha ek taraf uska ek dost tha jisne har dhuk me uska saath diya uske saath haasa uske
saath roya kabhi usse pyar se manaya to kabhi daant ke samjhaya uske har mushkil ghadi
me uska saath diya wahi dusri taraf ek aisi ladki thi jisne bina kisi sartha ke usse pyar kiya
jiske liye zindagi ka dushra matlab Raj hi tha ussi se uski zindagi suru hoti thi aur ussi par
khatam ek aisi ladki jo Raj ke liye puri duniya se bhi lad sakti thi agar chot Raj ko lagti to
uska dard usse hota tha kulmilakar ek me Raj ki zindagi basti thi to dusre me jaan uski
najar bas ghadi par hi tiki hui thi 12:30 baj gaye the

Raj:- (mann main) pata nahi Ritu waha kitna pareshan ho rahi hogi uske pass to mera
number bhi nahi hai par Raj chaah kar bhi kuch nahi kar paa raha tha wo kisi ka dil nahi
todna chahta tha Raj andar hi andar ghut raha tha uski bechaini badhti hi ja rahi thi par
Raj ki halat zyada der tak Manish se na chupi rahi

Manish:- kya hua yaar itna pareshan kyu hai bohat zyada jaruri kaam tha Raj apne hosh
me aata hai aur nakli muskan liye kehta hai

Raj:- nahi yaar aisi koi baat nahi kaam to baad me bhi hote rahenge tu apni bata par
Manish ko uski dil ki udasi samjh me aa jati hai

Manish:- dekh bhai kuch bhi ho tu mujhse mat chupaya kar tu mere kehne par itni der tak
ruka raha yahi mere liye kafi hai ab tu ja tab tak main aaram karta hon ok ye sunte hi Raj
ki aankho me ek chamak aa jati hai uski khoyi hui shakti fir se lot aati hai uske pure sarir
me khusi ki ek lehar daud jati hai wo aage badhkar Manish ko kas kar apne gale laga leta
hai

Raj:- theek bhai tu aaram kar hum saam ko milte hai itna keh kar Raj tezi se waha se nikal
jata hai usne apna ek farz to nibha diya tha dosti ka par abhi ek aur farz usse nibhana tha
apne pyar ka wo bhi ek aisi ladki ke prati jisne apna sab kuch uss pe nichawar kar diya ho
aisi ladki jo uski khusi me hi apni khusi dhundti ho Raj ab daudta hua mandir ki aur badh
raha tha uske dil me ek taraf jaha ek adbhut khusi aur milan ki uttejana thi wahi dusri taraf
Ritu ko itni der intezar karane ka dard bhi tha jaise jaise wo mandir ki aur badh raha tha
waise waise uske dil ki dhadkane bhi badh rahi thi ab Raj jaise taise mandir tak pahuchta
hai wo seedhe andar ghus jata hai aur apne charo taraf nazar ghumata hai par Ritu usse
kahi nazar nahi aati uska dil baitha ja raha tha wo achi tarah pure mandir ko talashta hai
lekin fir bhi Ritu usse kahi nazar nahi aati Ritu ko na pakar Raj ki aankho me aansu aa jate
hai

Raj:- sorry jaan meri wajah se tumhe itna wait karna pada par jaan tum mujhse kabhi
naraz mat hona ye sab meri wajah se hua hai maine aaj tumhara dil dukhaya hai iski saza
to mujhe milni hi chahiye isse pehle Raj kuch kar pata wahi Pujari jo uss din usse mila tha
waha aa gaya

Pujari:- kya hua beta tum yaha


Raj:- Baba aaj maine kisi ka dil toda hai usko yaha bula ke main khud time se yaha nahi aa
paya

Pujari:- kahi tum apne uss dushman ki baat to nahi kar rahe ho par wo to yahi hai Raj ye
sunkar chonk jata hai aur kahde hokar charo taraf dekhta hai par fir bhi Ritu kahi nazar
nahi aati

Raj:- kaha hai Baba

Pujari:- beta wo to kab se mandir ke peeche wale garden me tumhara intezar kar rahi hai
ab der mat karo jao ye sunte hi Raj bhag kar uss garden me jata hai waha samne Ritu ko
dekh kar uski jaan me jaan aa jati hai Ritu waha ek ped ke neeche apna sar jhuka ke chup
chap baithi hui thi uske khule baalo ne uska chehra pura dhak rakha tha Raj dabe paw Ritu
ki taraf badhta hai aur Ritu ke bagal me ghutno ke bal baith jata hai Ritu ko iska bilkul bhi
pata na chala wo to apni hi kisi soch me dubi hui thi ab Raj dheere se apna ek hath uske
kandhe pe rakhta hai

Raj:- sorry jaan Raj kewal itna hi bol paya tha ki Ritu ne apna sar upar kar diya Ritu ki
aankhe lal ho chuki thi usse aansuo ki dhara beh rahi thi ye dekh kar to Raj ke hosh hi udd
gaye uski aankhe khuli ki khuli rahgayi Ritu ki aisi halat dekh Raj ka kaleja fata ja raha tha
uski aankho se bhi aansu chalak pade

Raj:- kya hua jaan tum ro kyu rahi ho par Ritu kuch na bol saki wo ek tak bas Raj ko hi
dekhti rahi

Raj:- jaan I am sorry Ritu apni nazar Raj par se hatati hui kehti hai

Ritu:- chodo mujhe mujhe tumse koi baat nahi karni Ritu waha se uthkar khadi ho jati hai
aur jane lagti hai par Raj turant khada ho jata jata hai aur uska hath pakad leta hai Ritu
bina Raj ki taraf dekhe

Ritu:- chodo mera hath

Raj:- itna gussa Raj dheere se uska hath chod deta hai ab Ritu waha se jane lagti hai par
jaise hi wo do kadam chalti hai ki tabhi Raj bol padta hai

Raj:- jaan tum bhi mujhe chod kar ja rahi ho jaao per itna yaad rakhna tum se duri ab
bardast nahi kar paunga mar jaunga main ye sunte hi Ritu ke kadam apne aap ruk gaye
wo turant palti aur aansu pochte hue Raj ke pass aakar khadi ho gayi uska chehra gusse
se lal ho gaya tha Raj kuch bolne hi wala tha ki tabhi Ritu ne ek zor ka thappad uske gaal
pe dhar diya Ritu kitni baar bola hai ki kabhi marne ki baat mat karna kya samjhte ho apne
aap ko tum baar baar marne ki dhamki doge aur main chup chap sunlungi kewal tum hi
apni jaan de sakte ho main kuch nahi kar sakti ab dekho tum itna kehkar Ritu apne bag
me kuch dhundti hai

Raj:- (mann main) ye dhund kya rahi hai karna kya chahti hai tab tak Ritu apne bag se ek
blade nikal leti hai Raj ki to hawa kharab ho jati hai

Ritu:- pehle main mar jaon fir tum jo chahe wo karo itna keh kar Ritu blade ko apne left
hand ki kalai par rakh leti hai par isse pehle ki wo apni naso ko kaat sake Raj jaldi se Ritu
ke hath se blade lekar neeche pheek deta hai aur uske gaal per ek thappad mar deta hai

Raj:- pagal ho gayi ho ye sab kya bachpana hai agar kahi choot lag jati to choot to tumhe
lagti par dard mujhe hota

Ritu:- kyu kya hua dar gaye jab tum meri itni si harkat se dar gaye tab soch mujhe kitna
dar lagta hoga jab tum baar baar marne ki baat karte ho aisi baat karke tum baar baar
mera dil todte ho mujhe hamesha rulane me tumhe bohat maza aata hai na ye keh kar
Ritu fir se bilakh bilakh kar rone lagi ab Raj se bhi na raha gaya uski aankho ne bhi aansu
girane suru kar diye Raj ne Ritu ko kheech kar apne seene se laga liya Ritu bhi Raj se chipak
kar rone lagi

Raj:- sorry jaan ab kabhi bhi nahi kahunga par tum bhi kabhi dobara aisi harkat mat karna
main bohat dar gaya tha main tumhe kisi bhi halat pe nahi khona chahta bohat pyar karta
hon tumhe I love you jaan I love you

Ritu:- main bhi tum se bohat pyar karti hon I love you too jaan aakhir kar bol hi diya yahi
3 wards the jise dono na jane kab se ek dusre se kab se sunna chahte the par iss tarah
bolna padega ye un dono ne kabhi nahi socha tha thodi der tak dono aise hi ek dusre se
chipke khade rahe fir dono thoda normal hue Raj ne dheere se Ritu ko apne se alag kiya
fir Ritu ki aankho se behte aansu ko apne hath se poncha Ritu ki dono aankhe band thi Raj
ne uske chehre ko apne dono hatho me bhar liya aur Ritu ke dono aankho par halke halke
se kiss kiya

Raj:- jaan main bohat bura hon na hamesha tumko rulata hon Ritu dheere se apni aankhe
kholti hai

Ritu:- nahi jaan tum to meri jaan ho mujh par mujhse bhi zyada tumhara hak hai tum jo
chahe mere saath karo main uff tak nahi karungi par ek baat hamesha yaad rakhna jis
tarah tum mujhe takleef me nahi dekh sakte ussi tarah main bhi tumhe takleef me nahi
dekh sakti tum me meri jaan basti hai abki baar jab bhi tum aisi baat karoge to samjh lena
ki wo tum apne liye mere liye kar rahe ho Raj apne dono kaano ko pakad kar

Raj:- sorry Baba galti ho gayi maaf kar do Ritu muskurate hue Raj ke haato ko uske kaano
se hatati hai

Ritu:- chalo abki baar maaf kiya par dobara aisa nahi hona chahiye itna kehkar Ritu fir se
Raj ke gale lag jati hai dono fir se ekdusre ki baaho me simat gaye the dono ki aankho me
ek haseen khawab tha jise dono apni aankhe band kiye hue dekh rahe the wo dono sari
chintao se dur puri duniya se bekhabar ek dusre ke pyar me itna dub chuke the ki agar ek
ko kuch ho jaye to dushra bhi na jee paye pata nahi upar wale ko kya manjoor hai ye to
aage hi pata chalega dekhte hai ki inka pyar kis had tak jayega kya ye samjh ki sari zanjeer
tod payenge kya ye dono ameeri gareebi ke uss fashle ko mita payenge kafi der tak dono
ekdusre ki baaho me simat kar ekdusre ke prati apne pyar ko mehsus karte rahe fir dono
alag hue Ritu fir se ussi ped ke neeche baith gayi aur Raj uske god me sar rakhkar let gaya
Ritu bohat hi pyar se apne komal haato se Raj ke baal sehlane lagi Raj apni aankhe band
kiye hue uss pal mil rahe sukun ko apne andar bhar raha tha Raj ke hontho par ek
anandmayi muskan thi jise dekh Ritu bhi halki si mushkura deti hai

Ritu:- tum itna late kyu ho gaye the meri to jaan hi nikal di thi tumne Raj apni aankhe band
kiye hue hi kehta hai

Raj:- kuch nahi jaan wo aaj Manish wapas aa gaya tha to ussi ne mujhe rok liya apni puri
family ki baate batane laga main to jaise taise apni jaan bacha kar bhaag aaya

Ritu:- tumne abhi tak Manish ko hamere baare me nahi bataya

Raj:- abhi nahi usse baad me samjha ke sab bata dunga par sahi samay aane per

Ritu:- kyu abhi kyu nahi darte ho usse

Raj:- nahi jaan darta nahi hon manta hon usse ek wahi to tha jisne har kadam par saath
diya mera ek saccha aur pyara dost hai wo abhi agar usse jaldbaji me maine kuch bhi bola
to na jane wo kya samjh baithe so sakta hai wo mujhse naraz bhi ho jaye jaan main aise
dost ko khona nahi chahta

Ritu:- (muskurate hue) theek hai jaan jaisa tum theek samjho ab Raj apni aankhe khol deta
hai aur sanjida hoke kehta hai
Raj:- jaan kal se college bhi khul rahe hai tum bilkul waisi rehna jaisi pehle thi ok aur
college me mujhse koi baat mat karna warna sabko shaq ho jayega iss baat se Ritu thoda
naraz ho jati hai

Ritu:- kyu main to baat karungi jisko jo samjhna hai samjhe jisko jo karna hai kare main
kisi se nahi darti Raj ab uthke baith jata hai aur Ritu ka hath apne hatho me lekar usse
samjhate hue kehta hai

Raj:- samjhhne ki kosis karo jaan main nahi chahta ki tumhe koi bhi problem ho plz mere
khatir meri baat maan lo Ritu ka gussa ab shant ho gaya

Ritu:- plz mat bolo jaan plz bol kar mujhe chota mat karo theek hai tum jaisa kahoge main
waisa hi karungi ok chalo ab fir se let jao Raj muskurate hue uski god me fir let jata hai
Ritu fir se pyar se uske baalo me hath pherne lagti hai Raj aankhe band kiye hue Ritu se
kehta hai

Raj:- jaan ek baat aur maine sirf purani wali Ritu banne ko kaha hai lekin iska matlab ye
nahi ki tum waha fir se cigarette ya bear piyo agar tumne piya to mujhse bura koi nahi
hoga

Ritu:- (muskurate hue) nahi jaan main aisa kuch bhi nahi karungi jisse tumhare dil ko koi
theis pahuche

Raj:- waise tum ye sab karti kyu ho chod do ye sab jaan mere liye Ritu apna sar neeche
jhukati hai aur halke se Raj ke maathe pe ek kiss kar leti hai

Ritu:- tum nahi jante ho jaan main koi shok ke liye ye sab nahi karti thi mere dil me jitna
dard tha ussi ko bhulane ke liye ye sab piti thi par jab se tum meri zindagi me aaye ho
maine sab chod diya ye sunte hi Raj ne apni aankh khol di aur uthkar baith gaya Raj apne
ek hath Ritu ke gaal par rakh kar kehta hai

Raj:- aisa kon sa dard hai tumhe jiski wajah se tumhe ye sab pina pada bolo jaan Ritu Raj
ke hath ko apne gaal se hatati hai aur ussi hath ki hatheli pe kiss karti hai

Ritu:- chodo na jaan wo sab baate wo sab purani ho gayi hai

Raj:- nahi mujhe batao meri jaan ko koi takleef hai aur mujhe hi nahi pata ye kaise ho
sakta hai bolo jaan jab tak tum nahi bologi mujhe chaain nahi milega kya tum chahti ho ki
main tadpu
Ritu:- nahi jaan main aisa bilkul nahi chahti agar tum tadpoge to dard mujhe hoga par
tumhe wo sab bata kar tumhe tension nahi dena chahti

Raj:- iska matlab tum mujhse pyar hi nahi karti

Ritu:- aisa kuch bhi nahi hai theek hai batati hon par aaj ke baad se kabhi mere pyar pe
shaq nahi karna warna mujhse bura koi nahi hoga

Raj:- acha Baba galti ho gayi ok chalo ab jaldi se batao Ritu ab usse batana suru karti hai

Ritu:- tum to jante hi ho ki main ek rich family se hon ghar me dhan daulat aysho aaram
ki koi kami nahi hai papa ka delhi me bohat bada business hai wo zyadatar ghar se bahar
hi rehte hai iss liye bachpan se aaj tak unke pyar ko tarashti rahi aise me ghar par mera ek
hi sahara thi maa par wo to apni partiyo me hi busy rehti thi wo kab ghar me hoti kab nahi
ye pata hi chalta mujhe to aaj tak pata hi nahi chala ki maa baap ka pyar kaisa hota hai jab
mujhe chot lagti to main hi khud ko sambhalti ghar me ghanto baith kar roti rehti par
waha mere aansu ponchne wala koi nahi hota kisi ne bhi pyar se mere sar pe apna hath
nahi phera haa unhone apne maa baap hone ka farz zaroor nibhaya kewal paiso se wo wo
log to mujhe samjhe hi nahi ki mujhe ye sab bilkul nahi chahiye mujhe to bas unka saath
chahiye unka pyar chahiye ek aisi maa chahiye jo mujhe sambhale mujhse baate kare
mere har sukh dukh me mere saath rahe ek aisa baap chahiye jo mujhe samjhaye ki sahi
kya hai aur galat kya hai jo iss jAmane se meri raksha kare main kahi gir rahi hon to aake
mujhe sambhale par unko to koi farak hi padta unko to itni bhi fursat nahi ki ye jaan sake
ki unki beti abhi zinda bhi hai ya mar gayi ye bolte bolte Ritu rone lagti hai Raj jaldi se
kheech kar Ritu ko apne seene se laga leta hai Ritu bhi Raj ki baaho me simat kar roti hai
Ritu ko iss tarah rote dekh Raj ki bhi aankhe bhar aati hai

Raj:- jaan plz chup ho jaao tum janti ho ki main tumhe kabhi rote hue nahi dekh sakta Ritu
inhi sab cheejo ne mere andar ki sari insaniyat ko khatam kar diya mujhe iss had tak gira
diya ki main sharab tak pine lagi duniya ki buri nazaro se bachne ke liye mujhe aisa banna
pada jisdin maine tumhe pehli baar dekha to mere dil me ehsaas hua ki wo tum hi ho jo
mujhe sambhaloge mujhe wo pyar doge jiske liye main aaj tak tadpi hon jaan main tut kar
bikhar jana chahti hon tumhari baaho me mujhe itna pyar karo jaan ki main sare gum aur
dard bhool jaon jaan tum jo bologe main wahi karungi jaisa bhi suluk tum mere saath karo
main sab haste haste seh lungi par plz jaan mujhe kabhi chod ke mat jana warna main jee
nahi paungi main bilkul tut chuki hon jaan ab aur nahi seh paungi mar hi jaungi ab Raj iss
baat ko nahi seh paya aur uski aankho se aansu behne suru ho gaye
Raj:- jaan kya tumhe lagta hai ki main tumhe kabhi chod sakta hon tumhe apni jaan par
itna bhi bharosha nahi tumhe mere pyar par shak hai Ritu dheere se Raj se alag hui aur
apne hath se uske aansu ponchte hue kehti hai

Ritu:- nahi jaan mere kehne ka ye matlab bilkul nahi tha main bhala apni jaan pe kaise
shak kar sakti hon

Raj:- to ek wada karo aaj ke baad se tum kabhi aansu nahi bahaogi kabhi mere pyar pe
shaq nahi karogi agar kiya to samjh lena ki tum mera mara hua mouh dekhogi Raj itna bol
hi paya tha ki Ritu ne apna ek hath Raj ke mouh par rakh diya

Ritu:- aisa kabhi mat kehna theek hai main wada karti hon ki aaj ke baad se kabhi koi bhi
aisa kaam nahi karungi jisse tumhare dil ko koi theis pahuche Raj ab thoda sa mushkura
deta hai aur Ritu ke gaalo pe kiss karta hai Raj chalo ab jo hua usse bhool jaao aur chalo
kahi chal kar khana khate hai mujhe to bohat bhook lagi hai Ritu bhi mushkura kar kehti
hai

Ritu:- acha to mere babu ko bohat bhook lagi hai chalo

Raj:- par jaan tum aise mere saath agar kisi ne dekh liya to

Ritu:- ghabrao mat jaan yaha hame koi nahi janta yaha mere siwa aur koi nahi aata ab
dono waha se nikal kar ek restaurant me jate hai aur khana khate hai 5 baj chuke the dono
baaho me baahe dale apne hostel ki taraf chal dete hai Raj room me pahuch kar Manish
se baat karne lagta hai thodi der tak idhar udhar ki baate ki fir college ki baate hui baato
baato me 9 baj gaya fir khana khakar dono hi so gaye kal se ek nayi zindagi jeeni thi Raj
aur Ritu ko ek dusre se itna pyar karte hue bhi alag alag rehna tha dekhte hai Ritu kitna
control kar pati hai

Agli subah Raj aur Manish jaldi se fresh hokar college ke liye nikal jate hai Raj aaj college
jane ke liye kuch zyada hi utsuk tha hota bhi kyu na aaj usse waha fir se wahi purani wali
Ritu jo milne wali thi wo to bas yahi soch soch kar khush hua ja raha ki aaj wo kaisi dikhegi
wo kya reaction degi jab Raj uske samne hoga par wahi Manish ke dimag me iss samay
kuch aur hi chal raha tha

Manish:- bhai tu theek hai na

Raj:- kyu mujhe kya hua

Manish:- nahi aisi koi baat nahi hai bas main yahi soch raha tha ki aaj agar Ritu ne fir se
tere saath kuch kiya to tu kya karega
Raj:- (muskurate hue) karna kya hai ab main bhi usse nahi chodunga Manish Raj ki baat
sunkar thoda tension me aa jata hai

Manish:- dekh yaar tu aisa waisa kuch bhi nahi karega tu uske pass bhi nahi jayega

Raj:- theek hai mere baap jo tu bolega main wahi karunga thodi hi der me dono college
pahuch jate hai Raj ki nazar to sirf Ritu ko hi dhund rahi thi Raj ab canteen ki taraf jane
lagta hai par Manish usse rok deta hai

Manish:- kaha ja raha hai aaj tu canteen nahi jayega mere saath library jayega

Raj:- (mann main) yaar ab kaise samjhau mujhe Ritu ko dekhna hai aur wo pakka canteen
me hi hogi

Manish:- kya sochne laga chal jaldi kar

Raj:- bhai ek baar canteen chalte hai bas ek coffee pike fir library chalenge ok Manish kuch
der sochta hai

Manish:- ok par waha koi lafda nahi hona chahiye

Raj:- (muskurate hue) nahi hoga yaar promise fir dono canteen chale jate hai jaise hi dono
andar pahuchte hai Raj ki dil ki dhadkane ekdum badh jati hai uski aankhe badi ho jati hai
mouh khula ka khula reh jata hai kadam apne aap tham jate hai samne ka nazara hi kuch
aisa tha Ritu jo black top aur ussi color ki short skirt jo uski jhango tak uthi hui thi uska top
uski nabhi tak chada hua tha pairo me long boot hath me gold ki breshlet baal khule hue
jo usne ek side se aage kar rakkhe the apne dosto ke saath baithi Raj ki hi taraf dekh rahi
thi aaj wo fir se pehle wali riru thi par aaj to Raj usse dekh kar ghayal hi ho gaya wo chaah
kar bhi apni nazar Ritu par se nahi hata paa raha tha udhar Ritu ne bhi sabki nazar bachate
hue Raj ko ek meethi si smile di aur ek aankh mar di Raj to ab girte girte bacha itne me
Manish uske pass aa gaya

Manish:- kya hua ab yahi khade rehna hai kya coffee nahi pini Raj bilkul chonk jata hai wo
Manish ki taraf aise dekhta hai jaise chidiya ghar me kisi janwar ko dekh raha hai

Manish:- aise kya ghoor raha hai aaj se pehle kabhi dekha nahi kya mujhko Raj ab bilkul
hadbada jata hai uska dimag kaam karna band kar deta hai wo to Ritu ki in kaatil aadao
ko dekh kar ye bhi bhool gaya tha ki wo khada kaha hai

Raj:- yaar aaj library me bohat bheed hai ab chonkne ki baari Manish ki thi wo Raj ke sar
me hath rakhkar kehta hai
Manish:- bhai teri tabiyat to theek hai na ye tu kaisi baate kar raha hai hum canteen me
hai Raj apne charo taraf dekhta hai

Raj:- haan haa wo galti se library nikal gaya chal coffee pite hai dono theek Ritu ke samne
wali table pe baith jate hai

Manish:- tu ruk main le kar aata hon itna kehkar Manish chala jata hai ab Raj fir se Ritu ki
taraf dekhta hai Ritu Raj ki harkat dekh kar hasti hi ja rahi thi uske sare friends ye dekh
kar pareshan the ki wo bina matlab ke kyu hash rahi hai jab dono ki nazre mili to Ritu ne
fir se aankh maar di par iss baar apne hontho se kiss ka ishara bhi kiya jise dekh Raj ka to
gala sukh gaya wo dheere se apne hath jodkar Ritu ko aisa na karna ka ishara kiya par Ritu
kaha manne wali thi wo to aaj Raj ko dhang se satane ka plan kar ke aayi thi wo naa me
apna sar hila deti hai ab isse pehle Raj kuch aur kehta Manish aa gaya

Manish:- yaar kya hua itna dara hua kyu hai Raj usse dekh kar thodi rahat ki saas leta hai
wo to samjh raha tha ki Manish ke samne Ritu aise waise koi harkat nahi karegi par ye uski
bhool thi

Raj:- kuch nahi bhai to mera bohat acha dost hai aaj mujhe akele mat chodna mujhe dar
lag raha hai Manish ko kuch samjh me hi nahi aa raha tha ki ye Raj ke saath ho kya raha
hai udhar Ritu to bas haste haste pagal hui ja rahi thi Raj apni aankhe Ritu se hata leta hai
aur chup chap sar neeche karke coffee pine lagta hai wo ab Ritu ko aur na dekhne ka faisla
karta hai par apne dil ko kaise rok pata na chahte hue bhi wo Ritu ko dekh hi leta hai par
ab usse kuch zyada hi dikhne lagta hai Ritu ne to aaj kasam hi kha li thi ki Raj ki jaan nikal
ke hi rahegi wo ab dheere dheere apne ek pair ko dusre pair ke upar rakhti hai jisse uski
skirt jhango se thoda aur upar uth jati hai wo is tarah baithi thi ki sirf Raj ki hi nazar uski
in harkato par ja rahi thi Ritu ki gori gori chikni jhango ko dekh kar Raj ki to halat aur bhi
kharab ho gayi uske pent me zip ke pass halka halka ubhar banne laga uska sharir pasine
se bhigne laga Ritu ke iss harkat ne uake jism me aag si laga di thi par aag me ghee tab
pada jab Ritu ne ek aur harkat ki ab Ritu apni komal jhango par pyar se apna hi hath pherne
lagi beech beech me wo apni jhango ko halke se masal bhi deti aur katil nigaho se Raj ko
dekhti ab Raj ko apne upar control karna bohat hi mushkil ho raha tha pent me uska ubhar
badhta hi ja raha tha wo aur na ruk saka wo khada hokar jane laga par Manish ne tok diya

Manish:- ab kaha ja raha hai

Raj:- library

Manish:- coffee to pita ja


Raj:- mujhe nahi pini agar thodi der aur ruka to mera hi coffee nikal jayga

Manish:- kya matlab

Raj:- kuch nahi tu chal raha hai ki main jaon

Manish:- theek hai chal ab dono canteen se nikal kar library me pahuch jate hain Raj ko
ab thodi rahat milti hai kyuki usko pata hai ki yaha Ritu nahi aayegi library me zyada
student nahi the charo taraf shanti hi shanti thi wo dono bhi ek bench par baith kar
padhne lagte hai par Raj ka dhayan abhi bhi Ritu ki komal jhango par hi thi

Raj:- (mann main) yaar kya jhange hain main to pagal hi ho gaya kash main abhi usse jakar
lipat sakta ye kya sab soch raha hon main nahi nahi padhai par dhayan lagana chahiye Raj
abhi apna dhayan kitab me lagaya tha ki nahi usse ke aur jhatka laga Ritu aa kar theek
uske samne baith gayi situation aisi thi ki beech me ek table thi uske dono taraf do bench
rakhi hui thi jisme ek taraf Raj aur Manish the to duahri taraf theek Raj ke samne Ritu thi
Raj ki dhadkane fir se badh gayi thi wo to iss soch me pad gaya ki ab Ritu kya kerne wali
hai Raj ek baar Ritu ko dekhta to ek baar Manish ko wo dar raha tha ki ye sab kahi Manish
na dekh le wo dheere se sar hilakar Ritu ko kuch naa karne ka ishara karta hai iske jawab
me Ritu halke se mushkura deti hai aur apna sar neeche karke ek book khol kar padhne
lagti hai ye dekh kar Raj ko bohat aascharya hota hai

Raj:- (mann main) isne kuch kiya kyu nahi shayad sahi me padhne aayi hogi chalo acha hai
agar ab isne kuch kiya hota to pakka Manish ko pata chal jata wo ye sab soch hi raha tha
ki Manish uske kaan ke pass aakar fusfusaya

Manish:- dekh tu uspar dhayan mat de bas padhi par dhayan de

Raj:- mujhe pata hai ki mujhe kya karna hai ab tu mat sikha Manish fir se apna sar kitabo
me ghusa leta hai udhar Ritu bhi kitabo me ghusi hui thi ye dekh Raj thodi rahat ki saas
leta hai karib 10 minute tak sab theek tha fir achanak Raj ko ek jhatak laga Ritu apne ek
tang se Raj ke tang ko sehla rahi thi Raj ki halat fir se kharab ho gayi wo Ritu ki taraf dekhne
laga par Ritu to aisa ban rahi thi ki jaise kuch pata hi na ho wo to chup chap kitabo ko hi
dekh rahi thi uske hontho par ek pyari si smile thi Raj ne apna pair dusri taraf kar liya par
waha bhi aisa hi hua ab Raj ki halat aur bigadti hi ja rahi thi wo Manish se kehta hai

Raj:- yaar main book lene ja raha hon itna kehkar Raj waha se chala jata hai wo library ke
dusre room me jaha jaha racks me kitabe rakhi hoti hai waha chala jata hai aur ek rack ek
peeche khada ho kar apnemann me kehta hai
Raj:- beta Raj aaj ye ladki tujhe marwa kar hi chodegi ab to uske samne jane se bhi dar lag
raha hai pata nahi kya chal raha hai uske dimag me aaj college ke baad uski khabar lunga
tab tak mujhe usse dur rehna padega pata nahi kab mujh par hamla bol de aaj usse dekh
kar to aisa lag raha hai ki main kahi akela mil jaon to pakka mera rape kar dalegi beta Raj
abhi is room me bhi koi nahi hai kahi Ritu yaha na aAjaye isse pehle ki wo yaha aaye tu hi
bhag le itna keh kar Raj palatta hai aur apne samne Ritu ko khada dekhta hai Raj ki to sitti
pitti gum ho jati hai Ritu dheere dheere balkhati hui Raj ki taraf badh rahi thi uski aankho
me ek shararat nazar aa rahi thi uski wo kaatil muskan Raj ke dil ko ghayal kar rahi thi Raj
bilkul sahama hua sa Ritu ko dekh raha tha wo samjh gaya tha ki ab uske saath kya hone
wala hai fir bhi wo Ritu ko samjhane ki ek aakhari kosis karta hai

Raj:- dekho yaha kuch mat karna koi dekh lega par Ritu bina uski baat sune uski taraf
badhti hi ja rahi thi wo to bechara bhag bhi nahi sakta tha kyuki uske peeche book self
rakha hua tha uske agal bagal bhi badi badi book rakhne wali racks thi aur samne ek
bhukhi sherni jo uspar kabhi bhi hamla kar sakti thi ab tak Ritu Raj ke kafi kareeb aa chuki
thi wo fir kehta hai

Raj:- jaan hum baad me milte hain na wahi mandir ke peeche waha jo marzi ho kar lena
par yaha kuch mat karo mujhe bohat dar lag raha hai par Ritu par to jaise vasna ka bhoot
chad gaya ho Raj ki koi baat uske kaano tak nahi pahuch rahi thi wo ab Raj ke ekdum
kareeb aa chuki thi itna kareeb ki undono ke jism me sirf 1ya 2 inch ka hi fashla hoga ab
Raj ki halat aur kharab ho gayi uski awaaj ladkhadane lagi

Raj:- dekho tu tumhare irade kk kuch theek nahi lag rahe hain ab Raj ka kuch bhi kehna
na kehna sab bekar hi tha Ritu ne apni baahe Raj ke peeth par kas liya aur dheere dheere
Raj se chipakti chali gayi Raj ke dimag ne ab kaam karna band kar diya uske sharir uska
saath chod raha tha udhar Ritu ne dheere se apne naram naram honth Raj ke gale me
rakh diye aur uss hisse ko apne hontho se sehlane lagi Raj jaise kisi dusri duniya me pahuch
gaya tha uski saanse ab bohat tez ho gayi thi ab Ritu apne hontho ko Raj ke gale me
ragadte hue upar ki aur badhti hai aur left kaan ke aas pass ko sehlane lagti hai ab Raj ke
sabar ka bandh tut chuka tha uski aankhe madhoshi me band ho chuki thi vasna ke jis aag
me ab tak Ritu jal rahi thi wahi aag ab Raj ke bhi seene me jalne lagi thi Raj ke hath apne
aap Ritu ki kamar par chale gaye wo bhi Ritu ko apni baaho me kasne laga ab dono ek
dusre se iss kadar chipke hue the ki unke beech se hawa bhi na gujar sake ab Raj ne bhi
apne honth Ritu ke gale me rakh diye uske hontho ke sparsh matra se Ritu ke badan me
sarsarahat failne lagi Raj bhi ussi tarah Ritu ke gale me apne hontho ko ragadte hue gaalo
tak pahuch gaya Raj uske gaal ko apne hontho se kabhi kiss karta to kabhi sehlata fir
dheere se apne honth ko ragadte hue uske maathe par kiss kiya fir uske dusre gaal ko kiss
kiya ab bari thi Ritu ke naram aur ras bhare hontho ki Raj ne Ritu ke chehre ko apne dono
hath ki hatheliyo se pakad rakha tha Ritu ki aankhe uttejana ke karan band thi uski saanse
bohat tez chal rahi thi uski zulfe uske chehre pe bikhri hui thi uske honth buri tarah se
tharthara rahe the shayad Ritu ko pata chal chuka tha ki ab Raj kaha kiss karne wala hai
wo aage hone wale uss adbhut ehsaas ke bare me soch kar aur bhi zyada uttejit ho gayi
thi ab Raj ne dheere se uske bikhre baalo ko uske kaapte hootho se hataya aur dheere
dheere apne hontho ko Ritu ke hontho ki taraf badhana suru kiya jaise jaise Raj ke honth
uski taraf badh rahe the Raj ki bhi aankhe band hoti ja rahi thi ab dono ke honth itne
kareeb aa chuke the ki dono ek dusre ki garam saanso ko bhi mehsus kar paa rahe the
Ritu ke hontho ki thartharahat aur bhi badh chuki thi Raj ki bhi halat kuch aisi hi thi dono
ka aaj ye zindagi ka pehla kiss tha ab dono ke honth itne kareeb aa chuke the ki Raj ka
neeche wala honth Ritu ke lal aur ras bhare hontho ke upar wale honth se halka sa chu
gaya Ritu ke mouh se ek halki si siski nikal gayi par abhi jaise hi unke honth apas me kewal
takraye bhar the ki Poonam waha aa gayi

Poonam:- had hai yaar tum dono to bilkul besharam ho gaye ho kahi bhi suru ho jate ho
Poonam ki awaaj se dono buri tarah chonk jate hai aur jaldi se ek dusre se alag ho jate hai
dono ki ukhadti hui saanso se hi pata chal raha tha ki abhi wo dono kis paristhiti se gujar
rahe honge dono jaldi jaldi apni saanso pe control karne ki kosia kar rahe the Poonam
wahi khade khade unko dekh rahi thi

Poonam:- ab agar tum dono ka ho chuka ho to chale Ritu bina kuch bole hi Poonam ke
saath waha se chali gayi Raj wahi khade khade Ritu ko jate hue dekhta raha fir wo bhi
jakar Manish ke pass baith gaya Raj ab Manish ke pass aakar baith jata hai

Manish:- kaha tha tu ek book lane me itna time lagta hai kya

Raj:- yaar wo mil nahi rahi thi

Manish:- chal koi baat nahi class suru hone wali hai hame chalna chahiye Ritu ki aisi harkat
ke baad ab Raj kamann padhne me bilkul bhi nahi lag raha tha lekin wo kar bhi kya sakta
tha khair Manish ke saath class me chala gaya Ritu abhi waha nahi thi Raj ki nazar bas ussi
ko talash rahi thi par Raj ke dil ki halat Manish se na chup saki

Manish:- yaar tujhe hua kya hai subah tak to theek tha par jab se college aaya hai main
dekh raha hon tu kuch pareshan sa dikh raha hai koi problem hai to mujhe bol sakta hai
Raj soch me pad jata hai ki wo usse Ritu ke bare me bole bhi to kaise lekin Manish ko
batana bhi zaruri tha
Raj:- bhai mujhe tujhse ek baat karni hai

Manish:- haan bol na

Raj:- par kaise kahu kuch samjh me nahi aa raha hai

Manish:- yaar aisi kon si baat hai jo tu mujhse share nahi kar pa raha hai

Raj:- bhai pehle promise kar ki tu naraz nahi hoga meri baat puri sunega

Manish:- theek hai main tujhse naraz nahi hounga ab bol bhi de par Raj jaise hi kuch bolne
wala tha waha Riya aa gayi Riya ke bare me kuch bata du Riya ek simple si dikhne wali
ladki hai wo bhi Manish ki tarah hamesha kitabo me hi ghusi rehti hai wo issi sahar me hi
rehti hai apni maa ke saath pita ki bachpan me hi death ho gayi thi tab se uski maa hi usse
sambhalti hai uski maa ek private sector me job karti hai ussi se unka ghar acha to nahi
par theek thaak chal jata hai pure college me Riya ki koi friend nahi hai shayad uska gareeb
hona iska sabse bada karan raha hoga waise dekhne me wo bhi kafi sandar hai bas apne
aap ko kabhi usne sawara hi nahi sajti sawarti bhi kiske liye pure college me usse koi baat
bhi nahi karta siway Manish ke ab Riya shayad usko chahane bhi lagi hai par kabhi usne
show nahi kiya Raj ke kuch bolne se pehle Riya bol padi

Riya:- Manish wo mujhe tumse kuch notes chahiye the

Manish:- Riya abhi main Raj se kuch important baat kar raha hon tum baad me aao ye
sunte hi Riya ka maasoom sa chehra udas ho jata hai aur wo waha se dheere se sar jhukaye
chali jati hai uske chehre ki udasi dekhkar Raj samjh jata hai ki Riya ke dil me Manish ke
liye kafi feelings hai par Manish ye samjh nahi paa raha hai tabhi Raj ke dimag me apni
baat rakhne ki ek idea aata hai

Manish:- haan bhai tu bol Raj kuch soch kar

Raj:- yaar abhi rehne de room me chalkar baat karte hai abhi ye jagah theek nahi hai

Manish:- ok jaisi teri marzi itni der me Ritu bhi class me aa jati hai wo apni jagah par baith
jati hai usne ab Raj ki taraf dekha bhi nahi Raj ko thodi hairani to hui ki ab achanak Ritu ko
kya ho gaya itni sudhar kaise gayi khair Raj ko ab thodi rahat mili 12 baje college khatam
hua Ritu sabse pehle bahar chali gayi usne ekbaar bhi Raj ki taraf dekha bhi nahi Raj ko ab
thodi tension ho jati hai ki aakhir achanak Ritu ko hua kya hai Raj apni soch me duba hua
tha ki uske mobile pe ek sms aata hai wo massage kisi aur ka nahi balki Ritu ka tha usne
Ritu ka number jaan naam se save kar rakha tha naam dekhte hi Raj ke chehre pe ek
muskan phail jati hai wo jaldi se sms padhta hai jaan 5 baje main tumhara ussi mandir me
intezar karungi aaj late mat hona ok massage padh kar Raj chain ki saans leta hai aur
uthkar Manish ke saath college se bahar chala jata hai

Manish:- haan ab bol kya kehna chahta hai tu

Raj:- abhi room me to chal Phir batata hon ab dono room ki taraf chal dete hai Raj raste
bhar apne plan ke bare me sochta raha thodi hi der me dono hostel pahuch jate hai phir
fresh hokar khana khate hai 2 baj chuke the dono apne room me baithe hue the

Manish:- haan ab hum bilkul free hai ab bol kya baat hai Raj ko ab apni planning ke anusar
kaam karna tha

Raj:- dekh tune promise kiya hai ki tu meri baat sunkar gussa nahi hoga agar tujhe acha
na lage to mana kar dena ok

Manish:- yaar itni paheliya kyu bujha raha hai seedhe seedhe bol na

Raj:- theek hai batata hon tujhe Riya kaisi lagti hai Riya ka naam sunte hi Manish chonk
jata hai

Manish:- achi lagti hai par tu ye kyu pooch raha hai

Raj:- (mann main) yaar tere upar hi mera pyar tika hai bas ek baar agar teri setting Riya se
ho gayi to mera rasta bhi clear ho jayega bas bhagwan kare ki tu haan kar de nahi to sab
gadbad ho jaye ga fir tu meri feeling bhi nahi samjh payega

Raj:- nahi bas aise hi tu to kewal uska dost hai na tere aur uske beech aur kuch to nahi hai
na

Manish:- aur kuch se kya matlab hai tera

Raj:- (muskurate hue) mera matlab hai ki tu kahi usse pyar to nahi karne laga na

Manish:- ye kya bakwas kar raha hai main yaha padhne aaya hon koi pyar wyar karne nahi
samjha aur tu bhi in sab cheejo se dur reh in sab faltu ki cheejo me apna dimag mat laga
padhai par dhayan de itna keh kar Manish waha se uthkar bahar chala jata hai ab Raj
dharam sankat me pad jata hai ek taraf dost hai to dusri taraf pyar ab wo kare bhi to kya
kare Raj kafi der tak sochta raha ki Manish ko kaise manaya jaye par usse kuch samjh me
nahi aata 4:20 baj chuke the wo ab tayar ho kar Ritu se milne chala jata hai thodi hi der
me wo mandir pahuch jata hai Ritu aaj bhi mandir ke peeche garden me uska wait kar rahi
thi jaise hi uski nazar Raj pe padi uska chehra khil utha wo daud kar Raj se lipat gayi par
Raj kuch tension me tha jis wajah se Ritu ko apni baaho me theek se nahi bhar pa raha
tha Ritu ko samjhte der na lagi

Ritu:- kya hua jaan kuch problem hai kya par Raj ye baat Ritu ko nahi batana chahta tha
wo nahi chahta tha ki Ritu pareshan ho wo apni hontho par zhuti muskan liye kehta hai

Raj:- nahi jaan aisi koi baat nahi Ritu usse alag hote hue

Ritu:- dekho mujhse chupane ki kosis mat karo tum jitna bhi kosis kar lo par mujhse kuch
nahi chupa sakte ab jaldi se bolo

Raj:- main tumse kuch bhi nahi chupa raha hon jaan

Ritu:- phir jhoot tum bhool rahe ho ki tum meri jaan ho aur meri jaan ko koi problem hogi
to mujhe sabse pehle pata chalegi ab aur drama mat karo batao Ritu ke saath bahas me
jeetna Raj ke bas ki baat nahi thi aakhari me haarkar Raj ko bolna hi pada

Raj:- theek hai batata hon pehle aaram se baitho dono ek ped ek neeche baith jate hai
Ritu theek Raj ke samne baithi thi

Raj:- maine aaj Manish se baat karne ki sochi par himmat hi nahi ho rahi thi phir ek idea
aaya lekin wo bhi bekar ho gaya Ritu bhi thodi serious ho gayi

Ritu:- kon sa idea

Raj:- wo apni class me Riya hai na wo aur Manish dost hai maine socha agar un dono ka
kuch chakkar chal jaye to apna bhi kaam ban jayega magar wo to pyar ke naam se nafrat
karta hai iss liye samjh me nahi aa raha hai ki ab main kya karu usne to mujhe bhi ye sab
karne ko saaf saaf mana kar diya Ritu kuch der chup chap baithi sochti rahi Ritu acha sabse
pehle ye batao ki Riya ke dil me Manish ke liye kuch hai Raj uski aankho se to yahi pata
chalta hai ki wo Manish ko chahti hai itna sunte hi Ritu bohat khush ho jati hai Raj ko to
kuch samjh me hi nahi aata ki Ritu iss baat se itni khush kyu ho gayi

Raj:- yaar badi ajeeb ho idhar mera tension ke mere dimag kharab ho raha hai aur tum
khush ho rahi ho Ritu thoda sa uchak kar apne ghutno ke bal baithti hai aur Raj ke kandho
ko pakad kar uske gaal pe ek kiss karti hai phir apni jagah baith jati hai

Ritu:- jaan isme tension lene wali kon si baat hai tum befikar raho duniya me aisa koi bhi
nahi hai jise pyar se nafrat ho jo log ye kehte hai to samjh lena ki wo sab dikhawa kar rahe
hai sabko kisi na kisi ke saath ki kisi ke pyar ki zarurat padti hi hai bs sahi insaan ko wo log
chun nahi pate tabhi aisa kehte hai
Raj:- to iska matlab Manish bhi

Ritu:- haan Manish bhi wo samjh nahi paa raha hai ki Riya uske liye bilkul perfect hai wo
aur ladko ki tarah ladkiyo ki upri chamak dhamak ko uski khubsurti manta hai jabki Riya
jitni upar se sandar hai uska dil usse kahi zyada sandar hai bas usko thoda sa badalna hai

Raj:- ab tum kya karne wali ho

Ritu:- (muskurate hue) uski tension tum mat lo sab kuch mujh par chod do ab dekhti hon
Manish Riya ko kaise I love you nahi bolta ab Raj bhi iss bare me zyada nahi sochta wo
baat badalte hue kehta hai

Raj:- acha ab ye sab chodo aur ye batao ki aaj tum college me kar kya rahi thi agar kisi aur
ne dekh liya hota to

Ritu:- ab main kya karu apni jaan ko dekh kar control hi nahi kar pai par baad me jab
Poonam ne samjhaya tab maine bhi socha ki yaha ye sab karna sahi nahi hai uski baad to
maine kuch nahi kiya na

Raj:- bhala ho uss Poonam ka jisne sahi samay par aakar mujhe bacha liya

Ritu:- acha uss samay to tum bach gaye par ab kaise bachoge itna kehkar Ritu ek dhakka
markar Raj ko ghass par lita deti hai aur khud uske upar let jati hai

Raj:- ab kya karne wali ho mere saath

Ritu:- wahi jo college me adhura reh gaya tha ab jaldi se kiss karne do mujhe jana hai

Raj:- tumko kaha jana hai wo bhi itni jaldi

Ritu:- are ab tumhare plan ko anjam bhi to dena hai ussi kaam se jaungi ab der na karo
aur apni aankhe band karo Raj dheere se apni aankhe band kar leta hai Ritu ke honth
dheere dheere Raj ke hontho ki taraf badhte hai Ritu ke saanso ki garmi Raj apne chehre
pe mehsus kar raha tha udhar Ritu bhi madhoshi me apni aankhe band kar chuki thi dono
ki saanse tez ho gayi thi dono uss adbhut anand ko pane ke behad kareeb the ab wo samay
aa chuka tha jiska dono ko besabri se intezar tha Ritu ne dheere se apne hontho ko Raj ke
hontho par rakh hi diye iss charam anand ko pate hi dono ke mouh se ek saath sisski nikal
gayi dono ki saanse ab aur bhi tez ho chuki thi Raj ne der na karte hue Ritu ko apni baaho
me kas liya aur apne hontho ko halke se khol kar Ritu ke hontho ko bharna chaha par uske
kuch karne se pehle hi Ritu ne apne honth alag kar liye Raj apni aankhe kholta hai wo
sawal bhare nazro se Ritu ki taraf dekhta hai
Ritu:- (muskurate hue) bas jaan aaj ke liye itna hi kafi hai baki baad me

Raj:- yaar ye bohat galat baat hai itne se kya hota hai abhi to kuch hua hi nahi par wo janta
tha ki Ritu se bahas me wo nahi jeet sakta iss liye bina kuch kahe hi beman se uthkar baith
gaya thodi der tak dono hi chup chap baithe rehte hai fir Raj hi bol padta hai

Raj:- kya hua baithi kyu ho ab der nahi ho rahi hai jaao jaha jana ho Ritu Raj ke dil ki halat
samjh sakti thi ki wo kitna bechain hai wo Raj ko samjhate hue kehti hai

Ritu:- jaan mujhse naraz ho tumhari narazgi mujhse sahi nahi jati

Raj:- haan to mat saho na jaao yaha se waise bhi tumhare aage mari to chalti nahi
hamesha apni dadagiri chalati rehti ho Raj ki baat sunkar Ritu jor se hasne lagti hai jise
dekhkar Raj aur bhi bhadak jata hai

Raj:- maine koi joke mara hai jo tum aise has rahi ho main bohat serious hon

Ritu:- pata hai tum kitna serious ho tumhari narazgi to main 2 minute me dur kar sakti
hon par aisa karungi nahi kyuki tum gusse me bohat cute lagte ho

Raj:- main koi ladki hon jo bohat cute lagta hon

Ritu:- nahi babu tum to meri jaan ho itna kehkar Ritu Raj ke gale lag jati hai wo apni baaho
ko Raj ke peeth par kas leti hai

Ritu:- I love you mere sona mari jaan Ritu apne right gaal ko Raj ke left gaal se ragadti hui
ye kehti rehti hai aur tab tak karti hai jab tak Raj ka gussa shant na ho jaye Ritu ke naram
gaal ke sparsh se Raj apna gussa zyada der tak nahi rekh pata wo Ritu ke aisi harkat se
halka sa mushkura deta hai aur usse apni baaho me bhar leta hai Raj dheere se Ritu ke
ussi gaal par ek kiss karte hue kehta hai

Raj:- I love you too jaan but sorry maine tum par gussa kiya ab Ritu Raj se alag hoti hui
kehti hai

Ritu:- jaan isme sorry bolne wali kon si baat hai agar aaj tumhari jagah main hoti to tumhe
noch kar kha jati abhi dono me baate chal hi rahi thi ki Raj ka mobile bajne lagta hai Raj
jaldi se mobile uthata hai Manish ka phone tha

Raj:- haan kya hua

Manish:- kaha hai tu Raj kuch samjh nahi pata ki usse kya bole par Ritu jaldi se Raj ke kaan
me dheere se kuch bolti hai
Raj:- yaar main abhi market se wapas aa raha hon

Manish:- tu akela hi hai na ya tere saath koi hai Raj ye sunker thoda sa ghabra jata hai

Raj:- haan han wo main akela hi hon kyu tujhe kya laga

Manish:- nahi kuch nahi kab tak aa raha hai

Raj:- bas abhi aa raha hon

Manish:- yaar bata ke jaya kar chal theek hai jaldi aa fir phone cut ho jata hai

Ritu:- chalo ab jaldi mujhe bhi der ho rahi hai dono khade ho jate hain

Raj:- kya tumhe kahi jana hai

Ritu:- nahi baba Manish ke liye puri planning karni hai taki tumhe iss roj roj ke bahane se
to chutkara mil sake dono ab apne hostel ki taraf chal dete hai raste bhar me Ritu Raj ko
apni planning samjhati rahi thodi der me dono girls hostel pahuch jate hai Ritu pehle idhar
udhar dekhti hai fir jaldi se Raj ke hontho pe ek halka sa kiss karke andar bhag jati hai Raj
bas usko khada khada dekhta hi reh jata hai fir wo apne hostel ki aur chal padta hai thodi
hi der me wo apne room me pahuch jata hai Manish wahi baitha padh raha tha Raj apni
planning ke anusar kaam karne lag jata hai

Raj:- yaar aaj to maza aa gaya Manish aascharya se Raj ki taraf dekhte hue kehta hai

Manish:- market me aisa kya hua jo tujhe itna maza aa gaya

Raj:- yaar puch mat main waha ghum raha tha ki achanak Riya mil gayi kya mast lag rahi
thi Manish ki aankho se samjh me aa raha tha ki wo thoda sa jal raha tha

Manish:- wo kiske saath thi

Raj:- akeli aayi thi fir to baad me pura mere saath hi thi yaar soch raha hon ki usse propose
kar hi du mast cheej hai kyu tujhe kya lagta hai Manish ki jalan ab dheere dheere gusse
me badal rahi thi

Manish:- tu pagal hai kya wo aisi waisi ladki nahi hai

Raj:- to main kya aisa waisa ladka hon main kya uske saath aisi waisi harkat karunga

Manish:- yaar mera matlab wo nahi tha tujhe aisa kya dikha usme jo tu uske peeche hi
pad gaya college me aur bhi to ladki hai na tu unme se kisi ko dekh le Raj ab Manish ke dil
ki baat samjh leta hai ki ye Riya ko chahta to hai par kabulne se katra raha hai
Raj:- (mann main) beta agar tujhse na bulwaya ki tu Riya ko chahta hai to mera bhi naam
Raj nahi waise Ritu ke dimag ki daad to deni hi padegi kya planning ki hai aakhir jaan kiski
hai

Raj:- bhai tu jo bhi bol le par ab to mujhe Riya hi chahiye kisi bhi keemat par waise tujhe
kya karna hai tu to usse pyar bhi nahi karta hai

Manish:- jo marzi wo kar Manish ka chehra gusse se lal ho jata hai par wo Raj se kuch keh
nahi paa raha tha thodi der baad dono khana khaker so jate hain Manish ki aankho se
neend koso dur tha uskamann Riya me hi laga hua tha

Agli subah dono fresh ho kar nashta karte hai fir college jane ki tayari karte hain aaj
Manish subah se hi kuch ukhda ukhda lag raha tha Raj ka Riya ki taraf attraction hona usse
bilkul acha nahi lag raha tha wo to aaj Raj se theek se baat bhi nahi kar raha tha Raj jo bhi
puchta uska bas haan ya na me answer deta Raj Manish ke dil ki halat se anjan nahi tha
wo usse aur cheedte hue kehta hai

Raj:- kya hua teri tabiyat theek nahi hai kya

Manish:- kyu kya hua mujhe

Raj:- tu theek se kuch baat nahi kar raha hai ek kaam kar aaj tu college mat ja yahi reh kar
aaram kar le

Manish:- (mann main) haan sale taki tu aaram se waha Riya se baat kar sake usse fasa
sake nahi main aisa hargiz nahi hone dunga

Manish:- nahi main bilkul theek hon tu tension mat le chal college Raj ko Manish ki halat
par bohat hasi aati hai par wo apne aap par control karta hai dono college ke liye nikal
jate hai raste bhar Manish chup hi raha Raj ne bhi usse aur nahi cheeda kyuki Manish ko
college me ek zabardast jhatka milne wala tha khair thodi der me dono college pahuch
jate hai tabhi Raj ke mobile pe ek sms aata hai wo massage Ritu ka tha Raj jaldi se massage
padhta hai aur aage ke plan ke anusar kaam karta hai

Raj:- chal library chalte hain Manish chonk jata hai kyuki Raj college aate hi sabse pehle
canteen jata tha par aaj wo library jane ki baat kar raha hai fir achanak Manish ko samjh
me aa jata hai ki Raj zaroor Riya ke chakker me hi library chalne ki baat kar raha hai par
Manish kisi bhi tarah se Raj ko Riya se dur rakhna chahta tha

Manish:- abhi library me ja ke kya karna hai pehle canteen chalte hai
Raj:- nahi yaar aaj se canteen jana band sirf library aur class

Manish:- kyu achanak tujhe kya ho gaya Raj ek gehri saans lete hue kehta hai

Raj:- yaar kal kisi ne kaha tha ki aaj se roj saath me hi padhenge Manish ko samjh me to
aa gaya tha ki Raj kiski baat kar raha hai par wo jaan kar bhi anjan banta hai

Manish:- kon hai wo jiski baat tu itni jaldi maan gaya main to kehte kehte thak gaya tha

Raj:- yaar wo cheej hi aisi hai ab Riya itne pyar se kuch bole to main mana kaise kar sakta
hon ab chal jaldi kar wo mera wait kar rahi hogi Manish ka gussa to satwe aasman tak
pahuch jata hai par wo apna gussa daba leta hai aur Raj ke saath library chala jata hai par
jaise hi dono library me entry karte hai to Manish ka mouh khula ka khula reh jata hai
uske kadam tham jate hai uske dil ki dhadkane badh jati hai samne ka nazara hi kuch aisa
tha kal tak seedhi saadhi simple si dikhne wali ladki aaj kayamat lag rahi thi ek pal ko to
viswaas hi nahi ho raha tha ki ye wahi Riya hai to hamesha salwar kurta hi pehanti thi
aankho me chasma aur baalo ki ek lambi si chooti rekhti thi sajna sawarna to jaisi usko
aata hi nahi tha par aaj ek jeans tshirt pehne baithi thi chehre me halka sa make up hontho
pe halki si lipstick baal khule maathe par ek bindi aankho par to chasma bhi nahi tha kul
milakar aaj Riya ek sex bomb lag rahi thi wo ek ada se apna sar ko halke se jhuka ke Manish
ki taraf dekh rahi thi Riya ko dekh kar Raj bhi ek pal ke liye apna sudh budh kho baithta
hai par jaldi hi apne aap ko sambhal leta hai wo dheere se Ritu ki taraf dekhta hai jo Riya
se thodi hi dur baithi hui thi Ritu muskurate hue Raj ki taraf dekh rahi thi wo ishare se Raj
se puchti ki Riya kaisi lag rahi hai Raj bhi ishare se uski tareef karta hai ab Raj Manish ko
dekhta hai wo abhi bhi but bana Riya ko hi dekhe ja raha tha Raj usse hilakar kehta hai

Raj:- kya hua aisi hi khada rahega andar nahi chalna Manish apne khabo ki duniya se
wapas aata hai

Manish:- haan haa chal na maine kab mana kiya wo dono Riya se do bench dur par theek
uske samne hi baith jate hai ab Manish kamann to padhne me bilkul bhi nahi tha wo to
bas chor nazro se Riya ko hi dekhe ja raha tha par uski ye harkat Raj se nahi chup pati wo
Manish ko aur jalane ke liye kehta hai

Raj:- bhai aaj kya maal lag rahi hai soch raha hon aaj hi use propose kar du tu kya kehta
hai Manish to ab thoda sa gussa aane laga tha

Manish:- dekh aisi bakwas baate mere samne mat kiya kar
Raj:- yaar bhadak kyu raha hai maine to aisi hi puch liya tha waise mujhe Riya ko patane
ke liye teri koi zarurat nahi hai Riya bhi abhi unki taraf hi dekh rahi Raj iss mauke ka fayda
uthate hue Manish ke samne apna hath hilakar Riya ko hey karta hai badle me Riya bhi
apna hath hilakar Raj ko hey karti hai Manish ke seene me to saanp lotne lagte hai par wo
bebas ho ker waise hi baitha reh jata hai Raj ab dheere se Ritu ki taraf dekhta hai Ritu
ishare se plan ko aage badhane ko kehti hai ab Ritu ishare se Riya ko bahar jaane ko kehti
hai wo uthke bahar jane lagti hai jise dekh Raj bhi Manish se kehta hai

Raj:- chal bahar chalte hai

Manish:- kyu ab kya hua Raj Riya ki aur ishara karte hue kehta hai

Raj:- dekh bhai wo bhi bahar ja rahi hai yahi sahi mauka hai usse baat karne ka ab chal
jaldi se Manish gusse se Raj ki taraf dekhte hue kehta hai

Manish:- mujhe nahi jana tu jaa aur jo marzi kar

Raj:- yaar chal na tu saath me rahega to thodi himmat bani rahegi Manish ka gussa dheere
dheere badhta ja raha tha

Manish:- dekh ek baar bol diya na ki nahi jana apni in harkato se mujhe dur rakh

Raj:- yaar tu mere liye itna nahi kar sakta tujhe kuch nahi karna hai bas saath khade rehna
baki baat main khud kar lunga plz bhai chal na tujhe meri kasam ab kuch bhi ho Manish
Raj ki kasam nahi tod sakta tha gusse se uska chehra lal ho jata hai na chahte hue bhi usko
Raj ke saath jana pad raha tha

Manish:- dekh ye tu sahi nahi kar raha hai tujhe jo karna hai wo kar mujhe beech me lana
zaruri hai kya Raj iska koi jawab nahi deta wo bas mushkurata hua bahar ki or jane lagta
hai Manish bhi uske peeche peeche chal deta hai uska dil to Raj ko rokne ki bohat kosis
kar raha tha par uski himmat uska saath nahi de rahi thi usko Riya ab usse dur jati nazar
aa rahi thi wo to bhagwan se yahi prarthana kar raha tha ki bas ek baar Riya Raj ko mana
kar de aur saath me uss pal ko bhi koos raha tha jab usne Raj se ye kaha tha ki wo Riya se
pyar nahi karta jabki sacchai to ye hai ki Manish Riya se bohat pyar karta tha par kabhi
usse bol hi nahi paya dono library se nikal kar bahar aate hai bahar Riya unhi ka wait kar
rahi thi dono Riya ke pass jate hai Manish Raj aur Riya se thoda dur hat jata hai uska dil
bechain ho utha tha Riya ko khone ka dar uski aankho me saaf dikhai de raha tha wo chup
chap un dono ki baate sun raha tha

Raj:- waw Riya aaj to tum kamal ki lag rahi ho


Riya:- (muskurate hue) thanks Raj

Raj:- waise aaj ye bijli kis par girane wali ho

Riya:- hai koi

Raj:- acha ye batao aaj shaam ko kya kar rahi ho

Riya:- kuch khas nahi kyu

Raj:- to fir aaj shaam ko mujhse mil sakti ho wo bhi akele

Riya:- haan kyu nahi tum bulao aur main na aau ye kaise ho sakta hai

Raj:- to theek hai aaj shaam 4 baje wo jo thodi dur par Radha Krishan ka mandir hai wahi
par ok

Riya:- theek hai main pahuch jaungi Manish bilkul shoked reh jata hai wo to soch bhi nahi
sakta tha ki Riya Raj se akele milne jaayegi tab tak Riya jaa chuki thi Raj Manish ki taraf
muskurate hue dekhta hai

Raj:- yaar ab dekhna shaam ko main kaise Riya ko propose karta hon chal ab class me
chalte hai Manish ka dil fata ja raha tha uska pyar uski aankho ke samne cheen raha tha
aur wo bebas hokar dekh raha tha bujhe hue dil se wo Raj ke saath class ki taraf chal deta
hai abhi thodi hi dur gaye the ki Raj bol pada

Raj:- are yaar main to bhool hi gaya tu ek kaam kar tu class me jaa main abhi aata hon par
Raj ki baat ka Manish koi jawab nahi deta wo to apni hi duniya me khoya hua chalta chala
jata hai Raj palat kar library chala jata hai Ritu abhi bhi wahi baithi hui thi Raj ishare se
Ritu ko library ke dusre wale room me chalne ko kehta hai aur khud usse pehle chala jata
hai Ritu bhi uthkar ussi room me jati hai us din ki tarah aaj bhi waha koi nahi tha Ritu Raj
ko dhundti hai par Raj kahi nazar nahi aata wo Raj ko dhundti hui ussi jagah par jati hai
jaha wo Raj se uss din lipti thi par Raj waha bhi nahi tha wo abhi peeche palatne hi wali
thi ki Raj ne usse peeche se jakad liya

Raj:- I love you jaan tadap gaya tha tumhe apni baaho me lene ke liye

Ritu:- I love you too jaan main bhi to tadap gayi thi tumhari baaho me aane ke liye itna
kehkar Ritu ghum jati hai aur kas ke Raj se chipak jati hai dono thodi der tak aise hi ek
dusre ki baaho me samaye apni aankhe band kiye ek dusre ke prati apne pyar ko mehsus
karte hai abhi wo dono apni yaado me khoye hue the ki achanak kisi ke aane ki aahat se
dono ghabra kar alag ho jate hai Raj ussi rack ke side se jhank kar dekhta hai samne Riya
khadi thi ab dono waha se nikalkar Riya ke samne aa jate hai

Raj:- kya hua Riya tum yaha

Ritu:- tumhe to plan ke mutabik Manish ke aas pass hi rehna tha to tum yaha kya kar rahi
ho Riya ke chehre me ke dard tha jaise usse kisi cheej se bohat takleef ho rahi ho

Riya:- nahi ab main aur ye natak nahi kar sakti mujhse Manish ki halat dekhi nahi ja rahi
tut gaya hai wo ab mujhe pata chal gaya hai ki wo mujhse bohat pyar karta hai wo nahi
bol pa raha hai to kya hua main hi jakar usse bol deti hon ab mujhse bhi nahi saha jata

Raj:- nahi Riya abhi tum aisa kuch bhi nahi karogi usse thoda aur tadapne do aakhir wo hi
tum se bolega

Ritu:- haan Riya aur uss tadap ke baad usse jo sukun milega iska andaza laga pana
namumkin hai

Riya:- par main usko aise tadapta hua nahi dekh sakti

Raj:- are bas thodi hi der ki to baat hai fir wo hamesha ke liye tumhara ho jayega

Ritu:- Riya ab thoda sa apne upar control rakho aur hum pe bharosa sab theek ho jayega
ok Riya beman se unki sehmati me apne sar hila deti hai

Ritu:- ye hui na baat ab chalo class me chalte hai dono waha se jane lagte hai par abhi
dono do hi kadam chalte hai ki Ritu palat kar Raj ki taraf daud kar aati hai aur Raj ke hontho
pe ek kiss karke jaldi se bhag jati hai Riya ye dekh kar mushkuraye bina nahi reh pati aur
wo bhi Ritu ke peeche chal deti hai unke jane ke thodi der baad Raj bhi library se nikal kar
class me pahuch jata hai Manish apna sar zukaye baitha tha aisa lag raha tha jaise uske
sharir me jaan hi nahi hai Raj jakar uske bagal me baith jata hai Manish abhi bhi waise hi
baitha raha Raj uske dil ke dard ko samjh sakta tha iss liye wo usse aur nahi chedta dono
chup chap baithe rehte hai class suru ho jati hai Manish kamann aaj padhne me bilkul nahi
lag pa raha tha wo Riya ko kho dene se itna dukhi ho gaya tha ki ab uske andar itni himmat
bhi nahi bachi thi ki apna sar utha kar Riya ki taraf dekh sake wo abhi foot foot kar rona
chahta tha par yaha wo ro bhi nahi pa raha tha wo yaha ab bilkul bhi nahi rukna chahta
tha par wo kar bhi kya sakta tha jaise taise college khatam hua Manish bina kuch bole hi
waha se jaldi se chala gaya Raj ne usse awaaj di par tab bhi wo na ruka ye dekh kar Riya
bilkul ghabra jati hai aur jaldi se Raj ke pass aati hai
Riya:- Raj ye Manish ko kya ho gaya tumne usse roka fir bhi wo nahi ruka mujhe bohat dar
lag raha hai

Raj:- lagta hai wo bohat zyada upset ho gaya hai ek kaam karo tum abhi Ritu ke saath
mandir pahucho main usse lekar waha pahuchta hon aur haan waha pahuch kar tum
garden me hamara wait karna aur Ritu se kehna ki wo mandir ke andar hi rahe taki uss
samay Manish ki nazar uss par na pade main usse baad me uske samne launga ok

Riya:- haan ok ye keh kar Raj bhi waha se tezi se hostel ki aur chal deta hai hostel pahuch
kar Raj apne room ki taraf jata hai uska dil zor zor se dhadak raha thamann me gande
gande khayal aa rahe the ki Manish ne kahi kuch galat na kar liya ho room ka door band
tha wo jaise hi door knock katra hai to darwaja apne aap hi khul jata hai wo jaldi se andar
aata hai to dekhta hai ki Manish bed me leta hua ro raha tha Raj ek lamdi rahat ki saans
leta hai wo thodi der tak Manish ko aise hi rote hue dekhta hai Manish apni aankhe band
kiye hue aansu bahaye ja raha tha usse to ye bhi nahi pata tha ki Raj room me aa chuka
hai Manish ki aisi halat dekh kar Raj ko bohat gussa aata hai wo Manish ke pass jakar

Raj:- kya hua tujhe tu ro kyu raha hai Raj ki awaaj sunkar Manish ekdum chonk jata hai
aur hadbada kar uthakar baith jata hai aur jaldi se apne aansu ponch leta hai

Manish:- kuch nahi yaar wo aankh me kuch chala gaya tha Raj ka gussa ab aur bhi badh
jata hai

Raj:- tujhe malum hai ki tu theek se jhoot bhi nahi bol pata wo bhi mujhse

Manish:- yaar main sach keh raha hu

Raj:- bakwas mat kar aur chal mere saath Raj Manish ka hath pakad kar le jane lagta hai

Manish:- yaar tu le kaha ja rah hai

Raj:- apna mouh band rakh aur chup chap chal Raj uska hath pakad kar mandir ki taraf
chala ja raha tha Manish usse baar baar puchta raha par Raj chup hi raha thodi der me
dono mandir pahuch gaye mandir pahuch kar Manish ekdum ghabra jata hai

Manish:- yaar tu mujhe yaha kyu laya Raj ab bhi kuch nahi bola wo bas Manish ko
kheechta hua mandir ke andar le gaya Raj Manish ko kheechta hua mandir ke peeche
bane garden me le gaya jaha Riya khadi unka wait kar rahi thi jaise hi Manish ki nazar Riya
pe padti hai to uske kadam wahi ruk jate hai uski aankhe geeli ho jati hai wo apne aap ko
bohat rokta hai per sab bekar uski aankho se aansu beh hi jate hai ye uske dil ka dard tha
jo aansu bankar uske aankho se beh rahe the uske aansuo ko koi dekh na le iss liye wo
apna mouh ghuma ke khada ho jata hai Riya jo thodi dur par khadi thi Manish ke aansu
dekhkar daudti hui uske pass aa jati hai abhi Riya kuch bolne hi wali thi ki Raj ne ishare se
usse chup rehne ko kaha aur khud bol pada

Raj:- yaar ab kya hua tujhe aankh me fir kuch chala gaya kya Manish koi jawab nahi deta
wo bas chup chap dusri taraf muh ghumake khada rehta hai uski khamoshi dekhkar Riya
tadap uthti hai par Raj fir se usse chup rehne ko kehta hai Raj yaar main yaha tujhe apni
khusi me shamil karne ke liye laya tha aur tu ro raha hai Manish ab bhi chup rehta hai

Raj:- tujhse meri khusi dekhi nahi ja rahi hai kya tujhe jalan to nahi ho rahi hai ki main Riya
ko propose karne wala hon ya kahi aisa to nahi ki tu bhi Riya se pyar karta hai bas Raj ka
itna bolna tha ki Manish palat kar khada ho jata hai ab usse apne aap par control nahi
rakha gaya uska chehra aur aankhe dono gusse se lal ho chuki thi wo chilla kar Raj se kehta
hai

Manish:- haan main Riya se pyar karta hon bohat pyar karta hon apni jaan se zyada usse
chahta hon Raj ke honto par ek vijayi mushkaan phail jati hai yahi to wo chahta tha ki
Manish khud apne dil ki baat Riya ke samne rakkhe

Wahi dusri taraf Riya ye sun kar ekdum stabdha reh jati hai usse ye to pata tha ki Manish
usko pyar karta hai par ye nahi pata tha ki itna uski aankho se bhi aansu girne lagte hai
wo ek tak Manish ko hi dekhe ja rahi thi insab se bekhabar Manish apni hi baat bolne me
laga hua tha

Manish:- haan main jal raha hon tujhse nahi bardast kar pa raha hon ki tu mere aankho
ke samne hi mari Riya ko le jaye man to kar raha hai ki tujhe jaan se mar du par aisa kar
nahi sakta dost jo hai tu mere pyar jo karta hon tujhse aur tu tu bhi nahi samjh paya ki
mere dil me kya hai dost kehta hai na tu apne aap ko mera yahi teri dosti hai ki apne dost
ke dil ki baat nahi samjh saka Raj chup chap mushkurata hua usse dekhta rehta hai Manish
ab Riya ki taraf dekh kar kehta hai

Manish:- aur tum Riya tumhe main kya kahu tumhe bhi mari aankho me kuch nahi dikha
jab rona ho to Manish jab hasna ho to Manish par jab pyar karna ho to koi aur tab main
kyu nahi aakhir kya kami reh gayi mujh me bas ek baar bol deti are jo tumhare liye apni
jaan de sakta hai wo tumhare liye badal bhi sakta tha tum dono hi mere dil ke kareeb the
par tum dono ne hi mujhe dhoka diya hai nahi ab main yaha aur nahi ruk sakta tum dono
ko jo karna hai wo karo par aaj ke baad se main tum logo ki sakal bhi nahi dekhna chahta
itna kehkar Manish waha se jane lagta hai par wo jaise hi 1 kadam badhata hai Raj uska
hath pakad leta hai
Raj:- bol liya tujhe jo bolna tha ab tu meri sun

Manish:- hath chod mera ab kehne sunne ko kuch bacha hi nahi hai Raj usse kheech kar
apni taraf ghumata hai

Raj:- baki hai abhi kehne ko bohat kuch hai abhi kya keh raha tha tu ki main tujhe nahi
samjh saka ye Riya jo aaj saj sawar kar yaha khadi hai wo meri liye hai nahi mere bhai abhi
tak jo ho raha tha wo sab natak tha asal me Riya bhi tujhse utna hi pyar karti hai jitna ki
tu yaar main to bohat pehle hi samjh gaya tha ki tu Riya se pyar karta hai par mujhe ye
nahi pata tha ki tu itna bada idiot hai jo kabhi isse I love you nahi bol paya iss liye maine
oh sorry humne ye plan banaya main chahta tha ki tu khud Riya se apne dil ki baat kare
Manish ekdum shocked reh jata hai uske behte aansu tham jate hain usse kuch samjh me
nahi aa raha tha wo kabhi Raj ko to kabhi Riya ko dekh raha tha

Manish:- kya matlab

Raj:- matlab tu ekdum duffer hai main koi Riya se pyar wayar nahi karta Riya sirf teri hai
ab ja aur usse apni baaho me bhar le kab tak rulayega usse bechari kab se tadap rahi hai
Raj Manish ko ek halka sa dhakka dekar Riya ke samne khada kar deta hai Riya ki aankho
me abhi bhi aansu the Manish apne hath se uske aansuo ko pochta hai

Manish:- mujhe maaf kar do Riya aaj meri wajah se tumhari aankho me aansu hai par
promise karta hon ki aaj ke baad se kabhi tumhari aankho me aansu nahi aane dunga
Manish itna keh hi pata hai ki Riya uske gale lag jati hai Manish bhi usko baaho me bhar
leta hai iss waqt un dono ko jo sukun mil raha tha iska andaza laga pana bhi mushkil tha
iss pal ka dono ko kab se intezar tha aaj jake unke bechain dil ko aaram mila tha dono
thodi der tak ek dusre ki baaho me dono khoye rehte hai fir dheere se dono alag hote hai
alag hote hi Manish Raj se kehta hai

Manish:- thanks bhai aaj agar tu na hota to Riya mujhe nahi milti waisi ye sari planning
teri thi Raj ab serious ho jata hai kyuki ab waqt aa chuka tha ki usse Ritu ke baare me sab
kuch Manish ko batana tha Ritu jo abhi mandir ke andar Raj ka wait kar rahi thi Raj kuch
der tak sochta hai ki baat kaha se suru karu itne me Manish fir bol pada

Manish:- bhai ek baat bolu jis tarah tune mujhe mera pyar dilwa diya ussi tarah tu bhi
apne liye koi dhund le sach yaar bina pyar ke ye zindagi aadhuri hai Manish ki baat se Raj
thoda mushkura deta hai par wo kuch bolne hi wala tha ki Riya bol padi

Riya:- Manish tum Raj ki tension mat lo usne apne liye pehle se hi koi dhund rakhi hai
Manish ye sunte hi khush ho jata hai
Manish:- yaar tune mujhe bataya nahi fir usse kuch yaad aata hai

Manish:- 1 minute jab ye baat mujhe nahi pata to Riya ko kaise pata chali ab Raj ka bolna
zaruri tha

Raj:- wo iss liye ki ye sari planning ussi ki thi iss wajah se Riya ko sab batana pada waise
main tujhe uss ladki ke bare me batana chahta tha par himmat nahi ho rahi thi iss liye
usne ye plan banaya taki tu usse galat na samjh sake Raj ki baat se Manish thoda soch me
pad jata hai usse kuch samjh me nahi aa raha tha ki aakhir wo ladki hai kon

Manish:- bhai wo ladki hai kon mujhse nahi milwaoge

Raj:- (muskurate hue) tu usko janta hai aur wo yahi par hai Manish ekdum chonk jata hai
apne charo taraf nazar ghumata hai

Manish:- kaha hai wo yaar paheliya mat buzha jaldi se bata na

Raj:- ruk main le kar aata hon par ek promise kar ki tu usse dekh kar bhadakega nahi aut
meri baat puri sunega ok Manish usse dekhne ke liye itne utawla ho gaya tha ki usne theek
se Raj ki baat ko bhi nahi suna

Manish:- haan haa theek hai tu pehle usse le kar aa Raj ab jaldi se mandir ke andar jata
hai

Udhar Raj ki ghair hazri me Manish Riya se puchta hai

Manish:- yaar ab tum to batao ki wo ladki hai kon tumne to usse dekha hi hoga

Riya:- nahi Manish main nahi bata sakti abhi Raj usse le kar aa raha hai tab tum khud hi
dekh lena

Manish:- tum sab mile hue ho mat batao main khud hi dekh lunga

Wahi mandir ke andar Ritu abhi bhi Raj ka wait kar rahi thi jaise hi Raj andar aata hai Ritu
khadi ho jati hai Raj jaise hi uske pass aata hai wo Raj se puchti hai

Ritu:- kya hua jaan Manish maan gaya tumne usko meri mazburi bata di na ab wo mujhe
samjh to gaya na naraz to nahi hai na wo mujhse

Raj:- jaan abhi tak maine usse kuch nahi bataya bas yahi bola ki main bhi kisi se pyar karta
hon par wo kon hai ye wo nahi janta ye sunkar Ritu udhas ho jati hai Raj dheere se uske
chehre ko apne hath se thoda upar uthata hai
Raj:- jaan udhas mat ho main tumhe uske samne le jane aaya hon chalo mere saath Ritu
ghabra jati hai

Ritu:- mujhe bohat dar lag raha hai jaan agar wo mujhe galat samjh baitha to main tumhe
kisi bhi halat me nahi khona chahti mujhe tum chod to nahi doge na jaan main mar jaungi
Ritu ki baat se Raj ko thoda gussa aa jata hai

Raj:- pagal ho kya ye kya sab ulta seedha bol rahi ho aisa kuch bhi nahi hoga ab bekar ki
baate chodo aur chalo mere saath ye keh kar Raj Ritu ka hath pakad kar le jata hai udhar
Manish aaj bohat hi khush tha ek taraf usse uska pyar mil gaya tha wahi dusri taraf uska
dost uss ladki ko la raha tha jisse wo pyar karta tha itni hi der me usne na jane kitne sapne
dekh dale honge ki charo milkar kitni masti karenge yaha jayenge waha jayenge aisa
karenge waisa karenge aur na jane kay kya uski khusi ka to koi thikana hi nahi tha par uski
ye khusi bas thodi hi der tak ki thi jaise hi Raj Ritu ko lekar samne aata hai to na jane
Manish ki khusi kaha gum ho jati hai Ritu ko dekh kar wo bilkul shocked reh jata hai uske
pairo tale zameen hi khisak jati hai wo kabhi Raj ko to kabhi Ritu ko dekh raha tha use to
vishwash hi nahi ho raha tha ki Raj Ritu se pyar karta hai wahi Ritu jisse wo itni nafrat
karta tha jisne usse neecha dikhane ke liye kya kuch nahi kiya ye Raj ko hua kya hai usse
to kuch samjh me nahi aa raha tha wo abhi apne soch me duba hua tha ki Raj bol pada

Raj:- bhai yahi hai wo jisse main pyar karta hon

Manish:- yaar tu hosh me to hai ye kya bol raha hai tu tu isse pyar karta hai Ritu uss samay
sar jhuka ke chup chap sehmi hui khadi thi uske dil me ek ajeeb sa dar tha pata nahi
Manish unke iss rishte ko manega bhi ya nahi Raj ab Ritu ki taraf dekhta hai Ritu ke dil me
uth rahe toofan ko wo achi tarah samjh sakta tha

Raj:- haan main issi se pyar karta hon meri jaan hai ye are yaar ye jaan to bohat chote
shabdha hai iski liye ye usse kahi badhker hai ye meri zindagi hai mere zeene ka maksad
hai ya aisa bol ki agar ye hai to main bhi hon iske bina main zinda nahi reh paunga

Manish:- tu pagal ho gaya hai tu isse kaise pyar kar sakta hai tu bhool gaya ki isne tere
saath kya kya kiya ya sab jante hue bhi apni aankho me patti bandh rakhi hai yaar ye ladki
tere liye theek nahi hai tujhse pyar karne ke peeche zaroor iska koi na koi swarth hoga

Raj:- haan swarth hai isse apne zeene ka swarth hai ye mere pyar me zeena chahti hai iss
liye ye swarthi hai ye mujhse bepanah mohobbat karti hai iss liye ye swarthi hai apne sare
aisho aaram chod kar sirf mere rang me rangna chahti hai iss liye ye swarthi hai mere liye
akele puri duniya se lad sakti hai iss liye ye swarthi hai aur to aur mere ek baar kehne par
haste haste apni jaan bhi de sakti hai iss liye ye swarthi hai bhai agar teri nazar me ye sab
swarth hai to main bhi swarthi hu tu bhi swarthi hai ye Riya bhi swarthi hai itna hi nahi is
duniya me har wo insan swarthi hai jisne pyar kiya hai kehte kehte Raj chup ho jata hai
charo taraf khamosi cha jati hai Ritu abhi bhi sar jhukaye waise hi khadi hui thi ab Manish
Raj ke pass jakar uske kandhe par hath rakhkar kehta hai

Manish:- yaar main tere zajbaat ki kadar karta hon par ek baar tu apne dil me hath rakh
ke bol ki tu Ritu par bharosha kar sakta hai ye sunkar Raj ko thoda gussa aa jata hai wo
Manish ka hath jhatak deta hai

Raj:- yaar ye kehkar tune uspar nahi mere pyar pe shak kiya hai yaar tune mujhe chota
bana diya main khud se zyada is par bharosha karta hon iski ek hasi ke liye main kuch bhi
kar sakta hon yaar tu samjh nahi raha mere bina mar jayegi ye abhi tujhe sacchai nahi
pata

Manish:- to fir dol na ki aakhir baat kya hai aisa kya hua jo tu Ritu se itna pyar kar baitha
Raj ek gehri saans leta hai

Raj:- to sun ye keh kar Raj usko puri baat batane laga ki kis tarah uske ghar jane ke baad
Ritu usse mandir me mili kis tarah Ritu ki diary usse mili fir kaise Ritu ne apne dil ki baat
usko batai sari baate Raj Manish ko batata chala gaya jaise jaise Raj Manish ko bata raha
tha waise waise Manish ko apni galti ka ehsaas hota ja raha tha Raj ki puri baat sunne ke
baad Riya apne aap par control na kar saki uski aankho se aansu behne lage wahi Manish
ki bhi aankhe bhar aayi thi par usne apne aap par control kar rakha tha par ab usse aur na
raha gaya wo jaldi se Raj ke gale lag gaya

Manish:- bhai mujhe maaf kar de mujhse bohat badi galti ho gayi maine tere pyar par shak
kiya maine tera dil dukhaya apne dost ka dil dukhaya lanat hai mujh par bina soche samjhe
na jane kya kya bol diya Raj bhi uske gale lage hue kehta hai

Raj:- yaar mera to theek hai par tune mera nahi Ritu ka dil dukhaya hai agar tujhe maafi
mangni hi hai to usse mang

Manish:- haan bhai main usse bhi maafi mangta hon ye kehkar Manish Ritu ki taraf palat
ta hai Ritu abhi bhi sar jhukaye chup chap aankho me aansu liye khadi thi

Manish:- Ritu mujhe maaf kar do main bina tumhari sacchai jane na jane tumhare bare
kya kya bolta raha aaj meri wajah se tumhari aankho me aansu aaye hai tum iske liye
mujhe jo bhi saza dogi mujhe manzoor hogi
Ritu:- nahi Manish isme tumhari koi galti nahi hai tum jo kar rahe the wo apne dost ki
bhalai ke liye kar rahe the tumhari jagah koi bhi hota to yahi karta waise main hon bhi is
layak ki sab mujhse nafrat kare pyar to maine kisi ko diya hi nahi tha jiske badle main kisi
se pyar ki ummed kar saku

Manish:- tum jo bhi bolo Ritu par ye to sach hai ki aaj mari wajah se tumhari aankho me
aansu aaye hai iske liye main apne aap ko kabhi maaf nahi kar sakta Manish abhi bol hi
raha tha ki Riya bhi bol padi

Riya:- haan Ritu Manish theek keh raha hai aur uske saath saath main bhi saza ki haqdar
hon main bhi tumhare bare me kitna galat sochti thi tumhe hamesha ek ziddi ghamandi
badtamiz aur bigdi hui ladki samjhti thi par mujhe nahi pata tha ki uss Ritu ke peeche ek
pyari si komal si ladki bhi hai jo kisi se itna pyar karti hai ki uske liye apni jaan bhi de de jo
har kisi ki madad karna chahti hai are main to ye bhi bhool gayi thi ki aaj sarf tumhari
wajah se main apne pyar ko paa saki hon aur maine tum par hi shak kiya saza to mujhe
bhi milni chahiye Ritu apne aansuo ko ponch kar halka sa mushkurati hai aur aage badhkar
Riya ko gale se laga leti hai

Ritu:- tum log mujhe samjh sake bas mere liye yahi bohat hai aur mujhe kuch nahi chahiye
aur haan Manish tumhe apna dil chota karne ki koi zarurat nahi mere ye aansu khusi ke
the Ritu dheere se Riya ko apne se alag karti hai aur Raj ke pass jakar uske ek gaal par
apna ek hath rekhkar kehti hai Ritu iska mere prati itna pyar itna samman dekh kar meri
aankh bhar aayi thi aur main apne aapko na rok saki aaj isne sabke samne mera maan
rekh liya aise pyar karne wale par to main apne sare sukh sari khusiya kurban kar du I love
you jaan bohat pyar karti hon tumse itna keh kar Ritu Raj ke gale lag jati hai Raj bhi usko
apni baaho me kasta chala jata hai

Raj:- I love you too jaan undono ka aisa pyar aisa viswaas dekh kar Manish aur Riya ke
hontho par mushkurahat aa jati hai Raj ke dil me Manish ko lekar jo dar tha wo ab nikal
chuka tha uske dil me ab bohat shanti thi jaise usne puri duniya jeet li ho unko kafi der se
issi tarah chipke hue dekh kar Manish kehta hai

Manish:- ab bas bhi karo yaar hum bhi hai yaha ab tum dono iske aage aur kuch suru mat
kar dena ye sunte hi dono jaldi se alag ho jate hai saram ke mere Ritu apna sar neeche
jhuka leti hai fir Raj Manish se bolta hai

Raj:- oye bakwas band kar hum aisa waisa kuch bhi nahi karne wale the
Manish:- haan bhai wo to dikh hi raha tha khair wo chod ab ye bata ki aage kya karne wala
hai

Raj:- karna kya hai thodi der aur baith kar wapas room me chalenge

Manish:- are mere pagal premi main abhi ki baat nahi kar raha hon main uss kamine Vinod
ki baat kar raha hon uska kya karna hai kahi Ritu se pyar karne ke chakker me tu usse to
nahi bhool gaya na Vinod ka naam sunte hi Raj aur Ritu ki sari khusi gayab ho jati hai Ritu
ghabra kar Raj ki taraf dekhti hai uska dar saaf uske chehre se pata chal raha tha

Raj:- haan yaar uska kuch na kuch to karna hi padega par kya karu ye samjh me nahi aa
raha Manish muskurate hue uski taraf dekhta hai

Manish:- tu uski tension mat le ab ye sab mujh par chod de mere pass ek plan hai bas tum
sab logo ko isme mera saath dena hoga Manish ki baat se sabki aankho me ek chamak aa
jati hai

Riya:- main Ritu ke liye kuch bhi karne ko tayar hon

Manish:- thanks Riya mujhe tumse yahi ummed thi aur Raj tu

Raj:- abe sale ye tu mujhse puch raha hai meri jaan hai ye iske liye ab iske aage Raj kuch
aur bol pata Manish ne usse tok diya

Manish:- ab dilouge marna band kar hum sabko pata hai ki tu Ritu ke liye apni jaan bhi de
sakta hai bs ab dekhna ye Vinod kaise Ritu ki life se out hota hai

Ritu:- nahi Manish tum log mere liye apni life khatre me mat dalo tum nahi jante Vinod
ko

Manish:- shayad tum mujhe nahi janti bhagwan ne mujhe jo dimag diya hai shayad hi aur
kisi ko diya ho dekh lena Vinod khud tumhari life se chala jayega aur waise bhi dost ho ab
itna haq to banta hai yaar Manish ki baat se Raj ko bohat tasalli milti hai ki chalo koi to hai
jo iss ladai me uske saath hai Raj ab sari tensiono se mukt ho jata hai par Raj ye nahi janta
tha ki uski life me ek aur twist aane wala hai Sonal charo thodi der tak waha baithane ke
baad apne apne room chale jate hai room me pahuch kar Raj Manish se kehta hai

Raj:- yaar tere pass aisa kon sa plan hai tu karne kya wala hai

Manish:- dekh bhai abhi to koi plan nahi hai maine to aise hi bol diya tha

Raj:- sale to waha sab ke samne itni dinge kyu haak raha tha
Manish:- yaar tune Ritu ka chehra dekha kitna dar gayi thi Vinod ka naam sunte hi maine
to uska dar kam karne ke liye thoda sa jhoot bol diya

Raj:- abe tune ye thoda sa jhoot bola tere iss jhoot ke chakker me pata nahi maine kya
kya soch liya tha socha tha chalo koi to hai jo mera saath dega par tu to chal chod ab jo
karna hai mujhe hi karna hai

Manish:- par bhai main tere saath hamesha rahunga tere har kaam me main tera saath
dunga promise

Raj:- nahi yaar tu kyu faltu me beech me kood raha hai main apne tarike se sab kar lunga
tu tension mat le par han mujhe jab teri zarurat hogi tab bol dunga ok

Manish:- haan ok par tu karega kya

Raj:- pata nahi chal jo hoga dekha jayega ab wo sab chod aur ye bata ki Riya ke saath aage
ka kya plan hai usse kahi lekar ghumne nahi jayega

Manish:- kaha jaon yaar main to yaha kuch theek se janta bhi nahi Raj kuch sochne lagta
hai ki achanak usse yaad aata hai

Raj:- (mann main) yaar main to uss water fall ke bare me bhool hi gaya tha jaha hum sab
picnic manane gaye the kya mast jagah thi maine to socha bhi tha ki ek din main aur Ritu
waha zaroor jayenge haan yahi sahi mauka hai ab hum charo waha jayege maza aa jayega
Raj ke chehre me mushkurahat phail jati hai Manish Raj ko muskurate dekh puchta hai

Manish:- yaar tu itna mushkura kyu raha hai kuch yaad aa gaya kya

Raj:- haan yaar ek jagah hai badi mast hai chalega waha maza aa jayega charo khoob masti
karenge

Manish:- kon si jagah aur kaha hai wo

Raj:- bas yaha se 20-25 kilometer par hi hai ek water fall hai main ja chuka hon jab tu ghar
gaya tha tab hostel ke sare students ke saath Manish kuch sochne lagta hai

Raj:- kya sochne laga ek baar chal ke to dekh maza aa jayega

Manish:- yaar main soch raha hon ki agar Riya ne mana kar diya to

Raj:- yaar wo kyu mana karne lagi dekh college ka time 9 se 2 ka hai hum 9:15 ki bus pakad
sakte hai 1 se 1:30 ghante lagte hai waha jane me thodi der masti karenge waha jake fir
3:30 ki bus pakad kar wapas aur uss din Riya apni maa se thoda jhoot bol degi ki college
me extra class hai kyu theek hai na Manish ekdum khush ho jata hai

Manish:- wah bhaimann gaye tujhe kya planning ki hai main abhi Riya ko phone karke sab
bata deta hon aur Manish Riya se phone par baat karne laga tab tak Raj bhi Ritu ko phone
karne ki sochta hai wo abhi soch hi raha tha ki Ritu ka hi phone aa jata hai ye dekhkar Raj
mushkuraye bina nahi reh pata wo jaldi se phone uthata hai

Raj:- hay meri jaan kitni lanbi umar hai tumhari abhi tumko hi phone karne wala tha ki
tumhara hi aa gaya

Ritu:- acha aisi kya baat hai

Raj:- hai ek baat lekin pehle tum ye batao ki tumne kyu phone kiya

Ritu:- kyu main apni jaan ko phone bhi nahi kar sakti meramann hua to kar diya

Raj:- itna himann kar raha hai to bolo aaj raat ko aa jaon tumhare room me

Ritu:- nahi koi zarurat nahi hai itna risk lene ki kal college me mil lena

Raj:- ab college me wo maza kaha waise bhi tumse kuch lena bhi to hai

Ritu:- kya

Raj:- bas ek kiss

Ritu:- bade aaye kiss karne wale main nahi dungi koi kiss wiss

Raj:- theek hai dekhta hon ki kaise nahi dogi kal college me na kiss kiya to mera naam Raj
nahi

Ritu:- theek hai dekhti hon ab chodo ye sab mujhe tumse ek baat karni hai ek surprise hai
tumhare liye

Raj:- kya

Ritu:- thoda control karo kal subah tumko mil jayega college ke baad

Raj:- yaar bolo na kya hai jab nahi bolna tha to bataya hi kyu ab raat bhar neend nahi
aayegi

Ritu:- jaan agar abhi bata diya to surprise ka sara maza khatam ho jayega to plz thoda
sabar kar lo
Raj:- theek hai jaan tadpa lo mujhe

Ritu:- nahi jaan tadpa nahi rahi hon bas bata diya tumhe janna hai to suno Raj beech me
hi baat katte hue kehta hai

Raj:- nahi jaan main mazak kar raha tha tumhe jab jo karna hai karo ok

Ritu:- ok mera sona chalo bye

Raj:- are ruko mujhe tumse kuch baat karni hai

Ritu:- haan bolo

Raj:- maine kal ke liye ek plan banaya hai ghumne ka chalogi na

Ritu:- tum jaha le jaaoge main bina kuch bole chalungi

Raj:- puchogi nahi ki kaha

Ritu:- jaan mujhe kuch nahi puchna tumne jo socha hoga acha hi hoga

Raj:- theek hai jaan to fir kal tayar rehna 9 baje ok

Ritu:- ok

Raj:- bye jaan I love you

Ritu:- I love you too jaan bye Raj phone kat deta hai tab tak Manish ki bhi baat ho chuki
hoti hai

Manish:- bata diya usse

Raj:- haan bhai bol diya aur tune maan gayi wo

Manish:- haan yaar wo maan gayi par teri planning ka jawab nahi wo dono abhi baat kar
hi rahe the ki Manish ke phone ki ghanti bajti hai wo jaldi se phone dekhta hai

Manish:- are Sonal didi ka phone Raj ye naam sunte hi chonk jata hai

Manish:- haan didi bade dino baad yaad aayi meri

Sonal:- kya karu tu to kabhi yaad hi nahi karta iss liye maine hi socha kyu na main hi tujhe
phone karu aur bata kya kar raha tha

Manish:- kuch nahi padh raha tha uske baad khana khakar so jaonnga
Sonal:- chal koi baat nahi acha maine tujhe iss liye phone kiya ki kal tujhe yaha aana hai
aur Raj ko bhi lekar aana hai Manish thoda pareshan ho jata hai

Manish:- par didi achanak sab theek to hai na

Sonal:- haan sab theek hai parsho mom dad ki shadi ki salgirah hai to unka order hai ki
tum dono ko ek din pehle yaha aana hai Sonal ki baat sunkar Manish aur pareshan ho jata
hai usse to kuch samjh me hi nahi aa raha tha ki wo ab kya kare

Manish:- par didi yaha padhai kuch zyada hai to aana thoda mushkil hai

Sonal:- mujhe kuch nahi pata tum dono yaha aa rahe ho bas bhaiya bhi job ke silsile se
bahar hai aur yaha bohat sare kaam hai ab bahane band karo aur jaldi se kal subah ki bas
pakad kar yaha aa jana nahi to mom tumse kabhi baat nahi karegi ok itna kehkar Sonal
phone cut kar deti hai

Udhar Raj Manish ke chehre me aayi pareshani ko padhne ki kosis karta hai par kuch samjh
nahi pata

Raj:- yaar kya hua kya keh rahi thi wo

Manish:- yaar ek problem ho gayi hai

Raj:- kya hua theek se bata na

Manish:- yaar kal hame Sonal didi ke ghar jana hai wo bhi subah wali bus se sara plan
bekar ho gaya

Raj:- yaar hua kya hai kyu jana hai

Manish:- yaar wo parsho mausa mausi ki marriage anniversary hai aur hame kal hi waha
bulaya hai Raj bhi ye sunkar pareshan ho jata hai usse ek ek karke wo sari ghatnaye yaad
aane lagti hai jo Sonal ne uske saath ki thi uske chehre me ab gusse ke bhaw aa jate hai

Raj:- yaar tu koi bahana nahi bana pa raha tha

Manish:- bhai maine bola tha ki padhai ka loss ho jayega par wo kehne lagi ki agar hum
nahi gaye to mausi fir mujhse kabhi baat nahi karengi ab tu hi bol ki main kya karu

Raj:- main nahi jaunga tu hi chala ja

Manish:- yaar aisa mat bol unhone hum dono ko bulaya hai aise me tu agar nahi jata to
acha nahi lagta bhai tujhe meri kasam chal na Raj ka gussa ab aur bhi badh jata hai
Raj:- ye sab kya hai yaar hamesha apni kasam dekar mujhe bandh deta hai fir usse kuch
yaad aata hai

Raj:- acha ye bol ki function kab hai

Manish:- parsho

Raj:- to fir hame kal kyu bulaya hai wo bhi subah subah

Manish:- yaar wo iss liye ki bhaiya waha hai nahi job ke silsile se bahar gaye hue hai to
sara kaam hame hi karna hoga Raj ko ab sab samjh me aa gaya tha

Raj:- (mann main) ab samjha ki ek din pehle bulane ke peeche maksad kya hai ye sab
zaroor uss Sonal ka hi kaam hoga kya chahiye ab uss ladki ko acha khasa apni life jee raha
tha yaha sali ek tension kam thi kya jo dusri aa gayi ab iss Sonal ka kya karu main itna kyu
soch raha hon uske bare me kal ki kal dekhi jayegi Raj ko itna sochte dekh Manish bolne
laga

Manish:- kya hua itna kya soch raha chalega na mere saath

Raj:- ab kya karu na bhi nahi bol sakta apni kasam jo de rakhi hai tune Raj ki baat sunkar
Manish khush ho jata hai

Manish:- thanks yaar par ek problem hai

Raj:- ab kya hua

Manish:- yaar ab un dono se kya bole meri to kuch samjh me nahi aa raha hai Raj bhi
sochne lagta hai ki Ritu se kya bolu par wo itna tension me tha ki usse koi idea hi nahi aa
raha tha

Raj:- mujhe bhi kuch samjh me nahi aa raha hai ek kaam kar tu Riya se bol de main Ritu
se kal subah hi baat kar lunga Manish ko bhi Raj ki baat theek lagi usne call karke Riya ko
sari baat bata di ab dono log khana khakar so jate hai par aaj Raj ki aankho se neend koso
dur thi usse kuch samjh me hi nahi aa raha tha ki wo Ritu se Sonal ke bare me kaise baat
ki jaye usne Sonal ke bare me abhi tak usse kuch nahi bola tha sochte sochte raat ke 2 baj
jate hai ab Raj se aur control nahi hota wo jaldi se apne room se bahar aata hai usse bohat
bechaini mehsus ho rahi thi pure hostel me iss samay sannate tha iss mauke ka fayda
uthakar Raj chupke se hostel se bahar nikal jata hai wo seedhe Ritu ke hostel ke gate ke
bahar aakar khada ho jata hai ab uske mann me ek duvidha thi ki wo Ritu ke room me
jaye ki nahi raat bohat ho chuki thi uske jane par pata nahi Ritu kya sochti uske saath
Poonam bhi to thi pata nahi wo kya sochti Raj ke dimag me abhi yahi sab chal raha tha fir
aakhari me wo andar na jane ka faisla leta hai par wo waha se ja bhi nahi paa raha tha ab
wo Ritu ki awaaj sunne ke liye tarash gaya tha Raj jaldi se apna mobile nikalta hai aur Ritu
ko call karta hai 1-2 ring ke baad Ritu call uthati hai Raj ka number dekhkar wo ghabra jati
hai

Ritu:- jaan kya hua tum theek to ho na Raj ke awaaj me uski udasi saaf pata chal rahi thi

Raj:- nahi jaan main bilkul bhi theek nahi hon Raj ki baat se Ritu bohat dar jati hai

Ritu:- kya hua jaan kya hua tumhe kaha ho tum main abhi aati hon

Raj:- nahi jaan tumhe aane ki koi zarurat nahi

Ritu:- chup raho tum mujhe kuch nahi sunna main aa rahi hon tum apne hostel se bahar
aao

Raj:- jaan main abhi tumhare hostel ke gate ke bahar hon Ritu chonk jati hai

Ritu:- kya tum bahar ho bas call cut ho jata hai abhi 5 minute bhi nahi hue the ki Ritu kisi
ko lekar gate ke pass aati hai usne uske kuch kaha aur uske gate khol diya Ritu ab bhagti
hui Raj ke pass aa jati hai wo nighity me thi uske chehre se saaf pata chal raha tha ki wo
kitna dari hui thi uski saanse chadhi hui thi

Ritu:- kab se khade ho

Raj:- yahi koi aadha ghanta hua hoga

Ritu:- (gusse me) pagal ho tum itni der se yaha akele khade ho aur ab mujhe call kar rahe
ho pehle nahi kar pa rahe the andar kyu nahi aaye tum uss din ki tarah room me aa jate
ab yahi khade rahoge chalo Ritu Raj ka hath pakad kar hostel ke peeche le jati hai jaha koi
unhe dekh nahi paye waha jane ke baad Ritu Raj ke seene se lag jati hai uski aankho se
aansu nikal jati hai Raj ko jaise hi pata chalta hai wo Ritu ko apne se alag karte hue kehta
hai

Raj:- ab tumhe kya hua jaan ro kyu rahi ho

Ritu:- mujhe tadpane me tumhe bohat maja aata hai na dekh lena kisi din aise hi mar
jaungi main

Raj:- ye sab kya bol rahi ho jaan main tumhe kyu tadpaunga aur tumhe kuch ho jaaye to
main kya jee paunga
Ritu:- to fir aisa kaam hi kyu karte ho itni raat ko yaha akele khade ho wo bhi pata nahi
kab se aise me meri jaan nahi nikal jayegi Raj ab dheere se apne hath se Ritu ke aansu
ponchta hai aur usse fir se apne seene se laga leta hai

Raj:- sorry jaan ab se aisa kabhi nahi karunga

Ritu:- gande ho tum pehle rulate ho fir khud hi aansu ponchte ho acha ab ye batao ki aisa
kya hoga jiski wajah se meri jaan ko itni raat ko yaha aana pada ab Raj ko wo sari baat
batana tha jiske liye wo itna bechain ho gaya tha Raj ab ek ajeeb kash makash me tha wo
soch raha tha ki ye baat Ritu ko bataye bhi to kaise par ye baat Ritu ko batana zaruri bhi
tha aakhir yahi baat batane ke liye hi to wo itni raat ko yaha aaya tha Raj abhi soch hi raha
tha ki baat kaha se suru karu ki tabhi Ritu bol padi

Ritu:- bolo jaan aakhir baat kya hai jiski wajah se tum itne pareshan ho

Raj:- jaan mujhe maaf kar do ye baat mujhe tumhe pehle hi bata deni chahiye thi par kya
karta tumhare pyar me main itna kho gaya tha ki wo baat main bilkul bhool hi gaya aur
main usse yaad bhi nahi rakhna chahta tha par kal fir wahi ghatna hone wali hai jise main
chahte hue bhi nahi tal sakta mujhe bohat dar lag raha hai jaan Ritu iss samay Raj ke dil
me uth rahe toofan ko achi tarah samjh sakti thi wo dheere se Raj se alag hoti hai aur Raj
ke chehre ko apne dono haato se pakad kar kehti hai

Ritu:- jaan tum bina dare bolo main hon na main sab sambhal lungi Ritu ki baat se Raj ko
thodi himmat milti hai wo bhi Ritu ke chehre ko apne dono hatho se pakadta hai Raj ye
sach hai ki main tumko apni jaan se zyada pyar karta hu par ye bhi sach hai ki main tum
se pehle kisi aur se pyar kar baitha tha ye sunte hi Ritu ke chehre ki sari rangat hi gayab
ho gayi

Ritu:- kon hai wo

Raj:- Sonal Manish ki bahan Sonal ka naam sunte hi Ritu stabdha reh jati hai

Ritu:- ye wahi Sonal hai na jisne tumhe Vinod se

Raj:- haan jaan ye wahi hai par main ye pehle nahi janta tha ki wo Vinod se mili hui hai jab
maine usse pehli baar dekha tha to uska bholapan uski sadgi uski masumiyat mujhe bohat
bha gayi thi hamesha mujhse has-has ke baat karti apni aadao se mujhe rizhati thi uski
inhi harkato ko main pyar samjh baitha mujhe laga ki wo bhi mujhse pyar karti hai par ye
meri zindagi ki sabse badi bhool thi mujhe nahi pata tha ki ye sab uski chaal thi uske iss
harkat ke baad main usse nafrat karne laga hon per usse shayad baad me apni galti ka
ehsaas hua hoga fir usne mujhe manane ke liye bohat message bhi kiye par kasam se jaan
maine uske ek bhi message ka koi jawab nahi diya fir Raj Ritu ke dono hatho ko apne hatho
me lekar puchta hai

Raj:- jaan tumhe mujh par bharosha to hai na tum gussa to nahi ho na

Ritu:- nahi jaan main tum par gussa kaise ho sakti hon tum to meri jaan ho aur rahi baat
bharoshe ki to wo main khud se zyada tum par karti hon jaan agar tumhe Sonal pasand
hai to tum usse hi pyar karo main tumhe nahi rokungi

Raj:- pagal ho kya maine aisa kab kaha agar main Sonal ke pass chala gaya to kya tum jee
paogi mere bina Ritu halka sa muskurate hue Raj se kehti hai

Ritu:- jaan tumne mujhse itna pyar kiya yahi mere liye kafi hai tumhari yaad ke sahare
main jee lungi bas tum khus raho yahi main chahti hon

Raj:- to kya main Sonal ko haan bol du

Ritu:- haan jaan bol do use

Raj:- theek hai bol dunga par ek baat aaj main samjh gaya ki tum mujhse zara bhi pyar
nahi karti mere jane ka zara bhi dard nahi hai tumko dhoka diya hai tumne mujhe achi
tarah samjh gaya hon tum jaisi ladkiyo ko apne shok ke liye pehle seedhe saadhe ladko ko
phasati ho fir dil bhar jaye to usse pheek deti ho Raj ka itna bolna tha ki Ritu ek zordar
thappad uske gaal me lagati hai uski aankho se aansu beh rahe the uske chehre me bohat
dard tha jise wo ab tak rokti aa rahi thi par Raj ki baat sunkar usse aur bardast na hua Raj
ab muskurate hue Ritu ke taraf dekhta hai

Raj:- mujhe mera jawab mil gaya mujhe pata tha ki tum mujhse bohat pyar karti ho

Ritu:- kyu karte ho aisa tum kya chahte ho main mar jaon

Raj:- nahi jaan main to ye chahta hon ki tum mujh par apna haq jatao kisi aur ladki ka
naam bhi agar mere mouh se nikle to tum mera mouh noch lo meri har saanso par apna
adhikar dikhao kya tumhe bura nahi lagta ki main tumhare samne kisi aur ladki ke bare
sochu Ritu se ab aur nahi raha jata wo jaldi se Raj ke seene se lag jati hai aur roti hui kehti
hai

Ritu:- haan mujhe bohat bura lagta hai meri jaan nikal jati hai agar tum kisi aur ke bare
sochte bhi ho to nahi jee paungi tumhare bina Raj ab Ritu ko apni baaho me sama leta hai
Raj:- bas jaan mujhe jo chahiye tha wo mil gaya plz ab chup ho jao par aaj Ritu chup hone
ka naam hi nahi le rahi rahi thi

Raj:- jaan chup ho rahi ho ya main kuch karu waise bhi kitni haseen raat hai upar se tum
iss tarah mujhse chipki rahogi to main aur control nahi kar paunga fir kuch galat ho jaye
to mujhe dosh mat dena Raj ki baat sunkar Ritu thoda has deti hai aur uske seene me ek
ghusa markar kehti hai

Ritu:- bohat gande ho Ritu ko haste dekh Raj ek gehri saans leta hai

Raj:- ab jake mere dil ko sukun mila hai bas jaan tum aisi hi hasti rehna ab kal main nischint
hokar Sonal ke ghar ja sakta hon fir se Sonal ka naam sunte hi Ritu Raj se alag hokar gusse
se Raj ki taraf dekhti hai

Ritu:- tumne fir uska naam liya aur tumhe uske ghar kyu jana hai Raj usko sari baat bata
deta hai

Raj:- par jaan main waha bilkul bhi nahi jana chahta

Ritu:- acha to ye baat hai nahi jaan tumhe waha zaroor jana chahiye par tum waha kisi bhi
ladki se flarting mat karna aur haan uss kamini Sonal se to tum dur hi rehna warna main
tumhe jaan se maar dungi

Raj:- (haste hue) wah re meri jhansi ki rani mera dimag kharab hai kya jo main uske pass
jaunga main to bas tumhare saath jeena chahta hon itna kehkar Raj fir se Ritu ko apni
baaho me bhar leta hai dono kafi der tak aise hi ek dusre ki baaho me chipke rehte hai fir
Ritu kehti hai

Ritu:- ab tum jaao jaan bohat der ho gayi koi dhundta hua yaha aa gaya to bohat gadbad
ho jayegi aur kal tumhe jaldi nikalna bhi hai thodi der me subah bhi hone wali hai jakar
thoda aaram kar lo ok

Raj:- ok jaan jaisa tum kaho theek hai to main chalta hon aur haan subah nikalne se pehle
main call karunga ok bye Raj ab apne hostel ki taraf chal deta hai aur Ritu apne hostel ke
andar chali jati hai Raj ab nischint hokar ja sakta tha uske dil se ab sara bozh utar chuka
tha uske chehre me ek shanti thi

Subah ke 4 baj chuke the Raj apne room me jakar chupke se let jata hai Manish abhi bhi
gehri neend me hi tha Raj ke dil me ab ek adbhut anand tha ab usse koi dar nahi tha uska
pyar ab uske samne dhal banke khadi thi jise Sonal to kya duniya ka koi bhi insan tod nahi
sakta tha uska wahi purana aatmviswash fir se laut aaya tha aaj usse apni Kismat par bohat
naaz ho raha tha ki usse itni pyar karne wali koi mili jo uss par itna viswaas rakhti thi

Raj:- (mann main) I love you jaan main tumhe kabhi dhoka nahi dunga tumhare viswaas
ko kabhi nahi todunga bas issi tarah tum hamesha meri takat bankar mere saath rehna
zindagi ke har kadam par mera issi tarah saath dena tum nahi janti jaan ki tum mere liye
kya ho kabhi mujhse dur mat jana jaan tut jaunga jee nahi paunga tumhare bina aur aaj
main bhi ek wada karta hon ki iss jahan ki sari khusiya tumhare kadmo me lakar rakh
dunga tumhe itna pyar dunga itna pyar dunga ki shayad hi iss duniya me kabhi kisi ne kisi
ko diya ho I love you jaan I love you Raj apne inhi khayalo me khoya rehta hai dekhte hi
dekhte subah ke 6 baj jate hain Manish uth jata hai wo dekhta hai ki Raj ki aankhe khuli
hui hai

Manish:- tu kab jaga Raj usko raat wali baat nahi batana chahta tha iss liye wo Manish se
jhoot bolta hai

Raj:- yaar wo main abhi abhi jaga hon bas tujhse 2 minute pehle

Manish:- tu fresh ho chuka hai kya Raj khada ho jata hai

Raj:- bas ja raha tha itna bolkar wo jane lagta hai par Manish fir bol padta hai

Manish:- yaar tune Ritu se baat ki

Raj:- nahi pehle fresh ho aau uske baad baat karta hon Raj ab jaldi se bathroom me chala
jata hai

Raj:- (mann main) sorry yaar tujhse jhoot bolna pad raha hai par kya karu baat hi kuch aisi
hai ki tujhe chah kar bhi nahi bata sakta khair thodi der me dono fresh ho kar ready ho
jate hai 8 baje ki bas jo pakadni thi 7 baj chuke the

Manish:- yaar ab hame nikalna chahiye

Raj:- haan chal tu bag le kar bahar chal main aaya abhi

Manish:- theek hai par jaldi aana ab Manish bahar chala jata hai issi mauke ka fayda
uthakar Raj Ritu ko call karta hai aur usse bhi bas stop par aane ko kehta hai

Raj:- good morning jaan

Ritu:- gm mera sona jane ki sari tayari ho gayi kuch bhule to nahi sab rakh liya na mobile
charger brush soap sab
Raj:- haan haa jaan sab rakh liya

Ritu:- acha theek hai nashta kiya

Raj:- ab itni subah subah kaha se mil jayega

Ritu:- theek hai tum jaldi se bas stop pahucho main abhi nikalti hon wahi par nashta kar
lenge ok

Raj:- jaan tumhe aane ki koi zarurat nahi hai bekar me pareshan ho rahi ho

Ritu:- tum to bilkul chup hi raho aaj pehli baar tum mujhse dur ja rahe ho aur tumhe to
apna koi hosh rehta nahi ab bahas mat karo aur jaldi se niklo ok

Raj:- (muskurate hue) ok jaan main nikalta hon itna kehkar Raj call cut kar deta hai aur
Manish ke saath bus stop ki aur chal deta hai thodi der me dono waha pahuch jate hai
Ritu waha pehle se hi khadi milti hai Manish usse dekhkar chonk jata hai dono uske pass
jate hai

Manish:- Ritu tum yaha

Ritu:- wo sab chodo ye batao tum dono nashta kab karoge

Manish:- abhi to time bhi nahi bacha ek kaam karte hai raste me kahi kar lenge

Ritu:- nahi abhi kewal 7:30 hua hai jaldi se yahi kar lo

Raj:- yaar tu kis se bahas lada raha hai tu kabhi nahi jeet payega iss se acha to hum yahi
nashta kar lete hain Ritu ek hath se Raj ko marne ka ishara karti hai aur khud hasne lagti
hai fir teeno samne bane ek chote se dhabe me nashta karte hai thodi der baad bus ke
chalne ka time ho jata hai Manish jaldi se do tickets le aata hai aur wo bus me baith jata
hai Raj bhi bus me chadhane jata hai par usse pehle hi Ritu uska hath pakad kar apni aur
ghumati hai aur Raj se chipak jati hai uss samay waha zyada log nahi the iss liye Raj ko bhi
koi tension nahi thi wo bhi Ritu ko apni baaho me bhar leta hai thodi der tak dono aise hi
rehte hai fir bus ki horn se dono alag hote hai ab Raj jaldi se bus me baith jata hai bus
dheere dheere chalne lagti hai Raj khidki se jhank kar dekhta hai Ritu wahi khadi apne
hath hilakar bye karti hai Raj bhi usse bye karta hai Ritu ki aankho me aansu aa jate hai
jise Raj dekh leta hai Raj usse naa me sar hilakar Ritu ko rone se mana karta hai Raj ka to
jane ka bilkul mann nahi tha par wo bebas tha ab bus apni raftar pakad leta hai Raj apna
sar andar kar leta hai uske dil ka dard uski aankho se behne lagte hai wo jaldi se apne
aansuo ko ponchta hai taki kisi ki nazar uss par na pade udhar Ritu jab tak usse bas dikhai
deti hai tab tak wo aankho me aansu liye hath hilati hi rehti hai thodi der me bus dusre
sahar pahuch jati hai dono bus se utar kar mausi ke ghar chale jate hain Manish door bell
bajata hai jaise hi darwaja khulta hai Manish aur Raj dono shoocked ho jate hai dono ek
dusre ka mouh dekhne lagte hai samne jo khada tha wo koi aur nahi balki Pankaj tha dono
sochne lagte hai ki ye sab kya hai Sonal ne to kaha tha ki Pankaj hai nahi wo dusre sahar
gaya hua hai par ye to yahi hai to Sonal ne usse jhoot kyu bola aakhir kya wajah ho sakti
hai dono apni soch me hi dube hue the ki Pankaj bol pada

Pankaj:- kya hua ab bahar hi khade rahoge kya Pankaj ki awaaj se dono apni soch se bahar
aate hai

Manish:- nahi bhaiya kuch nahi wo kuch yaad aa gaya tha

Pankaj:- chalo andar aao dono Pankaj ke peeche peeche andar aate hai aur hall me ja kar
baith jate hai mausi wahi thi dono unke pair chute hai aur samne wale sofe par baith jate
hai

Mausi:- aur batao safar kaisa raha tum dono ka

Manish:- theek tha aap bataiye ki aap kaisi hai mausa ji kaise hai didi kaisi hai aur haan ye
didi aur mausa ji kaha hai

Mausi:- hum sab ache hai tumhare mausa ji to office gaye hai aur Sonal apne kisi friend
ke ghar gayi hai udhar un dono ki baate chal rahi thi idhar Raj kisi soch me duba hua tha

Raj:- (mann main) hi bhagwan ye Sonal mujhse jitna dur rahe utna acha hai abhi to hai
nahi pata nahi jab wo aayegi tab main kya karunga jo bhi ho main usse ek bhi baat nahi
karunga Raj apne inhi soch me duba hua tha ki mausi bol padi

Mausi:- are Raj kya hua tumhe kaha kho gaye tabiyat to theek hai na tumhari

Raj:- haan mausi mujhe kuch nahi hua wo main aise hi kuch aur sochne laga tha

Mausi:- acha hua jo tum dono yaha jaldi aa gaye bohat kaam hai tayar to ho na tum dono

Raj:- aap bas bolte jao sara kaam ho jayega

Mausi:- acha tum log baitho main nashta lati hon itna kehkar mausi khadi hoti hai ki tabhi
Manish bol pada

Manish:- nahi mausi abhi nashta nahi karna hum bas me hi kar ke aaye hai ab to baad me
khana hi khayenge
Mausi:- are thoda ha hi kha lo

Raj:- nahi mausi ji aap bekar ki pareshan ho rahi hai hum sach me nashta kar ke hi aaye
hai abhi Raj ka bolna khatam hua hi tha ki peeche se Sonal ki awaaj aayi

Sonal:- are agar maa itne pyar se khane ko bol rahi hai to unka dil rakhne ke liye hi kha lo
Sonal ki awaaj sunte hi Raj ek dum satark ho jata hai ye kehti hui Sonal undono ke samne
aa kar baith jati hai

Manish:- are didi tum kab aayi

Sonal:- bas abhi abhi jab tum log baate kar rahe the fir Sonal apni maa se kehti hai

Sonal:- maa tum nashta lao aaj bohat dino baad in dono ek saath nashta karungi mausi
uth kar kitchen me chali jati hai Raj apna sar neeche jhukaye baitha tha usse abhi tak Sonal
ko ek nazar bhi nahi dekha tha aur na hi dekhna chahta tha uske andar Sonal ke prati
gussa to bhara hua tha par wo sab ke samne zahir nahi kar sakta tha wo apna gussa pi jata
hai Sonal uski ye berukhi achi tarah samjh sakti thi Raj se ab waha aur baitha nahi ja raha
tha wo idhar udhar Pankaj ko dhundta hai par wo kahi dikhai nahi deta aur ant me Raj
mausi ko hi awaaj lagata hai

Raj:- mausi hamara room kaha hai mujhe fresh hona hai mausi kitchen se hi bolti hai

Mausi:- wahi upar wala room jaha pehle bhi the

Raj:- ok mausi main ja raha hon

Mausi:- theek hai beta tum jao main Sonal ko nashta le kar upar bhej dungi Raj ab soch
me pad jata hai wo yaha baithna bhi nahi chahta tha aur akele upar bhi nahi jana chahta
tha kyuki wo janta tha ki Sonal nashta dene ke bahane usse baat karegi baat baat me apne
dil ki baat bhi bol degi aur Sonal ke dil me kya hai ye Raj achi tarah janta tha wo Sonal ko
aisa koi bhi mauka nahi dena chahta tha wo Manish se kehta hai

Raj:- chal room me

Manish:- nahi yaar tu ja main baad me aata hon par Raj ko akele jana manzoor nahi tha

Raj:- yaar chal na mujhe tujhse zaruri baat karni hai

Manish:- yaar baad me kar lena abhi mausi nashta la rahi hogi Raj zor se mausi se kehta
hai

Raj:- mausi Manish ka nashta bhi upar bhej dena Raj fir Manish se kehta hai
Raj:- ab chal aur wo Manish ka hath pakad kar upar le jata hai room me pahuch kar

Manish:- ye sab kya hai mujhe upar kyu laya aisi kya baat karni hai tujhe jo thodi der nahi
ruk saka Raj jaldi se room ka door band karta hai

Raj:- yaar Pankaj to yahi hai par Sonal ne tujhse jhoot kyu bola asliyat to Raj achi tarah se
pehle hi samjh chuka tha par wo Manish ko bilkul bhi saq nahi hone dena chahta tha ki
wo Sonal ki wajah se akele nahi aaya par usse kuch na kuch bahana to banana hi tha to
isse acha bahana aur kya ho sakta tha

Manish:- wo to main bhi soch raha hon main ye didi se puchne hi wala tha ki tu mujhe
yaha le aaya tujhse to bilkul sabar nahi hota pata nahi Ritu tujhe kaise jhelti hai Ritu ka
naam sunte hi Raj ko kuch yaad aata hai

Raj:- abe tune Riya ko call kiya ki hum yaha pahuch gaye hai

Manish:- yaar main to bhul hi gaya thanks yaar

Raj:- chal abhi kar le tab tak main naha leta hon

Manish:- tu Ritu ko call nahi karega

Raj:- pehle naha lu fir itna kehkar Raj bathroom me chala jata hai udhar Manish Riya se
baat karne lagta hai thodi der baad jaise hi Manish call cut karta hai to door knock hoti
hai wo door kholta hai to samne Sonal nashte ke do plate liye khadi thi

Sonal:- ye lo nashta kar lo ye kehti hui Sonal andar dakhil hoti hai uski nazar Raj ko talashti
hai

Sonal:- Raj kaha hai

Manish:- wo abhi bhi bathroom me hai Sonal janti thi ki Raj usse dekhna bhi nahi chahta
hai par usse apne aap par pura confidence tha ki wo Raj ko apna bana ke hi chodegi

Sonal:- (mann main) kab tak bachoge Raj ab agar maine tumse I love you na bulwaya to
main Sonal nahi Sonal nashte ki plate table pe rakhkar jane lagti hai ki tabhi Manish usse
puchta hai

Manish:- didi ek baat batao tumne mujhse jhoot kyu bola ki Pankaj bhai dusre sahar me
hai Manish ke iss sawal se Sonal thoda nervous ho jati hai wo thoda soch ke Manish se
kehti hai

Sonal:- kyu main tujhe 1 din pehle nahi bula sakti bohat bada paap kar diya kay maine
Manish:- are didi aap naraz kyu ho rahi ho aap sach bhi to bol sakti thi aaj tak maine aapki
koi bhi baat tali hai jo ishe tal deta Sonal ab baat ghuma deti hai wo baat aur aage nahi
badhana chahti thi kyuki baat ke saath saath Manish ke sawal bhi badhte aur un sawalo
ka uske pass koi jawab na hota

Sonal:- are ab chodo bhi uss baat ko jo ho gaya so ho gaya ab kya jaan loge meri chalo
main kaan pakad kar sorry bolti ho tab to khush rahoge Manish bhi ab baat ko aage nahi
badhata

Manish:- aap ko sorry bolne ki koi zarurat nahi hai iss baat ko yahi khatam kar dete hai

Sonal:- theek hai par iss baat ka ghar me kisi se zikar mat karna ok ab tum nashta karke
thoda aaram kar lo itna kehkar Sonal waha se chali jati hai uske jane ke thodi hi der baad
Raj bathroom se nikalta hai

Manish:- aa jaldi se nashta kar le warna thanda ho jayega

Raj:- haan karta hon fir dono nashta karne lagte hai

Raj:- yaar Riya ko bata diya Riya ka naam sunte hi Manish thoda udhas ho jata hai

Manish:- yaar bata to diya par kuch acha nahi lag raha dil bada udhas ho gaya hai aaj ki
kya planning ki thi aur ho kya gaya socha tha ki sab saath me milkar khub masti karenge
par hua nahi sali meri Kismat hi kharab hai Manish ki baat se Raj halka sa mushkura deta
hai

Raj:- yaar ab isme tu apni kismat ko kyu kos raha hai bas do hi din ki to baat hai fir hum
sab saath me honge tab apne mann ki kar lena Manish ek gehri saans leta hai aur apna
nashta khatam karta hai tab tak Raj bhi kha chuka tha

Manish:- chal yaar main to ab thoda aaram karunga tu bhi kar le

Raj:- tu kar mujhe Ritu se baat karni hai Manish wahi bed par let jata hai aur Raj usse thodi
dur baith jata hai taki uski baate Manish na sun sake Raj ab Ritu ko call karta hai pehli hi
ring me call uth jata hai

Raj:- mere hi phone ka wait kar rahi thi kya jo pehli hi ring pe utha liya

Ritu:- wo sab chodo ye batao tum theek se pahuch gaye na koi problem to nahi hui nashta
kiya Raj Ritu ki baat beech me hi katte hue kehta hai
Raj:- jaan itne sawal ek saath thoda aaram se main theek se pahuch gaya aur nashta bhi
kar liya abhi aaram kar raha hon par tum mujhe ek baat batao ki abhi tum ho kaha

Ritu:- kaha houngi college me

Raj:- dekho mujhse jhoot mat bolo tum college me nahi ho

Ritu:- tumne theek kaha jaan main college nahi gayi

Raj:- par kyu

Ritu:- aaj kuch acha nahi lag raha tha raat ko theek se soyi nahi aur tum bhi nahi ho isiliye
aaj college jane ka mood nahi hua kal se jaungi

Raj:- theek hai jaan ab tum so jaao main bhi thoda aaram kar leta hon baki baate raat me
karenge ok bye love you

Ritu:- bye love you too call cut ho jata hai ab Raj bhi jakar Manish ke bagal me let jata hai
Manish tab tak so chuka tha Raj bhi itna thaka hua tha ki let te hue hi so gaya

Shaam ke 7 baj chuke the dono abhi tak so rahe the tabhi Pankaj room me aata hai aur
dono ko jagata hai

Pankaj:- ab uth bhi jaao yaar tum dono kitna soge Pankaj ki awaaj se dono apni aankhe
kholte hai

Manish:- kitna time ho gaya

Pankaj:- 7 baj gaye hai dono jaldi se uth baithte hai

Raj:- kya 7 baj gaye abhi tak uthaya kyu nahi

Pankaj:- aaya tha dopahar ko khana me bulane par tum dono uthe hi nahi fir socha tum
dono zyada thake hoge to wapas chala gaya chalo ab jaldi se uth jaao sab tum dono ka
neeche wait kar rahe hai

Manish:- theek hai bhaiya aap chalo hum abhi aate hai Pankaj chala jata hai dono bhi jaldi
se fresh ho kar neeche aa jate hai hall me sab baithe baate kar rahe the mausa ji bhi aa
chuke the dono mausa ji ke pair chu ke wahi sab ke saath baith jate hai

Mausa ji:- aur batao padhai kaisi chal rahi tum logo ki

Raj:- ji achi
Mausa ji:- acha kiya jo tum dono yaha 1 din pehle aa gaye khaskar Raj tum hum to tumhe
theek se thanks bhi nahi bol paye tumne uss din Sonal ke liye jo kuch bhi kiya usse hum
kabhi bhool nahi payenge

Raj:- are uncle isme thanks bolne wali kon si baat hai ye to mera farz tha ab chodiye un
baato ko jo beet gaya so beet gaya

Mausi:- haan ab chodo wo sab ye batao tum dono ko bhook to lagi hi hogi baitho main
kuch lati hon dopahar ko kuch nahi khaya tum dono ne

Manish:- nahi mausi abhi kuch nahi sab raat me hi ek saath khayenge fir sab baate karne
lagte hai Sonal to lagatar bas Raj ko hi ghure ja rahi thi Raj ye bhap chuka tha ki Sonal usse
hi ghur rahi hai par wo Sonal ki taraf nahi dekhna chahta tha fir bhi kabhi abhi dono ki
nazre apas me takra hi jati jab dono ki nazre aapas me takrati to Sonal halki si mushkura
deti Raj ko uski ye mushkurahat bardast ke bahar thi uske dil me zahar ka kaam kar rahi
thi issi beech Sonal mauke ka fayda utha kar sabki nazar bacha kar Raj ko ek aankh maar
deti hai aur hontho se kiss ka ishara karti hai jise dekh kar Raj ka dimag kharab ho jata hai
wo chah kar bhi kuch nahi kar pa raha tha

Raj:- (mann main) yaar kitni besharam ladki hai ye main isse zara sa bhi bhaw nahi de raha
par ye to lagi padi hai apne aap ko samjhti kya hai koi hoor ki pari to hai nahi mari Ritu ke
pairo ki dhul bhi nahi hai main bhi pagal hon kaha apni jaan ki barabari isse kar raha hon
waise main iske bare me itna soch hi kyu raha hon bhad me jaye jo marzi wo kare ab Raj
apna sara dhayan waha par chal rahi baato pe lagata hai jo kal hone wali party ke bare me
thi wahi Sonal muskurate hue sochti hai

Sonal:- hay jab ye gussa hota hai to aur bhi cute lagta hai pata nahi ye mera kab hoga kal
bas kal hi Raj ko propose kar dungi par kise tabhi usse ek idea aata hai ab Sonal ke chehre
par ek vijayi muskan phil jati hai

Sonal:- (mann main) ab kya karoge Raj ek aisa plan hai mere pass jise tum chah kar bhi
mana nahi kar paaoge ab to tum mere ban ke hi rahoge abhi party ko lekar baate chal hi
rahi thi ki Sonal bol padi

Sonal:- bhaiya ek kaam karte hai decoration ka kaam main aur Raj kar lenge aur baki ka
aap aur Manish kar lena isse kaam jaldi bhi ho jayega aur kisi ko koi problem bhi nahi hogi
Raj ye sun kar chonk jata hai wo kisi bhi halat me Sonal ke saath kaam karna nahi chahta
tha wo janta tha ki Sonal iss mauke ka fayda uthakar uske saath aisi waisi harkat zaroor
karegi abhi wo kuch kehne hi wala tha ki Pankaj bol pada
Pankaj:- haan ye theek rahega tu kal subah subah hi Raj ke saath meri bike jakar market
se sara saman le aana aur main papa ki car le jaunga kyuki kal unko office jana nahi hai ok
ab Raj ke pass mana karne ka koi bahana nahi tha kyuki Manish ko bike chalani to aati
nahi thi issi ka fayda uthakar Sonal kehti hai

Sonal:- haan bhaiya waise main Manish ke saath chali jati par use to bike chalani aati nahi
Raj ab pura fas chuka tha wo ab chah kar bhi mana nahi kar sakta tha

Raj:- (mann main) yaar ab main kya karu ye Manish bhi bilkul gadha hai sala bike tak nahi
chala pata chalo jo hoga dekha jayega par ek baat to tay hai jo bhi ho jaye main usse baat
nahi karunga Raj abhi apne khayalo me hi khoya hua tha ki Sonal bol padi

Sonal:- kya hua Raj kal chaloge na mere saath Raj ki aankho me gussa bhara hua tha jise
wo achi tarah se dekh sakti thi par usse iski koi parwah nahi thi Raj bhi apne chehre par
ek banawati muskan liye kehta hai

Raj:- haan kyu nahi tabhi mausi uthi aur kitchen me jane lagi

Mausi:- main ja rahi hon khana banane are Sonal beta tu bhi chal na thodi madad kar de
meri ye sunte hi Sonal ka mouh bigad gaya wo abhi Raj ke samne se kahi jana nahi chahti
thi par kya karti bechari sab ke samne maa ki baat tal bhi nahi sakti thi wo bhi uth kar
kitchen chali gayi Raj ab chain ki saans leta hai

Raj:- (mann main) chalo thodi rahat to mili jab tak wo kitchen me hai tab tak to uska
chehra nahi dekhna padega baate karte karte 10 baj gaye the khana bhi lag chuka tha

Mausi:- chalo khana lag chuka hai jaldi se khakar so jana subah jaldi uthna hai sab dining
room me chale jate hai Raj sab se baad me aata hai tab tak Sonal ek aur chaal chalti hai
dining table me 6 kursiya hi thi wo sab ko ek taraf se bitha deti hai aur apne bagal wali
kursi Raj ke liye chod deti hai wo ye kaam itni safai se karti hai ki kisi ko uss par saq nahi
hua thodi der baad jab Raj apna hath dho ke waha aaya to apne liye Sonal ke bagal wali
kursi dekh kar khada hi rah gaya

Raj:- (mann main) yaar iss pagal ladki ka kya karu ek to main iska chehra bhi nahi dekhna
chahta aur ab upar se iske bagal me baithna pad raha hai wo abhi soch hi raha tha ki Sonal
fir se bol padi

Sonal:- kya hua Raj baitho khana nahi khana kya Sonal ki baato ne uss par zahar ka kaam
kiya

Raj:- nahi mujhe bhook nahi hai


Mausi:- kyu kya ho gaya Raj nakli muskan liye mausi ki taraf dekh kar kehta hai

Raj:- nahi aunty aisi koi baat nahi bas bhook nahi hai

Mausa ji:- are beta thoda sa kha lo nahi to raat ko bhook lagegi

Raj:- nahi uncle pet me halka sa dard hai dawa le lunga to subah tak theek ho jayegi

Pankaj:- ruko mere pass dawa hai abhi lata hon

Raj:- nahi bhai aap khana lo baad me dawa de dena tab tak main aaram karta hon

Mausi:- theek hai Raj tum jakar upar apne room me aaram karo tumhe jab bhi bhook lage
to bata dena ok zara bhi sankoch mat karna

Raj:- ok aunty Raj waha se chala jata hai Sonal to samjh chuki thi ki Raj ne aaj uski wajah
se khana nahi khaya ab uska bhimann nahi tha khane me par kar kya sakti thi sab ke samne
chup chap sar jhukake khane lagi

Udhar Raj room me jakar door lock kar deta hai aur bed par let jata hai gusse se uska
dimag kharab hua ja raha tha abhi wo apni aankhe band karke apna shant kar hi raha tha
ki uske mobile ki ring baji Ritu ka phone tha jo usne apne mobile par jaan likkha hua tha
jaan naam dekhte hi Raj ka gussa bilkul shant ho gaya ab uske hontho par ek pyari si
muskan phail gayi Raj jaldi se phone uthata hai

Raj:- hay jaan abhi tumhe hi yaad kar raha tha

Ritu:- kyu sab theek to hai na

Raj:- haan bilkul theek hai kyu tumne aisa kyu pucha

Ritu:- tumhari awaaj se to nahi lagta

Raj:- nahi jaan aisa kuch bhi nahi hai

Ritu:- acha chodo ye batao khana kha liya Raj usse jhoot bolna to nahi chahta par mazburi
me usse bolna pada kyuki wo janta tha ki agar usse Ritu ko bol diya ki usne aaj khana nahi
khaya to wo bhi khana nahi khayegi ye Raj hargiz nahi hone dena chahta tha

Raj:- haan jaan abhi abhi khake aaya hon aur tumne

Ritu:- abhi ja rahi thi to socha pehle tumse puch lu kyuki tumhe to apna zara bhi khayal
nahi rehta

Raj:- are tum to ho na mera khayal rakhne ke liye


Ritu:- haan tabhi to phone kiya waise bhi shadi ke baad main hi tumko roz apne hatho se
khana khilaungi shadi ka naam sunte hi Raj ka chehra ek dum se khil utha wo uchal kar
baith gaya

Raj:- kya kya kaha tumne shadi woow Raj ke iss tarah se kehne par Ritu bilkul sharma si
gayi usne iska koi jawab nahi diya

Raj:- jaan plz ek baar aur bolo na ki hamari shadi hogi aur tum meri biwi banogi

Ritu:- dhat ab mujhse nahi bola jayega

Raj:- jaan plz ek baar

Ritu:- tum bohat gande ho kabhi nahi sudhroge

Raj:- kya chahti ho main bilkul sudhar jaon

Ritu:- nahi jaan tum jaise ho waise hi rehna kabhi mat badalna

Raj:- to fir bolo na

Ritu:- theek hai par ye aakhari baar hai uske baad tum zidd nahi karoge

Raj:- ok promise

Ritu:- theek hai to suno shadi ke baad main hi tumko har roz apne hatho se khana
khilaungi tumhari biwi hone ka sara farz nibhaungi ok ab to khush Raj apne dil me ek
adbhut sa anand mehsus kar raha tha wo fir se bed par let gaya

Raj:- jaan tumhe nahi pata aaj tumne mujhe wo khusi di hai jiske bare me maine socha
bhi nahi tha

Ritu:- to fir janeman aaj se hi sochna suru kar do jaldi se uss kante ko (Vinod) hatao aur
doli le ke ghar aao

Raj:- uski tension tum mat lo tum bas apne hasin sapne dekho baki mujh par chod do

Ritu:- acha jaan main phone rakh rahi hon Poonam baar baar bulane aa rahi hai aur meri
jaan ka khayal rakhna

Raj:- haan jaan jaao jaldi se khana kha lo aur haan kal shayad theek se baat na ho paye
par jab bhi mauka milega to main call karunga ok bye love you

Ritu:- bye jaan love you too fir phone cut ho jata hai Raj aankhe band kar ke apni zindagi
me aage aane wali khusiyo ko dekhta hai pata hi nahi chala kab uski aankh lag gayi raat
ke 12 baj chuke the Raj abhi gahri neend me soya hua tha ki achanak koi door knoch karta
hai Raj hadbadake uth baithta hai Raj jaldi se bed se uthke khada ho jata hai usse room
me Manish kahi dikhai nahi deta

Raj:- (mann main) ye sala Manish hi hoga ab sale ko fursat mili hogi baato se tab tak fir se
door knock hota hai

Raj:- aa raha hon Raj ab jaldi se door kholta hai par samne wale ko dekhkar chonk gaya
samne hatho me khane ki plate liye Sonal khadi thi wo bina kuch bole andar aa gayi aur
plate ko table par rakhkar bed pe baith gayi Raj abhi bhi darwaje ko pakde Sonal ki harkato
ko dekhe ja raha tha uski aankho me fir se gussa utar aaya tha par wo kuch bolta usse
pehle Sonal bol padi

Sonal:- chalo khana kha lo

Raj:- nahi bhook nahi hai le jaao ye sab

Sonal:- mera gussa khane par to mat nikalo mujhe pata hai ki uss samay tumne meri wajah
se khana nahi khaya dekho agar tum khana nahi khaoge to bimar pad jaoge

Raj:- tumhe badi fikar hai meri ye sab natak band karo ab main tumhari baato me nahi
aane wala

Sonal:- kya ye sab tumhe natak lag raha hai itni raat ko sab se chup ke tumhare liye khana
lekar aayi aur tum ishe natak keh rahe ho kya tumhare dil me zara bhi feeling nahi hai
mere liye

Raj:- feeling uske liye hota hai jo dil ke kareeb hota hai aur tumhe kya lagta hai ki jo tumne
mere saath kiya tha uske liye maine tumhe maaf kar diya nahi main tumhe kabhi maaf
nahi kar sakta Sonal ab khadi ho jati hai

Sonal:- Raj I am sorry galti ho gayi thi mujhse behkawe me aa gayi thi Vinod ke kitni baar
tumhe sorry bolna chaha par tum kabhi meri baat hi nahi sunte aakhir pehli galti to
bhagwan bhi maaf kar deta hai Sonal ki baat se Raj ko hasi aa jati hai

Raj:- jo anjane me ho usse galti kehte hai par jo jan bujh kar kare wo galti nahi aur tumne
to mujhe phasaya hai mere armano se khela hai dhoka diya hai tumne mujhe aur iss dhoke
ko main kabhi nahi bhool sakta Sonal ab aage badhkar Raj ke pass aati hai aur ek hath
uske kandhe pe rakhti hai par Raj uska hath turant jhatak deta hai

Raj:- mujhe chune ki kosis mat karna


Sonal:- theek hai nahi chuungi par ek baat batao aakhir kyu maaf nahi kar sakte Raj chaho
to tum mujhe thappad mar lo jo bhi saza de do par plz mujhe ek baar aur mauka de do

Raj:- dekho Sonal raat bohat ho gayi hai iss waqt main aur bahas ke mood me nahi hon
aur agar kisi ne tumhe yaha dekh liya to wo pata nahi kya sochega tum jaao yaha se Sonal
fir se bed par baith jati hai

Sonal:- nahi main kahi nahi jaonngi jab tak tum mujhe maaf nahi kar dete ye sun kar Raj
ka dimag aur bhi kharab ho jata hai

Raj:- dekho mere gusse ko aur mat badhao tum jati ho ki nahi iss baar Sonal bhi thoda
gusse me thi

Sonal:- main kahi nahi ja rahi ek baar bol diya na

Raj:- theek hai to baithi raho raat bhar itna kehkar Raj door band karke wapas apni bed
par let jata hai Sonal wahi baithi chup chap Raj ko dekhti rehti hai Raj apni aankhe band
kiye kuch der leta rehta hai tabhi uske kaano me Sonal ke sisakne ki awaaj aati hai wo
aankh khol ke dekhta hai ki Sonal abhi bhi waisi hi baithi ro rahi thi wo turant uthkar baith
jata hai

Raj:- ye sab kya bachpana hai Sonal kyu zidd kar rahi ho itna kyu apne aap ko takleef de
rahi ho par Sonal kuch bhi nahi bolti wo bas roye hi ja rahi thi ab Raj se aur bardast nahi
hota wo uth kar Sonal ke bagal me baith jata hai

Raj:- ab kya hua tumhe kyu ro rahi ho tum

Sonal:- tumhe kya tum jaao so jake

Raj:- tum iss tarah se rogi to mujhe neend ksise aayegi acha yahi chahti ho na ki main
tumhe maaf kar du to chalo maine tumhe maaf kar diya ab to chup ho jaao

Sonal:- mujh pe taras khane ki koi zarurat nahi hai mujhe mere haal par chod do

Raj:- yaar maine sach me tumhe maaf kar diya

Sonal:- main kaise maan lu mujhe yaha se bhagane ke liye dikhawa bhi to kar sakte ho

Raj:- acha to main aisa kya karu jisse tumhe vishwash ho jaya Sonal aisa waisa kuch karne
ki zarurat nahi bas khana kha lo main maan jaungi
Raj:- bas itni si baat lo abhi kha leta hon itna kehkar Raj plate uthakar khana khane lagta
hai ye dekh kar Sonal halke se mushkura kar apne aansu ponch leti hai thodi der me Raj
pura khana kha leta hai

Raj:- ab khush

Sonal:- han

Raj:- to ab jaao nahi to koi dekh lega agar Manish hi upar aa jaye to

Sonal:- wo nahi aayega aaj wo Pankaj bhaiya ke saath unke room me hi so gaya hai

Raj:- chalo theek hai acha main bhi ab sone ja raha hon bohat neend lagi hai Sonal ab
khadi ho jati hai

Sonal:- theek hai ab tum so jaao aur haan kal subah jaldi uth jana market chalna hai ok

Raj:- par tum sone dogi tab to jaldi uth paunga Sonal mushkurati hui kehti hai

Sonal:- jaa rahi hon darwaja band kar lo itna keh kar Sonal plate lekar chali jati hai Raj jaldi
se door lock kar deta hai aur wapas bed pe let jata hai

Raj:- (mann main) chalo yaar aafat tali agar khana nahi khata to aaj ye jati bhi nahi sorry
jaan mujhe mazburi me usse baat karni padi Raj ab apni aankhe band kar leta hai aur gehri
neend me so jata hai ab uski aankh subah ke 8 baje khuli Raj jaldi se uthkar baith jata hai

Raj:- yaar 8 baj gaye itni der tak sota hi raha sab kya soch rahe honge market bhi jana hai
abhi Raj soch hi raha tha ki fir se door knock hoti hai Raj darwaja kholta hai samne Sonal
bilkul tayar khadi thi red kapdo me baal khule hontho pe red color ki lipstick maathe pe
bindi kul milakar kayamat lag rahi thi Raj ye dekh kar dang reh jata hai tabhi Sonal bolti
hai

Sonal:- abhi tak ready nahi hue jaldi karo

Raj:- haan haa abhi hota hon kehkar Raj bathroom me jane lagta hai

Sonal:- tum fresh hokar aao tab tak main neeche hall me baithi hon

Raj:- ok Sonal chali jati hai

Raj:- yaar gajab ki lag rahi thi par mujhe kya karna meri Ritu ke samne kuch bhi nahi hai
Raj ab jaldi se fresh ho kar ready ho jata hai aur hall me jata hai waha kewal mausa aur
mausi hi the Raj unse good morning bol kar wahi baith jata hai uski nazre Sonal ko talash
rahi thi par wo kahi dikh nahi rahi thi tabhi mausi bol padi
Mausi:- ab tabiyat kaisi hai Raj

Raj:- bilkul theek hon

Mausi:- baitho main tumhare liye kuch khane ko lati hon kal raat se bhooke hoge Raj ab
kuch bol bhi nahi pa raha tha aur ye baat bataye bhi to kaise

Raj:- aunty bas chai de digiye

Mausi:- sirf chai se kaise chalega ruko kuch khane ko bhi lati hon Raj abhi aur kuch kehne
hi wala tha ki Sonal waha aa gayi

Sonal:- maa hame bohat late ho gaya hai jaldi se Raj ko sirf chai hi de do hum bahar kuch
kha lenge

Mausi:- chalo theek hai main chai hi lati hon itna keh kar mausi kitchen me chali jati hai
wahi Sonal Raj ke bagal me baith jati hai

Raj:- (mann main) yaar isko zara sa lift kya de di ab ye to sar pe hi chadhane lagi bhad me
jaye ye ab isko koi bhaw hi nahi dunga Raj ab mausa ji se baat karne laga

Raj:- uncle ye Pankaj bhai aur Manish kaha gaye

Mausa ji:- wo dono to beta subah subah hi market chale gaye Manish gaya tha tumhe
jagane par tumne darwaja hi nahi khola

Raj:- haan uncle wo raat ko kafi der se aankh lagi thi

Uncle:- are beta koi baat nahi tum chaho to abhi aur aaram kar sakte ho main Sonal ke
saath market chala jata hon waise bhi ghar par baithe baithe bor ho jaunga ye sunte hi
Sonal ka chehra utar gaya usse dar tha kahi Raj maan na jaye par aisa hua nahi

Raj:- are nahi uncle main ab bilkul theek hon aap tension mat le main chala jaunga Raj ki
baat sunkar Sonal mushkura deti hai abhi unki baate chal hi rahi thi ki mausi chai le kar aa
gayi chai pine ke baad Raj Sonal se kehta hai

Raj:- chalo ab nahi to der ho jayegi abhi bohat si tayariya karni hai dono ab ghar se nikal
padte hai bike pe Sonal Raj se bohat sat ke baithi hui thi aur apna ek hath Raj ke kandhe
par rakha hua tha Raj ko ye bilkul bhi acha nahi lag raha tha par wo majboor tha kyuki
bike me itni jagah to thi nahi ki wo Sonal ko peeche hat kar baithne ko bol sake bechara
Raj jaise taise iski jhel raha tha abhi wo dono kuch hi dur pahuche honge ki Sonal hi apni
khamosi todte hue kehti hai
Sonal:- tum abhi bhi mujhse naraz ho na Raj ko baat karne ka zara bhi mood nahi tha par
majburi me usko baat karni pad rahi thi

Raj:- nahi aisi koi baat nahi hai kal raat ko to main tumhe maaf kar chuka tha

Sonal:- to fir aaj subah se tum mujhse baat kyu nahi kar rahe ho abhi bhi chup chap bike
chala rahe ho

Raj:- main bike chalate waqt baat nahi karta

Sonal:- ok par sar to hila sakte ho na haan ya na me

Raj:- haan wo kar sakta hon par ye batao ki jana kaha hai matlab market hai kaha

Sonal:- bas aane hi wala hai thodi der aur chalne ke baad Sonal ek mall ke pass bike rokne
ko kehti hai

Sonal:- Raj tum jaldi se bike parking me laga do tab tak main yahi khadi hon

Raj:- tumhe yaha se saman lena hai yaha sara saman mil jayega

Sonal:- haan bas flowers chod ke wo aage market se le lenge ab jaldi jao Raj parking ki
taraf chala jata hai jab wo wapas aata hai to dekhta hai ki Sonal ke saath ek aur ladki khadi
thi wo Sonal ke pass jata hai

Raj:- chalo ab andar chale abhi Sonal kuch bolne hi wali thi ki wo dusri ladki jo Sonal ke
saath thi wo bol padi

Ladki:- hi Raj how r u and you r looking so handsome ladki hath milane ke liye apna ek
hath Raj ki taraf badha deti hai Raj ab soch me pad jata hai ki usse hath milaye ya nahi Raj
abhi apni soch me hi duba hua tha ki wo ladki fir se bol padi

Ladki:- kya hua handsome hath nahi milaoge mujhse soch lo ek baar jisne mujhse hath
milaya hai wo hamesha fayde me hi raha hai Raj usse upar se neeche tak dekhta hai ladki
mini skirt aur top pahane hue thi skirt itni choti thi ki uski jhangh bhi theek se nahi dhak
pa rahi thi aur top to kewal uske breast ke thoda neeche tak hi tha baal kandho tak bhi
nahi the chehre me bharpur makeup ghamand uske chehre se saaf jhalak rahi thi aur
attitude to aisa jise queen elizabeth ho

Raj:- (mann main) yaar ye cheez kya hai aur apne aap ko samjh kya rahi hai khair mujhe
kya karna hai bhad me jaye Raj thoda mushkura ke kehta hai Raj dekhiye main koi
businessman nahi hon jo fayda aur nuksan dekhu seedha saadha inshan hon dil ki baat
samjhta hon to sorry main aapse hath milane ke kabil nahi hon itna kehkar Raj palatta hai
aur Sonal se kehta hai

Raj:- chale andar Sonal bina kuch bole Raj ke saath chalne lagti hai itne me ladki fir bol
padi

Ladki:- ye tum theek nahi kar rahe ho tum jante ho ki tum kise mana kar rahe ho jo mujhe
chahiye usse main kisi bhi kismat par hasil kar ke hi rehti hon Raj fir se palat kar usse pass
aata hai

Raj:- haan madem main tumhe nahi janta aur na hi janne ki iccha hai kis baat ka ghamand
hai tumko apni khubsurti ka ya fir paiso ka ek baat sun lo main koi saman nahi jo koi bhi
aakar kharid le aur tum itni khubsurat nahi ki main tumhare peeche dum hilata ghumu
jakar koi aur dhund lo main jisse pya kuch soch kar Raj chup ho jata hai aur palat kar Sonal
ka hath pakad kar mall ke andar chala jata hai Raj ko itne gusse me dekh kar Sonal bhi
chup hi rehti hai dono thodi der tak shopping karte hai jisse Raj ka gussa thoda shant ho
jata hai shopping lagbhag puri ho chuki thi bas ab phool hi reh gaye the 11 baj chuka tha

Sonal:- Raj mujhe bhook lag rahi hai chalo na kuch khate hai bhook to Raj ko bhi lagi thi

Raj:- haan chalo dono wahi mall me bane ek restaurant me baith jate hai Sonal dono ke
khane ka order deti hai jab tak khana nahi aata Raj Sonal se puchta hai

Raj:- Sonal ek baat batao wo ladki thi kon Sonal ye sunkar thoda ghabra jati hai uske
chehre ki rangat kahi gayab ho jati hai

Sonal:- are chodo na usse tum uske liye apna mood kyu kharab kar rahe ho

Raj:- nahi batao mujhe mujhe janna hai kitni badtamiz ladki hai Raj ki aankho me gussa
dekh kar Sonal dar jati hai

Sonal:- wo meri friend hai Charu naam hai uska bohat paise wali hai iss liye thoda
ghamandi hai

Raj:- ishe tum thoda ghamandi kehti ho are pagal hai wo samjhti kya hai wo apne aap ko
Raj ka gussa fir se badh gaya tha Sonal ye samjh chuki thi wo kuch kehti ki tabhi waitar
khana le aaya

Sonal:- acha chalo khana kha lo nahi to hame late ho jayega ghar ki puri sajawat bhi karni
hai ab Raj bhi kuch nahi kehta dono jaldi se khana khate hai aur waha se nikal kar market
jakar phool lekar ghar ki taraf chal dete hai market se phool lekar dono ghar ki taraf chal
dete hai dono bilkul chup hi the Sonal to Raj ke gusse ko dekhkar kuch bolne ki himmat hi
nahi kar pa rahi thi thodi der baad dono ghar pahuch jate hai Manish aur Pankaj pehle hi
ghar pahuch chuke the dono ko aate dekh Manish kehta hai

Manish:- yaar badi der kar di tum dono ne

Sonal:- kuch nahi saman kharidne me late ho gaye the Sonal dheere se Raj ki taraf dekhkar
ishare se kuch bhi batane se mana karti hai Raj bhi uski baat mankar baat badal deta hai

Raj:- chal ab ghar ka decoration karte hai time zyada nahi hai ab charo milkar ghar ke
decoration me lag jate hai party ghar ke bahar bane lawn me honi thi to ghar se lekar lawn
tak sAjaya ja raha tha charo badi mehnat se apna kaam kar rahe the karib 6 baje tak sab
kaam nipat gaya sajawat bohat hi sandar thi charo taraf khubsurat aur sugandhit phool
jagmagate jhalar aur nikaro me lage rang birange parde mahool ko khusnuma bana rahe
the aur lawn ke center me lage bade se jhumar ne waha ki khubsurti ko aur badha diya
tha kaam ab pura ho chuka tha ab Sonal sab se kehti hai

Sonal:- chalo sab ho gaya ab chalke hum bhi tayar ho jate hai abhi kuch hi der me sab log
aane lagange Sonal ki baat sunkar Pankaj bolta hai

Pankaj:- tu ja pehle kyuki tujhe tayar hone me 2 ghante lagte hai hum logo ka kya hai 5
minute bhi kafi hai Pankaj ki baat se sab hasne lagte hai Sonal bura sa mouh bana kar
andar chali jati hai uske jane ke thodi der baad teeno bhi tayar hone chale jate hai 7 baj
chuke the ek ek karke sare guest aane shuru ho gaye the ghar ke sabhi log tayar ho kar
neeche haal me khade the Raj aur Manish bhi neeche aate hai uncle aunty to aaj newly
married couple lag rahe the issi beech Sonal kehti hai

Sonal:- waw maa aap to aaj bohat hi sandar lag rahi ho

Aunty:- chal hat besharam kuch bhi bolti rehti hai

Raj:- nahi aunty aaj to aap Sonal ki badi bahan lag rahi hai mausi Raj ki baat sunkar thoda
sarma jati hai

Aunty:- kya Raj tum bhi suru ho gaye tab tak uncle bol pade

Uncle:- are ab yahi khade rehna hai ya bahar bhi chalna hai sab hamara wait kar rahe
honge

Pankaj:- haan aap log jaldi se bahar chaliye ab sab bahar lawn ki taraf jate hai bahar pura
lawn logo se bhara hua tha jaise hi uncle aunty bahar aaye sab logo ne unhe gher liya sab
unki khubsurti ki tarif bhi kar rahe the aur saath me unhe wish bhi kar rahe the wo dono
to un logo ke saath busy ho gaye Pankaj aur Manish arrangement me lag gaye Sonal apne
friends ke saath busy ho gai baki bacha Raj wo akela hi reh gaya wo jake ek side me chup
chap khada hoke party ke maze le raha tha ki tabhi Sonal waha aa gayi

Sonal:- kya hua aise akele kyu khade ho

Raj:- mujhe akele rehna zyada pasand hai tum jaao enjoy karo

Sonal:- chalo main tumhe apne friends se milwati hon

Raj:- are nahi tumhare sare friends bohat khatarnak hai mujhe dar lagta hai Sonal ye
sunker hasne lagti hai

Sonal:- bas dar gaye are mere sare friends waise nahi hai kuch ko chod kar baki sab ache
hai ab chalo Sonal Raj ka hath pakad kar apne friends ek pass le jati hai

Friend 1:- are yaar ye kon hai tera boyfriend hai kabhi milwaya nahi tune

Friend 2:- kaise milwati dekh nahi rahi kitna handsome hai

Friend 3:- tujhe dar tha kya kahi hum isko tujhse chura na Le

Raj:- (mann main) kitni besharam ladkiya hai pata nahi kya kya bakwas kiye ja rahi hai Raj
gusse se Sonal ki taraf dekhta hai Sonal ishare se usse shant rehne ko kehti hai

Sonal:- ye tum log tab se kya bakwas kar rahi ho ye Raj hai ye mera boyfriend nahi sirf
friend hai ok abhi Sonal aur kuch bolne hi wali thi ki tabhi peeche se kisi ki awaaj aayi hay
handsome kya haal hai ye sunkar Raj aur Sonal peeche palatkar dekhte hai Raj ke to hosh
udd jate hai kyuki samne jo ladki khadi thi wo koi aur nahi wahi subah wali thi Charu jisse
Raj ki bahas hui thi wo mushkura kar Raj ki taraf dekhti hai par usse dekh kar Sonal ka
chehra jaroor utar jata hai Raj usse dekh kar waha se chala jata hai

Raj:- (mann main) ye sali yaha bhi aa gayi ab agar isne kuch bhi ulta seedha bola to main
iska mouh tod dunga Raj chup chap ek jagah jake khada ho jata hai

Udhar Sonal Charu se baate karne me lagi hui thi par Charu ka pura dhayan Raj pe hi tha
jise Sonal ne achi tarah se bhap liya tha lekin wo kuch kar nahi pa rahi thi thodi der me
Manish Raj ke pass aata hai

Manish:- bhai tu yaha akele kyu khada hai

Raj:- kuch nahi yaar bas aise himann nahi lag raha
Manish:- yaar mann to mera bhi nahi lag raha par kya kare majburi hai waise bhi aaj raat
ki hi to baat hai kal subah hote hi chale jayenge ok Raj ek gehri saans lete hue kehta hai

Raj:- ok ab Manish waha se chala jata hai uske jate hi Sonal Raj ke pass aa jati hai

Sonal:- sorry Raj mujhe mazburi me usse bulana pada

Raj:- aakhir aisi kon si mazburi thi tum usse itna darti kyu ho wo hai kon Raj ke sawalo se
Sonal fir se ghabra jati hai

Sonal:- wo wo maine bola na meri friend hai Sonal Raj se apni nazre churane lagti hai

Raj:- jhoot mat bolo tumhari aankhe bata rahi hai ki tum mujhse kuch chupa rahi ho fir
Raj kuch soch ke

Raj:- kahi ye sab tumhari koi chal to nahi hai mujhe phasane ki ye sunte hi Sonal ki aankho
se aansu aane lagte hai

Raj:- are yaar ab tum ro kyu rahi ho par Sonal ke aansu badhte hi ja rahe the Raj usse fir
samjhate hue kehta hai

Raj:- yaar plz chup ho jaao koi dekh lega Sonal ko iska koi asar nahi hua wo abhi bhi roye
ja rahi thi ab Raj ko thoda dar lagne laga ki agar kisi ne dekh liya to pata nahi wo kya kya
sochega wo sab ki nazar bachakar Sonal ka hath pakad kar ghar ke chaat par le jata hai

Raj:- yaar ab to chup ho jaao main bas mazak kar raha tha

Sonal:- (rote hue) mazak isse tum mazak kehte ho tum soch bhi kaise sakte ho ki main
tumhare saath chaal chal rahi hon uske saath jisne meri jaan bachai jisse main py itna
kehkar Sonal chup ho jati hai aur apna mouh ghuma ke fir se rone lagti hai

Raj:- are Baba galti ho gayi maaf kar do plz chup ho jaao yaar ab agar tum chup na hui to
main yaha se chala jaonnga Raj ki ye dhamki kaam kar gayi Sonal ka rona band ho gaya
wo ghum kar Raj ki taraf dekhti hai

Sonal:- nahi tum kahi nahi jaaoge ab jayegi to wo main abhi Charu ko yaha se bhagati hon
ye keh kar Sonal waha se jane lagti hai par Raj uska hath pakad leta hai

Raj:- nahi tum aisa kuch bhi nahi karogi ab wo aa gayi hai to rehne do par tumne bataya
nahi ki aakhir kon si majburi hai jo tum aisi ladki se friendship rakhti ho

Sonal:- main batati hon par ek promise karo ki tum uske bare me sunker gussa nahi karoge
aur nahi mujhe galat samjhoge
Raj:- acha chalo promise ab to batao

Sonal:- tum Vinod ko to jante hi ho na wahi ladka jisne usdin tumse maar peet ki thi

Raj:- haan to

Sonal:- ye Charu ussi ki bahan hai ye sunkar Raj ke pairo ke neeche se zameen hi khisak
jati hai

Raj:- kya ye uss Vinod ki bahan hai

Sonal:- haan aur hum ek hi college me padhte hai mujhe hamesha se aisho aaram ki
zindagi chahiye thi jo mujhe kabhi nahi mili fir jakar Charu se meri dosti hui jisse mere har
sapne pure hone lage main jo chahti wo milta mehenge se mehenge kapde pahanna badi
badi gadiyo me ghumna mujhe bohat acha lagne laga fir ek din Charu ne mujhe Vinod se
milvaya usse milkar mujhe aisa laga ki shayad ab mere sapne pure ho jayege main Vinod
se pyar karne lagi thi Vinod ki baato se aisa lagta tha ki wo bhi mujhse pyar karta hai par
wo sab mera waham tha main uske pyar me itni andhi ho gayi thi ki mujhe ache bure ki
samjh hi nahi rahi wo to bs mujhe usse kar raha tha fir tum yaha aaye usi ne mujhe
bhadkaya aur mujhse itna bada paap ho gaya kehte kehte Sonal fir se ro padi

Sonal:- mujhe maaf kar do Raj Raj Sonal ko apne aur nazdik lata hai aur uske aankho se
aansuo ko ponchta hai

Raj:- its ok Sonal tumse jo hua sab anjane me hua iske liye maine tumhe kab ka maaf kar
diya yaar ab fir se mat ro Sonal ab apne aap ko aur nahi sambhal pati aur ek dum se Raj
se chipak jati hai Raj bhi mauke ki najakat ko dekhte hue Sonal ko baaho me bhar leta hai
Sonal ka naram jism uski khusboo uske jism ki garmi se Raj sab kuch bhoolta ja raha tha
dono ek dusre ki baaho me simatte ja rahe the Raj aur Sonal puri duniya bhul kar ek dusre
me khote ja rahe the Sonal ke jism ki garmi se Raj pura madhosh ho chuka tha wo dheere
dheere apna control khota ja raha tha wo apni aankhe band kiye hue Sonal ke dwara mil
rahe uss charam anand me dubta ja raha tha ki achanak uski aankho ke samne Ritu ka wo
mushkurata chehra nazar aane lagta hai jiske liye wo apni jaan bhi de sakta hai saath hi
usse Ritu se kiya hua wada bhi yaad aa jata hai ki chahe kuch bhi ho wo Sonal ke ass pass
bhi nahi jaye ga Raj jaldi se apni aankhe kholta hai aur Sonal ko apne se alag karta hua
usse kuch kadam peeche hat jata hai Sonal aascharya chakhit hoker bas Raj ko dekhti reh
jati hai

Raj:- sorry Sonal mujhse bohat badi galti ho gayi mujhe tumhare saath aisa nahi karna
chahiye
Sonal:- kya hua Raj aisa kyu bol rahe ho hum kuch galat nahi kar rahe the main tumse pyar
karti hon aur tum bhi to mujhse pyar karte ho

Raj:- nahi Sonal main tumse pyar karta tha par ab kisi aur se karta hon mere iss sharir par
kewal ussi ka haq hai ye sunkar Sonal ke pairo tale zameen hi khisak jati hai

Raj:- main usse apni jaan se zyada chahta hon wo meri takat hai mere zeene ka maksad
hai wo itna hi nahi wo to mujhse isse kahi zyada pyar karti hai mar jayegi mere bina wo
Sonal ki aankho me halke halke aansu aa jate hai

Sonal:- mere pyar ka kya Raj main bhi to tumse itna hi pyar karti hon aur shayad tum bhool
rahe ho ki main tumhara pehla pyar hon

Raj:- pyar koi race nahi hai Sonal jisme pehla dushra teeshra hota hai pyar to pyar hai jab
kisi hota hai to bas dil ussi ka ho jata hai Raj ki baat sunkar Sonal chup ho jati hai wo
dheere se apna sar neeche jhuka leti hai

Raj:- bohat der ho gayi hai Sonal ab hame chalna chahiye itna kehkar Raj uske bagal se
jane lagta hai par Sonal uska hath pakad leti hai

Sonal:- ab main kya karu Raj kaise jeeu tumhare bina Raj Sonal ko samjhate hue kehta hai

Raj:- dekho Sonal tum bohat achi ladki ho aur bohat khoobsurat bhi ho tumhe zaroor koi
na koi acha ladka mil jayega jo tumhe mujhse bhi kahi zyada pyar karega

Sonal:- par wo tum to nahi hoge na

Raj:- Sonal tum samjhne ki kosis kyu nahi karti wo jo itni dur mere intezar me baithi hai
usse kya bolunga main main dawe ke saath keh sakta hon ki in do dino me usne theek se
khana bhi nahi khaya hoga ab agar main jakar usse bolu ki tum mujhe bhool jaao to wo
jeete ji mar jayegi aur agar usse kuch hua to main bhi zinda nahi reh paunga Sonal Raj ki
baat sunkar kehti hai

Sonal:- itna pyar karte ho usse bohat kismat wali hai wo jo tum jaisa pyar karne wala usse
mila theek hai ab main tum dono ke beech me kabhi nahi aaungi par tumhe bhi ek promise
karna hoga

Raj:- kya

Sonal:- yahi ki tum mujhse friendship kabhi nahi todoge Raj thoda sa mushkura deta hai

Raj:- ok hamari friendship hamesha rahegi khush ab neeche chale


Sonal:- haan ab chalo ab dono neeche aa jate hai Sonal fir se apne friends ke pass chali
jati hai Charu bhi wahi khadi thi Raj usko dekhkar sochta hai

Raj:- jaisa bhai waisi bahan koi anter nahi hai dono me tabhi Raj ke dimag me ek idea aata
hai

Raj:- yaar kyu na iska usse karke Vinod ko maat di jaaye Raj abhi soch hi raha tha ki Charu
uske samne aakar khadi ho jati hai

Charu:- kyu handsome abhi tak naraz ho kya Raj muskurate hue kehta hai

Raj:- mera naam Raj hai waise main khoobsurat ladkiyo se zyada der tak naraz nahi rehta

Charu:- to fir kya socha hath milana hai ki Charu apna ek hath Raj ki taraf badha deti hai
Raj kuch der tak sochta hai fir apna bhi ek hath aage badha kar usse mila leta hai

Raj:- jaha baat fayde ki ho to main bhala waha peeche kaise reh sakta hon Charu ek kutil
muskan ke saath kehti hai

Charu:- ye hui na akalmando wali baat

Raj:- bilkul par tum kis tarah ke fayde ki baat kar rahi thi

Charu:- wo to tumhe baad me pata chalega wo jaldi se apna card nikal kar Raj ko deti hai

Charu:- filhal to abhi tum ye mera card lo isme mera contact number hai any time any
where just call me ok ab mera kaam ho gaya hai main chalti hon bye Charu Raj ke gaal ko
halke se sehlakar waha se chali jati hai

Raj:- (mann main) chidiya phas gayi jaal me Raj aur Charu ki harkate dur khada Manish
dekh leta hai wo Charu ke jane ke baad jaldi se Raj ke pass aata hai

Manish:- (gusse se) oye ye sab kya tha aur wo ladki kon thi kahi tu Ritu ko dhoka to nahi
de raha hai

Raj:- tu pagal hai kya kya lagta hai tujhe main Ritu ko dhoka dunga tu aisa soch bhi kaise
sakta hai dhoka dena to dur main usse do pal ke liye bhi alag rekhkar nahi jee sakta

Manish:- janta hon yaar ki tu usse bohat pyar karta hai par ye sab tha kya kya chal raha
hai tere dimag me Raj muskurate hue kehta hai

Raj:- bhai wo sab main tujhe baad me samjhaunga abhi party enjoy kar itna kehkar Raj
aur Manish party me busy ho jate hai party raat 11 baje tak chali sare guest ja chuke the
ghar ke sare log apne apne room me the Raj aur Manish bhi apne room me aaram kar
rahe the ki achanak Manish ko Charu ki yaad aati hai wo Raj se kehta hai

Manish:- bhai tune bataya nahi ki wo ladki kon thi aur wo tere saath aisi harkat kyu kar
rahi thi Raj uski aur dekhkar mushkurata hai Raj Vinod ko Ritu ki zindagi se bahar nikalne
ka ek zabardast mohra haat laga hai bas ab ek plan banana hai aur Vinod out

Manish:- yaar mujhe to kuch samjh me nahi aa raha hai tu karne kya wala hai seedhe
seedhe bol na

Raj:- tujhe pata hai ki wo ladki kon hai wo Charu hai Vinod ki sister Manish bilkul shocked
reh jata hai

Manish:- kya wo Vinod ki sister hai par wo yaha kya kar rahi hai kisne bulaya usse

Raj:- wo Sonal ki friend hai dono ek hi college me padhte hai

Manish:- yaar uss Vinod ki ek sister bhi hai ye to kabhi mujhe pata hi nahi tha aur Sonal
didi uski friend hai yaar fir to wo badi khatarnak ladki hogi didi ko usse dur rehna chahiye
fir Manish kuch soch kar

Manish:- tujhe ye sab kisne bataya

Raj:- Sonal ne mujhe khud bataya subah jab hum dono market gaye the Charu wahi mili
thi

Manish:- yaar to fir tujhe didi ko batana chahiye tha na ki iss ladki se dur rahe didi ke saath
kuch galat hua to

Raj:- tu ghabra kyu raha hai maine sab bata diya hai ab wo usse dur rahegi

Manish:- to fir wo party me kya kar rahi thi

Raj:- maine hi kaha tha jisse main uske karib ja saku aut apne plan ko anjam de saku

Manish:- yaar tu bhi usse dur reh hum koi dushra plan bana lenge bhai tu uss Vinod ko
nahi janta

Raj:- to kya uske dar se Ritu ko chod du bhool jaon usse

Manish:- maine aisa kab kaha main to bas itna keh raha hon ki koi dushra tarika nikalte
hai uss Vinod se Ritu ka peecha chudane ka
Raj:- tere pass hai koi dushra plan Manish soch me pad jata hai thodi der baad jab usse
kuch nahi suzhta to wo Raj se kehta hai

Manish:- par tu karne kya wala hai kuch plan banaya Raj halke se mushkura deta hai

Raj:- nahi yaar abhi to koi plan nahi banaya bas uska number hath laga hai

Manish:- tujhe uska number bhi mil gaya yaar tune uss par koi jadu kiya hai kya jo itni jaldi
number bhi mil gaya

Raj:- kya karu yaar apna face hi aisa hai koi bhi ladki bas pehli hi mulakat me hi fas jati hai

Manish:- oye hero khud ki badhai karna band kar chal tu jo bhi plan bana par itna yaad
rakhna main hamesha tere saath hon ok Raj aage badhkar Manish ko gale se laga leta hai

Raj:- thanks yaar mujhe tujhse yahi ummed thi dono thodi der tak aise hi rehte hai fir
Manish Raj se alag hota hai

Manish:- chal ab sote hai bohat raat ho gayi hai subah bus bhi pakadni hai

Raj:- tu so ja main zara apni jaan se baat kar lu subah se ek baar bhi baat nahi ki usse

Manish:- han han kar le main to chala sone aur han ye Charu wali baat usse mat karna
bekar ki pareshan ho jayegi

Raj:- mujhe pata hai ki usse kon si baat batani hai kon si nahi samjha

Manish:- are wah tu to mere saath rehte rehte samjhdar bhi ho gaya hai good Raj ek pillow
fek kar Manish ko marta hai

Raj:- so ja nautanki sala Manish haste haste bed me let jata hai aur Raj wahi thodi dur ek
kursi me baith jata hai

Raat ke 12:30 baj chuke the Raj ab Ritu ko call karta hai pehli hi ring me Ritu call utha leti
hai par Raj ke kuch bolne se pehle hi Ritu bol padi

Ritu:- hay jaan tarash gayi thi tumhari awaaj sunne ke liye

Raj:- to pagal call kyu nahi kiya

Ritu:- soch rahi thi ki shayad tum busy hoge itni sari ladkiya hogi waha par flirting ke liye
bhi to time chahiye to faltu me tumhe call karke disturb kyu karu itna kehkar Ritu apna
mouh dabakar hasti hai wo Raj ki tang kheech rahi thi Raj ko pehle to bohat gussa aata
hai par jab usse Ritu ki dabi hansi ki halki si awaaj sunai deti hai to wo sab samjh jata hai
ab wo Ritu ko chidhate hue kehta hai

Raj:- haan yaar wo to hai ek se ek khubsurat ladkiya thi par unme se kewal ek hi ladki thi
jisne mera dil jeet liya kya lag rahi thi jaise aasman se pari utar aayi ho dil kar raha tha ki
usse abhi propose kar du yaar tum janti ho usse Ritu ko kas ke mirchi lag jati hai uski awaaj
me gussa saaf samjh me aa raha tha

Ritu:- acha kon hai wo naam kya hai Raj Manish ki taraf dekhta hai wo ab tak so chuka tha
Raj dheere se Ritu se kehta hai

Raj:- Sonal ko tum to janti hi hogi yaar aaj to kayamat hi lag rahi thi mann to kar raha tha
ki chipak jaon yaar kya honth the ek dum lalmann kar raha tha ki abhi nichod ke sara ras
pi jaon ye sab sun kar Ritu ka gussa satway aasman me chad jata hai

Ritu:- (chillate hue) haan to theek hai na raho ussi ke pass jab wo itni pasand thi to fir
mujhse pyar ka natak kyu kiya sirf time pass kar rahe the na tum bhad me jaao aaj ke baad
se mujhe kabhi call mat karna ab hasne ki bari Raj ki thi jo cheej Ritu karna chahti thi wo
ulta Raj ne kar diya Ritu anap shanap bole ja rahi thi aur Raj bas apna mouh dabakar hase
ja raha tha Ritu aage bolti hai

Ritu:- aaj se hamara rishta khatam mar gayi hon main tumhare liye samjhe itna keh kar
Ritu rone lagti hai jaise hi uski siskiyo ki awaaj Raj ke kaano me padti hai to Raj ki hasi
gayab ho jati hai

Raj:- jaan tum ro kyu rahi ho main to bas mazak kar raha tha

Ritu:- (sissakte hue) mazak isse tum mazak kehte ho yaha meri jaan nikal gayi aur tumhe
mazak sujh raha hai kyu karte ho aisa sach batao mujhe rulane me tumhe bohat acha
lagta hai na

Raj:- nahi jaan mar jata hon tumhe rota hua dekhkar

Ritu:- to fir kyu karte ho

Raj:- sorry jaan fir kabhi aisa nahi karunga par tumhe vishwash kaise hua ki main tumhe
dhoka dunga kya itna kamjoor hai hamara pyar bolo jaan

Ritu:- sorry jaan maine tum par shaq kiya par kya karu tum mere samne kisi aur ladki ki
itni tarif kar rahe the ki mujhse aur bardast nahi hua aur main na jane kya ulta seedha sab
bol gayi mujhe maaf kar do jaan iske liye tum mujhe koi bhi saza do mujhe manzur hai bas
maaf kar do

Raj:- saza to tumhe zaroor milegi thappad to tum mujhse zaroor khaogi par iss liye nahi ki
tumne mujh par saq kiya iss liye ki tumne kaha ki tum mar chuki ho mere liye ye kehne se
pehle tumne ek baar bhi socha nahi ki ye sunkar mujh par kya beetegi

Ritu:- maar lena jaan ek kya tumhare hath se to main hazaro thappad kha sakti hon par
plz jaldi aa jao nahi reh pa rahi hon tumhare bina

Raj:- bas jaan kewal aaj ki raat aur kal main tumhare pass hounga mujhe bhi nahi acha lag
raha tumhare bina Ritu tum kal subah subah jo bhi pehli bas mile usse pakad kar aa jaao
kal dopahar tak tum meri baaho me hoge bas ab main aur kuch bhi nahi sunungi ok

Raj:- ok jaan jaisa aapka aadesh ho

Ritu:- theek hai ab so jaao subah jaldi bhi uthna hai aur yaha aakar tumhe jo bhi karna hai
mere saath wo kar lena ok babu good night and love you

Raj:- good night jaan love you Raj phone rekh deta hai aur bed pe jake so jata hai abhi Raj
ki aankh lagi hi thi ki nahi uska phone fir se baj uttha Raj hadbada kar uth baithta hai aur
jaldi se mobile utha kar dekhta hai Sonal ka phone tha

Raj:- (mann main) ab itni raat ko isse kya ho gaya Raj Manish ki taraf dekhta hai wo abhi
bhi gehri neend me tha Raj time dekhta hai 230 baj gaye the wo jaldi se phone lekar
bathroom me ghus jata hai

Raj:- haan Sonal kya hua

Sonal:- Raj mujhe tumse kuch zaruri baat karni hai abhi chaat par aa kar milo

Raj:- abhi yaar itni raat ko aisi kon si baat karni hai kal subah kar lena

Sonal:- nahi Raj mujhse abhi aakar milo tum samjh kyu nahi rahe ho bohat zaruri baat hai
tumhare bare me Raj bemann se kehta hai

Raj:- theek hai aa raha hon ye keh kar Raj call cut kar deta hai wo bathroom se nikal kar
Manish ke pass aata hai wo theek se check karta hai ki Manish so raha hai ki nahi fir wo
dheere se room ka darwaja kholta hai aur bahar nikal jata hai Raj jaldi se chaat par jata
hai Sonal waha pehle se hi khadi uska wait kar rahi thi Raj usse dekhte hi kehta hai
Raj:- ye sab kya hai Sonal aisi kon si zaruri baat thi jiske liye tum subah tak ka wait nahi
kar pa rahi thi

Sonal:- batati hon wo jaldi se jakar seedhiyo se neeche jhankti hai fir Raj ke pass aakar
kehti hai

Sonal:- Raj ye batao ki tum dono yaha aaye ho ye baat waha kitno ko pata hai Raj ye
puchne ke liye raat ke 230 baje mujhe yaha bulaya hai

Sonal:- main jitna puch rahi hon utna batao kitne logo ko pata hai Sonal uss samay kafi
serious thi usse dekhkar pata chal raha tha ki kuch gadbad hone wala hai

Raj:- kisi ko nahi siway Manish ki aur meri gf ke

Sonal:- Manish ki bhi gf hai kaha rehti hai

Raj:- wo hamere hi saath padhti hai aur ussi sahar me rehti hai bohat achi ladki hai wo sab
chodo aur ye batao ki baat kya hai Sonal ab aur bhi gambhir ho jati hai

Sonal:- Raj abhi Vinod ka phone aaya tha usse pata hai ki tum yaha ho

Raj:- to isme itna pareshan hone wali kon si baat hai uski sister tumhari friend hai ussi se
pata chala hoga

Sonal:- pareshani ki baat hai Raj kyuki Charu ko tumhare bare me kuch bhi nahi pata usse
ye bhi nahi pata ki Vinod ka tumhare saath jhagda hua tha Vinod apni perSonal life ke
bare me Charu ko kuch nahi batata aur nahi Charu usse batati hai fir usse kaise pata chala

Raj:- are chalne do pata waise bhi kal main ja hi raha hon

Sonal:- Raj tum meri puri baat to suno baat sirf pata chalne ki nahi hai baat kuch aur hai

Raj:- kon si baat saaf saaf batao

Sonal:- Vinod keh raha tha ki main kisi bhi tarah se kewal tumhe jane se roku Raj ab soch
me pad jata hai usse kuch samjh me hi nahi aa raha tha ki aakhir ye sab chal kya raha hai
wo abhi apni soch me hi duba hua tha ki Sonal fir se bol padi Sonal Raj kahi tum ye to nahi
soch rahe ho ki main fir se tumhare saath koi chaal chal rahi hon mera vishwash karo Raj
isme meri koi chal nahi hai

Raj:- nahi Sonal main aisa kuch bhi nahi soch raha hon mujhe to ye samjh me nahi aa raha
ki Vinod sirf mujhe yaha kyu rokna chahta hai aakhir kya baat ho sakti hai Sonal par mujhe
to ye samjh me nahi aa raha ki tumhare yaha hone ki baat usse batai kisne Raj kahi tumhari
gf ne to nahi bataya

Raj:- pagal ho kya wo aisa kabhi nahi kar sakti mujhe khud se zyada uss par bharosa hai

Sonal:- to fir kahi Manish ki

Raj:- ye sab kya bakwas kar rahi ho uski gf bohat hi seedhi saadhi hai wo bhi aisa nahi kar
sakti

Sonal:- tum pure yakin se keh sakte ho ki Manish ki gf aisa nahi kar sakti Manish aur uska
chakker kitne dino se chal raha hai

Raj:- yahi koi 4-5 din se par wo aisi ladki nahi hai Sonal sirf 4-5 din me hi tumne decision
le liya ki wo bohat achi ladki hai Raj ab sochne par mazboor ho jata hai

Sonal:- dekho Raj iss bare me Manish ko mat batana main galat bhi ho sakti hon aur tum
kal yahi ruk jana Manish ko jane dena ok

Raj:- par main yaha kaise ruk sakta hon maine apni gf se promise kiya hai ki kal jaise bhi
ho subah ki bas pakad kar aa jaunga

Sonal:- Raj samjhne ki kosis karo mujhe bohat dar lag raha hai

Raj:- isme darne wali konsi baat hai acha ye batao usne aur kuch bhi bola tha

Sonal:- nahi bas itna hi bola ki tumhe subah jane se roku

Raj:- mujhe yaha rok kar karna kya chahta hai aakhir kya fayda hoga usse

Sonal:- kuch to fayda hoga hi kyuki wo bina fayde ke kuch bhi nahi karta Sonal ko ek dum
se kuch yaad aata hai

Sonal:- Raj ek tarika hai uske plan ko janne ka

Raj:- kya Sonal yaha se karib 1 ghante ki duri par Vinod ka farmhouse hai pure ghar me
sirf 1 hi naukar hai wo Vinod ka bohat hi khas hai Vinod apni rangraliya wahi karta hai wo
har roz waha jata hai aur mujhe pakka yakin hai ki kal bhi wo waha zaroor jayega Raj agar
hame uska plan janna hai to hame waha usse pehle jana hoga aur kahi chup kar uski baate
sunni hogi

Raj:- tum uske farmhouse par pehle bhi ja chuki ho


Sonal:- andar to nahi gayi par ek baar main Charu ke saath kahi ja rahi thi to ussi ne mujhe
bataya ki uska bhai yaha roz aata hai Raj kuch sochne lagta hai

Sonal:- Raj tum zyada mat socho bas mere saath chalo ok

Raj:- par main yaha akele kaise ruk sakta hon

Sonal:- uski bhi tension tum mat lo main sabko samjha dungi aur Manish ko bhi bhej dungi
theek hai ab jaao tum so jaao

Raj:- theek hai chalo ab dono apne apne room me chale jate hai Raj ki aankho se neend
ab udd chuki thi usse kuch samjh me nahi aa raha tha ki aakhir Vinod chahta kya hai kaha
abhi thodi der pehle usne Ritu ko kal waha pahuchne ka promise kiya tha aut kaha ab uske
saath aisa ghat gaya

Subah ke 7 baj chuke the Raj ko to raat bhar neend hi nahi aayi wo jaldi se uthkar
bathroom me ghus jata hai aur Sonal ko phone karta hai 1-2 ring ke baad Sonal phone
uthati hai

Sonal:- haan Raj kya hua

Raj:- yaar Manish abhi uthne hi wala hai koi bahana banaya usse akele bhejne ka

Sonal:- are uski tension mat lo ruko main abhi kuch karti hon itna kehkar Sonal phone cut
kar deti hai udhar Raj bhi ab fresh hone lagta hai wo abhi fresh ho hi raha tha ki kisi ne
door knock hui Manish darwaja kholta hai samne Sonal ko khade dekhkar wo kehta hai

Manish:- are didi aap itni subah kuch kaam tha Sonal bina kuch bole andar aati hai aur
idhar udhar dekhti hai

Sonal:- Raj kaha hai

Manish:- wo to abhi fresh hone gaya hai kyu kya hua

Sonal:- mujhe aaj college ke project ke liye bahar jana hai bhaiya bhi aaj hi bahar ja rahe
hai to socha Raj ke saath bike me chali jaungi bas saam tak wapas aa jaungi ye sunkar
Manish soch me pad jata hai Sonal fir usse kehti hai

Sonal:- kya hua koi problem hai

Manish:- wo kya hai didi aaj hum wapas jane wale the lekin aapka project hai ab pata nahi
Raj manega ya nahi
Sonal:- wo main Raj se baat kar lungi tum ek kaam karna tum aaj akele hi chale jana Raj
kal subah chala jayega waise bhi aaj to tum college attend nahi kar paaoge Manish kuch
soch kar

Manish:- haan ye theek rahega main Raj ko samjha dunga

Sonal:- thanks Manish

Manish:- aapke liye kuch bhi didi Sonal waha se chali jati hai Raj bathroom se un dono ki
sari baate sun raha tha Sonal ke jane ke baad Raj bahar nikalta hai wo aisa react karta hai
ki jaise usse kuch pata hi na ho Raj bahar aate hi Manish se kehta hai

Raj:- chal tu bhi jaldi se fresh hokar tayar ho ja abhi nikalna hai ab Manish usse samjhate
hue kehta hai

Manish:- yaar tujhe aaj yahi rukna hai

Raj:- kyu kya ho gaya

Manish:- yaar tujhe didi ke saath unke college ke project ke kaam se bahar jana hai Raj
jhoota gussa dikhate hue kehta hai

Raj:- main nahi ja raha kahi yaar maine Ritu ko promise kiya hai

Manish:- bhai plz maan ja didi akeli kaise jayengi Pankaj bhai bhi aaj hi jaa rahe hai yaar
chala ja plz Ritu ko call karke sab bata de wo mana nahi karegi

Raj:- yaar ye tu theek nahi kar raha hai

Manish:- yaar tujhe meri kasam plz maan ja

Raj:- yaar apni kasam mat de bandh deta hai tu mujhe apni kasam dekar acha theek hai
main jata hon par tu aaj hi chala ja aur jakar Ajay se notes le lena ok Manish ye sunkar
bohat hi khush ho jata hai usse lag raha tha ki usne Raj ko mana liya par wo ye nahi janta
tha ki ye sab unhi dono ki chaal thi

Manish:- haan main ja raha hon tu kal subah ki bas pakad kar aa jana itna keh kar Manish
bathroom me chala jata hai udhar Sonal baki sab logo ko bhi bata deti hai thodi der baad
Raj aur Manish neeche hall me aate hai sab wahi baithe hue the Manish apne saath Raj
ka saman bhi le leta hai

Mausi:- to fir Raj aaj tum ruk rahe ho na


Raj:- haan aunty ab kaam hi aisa hai ki mana nahi kar sakta fir mausi sabke liye nashta
lene chali jati hai thodi der baad Manish bas stand chala jata hai Raj apne room me chala
jata hai thodi der me Sonal bhi uske room me aati hai abhi 9 baje the

Sonal:- Raj tum ready ho hum 10 baje yaha se niklenge ok

Raj:- haan

Sonal:- tum dar to nahi rahe ho na

Raj:- are isme darne wali konsi baat hai main bilkul ready hu

Sonal:- to fir theek hai 10 baje nikalte hai ye keh kar Sonal waha se chali jati hai uske jane
ke baad Raj turant Ritu ko call karta hai pehli hi ring me call uth jata hai

Ritu:- haan jaan nikal chuke waha se

Raj:- sorry jaan aaj nahi aa paunga thoda kaam hai

Ritu:- kyu kya ho gaya

Raj:- jaan aunty ne ek kaam bata diya jis wajah se mujhe aaj rukna padega Raj Sonal ke
saath jane ki baat nahi batana chahta tha

Ritu:- koi baat nahi jaan kal aajana aur apna khayal rakhna ok acha ab main rakhti hon
class me jana hai bye

Raj:- bye jaan Raj call cut kar deta hai aur 10 bajne ka wait karne lagta hai jaise taise 10
baj jate hai Sonal fir se Raj ke room me aati hai

Sonal:- Raj ab chalo yaha se nikalte hai

Raj:- haan chalo Sonal Raj ko bike ki chabi deti hai Raj bike nikal ke start karta hai Sonal
jaldi se baith jati hai Raj bike aage badha deta hai

Raj:- Sonal kaha se jana hai

Sonal:- tum chalte raho main batati jaungi Sonal rasta batati ja rahi thi aur Raj ussi tarah
bike chalata ja raha tha thodi der me dono sahar se bahar nikal jate hai

Raj:- Sonal ye rasta to hamere sahar ko jata hai

Sonal:- haan mujhe pata hai hum dono ke sahar ke beech me uska farmhouse hai ab Raj
aur kuch nahi puchta wo chup chap Sonal ke bataye raste par chalta chala ja raha tha karib
1 ghanta ho chuka tha rasta kafi sunsaan ho gaya tha
Raj:- yaar aur kitni dur hai

Sonal:- bas ab aane hi wala hai wo samne se jo right hand pe gali ja rahi hai wahi turn le
lena Raj waisa hi karta hai thodi dur jane ke baad Sonal ek bohat bade ghar ke samne bike
rokne ko kehti hai

Raj:- ye farmhouse hai uska

Sonal:- haan yahi hai ab ye socho ki ander kaise chale Raj uske ghar ke samne se thodi dur
par ek bade se ped ke peeche bike le jata hai

Sonal:- kya hua tumne yaha kyu roki

Raj:- 11 se upar ho gaya hai tumhi ne to kaha tha ki Vinod 11 baje tak yaha aata hai to wo
abhi yaha aane hi wala hoga agar usne waha hum logo ko dekh liya to gadbad ho jayegi

Sonal:- kafi smart ho acha ab ye batao andar kaise ghuse abhi unki baate chal hi rahi thi
ki road ki taraf se ek badi si car uss ghar ki taraf aayi

Sonal:- are yaar Vinod to aa gaya ab jaldi karo

Raj:- ek kaam karte hai ghar ke peeche se chalte hai koi jagah hai waha par

Sonal:- wo to pata nahi peeche kabhi gayi nahi

Raj:- to fir chalo dono abhi ek kadam bhi nahi badha pate ki tabhi ek aur car uss ghar ke
gate ke samne aa kar ruki

Raj:- ab ye kon hai

Sonal:- pata nahi par uske kuch hi dost yaha aate hain shayad wahi honge tabhi uss car
me se koi utarta hai jise dekhkar Raj ke pairo ke neeche se zameen nikal jati hai uske dil
ne dhadakna hi band kar diya tha uski aankho ko viswaas hi nahi ho raha tha uska dimag
ye maanne se mana kar raha tha par jo sach tha wo sach tha kyuki samne jo khadi thi wo
koi aur nahi Ritu thi Ritu ko car se utarte dekh Raj bilkul hairan rah jata hai usse to kuch
bhi samjh me nahi aa raha tha ki Ritu iss waqt yaha kya kar rahi hai

Raj:- Ritu yaha

Sonal:- isme kon si badi baat hai wo Vinod ki gf hai wo to yaha aati hi rehti hai

Raj:- par itna kehker Raj chup ho jata hai


Raj:- (mann main) ye sab chal kya raha hai abhi thodi der pehle to Ritu ne kaha tha ki wo
class me ja rahi hai ab ye yaha usne mujhse jhoot kyu bola kahi Vinod ne to usse yaha
aane per mazboor nahi kiya kahi Ritu kisi problem me to nahi hai per usne mujhe bataya
kyu nahi Ritu ab ghar ke andar dakhil ho chuki thi

Raj:- (mann main) ye to andar bhi chali gayi kahi Vinod ne uske saath koi badtamizi ki to
nahi main aisa nahi hone dunga Raj abhi soch hi raha tha ki Sonal bol padi

Sonal:- kya hua Raj ab soch kya rahe ho andar nahi chalna

Raj:- haan haa chalo jaldi dono bhagte hue gate ke pass aate hai Ritu abhi kuch hi dur tak
gai thi

Raj:- Sonal gate khula hua hai aur koi hai bhi nahi chalo yahi se chalte hain

Sonal:- haan Raj yahi sahi mauka hai kyuki iss ghar me sirf ek hi naukar hai aur wo ab in
dono ki seva me lag gaya hoga to jaldi chalo dono badi savdhani se andar ghuste hai
farmhouse me samne ki taraf garden bana hua tha aur wahi se ek rasta peeche ki taraf
jata hai jaha ek chota sa swimming pool tha dono ussi garden wale raste se peeche ki taraf
jate hai waha ghar ke andar jane ke liye ek bada sa kaanch ka darwaja tha aur uske dono
sideo me kafi sari khidkiya thi Raj chupke se ek khidki me se jhank kar dekhta hai wo ek
bedroom tha par abhi waha koi nahi tha Raj dusre khidki se jhankta hai wo bhi ek normal
room ki tarah lag raha tha par waha bhi koi nahi tha Raj abhi theek se dekh hi raha tha ki
Sonal ko ek khidki se kuch dikhta hai wo Raj ko dheere se kehti hai

Sonal:- Raj jaldi se yaha aao Raj jaldi se uske pass jata hai

Sonal:- yaha dekho hamere sare sawalo ke jawab yahi se milenge Raj chupke andar
jhankta hai wo ek bada sa hall tha hall ke center me sofa rakha hua tha jaha Vinod baith
kar kisi ka intezar kar raha tha Ritu waha kahi dikh nahi rahi thi samne ek table tha jis par
ek sharab ki bottle aur saath me khane ke liye chips rakkhe hue the khidki aisi jagah thi
jaha se Raj to usko dekh pa raha tha par wo Raj ko nahi dekh pa raha tha tabhi hall ek
andar Ritu enter hoti hai wo aate hi gusse se Vinod se kehti hai

Ritu:- tumhari himmat kaise hui mujhe yaha bulane ki iske jawab me Vinod haskar kehta
hai

Vinod:- are meri jaan tum gussa kyu hoti ho chalo baitho Ritu Vinod ke bagal me baithti
hui kehti hai
Ritu:- dekho Vinod maine tumse pehle bhi kaha tha ki mujhe bhool jaao main ab Raj se
pyar karti hon ye sunkar Raj ki aankho me chamak aa jati hai uski chati chaudi ho jati hai

Wahi dusri taraf Sonal ye sunkar bilkul shocked reh jati hai wo dheere se Raj se kehti hai

Sonal:- kya ye sach hai Raj tum Ritu se pyar karte ho ye jante hue ki usne tumhare saath
kya kya kiya

Raj:- dekho Sonal Ritu aisi ladki nahi hai wo sach me mujhse bohat pyar karti hai baki
baate main tumhe baad me samjhaunga abhi chup raho dono fir se andar jhankte hai

Vinod:- tum uss do take ke ladke ke liye mujhe chod rahi ho iska anjam kya hoga tum janti
ho tumhar papa jaan se mar denge tumko

Ritu:- main Raj se bohat pyar karti hon apni jaan se bhi zyada uske liye agar meri jaan bhi
chali gayi to koi parwah nahi main uske pyar me jee nahi sakti to mar zaroor sakti hon itna
keh kar Ritu apne hatho se apne chehre ko dhak kar rone lagti hai ye dekh kar Raj ka kaleja
fat jata hai uski bhi aankhe nam ho jati hai par agle hi pal Ritu thahake mar kar hasne lagti
hai usse is tarah se hasta dekh Raj bilkul shocked ho jata hai Ritu samne hi padi hui sarab
ki botal uthati hai aur gatagat 4-5 ghunt pi jati hai

Vinod:- are aaram se soda ya pani to kuch mila lo

Ritu:- are chodo jo maja neet me hai wo pani ke saath kaha Raj ke liye to ye ek aur
chonkane wali cheej thi kyuki Ritu ne uski kasam khai thi ki kabhi sharab ko hath tak nahi
lagayegi daru ke 4-5 ghunt pine ke baad Ritu apna sara sach samne lana suru karti hai

Ritu:- maru main wo bhi uss fatichar ke liye aisa kabhi ho sakta hai kya par puri zindagi me
usse bada duffer maine aaj tak nahi dekha usse itni jaldi mujh par vishwash ho jayega ye
maine kabhi socha bhi nahi tha

Vinod:- yaar tumne planning hi aisi ki thi handbag se tumhara diary girna tumhare jhute
aansu aur sabse maje ki baat tumhari dard bhari kahani ki tumhe kabhi kahi se pyar nahi
mila sab itna badhiya tha ki Raj to kya koi bhi tumse pyar kar baithe Ritu sharab ke 2-4
ghunt aur marti hai

Ritu:- yaar wo to ab pura diwana ban chuka hai mera ab agar main usse apni jaan dene ko
bhi keh du to bhi wo mana nahi karega

Vinod:- yaar kuch bhi bolo par maza aa gaya hahaha dono fir se hasne lagte hai
Udhar Raj ko vishwash hi nahi ho raha tha ki Ritu ne usse dhoka diya hai ussi Ritu ne jisse
wo itna pyar karta hai itna bharosha karta hai jiske liye wo sab se lada jiske liye wo kuch
bhi kar sakta tha kisi bhi had tak ja sakta tha usi ne uski duniya ek jhatke me khatam kar
di ab Raj se aur suna na gaya wo chup chap khada hua aur ghar se bahar chala gaya Sonal
bhi uske peeche peeche bhar aagai Raj ak dil tut chuka tha wo ek zinda lash ban chuka tha
uski aankho se aansu beh rahe the Raj ki halat dekh Sonal ki bhi aankho se aansu nikal aa
jate hai wo Raj ke kandhe par hath rakh kar kehti hai

Sonal:- Raj tum itni badi galti kaise kar sakte ho sab jante hue ki Ritu kaisi hai tumne usse
pyar kiya suna tha ki pyar andha hota hai aaj dekh bhi liya kyu Raj aakhir kyu tum aisi ladki
se pyar kar baithe jiska dil patthar ka hai aisa kya dekha tumne usme Raj ki aankho se
aansu abhi bhi beh rahe the Raj apna mouh ghuma leta hai uska dil itna tut chuka tha ki
theek se khada bhi nahi ho pa raha tha wo ab ghutno ke bal zameen pe baith jata hai

Raj:- tumne mere saath aisa kyu kiya Ritu aisa kon sa gunah kar diya maine jiski itni badi
saza tumne mujhe di itna pyar karta tha tumse are ek baar bol deti to main has ke apni
jaan de deta par tumne to mujhe jeete ji mar dala kaise jeeu ab mai itna kehkar Raj foot
foot ke rone laga ab Sonal se aur bardast na hua wo jaldi se Raj ke samne aake ghutno ke
bal baith jati hai aur uske sar me hath ferti hui kehti hai Sonal apne aap ko sambhalo Raj

Raj:- kaise sambhalu apni jaan se bhi zyada chahta tha usse aankh se aansu uske nikalti
thi aur taklif mujhe hoti thi chot usse lagti thi to dard mujhe hota tha kasam khai thi ki
zindagi me usse kabhi dard aur taklif ka zara sa bhi ehsaas nahi hone dunga uski sari
duniya khusiyo se bhar dunga Raj halka sa muskurate hue fir kehta hai

Raj:- par meri Kismat to dekho aaj mere pyar ne hi mujhe dard diya meri puri zindagi tabah
kar di aisa lag raha hai ki jaise mere sharir se aatma hi nikal gayi ho itna keh kar Raj fir se
rone lagta hai Sonal bas chup chap Raj ko rote hue dekhti rehti hai wo ab usse samjhaye
bhi to kaise pyar me dhoka khane ka dard wo achi tarah samjh sakti thi shayad issi wajah
se uski bhi aankho me aansu the tabhi achanak Raj khada hota hai aur apne aansu ponchte
hue kehta hai

Raj:- iska jawab to usse dena hi padega aakhir kyu kiya usse mere saath aisa main usse
aise hi nahi jaane dene wala chalo Sonal ab Sonal bhi uth kar khadi ho jati hai

Sonal:- Raj tum aisa kya karne wale ho dekho jazbaat me aa kar kuch galat kadam na utha
lena
Raj:- ghabrao mat Sonal main yaha kuch bhi nahi karunga pehle main tumhe tumhare
ghar chod du uske baad main bas pakad ke apne sahar jaunga chalo jaldi karo kehkar Raj
bike start karta hai Sonal jaldi se baith jati hai Raj tezi se bike chalane lagta hai usse jald
se jald apne sahar pahuchna tha abhi dono adhi dur pahuche honge ki Sonal boli

Sonal:- Raj main bhi tumhar saath jaungi

Raj:- nahi Sonal aaj mere aur Ritu ke beech me koi nahi aayega tum yahi rahogi Raj ka
gussa itna zyada tha ki Sonal aur ek shabdha bhi na bol saki Raj ab chup chap bike chala
raha tha uske seene me ek aag jal rahi thi jiska bujhna bohat zaruri tha thodi der me dono
ghar pahuch jate hai Raj Sonal ko aur bike ko ghar ke bahar hi chod kar bas stop ki aur
chala jata hai Sonal bas usse jate hue dekhti hi rehti hai kareeb 4 baje Raj apne hostel
pahuchta hai Raj ko iss samay dekh kar Manish chonk jata hai

Manish:- yaar tu iss samay yaha didi ke saath gaya nahi tha kya Raj iska koi jawab nahi
deta wo dheere se bed me baith jata hai raste bhar jin aansuo ko rokta raha wo yaha
aakar behne lage Raj ki aisi halat dekhker Manish bilkul ghabra gaya wo jaldi se Raj ke
bagal me baith kar uske kandhe pe hath rakh kar puchta hai

Manish:- bhai kya hua koi problem hai yaar bol na Raj iss baar bhi kuch nahi kehta bas ek
baar Manish ki taraf dekh kar apna mouh ghuma leta hai Manish fir usse puchta hai

Manish:- yaar ab rota hi rahega ya kuch bolega bhi bhai kuch to bol mujhe bohat dar lag
raha hai

Raj:- (rote hue) kya bolu yaar ab kuch nahi bacha meri zindagi me batane layak barbad kar
diya usne mujhe itna keh kar Raj fir se chup ho jata hai

Manish:- ye tu kaisi baate kar raha hai kya hua aur kisne barbad ki teri zindagi theek se
bol bhai Manish abhi Raj se puch hi raha tha ki tabhi Raj ka phone bajne laga Raj apne
phone ko dekhta hai aur gusse me phone ko bed par hi patak deta hai Manish ko Raj ka
ye roop bada hi atpata lag raha tha usse kuch samjh me nahi aa raha tha ki Raj ko hua kya
hai usne pehle kabhi aisa nahi kiya tha par aaj usse hua kya tha mobile me abhi bhi ring
ho rahi thi Manish jaldi se Raj ka phone uthata hai phone dekh kar Manish bhi chonk jata
hai Ritu ki call thi

Manish:- yaar kya hua tujhe tune isse baat kyu nahi ki Raj uthkar bathroom me ghus jata
hai Manish ko bohat hi ajeeb lag raha tha wo jaldi se call uthata hai

Ritu:- kya hua jaan itni der me call kyu uthaya


Manish:- are Ritu main hon Manish Raj abhi bathroom me hai

Ritu:- oh Manish tum sorry yaar mujhe laga Raj hai ok koi baat nahi main baad me call
karti hon itna kehkar Ritu call cut kar deti hai idhar Manish Raj ka phone rakhta hai udhar
Manish ka phone bajne lagta hai wo apna phone dekhta hai Sonal ka phone tha wo call
receive karta hai

Manish:- haan didi kya hua

Sonal:- ye batao Raj pahuch gaya ki nahi

Manish:- haan abhi thodi der pehle hi aaya hai par usse hua kya hai aake bas rota hi ja
raha hai kuch bol bhi nahi raha hai

Sonal:- uska dil tut chuka hai uske saath dhoka hua hai

Manish:- didi theek se batao mujhe kuch samjh me nahi aa raha hai Sonal usse puri baat
batane lagti hai jaise jaise Manish ko baat pata chal rahi thi uske pairo se zameen hi
khisakti jati hai aakhari tak uske bhi aankho se aansu aa hi jate hai Manish call cut kar deta
hai tabhi Raj bathroom se nikalta hai Manish jakar uske gale lag jata hai

Manish:- bhai itni badi baat ho gayi aur tune mujhe bataya bhi nahi yaar mujhe bilkul
paraya bana diya

Raj:- nahi yaar aaj ek tu hi to hai jis par main bharosa kar sakta hon aur ye baat main tujhe
batata bhi kaise mujhe maaf kar de yaar jo maine teri baat nahi mani shayad issi baat ki
saza mili hai mujhe Manish usse alag hota hua kehta hai

Manish:- tu aisa kyu keh raha hai yaar jo hua so ho gaya ab bhool ja sab kuch aur naye
sare se apni zindagi suru kar

Raj:- itni jaldi main usse nahi jane dunga mere sawal ka jawab to usse dena hi padega Raj
apna phone uthata hai aur Ritu ko call karta hai pehli hi ring me Ritu call uthati hai

Ritu:- hi jaan kab aaye Ritu ke mouh se ye jaan shabdha sunkar Raj ka dil jal uthta hai

Raj:- mujhe tumse abhi milna hai mandir ke peeche wale garden me aake milo ok

Ritu:- kya baat hai badi jaldi me lag rahe ho kya irada hai betaab ho rahe ho kya mujhe
apni baaho me lene ke liye Raj ka gussa badhta hi ja raha tha par wo kisi tarah se apne
aap par control kar raha tha

Raj:- kuch aisa hi samjh lo ab jaldi karo niklo waha se main abhi pahuch raha hon
Ritu:- bas jaan tum pahucho main abhi aati hon call cut ho jata hai Manish abhi wahi khada
hua Raj ki baate sun raha tha

Manish:- ab tu kya karne wala hai kyu ja raha hai uss dhoke baaz ke pass

Raj:- apne sawal ka jawab lene

Manish:- ruk main bhi chalta hon

Raj:- nahi aaj koi beech me nahi aaye ga tu bhi nahi tujhe meri kasam agar dobara zid ki
to ab Manish kuch bhi nahi kar sakta tha Raj jaldi se room se nikal kar mandir ki taraf
badhta ja raha tha jaise jaise wo mandir ki taraf badh raha tha waise waise uski purani
yaade taza hone lagi thi mandir tak pahuchte pahuchte Raj ki aankhe fir se chalak uthi jis
mandir me usne apne pyar ki suruat ki thi

Aaj ussi mandir me uska pyar khatam hone ja raha tha wo jaldi se garden me ussi ped ke
pass jata hai jaha usne pehli baar Ritu ko gale se lagakar I love you bola tha ye sab baate
yaad aate hi Raj ki aankho se aansuo ki dhara behne lagti hai aaj usse sari cheeze bemani
lag rahi thi usse lag raha tha ki itne dino se wo koi sapna dekh raha tha aur ab jakar hosh
me aaya hai Raj abhi apni soch me duba hua tha ki tabhi Ritu chupke se aakar Raj se
peeche se chipak jati hai

Ritu:- kitne dino baad aaj dil ko thandak pahuchi hai bohat tarsaya hai tumne Ritu ke iss
tarah chipakne se Raj ke pure badan me aag lag jati hai uski baato se Raj ka dil fat raha
tha wo dheere se Ritu ko apne se alag karta hai aur uski aur palatta hai Ritu ka wo masoom
sa chehra dekh kar Raj ek pal ke liye bhool sa jata hai ki wo yaha kis liye aaya hai wo jee
bhar kar uss masoom se chehre ko dekhta hai jisse usne kabhi be inteha pyar kiya tha par
agle hi pal uss chehre ke peeche chupe ek ghamandi magrur aur chalbaaz ladki ka chehra
dikhne lagta hai jisne uske pyar ka mazak uddaya tha uska gussa fir se badhne lagta hai
usko iss tarah se ghurte hue dekh Ritu kehti hai

Ritu:- kya hua jaan aise kya dekh rahe ho ab Raj se bardast karna mushkil ho chuka tha
usne Ritu ke gaal pe kheech ke ek thappad mar diya thappad kafi zordar tha thappad ki
mar se Ritu thoda tilmila gai

Ritu:- kya hua Raj ab maine kya kiya Raj ki aankho me aansu aa chute the

Raj:- meri puri zindagi barbad kar ke mere pyar ka mazak uddakar puchti ho kya kiya maine
ye sunkar Ritu bilkul shocked ho jati hai
Ritu:- ye tum kaisi baate kar rahe ho pagal to nahi ho gaye mujhe lagta hai ki tum abhi
apne hosh me nahi ho

Raj:- pagal to pehle tha jo tumhari baato me aa gaya par ab main hosh me aa chuka hon
galti meri hi thi ki main tum jaisi magrur aur chalbaaz ladki ke chakker me aa gaya Ritu
aage badhkar Raj ke kandhe pe hath rakhti hui kehti hai

Ritu:- Raj kya ho gaya hai tumhe kyu mujh par ulta seedha aarop laga rahe ho Raj jhatke
se Ritu ka hath apne kandhe se hata deta hai

Raj:- nahi mujhe chuna bhi nahi mujhe chune ka tumhe koi haq nahi aur apna ye natak
band karo mujhe sab pata chal chuka hai Vinod ke saath milkar mujhe fasane ka tumhara
ye plan tha yaar tumne to mujhe jeete jee mar diya aisi kon si galti kar di thi maine jiski
tumne mujhe itni badi saza di kitna chahta tha tumhe main aakhir kyu kiya aisa mujhe
jawab chahiye Ritu pehle to Raj ko aascharya se dekhti rehti hai fir ek kutil muskan chehre
pe la kar kehti hai

Ritu:- chalo acha hua ki tumhe sab pata chal gaya main thak gai thi itne dino natak karte
karte haa ye sab natak tha badla lena chahti thi tumse pehle din jab tumne meri insult ki
thi tab maine socha tha ki tumhe jaan se mar du par wo saza tumhare liye kam thi main
tumhe til til ke marte dekhna chahti thi tab maine Poonam ke saath milkar ye plan banaya
par tum to bade bewakuf nikle hume to laga tha ki tum mere jaal me fasoge hi nahi lekin
tum itni jaldi fash jaoge ye maine nahi socha tha waise tumko fashane ke liye maine bhi
bohat takleef jheli pehle apna hath katna pada tumhare gale lagna pada fir ek ke baad ek
jhoot bolna pada haan ek baat aur mujhe apne maa baap se bohat pyar mila unki jaan
hon main ek baar jo mouh se nikal jaaye wo turant mere kadmo me hazri ho jata hai tum
jaiso ki aukat hi kya hai theek se baraber khade hone ki haisiyat bhi nahi hai tumhari aur
chale aaye mujhse pyar karne tum jaise do take ke ladko ke liye main wo chand hon jise
tum dekh to sakte ho par chu nahi sakte Raj chup chap khade hokar sunta raha wo bilkul
tut chuka uski aankho se aansuo ka sailab fut pada wo ghutno ke bal baith jata hai

Raj:- (rote hue) kyu kiya ek baar keh deti jaan bhi de deta

Ritu:- bas yahi chahiye thi ki tum mere samne ghutno ke bal baith kar ro gidgidao ab mera
badla pura ho gaya ab chahe to tum apni jaan do ya na do mujhe koi farak nahi padta ok
main to chali aaj to party karungi itna kehkar Ritu mudkar jane lagti hai par tabhi Raj bolta
hai
Raj:- jaane se pehle meri ek baat sunti jaao aaj tumne mere sacche pyar ka khoon kiya hai
ab mera pyar par se viswaas uth gaya hai par yaad rakhna ek din aisa aayega jab tum khud
mere pyar ko tarsogi aaj jaise main ro raha hon uss din tum bhi rogi par tab bohat der ho
chuki hogi us samay koi tumhare aansu ponchne wala nahi hoga yaad rakhna Ritu palatkar
muskurate hue

Ritu:- galat fahmi hai tumhari iss duniya me main sirf apne aap se pyar karti hon samjhe
ye pyar ka dar kisi aur ko dikhana itna kehkar Ritu tezi se waha se bahar chali jati hai Raj
bas bebasi se usko jate hue aakhari baar dekhta hai Ritu yahi wo naam tha jise Raj ne apni
zindagi bana li thi uski aankhe khulti thi to issi naam se aur band bhi issi naam se hoti thi
jis pyar ko usne kabhi na chodne ki kasam khayi thi aaj ussi pyar ne usse akela chod diya
jo uski dil ki dhadkan thi ussi ne aaj uska dil tod diya uski zindagi usse dur chali ja rahi thi
aur Raj aankho me aansu liye apni jaan ko bas jate hue dekhta hi ja raha tha bebas aur
lachar kya yahi ishq hai kya kisi ko pyar kehte hain Ritu chali gayi usne ek baar bhi palatkar
Raj ko nahi dekha shayad dekhna bhi nahi chahti thi par Raj usse ek tak dekhta hi gaya
shayad issi aas me ki Ritu abhi daudti hui uske pass aayegi aur usse apne gale se lagati hui
kahegi sorry jaan ye sab ek mazak tha par aisa hua nahi wo to sach me chali gayi Raj ke
behte hue aansu bhi uski dil ko na pighala sake aaj Raj apne aap ko bohat besahara aur
lachar mehsus kar raha tha usse ye zindagi badi be mani si lag rahi thi uske andar ab jeene
ki koi iccha nahi bachi thi aur jeeta bhi to kiske liye wo jisne uske pyar ak mazak uddaya
jisne uske jazbaato ke saath khela nahi ab wo iss dard ko lekar jeeye bhi to kaise kyuki
agar wo zinda rahega to Ritu ki yaade uske saath bitaye hue wo hasin pal aur uski bewafai
Raj ko til til ke marti isse acha to ek hi jhatke me jaan de di jaye Raj apnemann me faisla
kar chuka tha iss dard bhari zindagi se chutkara pane ka tarika usse mil chuka tha wo apne
aap ko majboot banata hai aur apne aansu ponchte hue khada hota hai abhi Raj do kadam
aage badhata hai ki tabhi uske phone ki ring bajti hai wo jeb se mobile nikal kar dekhta
hai uske kadam ek dum se ruk jate hai aansu fir se uski aankho se behne lagte hai maa ka
phone tha ab wo asmanjas me pad jata hai ki kare to kya kare ek taraf wo ladki hai jiski
bewafai usse jeene nahi de rahi thi wahi dusri taraf wo maa baap hai jo usse apni jaan se
bhi zyada chahte the

Raj:- (mann main) yaar main inko kaise bhool gaya main bina soche samjhe kya kane ja
raha tha main hasta hon to ye haste hai main rota hon to ye rote hai iss puri duniya me
koi agar mujhe sacche dil se chahta hai to wo mere mummy papa hai aur main iss 20 din
ke pyar ke chakker me uss 20 saal ke pyar ko chod raha tha wo bhi ek aisi ladki ke liye jisko
shayad pyar ka matlab hi nahi pata main uss ziddi ghamandi magrur ladki ke chakker me
marne ja raha tha aur ye bhi nahi socha ki mere marne ke baad mere maa baap bhi nahi
jee payenge meri galti ki saza in dono ko kyu mile nahi main ye paap nahi kar sakta jeeunga
wo bhi sirf inke liye mobile ki ring ek baar cut hokar dobara se bajne lagti hai is baar Raj
jaldi se call uthata hai

Maa:- beta tu theek to hai na tune phone kyu nahi uthaya Raj kisi tarah apne aapko
sambhalta hai

Raj:- haan maa main bilkul theek hon

Maa:- nahi tu mujhse kuch chupa raha hai teri awaaj bata rahi hai ki kuch to galat hua hai
tere saath

Raj:- nahi maa aisi koi baat nahi hai wo bas thodi thand lagi hai iss liye

Maa:- dekh beta main teri maa hon 9 mahine tak tujhe apne pet me rakha hai mere hi
sharir ka hissa hai tu aur mere sharir ke kisi bhi hisse ko koi takleef ho aur mujhe hi na
pata chale ye kaise ho sakta hai ab sach sach bata kya hua mere bacche ko maa ki baat
sunkar Raj se aur na raha gaya wo foot-2 kar rone laga

Raj:- ye duniya bohat kharab hai maa kabhi sukh se jeene nahi deti main bohat thak chuka
hon maa Raj ko rote dekh uski maa bilkul tadap uthti hai uska kaleja jalne lagta hai

Maa:- beta tu abhi aaja issi waqt mere pass aaja tu agar nahi aa sakta to main abhi aati
hon theek hai beta par tu darna mat aur rona to bilkul bhi nahi main aur tere papa bas
abhi aate hai chahe jaise bhi ho hum aa rahe hai Raj apne maa ki bechaini achi tarah se
samjh sakta tha

Raj:- nahi maa aap ko yaha aane ki koi zarurat nahi main sab theek kar lunga

Maa:- main kuch bhi nahi sunna chahti bas ye bata ki tu aa raha hai ya main aau

Raj:- par maa Raj aur kuch bole usse pehle uski maa fir bol padi

Maa:- koi par war nahi tujhe meri kasam agar tune meri baat nahi mani to maine to pehle
hi mana kiya tha ki yahi issi sahar me padh le mat ja bahar par meri baat to kabhi sunte
nahi ho ab agar tune meri baat nahi mani to main kabhi tujhse baat nahi karungi

Raj:- nahi maa aisa kabhi mat karna ab aur dard nahi seh sakta mar hi jaunga mai

Maa:- khabardar jo kabhi marne ki baat ki to warna tujhse pehle main hi mar jaonngi bas
tu aaja beta Raj ke pass ab bolne ko kuch nahi tha waise bhi yaha rekhkar wo jee nahi pata
ya aisa kahe ki Ritu ki yaade usse jeene nahi deti isse acha to wo apne ghar hi chala jaye
jaha sab uske apne the sab usse pyar karne wale the kamse kam wo waha apni dard bhari
yaado se dur to rahega Raj kuch soch kar kehta hai

Raj:- theek hai maa main aa raha hon kal subah ki train pakad kar main tumhare pass aa
jaunga

Maa:- theek hai beta ab apna saman bandh le main phone rakhti hon

Raj:- ok maa call cut ho jata hai Raj apne aansu ponchta hai aur waha se room ke liye nikal
jata hai

Sham ke 7 baj chuke the Raj apne hostel aata hai wo jaise hi apne room me jata hai Manish
uske gale lag jata hai

Manish:- yaar kaha tha itni der main bohat dar gaya tha abhi phone kane ki soch hi raha
tha ki tu aa gaya

Raj:- thanks yaar ek tu hi to yaha hai jo meri itni fikar karta hai aur kisi ko meri fikar hi
kaha hai Manish Raj se alag hote hue kehta hai

Manish:- yaar meri ek baat manega tu kuch dino ke liye apne ghar kyu nahi chala jata
waha tera mind bhi fresh ho jayega warna tu yaha ghut ghut ke jeeyega aur wo mujhse
dekha nahi jayega

Raj:- haan yaar abhi maa ka phone aaya tha wo bhi yahi keh rahi thi

Manish:- theek hi to keh rahi hai aunty tu aaram se kuch din tak wahi reh jab mind fresh
ho jaye to wapas aa jana tab tak main yaha college me sab sambhal lunga

Raj:- to fir theek hai main abhi nikalta hon train to nahi milegi par 10 baje wali bas jaroor
mil jayegi

Manish:- chal packing karte hai fir dono milke paking me lag jate hai tabhi Raj ko kuch
yaad aata hai

Raj:- yaar ek baat to main batana hi bhool gaya Ajay se kehna ki Poonam se thoda bach
ke rahe warna uska bhi mere jaisa haal na ho jaye

Manish:- kyu kya hua

Raj:- yaar mujhse badla lene ka ye Ritu ka plan tha aur Poonam bhi usse mili hui hai to uss
par bhi bharosa karna mushkil hai ho sakta hai main galat hon ya fir sahi bhi ho sakta hon
Manish:- yaar ye Poonam bhi itni kamini niklegi maine to kabhi socha bhi nahi tha chal tu
uski fikar mat kar main baat karunga usse paking karte karte 8 baj jate hai

Raj:- chal yaar main nikalta hon ok

Manish:- ruk main bhi chalta hon bas stop tak pata nahi fir kitne dino baad milu

Raj:- yaar tu kyu chal raha hai faltu me pareshan hoga waise bhi kuch hi din me laut aaunga
tu yahi ruk ok ab iss baat ko lekar koi bahas mat karna plz

Manish:- yaar tu hamesha apni hi manmani karta rehta hai chal nahi jata par ek baar fir
se gale to lag ja bhai Manish apni dono baahe failakar Raj se kehta hai

Raj:- ye bhi koi kehne ki baat hai dono ek dusre ke gale lag jate hain

Manish:- bhai apna khayal rakhna aur ghar pahuchte hi phone karna

Raj:- tu bhi apna khayal rakhna itna kehkar Raj waha se chala jata hai

Wahi dusri taraf Ritu aaj bohat khush thi uska badla jo pura ho chuka tha issi khusi me aaj
usne ek party rakhi thi wo bhi sahar ke sabse bade hotel me jaha Ritu Poonam Vinod
Charu aur unke kuch friends sharab ki masti me zhoom rahe the

Poonam:- aakhirkar Ritu tune badla le hi liya uss Raj se

Ritu:- (haste hue) Ritu naam hai mera aise kaise chod sakti hon waise uska chehra dekhne
layak tha bechara ro khud raha tha fir bhi mujhe keh raha tha dekh lena Ritu tum bhi ek
din aise hi rogi aur tumhare aansu ponchne wala koi nahi hoga Ritu ki baat se sab hasne
lagte hai tabhi Charu bol padti hai

Charu:- kuch bhi kaho par wo Raj hai bada cute

Vinod:- ab tujhe kya hua kahi tujhe to usse pyar nahi ho gaya

Charu:- kya bhai tum bhi kuch bhi bolte rehte ho main to bas usse ek baar usse karne ki
soch rahi thi par usse pehle hi sab gadbad ho gaya

Poonam:- to ab kar lena Ritu ko jo karna tha wo kar liya ab tumhari bari itna sunke Vinod
zor zor se hasne lagta hai uski hasi dekhkar Ritu usse puchti hai

Ritu:- ab tumhe kya hua

Vinod:- main to ye soch kar hash raha hon ki agar wo bechara Charu ke chakker me fash
gaya to pakka pagal ho jayega kyuki ye to usse kahi ka nahi chodegi Vinod ki baat pe sab
hasne lagte hai Ritu bhi hasti par aaj uske chehre par wo khusi nahi thi ek ajeeb sa dard
uske dil me ho raha tha usse kuch samjh me nahi aa raha tha wo khush lagne ki kosis to
bohat kar rahi thi fir bhi wo dard nahi ja raha tha bhai ye Raj ka saccha pyar tha itni jaldi
kaise khatam ho jata raat ke 10 baj chuke the Raj bas me baith jata hai aur bas chal padti
hai

Agle din college me Ritu wahi apne purane andaz me thi apne sare friends ke saath
baithkar mauj masti kar rahi thi kehne ko to wo sabke saath thi par uska dhayan college
ke main gate pe tha uski aankhe sirf Raj ko hi talash rahi thi par waha aaj na Raj dikh raha
tha aur na hi Manish kafi der ho jati hai par dono me se koi bhi aaj college me nahi dikha
dikhte bhi kaise Raj to iss sahar me hi nahi tha aur Manish Raj ke jane se itna dukhi tha ki
college hi nahi aaya idhar Ritu Raj ko na dekh pane se bohat pareshan thi iss liye nahi ki
uske dil me Raj ke prati koi humdardi thi balki iss liye ki wo sabke samne Raj ka mazak
uddana chahti thi khair jab kafi der ho jati hai to Ritu Poonam se kehti hai

Ritu:- yaar ye Raj abhi tak nahi aaya

Poonam:- kaise aayega tune haal hi aisa kiya hai uska bechara room me baith kar ro raha
hoga abhi hahaha

Ritu:- wo sab to theek hai par mujhe ek der lag raha hai kahi wo kuch ulta seedha na kar
baithe

Poonam:- to karne de na hume kya tu kyu tension le rahi hai

Ritu:- yaar tension iss baat ki nahi hai ki wo kuch ulta seedha karega tension to iss baat ki
hai ki uske chakker me kahi main na fash jaon

Poonam:- are aisa kuch nahi hua hoga agar hota to ab tak pata chal chuka hota fir bhi teri
tasalli ke liye main Ajay se waha ke bare me puchti hon Poonam apna mobile nikal kar
Ajay ko call karne hi wali thi ki uss samay Ajay khud uske samne aakar khada ho gaya

Ajay:- Poonam tumse kuch baat karni hai chalo mere saath Ajay ke iss tarah kehne se Ritu
dar jati hai usse laga ki zaroor Raj ne kuch galat kiya hoga isse pehle Poonam kuch kehti
Ritu bol padi

Ritu:- kya hua Ajay sab theek to hai na Ritu ka dar se bhara chehra dekhkar Ajay samjh
jata hai ki Ritu kya janna chahti hai wo halke se mushkura kar kehta hai

Ajay:- Ritu jaisa tum soch rahi ho waisa kuch bhi nahi hai tum tension mat lo aur masti me
lagi raho mujhe bas Poonam se kuch zaruri baat karni hai abhi 2 minute me wo bhi aake
tum logo ko join kar legi aaj ke baad se usse bhi koi tension nahi hogi Ajay ki baat se jaha
Ritu ne rahat ki saans li wahi Poonam sochne par mazboor ho gayi

Poonam:- (mann main) ye Ajay aisa kyu keh raha hai ki aaj ke baad se mujhe bhi koi
tension nahi hogi par mujhe to koi tension thi hi nahi Poonam abhi ye sab soch hi rahi thi
ki Ajay fir se bol pada

Ajay:- kya hua chalo

Poonam:- par kaha

Ajay:- der kyu rahi ho kahi bhagake nahi le ja raha hon bas yahi bagal wale park me le
jaonnga Poonam uske saath chalne lagti hai

Poonam:- main koi dar war nahi rahi thi balki main to khud chahti hon ki tum sach me
mujhe kahi bhaga le chalo par tum ho ki kuch karte hi nahi ho Poonam ki baat ka Ajay koi
jawab nahi deta wo bas chup chap Poonam ko lekar park me jata hai park ke andar jate
hi Poonam Ajay se chipak jati hai

Poonam:- I love you Ajay tumhe nahi pata mujhe tumhari baaho me kitna sukun milta
haimann karta hai bas aise hi tumse chipki rahu bas Poonam ka itna hi kehna tha ki Ajay
usse apne se alag karta hai aur ek zor ka thappad uske gaalo me lagata hai Ajay ki aankho
me aansu the

Ajay:- sharam nahi aayi itna ganda kaam karte hue kya bigada tha uss Raj ne tumhara aaj
uski iss halat ki jitni jimmedar Ritu hai utni tum bhi ho mujhe aaj Manish ne sab bata diya
hai ki kis tarah tum dono ne plan karke Raj se badla liya main tumhe ek achi ladki samjhta
tha par tum bhi uss Ritu ki tarah ek giri hui aur ghatiya ladki ho tumne mera usse kiya ghin
aati hai mujhe apne aap par ki maine tum jaisi ladki se pyar kiya Poonam ye sab sunkar
shocked reh jati hai

Poonam:- Ajay tum mujhe galat samjh rahe ho

Ajay:- galat to pehle tha jo tumse pyar kiya par ab main aisi galti nahi karunga ab se
hamere beech sare rishte khatam Poonam ke pairo tale zameen hi khisak jati hai uski
aankho se aansuo ki dhara behne lagti hai

Poonam:- aisa mat bolo Ajay mujhe chodkar mat jaao mar jaonngi main tumhare bina
bohat pyar karti hon tumse meri ek galti ki itni badi saja mat do main aaj hi Raj se maafi
mang lungi aur uss Ritu ka saath bhi chod dungi ye keh kar Poonam Ajay ke pairo me gir
jati hai
Poonam:- plz Ajay bas ek baar maaf kar do

Ajay:- bohat der kar di tumne Poonam ab kuch nahi ho sakta Raj ye sahar chod kar chala
gaya waise tum log yahi to chahti thi aaj to tum logo ke liye khusi ka din hai jaao jake party
karo khub enjoy karo par bhagwan ke liye mujhe bhool jao itna keh kar Ajay waha se jane
lagta hai usko jate dekh Poonam ko bardast nahi hota wo daudkar Ajay ke samne khadi
ho jati hai

Poonam:- nahi Ajay tum mujhe aise chodkar nahi jaa sakte meri ek galti ki itni badi saza
mat do main tumhare aage hath jodti hon mar jaonngi tumhare bina Ajay issi tarah
gidgidaya hoga wo bhi Ritu ke samne kitna roya hoga wo par tum logo ko kya farak padta
hai tumhari wajah se maine apna dost khoya hai ab tumhe bhi wo dard wo takleef mehsus
hogi jo tum logo ne usse diya hai ab yaha baith kar roti raho aur sochti raho ki tum logo
ne kitna bada paap kiya hai Ajay waha se chala jata hai aur Poonam akeli roti wahi khadi
reh jati hai ab usse samjh me aa raha tha ki usne Ritu ka saath dekar kitni badi galti ki thi
aaj sirf Ritu ki wajah se uska pyar usse chod kar chala gaya

Wahi dusri taraf Raj ab apni ghar pahuch chuka tha Raj ke ghar pahuchte hi uski maa usse
apne gale se laga leti hai

Maa:- kitne dino baad tujhe dekh rahi hon kitna kamjoor ho gaya hai theek se khata peeta
nahi tha kya waha par Raj apne chehre par ek zhuti muskan liye kehta hai

Raj:- kaha maa theek to hon

Maa:- chup kar kitna dubla ho gaya hai fir bhi kehta hai theek to hon abhi undono ki baate
chal hi rahi thi ki Raj ke pita ji waha aa jate hai

Papa:- ab chod bhi do usse bhoolo mat ye mera bhi beta hai ab Raj apni maa se alag hota
hai aur aage badhkar apne pita ji ke pair chune ke liye jaise hi jhukta hai uske pita ji uske
kandho ko pakad kar usse rokte hai aur apne gale se laga lete hai

Papa:- kitni baar kaha hai beta tumhari jagah mere pairo me nahi mere dil me hai pita ji
ek gehri saans lete hue kehte hai

Papa:- ab jake kaleje ko thandak mili Raj ko uske maa baap ka uske prati itna pyar dekhkar
ahsaas hota hai ki kal raat ko wo kitni badi galti karne ja raha tha kisi ladki ke jhute pyar
ke chakker me usse saccha pyar karne wale uske maa baap ke chehre ki wo khusi cheen
leta jo abhi uske aane se unko mili thi ye sochte hi uski aankho se pani aa jata hai par wo
jaldi se khud par control karta hai aur aansuo ko ponchta hai dono ab alag hote hai sab
wahi hall me baith kar baate karne lagte hai baat karte karte 2 baj jate hain

Maa:- hi bhagwan 2 baj gaye beta tu jaldi se fresh ho ja main abhi khana lagati hon bohat
bhook lagi hogi na

Raj:- nahi maa mujhe bhook nahi hai aap log khana kha lo mujhe thoda aaram karna hai
main room me ja raha hon

Maa:- aaj main kuch nahi sunungi chup chap fresh hokar aa main khana lagati hon na
khane ki zidd karega to main kabhi tujhse baat nahi karungi abhi Raj aur kuch kehta par
usse pehle papa hi bol pade

Papa:- ja beta fresh ho aa warna tu to janta hi hai apni maa ko ek baar jo usne than li usse
karke hi manti hai ab Raj ke pass bolne ko kuch tha hi nahi wo uthkar apne room me chala
jata hai

Udhar college ki chutti ke baad Ritu apne hostel aati hai jaise hi wo apne room me jati hai
to hairan reh jati hai Poonam apna sara saman pack kar rahi thi aur roye ja rahi thi Ritu ko
kuch samjh me nahi aa raha tha ki ye ho kya raha hai

Ritu:- Poonam kaha ja rahi hai tu aur ro kyu rahi hai Ajay ke saath jhagda hua kya par
Poonam koi jawab nahi deti Ritu uska hath pakad kar apni aur ghumati hai

Ritu:- sunai nahi de raha main tujhse kuch punch rahi hon Poonam uska hath jhatakte hue
kehti hai

Poonam:- chu mat mujhe aaj sirf teri wajah se mera pyar mujhe chodkar chala gaya Ritu
ye sunkar shocked ho jati hai

Ritu:- meri wajah se par maine kya kiya Poonam na main tere plan me teri madad karti
aur na hi aaj Ajay mujhko chod ke jata ab mujhe samjh me aa raha hai ki kitni badi galti
ho gayi mujhse aaj jo dard main mehsus kar rahi hon isse kahi zyada dard aur takleef Raj
ko hui hogi kitna galat kiya hai humne uske saath hamari hi wajah se wo ye sahar chod
kar chala gaya main usse maafi bhi nahi mang saki theek kiya hai bhagwan ne mujh jaise
ko yahi saza milni chahiye thi itna keh kar Poonam apna saman uthakar jane lagti hai par
do kadam aage badha kar fir palatkar kehti hai

Poonam:- main to ja rahi hon Ritu aaj nahi to kal main jaise taise apna pyar paa hi lungi
chahe iske liye mujhe kisi ke bhi aage naak hi kyu na ragadna pade par tu kya karegi ye
Vinod Charu aur tere jitne bhi friends hai wo sab ke sab matladi hai ek Raj hi tha jisne bina
kisi shartha ke tujhse pyar kiya tujhe apni jaan se zyada chaha tune usse khokar bohat
badi galti ki hai kisi din tu bohat royegi itna kehkar Poonam waha se jane lagti hai

Ritu:- ruk ja na yaar kaha jayegi mujhe akeli chodkar tu meri best friend hai yaar

Poonam:- friend hon nahi thi aur tujhe meri liye tension lene ki koi jarurat nahi hai maine
dusri jagah room rent pe le liya hai ab se tere raste alag aur mere raste alag hamare beech
ki sari friendship khatam waise bhi jo ladki apne pyar ki na hui wo friend ki kya hogi
Poonam waha se chali jati hai Ritu chup chap usko jate hue dekhti rehti hai ek hi to uski
friend thi jisse wo apna sab kuch share karti thi par aaj wo usse chodkar ja rahi thi wo
chah kar bhi usse na rok saki akelepan ka dard shayad ab use mehsus ho raha tha

Wahi dusri taraf Raj iss samay apne room me gumsum sa baitha hua apne beete hue palo
ki yaad me khoya hua tha uske chehre se uski udasi saaf zhalak rahi thi apne gujre hue
palo ko yaad karke uski aankho me aansu bhi aa gaye the wo apni yaado me iskadar khoya
tha ki usse pata hi nahi chala kab se uski maa uske pass baithi hai usse to hosh tab aata
hai jab maa uske sar pe pyar se apna hath ferti hai jaise hi maa Raj ke sar pe hath ferti hai
to Raj bilkul chonk jata hai wo jaldi se apne aansuo ko ponchta hai

Raj:- are maa tum kab aayi

Maa:- main to bohat der se yahi baithi hon par tujhe kya hua hai jab se aaya hai bohat
pareshan dikh raha hai koi problem hai

Raj:- nahi maa aisi koi baat nahi hai main tu bas aise hi kuch soch raha tha

Maa:- theek hai batana hai to bata waise bhi mujhe sab pata hai

Raj:- kya sab pata hai

Maa:- yahi ki zaroor koi ladki ka chakker hai Raj ye sunkar bilkul chonk jata hai

Raj:- nahi maa aisa kuch bhi nahi hai

Maa:- acha ab waha jakar jhoot bolna bhi seekh gaya dekh tujhe meri kasam sab sach
sach bata

Raj:- kya maa hamesha apni kasam dekar mujhe bandh deti ho han hai ek ladki itna sunna
tha ki nahi maa ka chehra khusi se khil utha
Maa:- are wah iska matlab mere bete ko pyar ho gaya ye to bohat khusi ki baat hai aur tu
mouh latka ke baitha hai acha ye bata kon hai wo kya naam hai uska dekh hamari taraf se
ok hai

Raj:- maa pehle meri puri baat to sunlo

Maa:- haan bol

Raj:- uska naam Ritu hai hamere saath hi padhti hai par

Maa:- par kya

Raj:- par maa usne mujhe dhoka diya hai mazak uddaya hai mere pyar ka ye sunkar maa
ka khila hua chehra ek dum se murjha gaya

Maa:- kyu aisa kyu kiya usne mujhe puri baat bata fir Raj apni maa ko suru se aakhari tak
sab baat batata chala gaya Raj ki sari baat sun kar uski maa ke aankho me pani aa jata hai
Raj bhi gumsum sa baitha aansu baha raha tha apne bete ki aisi halat dekh kar maa jaldi
se apne aap ko sambhalti hai

Maa:- beta main manti hon ki tere saath bohat galat hua per tujhe haar nahi manni
chahiye thi tujhe ladna hoga apne pyar ke liye usse ahsaas dilana hoga ki ek tu hi hai jo
usse saccha pyar karta hai agar koi kisi se saccha pyar karta hai to na chahte hue bhi samne
wale ke dil me uske liye ek khaas jagah ban jati hai jo kabhi nahi bharti tune bhi agar usse
saccha pyar kiya hai to uske dil me bhi tere liye ek khaas jagah ban gayi hogi jise wo kabhi
nahi mita sakti bas tu usse apne pyar ka ahsaas karata ja dekh lena ek din usse apni galti
ka ahsaas hoga aur wo bhagti hui tere pass aayegi Raj chup chap kuch der tak maa ki baat
sunta raha fir wo apne aansu ponch kar khada hota hai

Raj:- nahi maa ab bohat der ho chuki hai ab main sirf usse nafrat karta hon ab wo mere
samne jitna bhi roye giddidaye main usse maaf nahi karunga

Maa:- par deta

Raj:- nahi maa ab main uske bare me aur kuch nahi sunna chahta ab se wo mere liye mar
chuki hai Raj ki aankhe gusse se lal ho chuki thi uske gusse ko dekh kar uski maa bhi baat
aur aage nahi badhati Raj tezi se room se bahar chala jata hai uski maa ke dil me ek anjana
sa dar sata raha tha kyuki usse yakin tha ki ek na ek din Ritu palat kar Raj ke pass zaroor
aayegi par uss samay Raj kaisa react karega kyuki jo banda kisi se sacche dil se pyar karta
hai to wo usse utni hi siddat se nafrat bhi kar sakta hai
Wahi dusri taraf Ritu apne room me baithi apne aap ko bohat akali mehsus kar rahi thi

Ritu:- (mann main) kya maine sach me Raj ko chodkar galti kar di wo sach me mujhse itna
pyar karta tha par maine kabhi usse pyar nahi kiya lekin main usse apne dil se nikal kyu
nahi paa rahi hon main jitna bhi usse bhoolne ki kosis karti hon wo aur utna hi yaad aata
hai hi bhagwan main usse bhool kyu nahi paa rahi hu kahi aisa to nahi ki mujhe bhi Raj se
pyar ho gaya nahi nahi aisa nahi ho sakta main kisi se pyar nahi kar sakti mujhe bhoolna
hoga usse nahi to main pagal ho jaongi itna keh kar Ritu samne rakhi sharab ki botal uthati
hai aur gatagat pine lagti hai

Idhar Raj apne purane dosto se milkar raat ke 10 baje ghar aata hai aur sab ke saath khana
kha kar apne room me chala jata hai aur bohat kosiso ke baad usse neend aati hai badi
mushkil se Raj ki aankh lagi hi thi ki uska phone bajne laga Raj hadbada kar uth baithta hai
neend kacchi hone ki wajah se usse uthne me koi takleef nahi hui raat ke 12 baj chuke the

Raj:- (mann main) itni raat ko kon phone kar sakta hai zaroor Manish hi hoga wo jaldi se
mobile uthata hai phone Manish ne nahi Ajay ne kiya tha Raj uska naam dekhte hi thoda
soch me pad jata hai ki aakhir wo itni raat ko call kyu kar raha hai kahi Poonam ke bare
me to nahi baat karega Raj jaldi se call pick karta hai

Raj:- haan Ajay kya hua itni raat ko call kyu ki sab theek to hai na

Ajay:- bhai tujhe sorry bolne ke liye phone kiya tha

Raj:- sorry kiss liye

Ajay:- yaar tere iss halat ka jimmedar main hi hon na main Poonam ki baato me aata na
tu Ritu ke kareeb jata aur na tera aise dil tut ta bhai mujhe maaf kar de vishwash kar
mujhe bilkul bhi nahi pata tha ki ye sab un dono ki chaal hai

Raj:- yaar isme tujhe sorry bolne ki koi jarurat nahi hai mujhe pura yakin hai ki ye sab tune
jaan bujh kar nahi kiya waise bhi maine ek dhoke baaz se pyar kiya tha saza to milni hi thi

Ajay:- yaar tu tension mat le maine Poonam ko iski saza de di hai

Raj:- (chonkte hue) saza kaisi saza kya kiya tune uske saath

Ajay:- chod diya maine usko jab Manish ne mujhe tere bare me bataya tabhi maine usse
apne sare rishte khatam kar diye wo roti rahi hath jodkar maafi mangti rahi giddidati rahi
par maine usse maaf nahi kiya usse ussi haal me chod aaya jis haal me tujhe Ritu ne choda
tha ab usko samjhh me aaya hoga ki usne kitni badi galti ki hai Raj ye sab sun ke bilkul
shocked reh jata hai

Raj:- yaar ye tune kya kar diya maine sirf ye kaha tha ki tu Poonam se thoda sambhal kar
rahe kahi uski nadani ki wajah se tujhe sarmindagi na mehsus karni pade

Ajay:- yaar tu abhi bhi usse nadan samjhh raha hai ye jante hue ki usse ye sab tere saath
jaan bujh ke kiya hai

Raj:- haan ye sach hai hai ki usne mere saath jo kiya sab jaan bujh ke kiya par ye bhi sach
hai ki usse tujhse sacche dil se pyar kiya yaar jo haal Ritu ne mere saath kiya wahi haal
tune Poonam ke saath kiya fir tujhme aur Ritu me kya farak reh gaya bhai tu bohat kismat
wala hai jo tujhe itni pyar karne wali koi mili abhi bhi kuch nahi bigda mana le usse

Ajay:- yaar tu kis mitti ka bana hai jis ladki ki wajah se aaj teri aisi halat hui us par gussa
hone ke bajaye tu uski tarafdari kar raha hai

Raj:- yaar main kisi ki tarafdari nahi kar raha main to bas ye chahta hon ki pyar me jo dard
aaj main mehsus kar raha hon wo koi aur na kare

Ajay:- yaar tu itna acha kyu hai ab to mujhe Ritu pe taras aa raha hai ki usse tere jaise
Inshan ko kho diya bhai badi kismat wali hogi wo ladki jiske naseeb me tu likha hai Raj ab
halka sa mushkura deta hai

Raj:- chal ab baate bohat ho gayi phone rakh mujhe neend aa rahi hai aur haan Poonam
ko fir se mana le ok

Ajay:- ok bhai bye call cut jata hai Raj fir se sone ki kosis karta hai aur thodi hi der me usse
neend aa hi jati hai

Agli subah Ritu roz ki tarah tayar hokar college jati hai aaj wo bohat akeli feel kar rahi thi
uski best friend jo uske saath nahi thi wo aaj akeli hi canteen me baithi thi uske chehre se
uski udhasi saaf jhalak rahi thi uski nazare baar baar Poonam ko talash rahi thi par aaj na
Poonam kihi dikh rahi thi aur na Ajay uski udhasi dheere dheere aur bhi badhti ja rahi thi
tabhi uske kuch friends aake wahi Ritu ke saath baith gaye wo log aapas me kisi party ke
bare me baat kar rahe the Ritu ko kuch samjh me nahi aata

Ritu:- tum log kis party ki baat kar rahe ho

Friend:- yaar tujhe nahi pata aaj 31 december hai aur yahi college me party rakhi gayi hai
Friend 2:- waise bhi tujhe kya karna hai iss party me sarf pair hi honge aur tere pass koi
boyfriend to hai nahi

Ritu:- (gusse se) mujhe kisi boyfriend ki zarurat nahi hai main akeli hi theek hon mujse ye
pyar wayar nahi hota

Friend 3:- hoga bhi kaise ishe to sirf apne aap se pyar hai aur kisi se pyar kiya hota to pata
chalta ki ye pyar kya hota Hai itna keh kar uske sare friend zor zor hasne lagte hai Ritu ka
gussa aur bhadak jata hai wo khadi ho jati hai

Ritu:- main aaungi aur akele hi aaungi mujhe kisi ki zarurat nahi hai itna keh kar Ritu waha
se chali jati hai ab usse ehsaas ho raha tha ki shayad Poonam sahi keh rahi thi ki uske sare
friends matladi hai ab shayad uske dil me bhi Raj ke liye kuch alag sa feel ho raha tha par
dimag uska saath nahi de raha tha wo kisi bhi tarah Raj se haarna nahi chahti thi

Raj apne ghar me baitha tv dekh raha tha uska dil aaj bahar jane ko nahi kar raha tha kyuki
aaj har jagah new year party ki tayariya chal rahi thi aur usse in sab me koi interest nahi
tha wo tv dekh zaroor raha tha par uska dhayan sirf Ritu par hi tha usne na jane kya kya
soch rakha tha aaj ke liye lekin Ritu ne uske sare armano pe pani fer diya abhi wo apne
khayalo me duba hua tha ki uska dost Sunny aa gaya

Sunny Raj ki hi tarah tall and handsome hai dono bachpan se saath khele padhe saath
bade hue dono ek dusre ki jaan the agar ek ko choot lage to aansu dusre ki aankh se aata
tha dono ek dusre ke har sukh dukh ke saathi the aur sabse badi baat dono padosi the
unki dosti par pure mohalle walo ko garv tha sab ko pata tha ki chahe kuch bhi ho jaye Raj
aur Sunny ki jodi ko koi tod nahi sakta tha itni gehri dosti hone ke bawjood Raj ne abhi tak
Sunny ko Ritu ke bare me nahi bataya shayad wo usse ye sab bata kar dukhi nahi karna
chahta tha

Sunny Raj ke bagal me baithta hua kehta hai

Sunny:- yaar kya plan hai aaj ka

Raj:- koi plan nahi hai

Sunny:- to chal na koi plan banate hai aaj raat ki party ka

Raj:- nahi yaar iss baar rehne dete hai next year dekha jayega

Sunny:- yaar tujhe hua kya hai tu party ke liye mana kar raha hai waise to tu hi hamesha
in sab me aage rehta hai bhai chal na bada maja aayega
Raj:- (gusse se) tujhe ek baar me samjhh me nahi aata kya bola na nahi karni mujhe koi
party

Sunny:- to isme itna bhadak kyu raha hai nahi karni to na sahi par ek baat to hai ki jab se
tu aaya hai bada pareshan dikhta hai hamesha ghar par hi rehta hai humse bhi theek se
baat nahi kar raha hai bhai hua kya hai kahi college me to koi lafda nahi hua tera bol na
mujhe nahi batayega Raj ka dil abhi kisi se baat karne ko nahi kar raha tha

Raj:- yaar meri tabiyat kuch theek nahi hai kuch der ke liye mujhe akela chod de main
tujhse baad me baat karta hon ok aur itna kehkar Raj waha se uthkar seedha apne room
me chala jata hai aur door andar se lock kar leta hai ye dekh Sunny bohat hairan reh jata
hai shaq to usse bohat pehle hi ho chuka tha lekin aaj uska shaq pura yakin me badal
chuka tha

Sunny:- (mann main) kuch to gadbad hai aaj tak usne aisi harkat kabhi nahi ki zaroor koi
aisi baat hai jo ye mujhe nahi batana chahta par main jaan ke hi rahunga

Raat ke 8 baj chuke the Ritu tayar ho kar party me jati hai party college ground me hi rakhi
gayi thi black top black mini skirt baal khule hontho pe red lipstick kulmilakar Ritu kayamat
lag rahi thi pura ground khachakhach students se bhara hua tha Ritu charo taraf apni nazar
daudati hai shayad kisi ko dhund rahi thi sabhi apne me hi busy the kuch pair laud music
me dance karne me magan the to kuch group bana kar baato me busy the uske sare
friends bhi apne apne boyfriend aur girlfriend ke saath lage hue the uske liye kisi ke pass
aaj time nahi tha tabhi Ritu ki nazar Manish par padti hai Manish bhi Riya ke saath masti
me laga hua tha halaki Manish ki nazar bhi Ritu par padti par wo undekha kar deta hai
Ritu samjhh jati hai per use koi farak nahi padta kyuki uski nazre kisi aur ko talash rahi thi
abhi wo idhar udhar dekh hi rahi thi ki achanak Poonam uske samne khadi ho jati hai Ritu
ka chehra ek dum se khil uthta hai Ritu usse kuch kehne hi wali thi ki usse pehle Poonam
boli

Poonam:- hi Ritu kaisi ho

Ritu:- thank god Poonam tu aa gayi main bor ho rahi thi yaar

Poonam:- sorry Ritu main yaha tere liye nahi aayi main Ajay ke saath aayi hon

Ritu:- (chonkte hue) kya Ajay par usne to tujhe chod diya tha na

Poonam:- haan chod diya tha par aaj fir se usne mujhe apna liya wo bhi sirf Raj ke kehne
pe yaar pagal ho gayi thi main jo teri baato me aa gayi aur aise Inshan ke saath bura kiya
jisne hamesha sabki bhalai ki aaj usse ki wajah se mera pyar mujhe wapas mil gaya Ritu
abhi bhi kuch nahi bigda thaam le uska hath kahi aisa na ho ki bohat der ho jaye aur wo
kisi dusre ka ho jaye fir tujhe pachtane ka bhi mauka nahi milega itna keh kar Poonam
chali jati hai uske jate hi Ritu apne aapko ek dum akeli aur besharam mehsus karti hai
kyuki kal tak wo jise apna samjhh rahi thi wo log to paraye nikle ab usse apni galti ka
ahsaas hone laga tha ki Raj ko dhoka dekar usne kitni badi galti kardi ab usse yaad aata
hai ki kitni siddat se Raj ne usse mohabbat ki thi apni jaan se badhkar usko chaha tha aisa
pyar to kabhi uske maa baap ne bhi usse nahi kiya tha ye sab baate yaad aate hi Ritu ki
aankho se apne aap aansu behne lagte hai aaj jaha har koi khush tha jaha har ek banda
neye saal ka mushkura ke swagat kar raha tha wahi Ritu ki aankho me pachtawe ke aansu
the jise wo rokne ki bohat kosis karti hai par rok hi nahi pa rahi thi shayad dil ke hatho
nakam thi abhi wo apni halat se nikalne ki kosis kar hi rahi thi ki tabhi uske kandhe par kisi
ka hath rakha mehsus karti hai Ritu apne halat se ubarne ki kosis kar hi rahi thi ki achanak
apne kandhe par kisi ka hath mehsus karti hai wo bilkul chonk jati hai aur apne aansu jaldi
se ponchte hue peeche palat ti hai samne Vinod khada tha aur thoda nashe me bhi tha
Ritu usse dekh kar hairan reh jati hai

Ritu:- Vinod tum yaha kya kar rahe ho

Vinod:- kyu nahi aa sakta

Ritu:- mera matlab hai bina bataye yaha aa gaye aur kitni sharab pi rakhi hai tumne

Vinod:- are yaar 31 night hai to pi li par tum ye batao ki tum yaha akeli kya kar rahi ho
chalo mere saath farmhouse hum wahi apni party karenge

Ritu:- sorry Vinod main aaj kahi nahi jaungi mera mood theek nahi hai

Vinod:- yaar tum chalo to sahi main tumhara mood 2 minute me theek kar dunga waha
maine sari vayavastha kar rakhi hai aaj dono jam ke piyenge

Ritu:- nahi Vinod aaj mera pine ka bhi mood nahi hai tum jao

Vinod:- acha theek hai mat pina lekin friend hone ke nate saath to chal hi sakti ho waise
bhi new year ke samay akele acha nahi lagta plz yaar chalo na Ritu ke pass bhi iske alawa
aur koi chara nahi tha yaha to wo bilkul akeli thi kam se kam waha usse Vinod ka saath to
milta yahi soch kar Ritu uske saath chalne ko razi ho jati hai dono kuch hi der me
farmhouse pahuch jate hai andar jate hi Vinod apne naukar ko awaaj deta hai naukar
bhagta hua uske pass aata hai
Vinod:- dekho main jo saman laya hon usse yaha rakh do fir tum apne ghar chale jana ok

Naukar:- ji sir ab naukar saman lene chala jata hai uske jate hi Ritu kehti hai

Ritu:- are tumne usse jane ko kyu bola

Vinod:- yaar aaj puri duniya party mana rahi hai to uska bhi mann karta hoga ye sab karne
ka iss liye usse aaj chutti de di wo bhi bechara apne ghar walo ke saath enjoy kar lega Ritu
kuch nahi bolti thodi der me naukar sara saman table pe saza ke chala jata hai Vinod
sharab ki botal uthake 2 glass me dalta hai aur ek glass Ritu ki ore badhta hai

Ritu:- nahi Vinod maine pehle hi kaha tha ki aaj main nahi piyungi

Vinod:- come on baby bas ek peg

Ritu:- sorry Vinod na 1 na 2 aaj mera pine ka bilkul mood nahi hai

Vinod:- aise kaise mood nahi hai pina to tumko padega hi acha mere hatho se pi lo Vinod
apna ek hath peeche se le jakar Ritu ke kandhe ko majbuti se pakad leta hai aur dusre
hath se sharab ke glass ko Ritu ke hontho ke pass lakar zabardasti pilane lagta hai bachao
me Ritu apne dono hath se Vinod ka hath pakad leti hai

Ritu:- (gusse se) ye kya badtamizi hai Vinod chodo mujhe

Vinod:- aise kaise chod du aaj ke din ka to kab se intezar tha Ritu puri takat se Vinod ka
hath jhatak deti hai jisse sharab ka glass Vinod ke hath se gir jata hai ab Vinod gusse se
pagal ho jata hai aur zor ke 2 thappad Ritu ke gaal pe lagata hai Ritu ke mouh se khoon
nikalne lagta hai uski aankho me aansu aa jate hain ab wo khadi hoti hai aur 2 kadam
peeche hat jati hai

Ritu:- pagal ho gaye ho kya dekho Vinod tum ye theek nahi kar rahe ho Vinod bhi khada
ho jata hai

Vinod:- haan main pagal ho gaya hon pana chahta hon tujhe na jane kab se nazar thi tujh
pe aur ek tu hai ki sali kabhi hath bhi nahi rakhne deti pata nahi kab se theek se so bhi
nahi paya hon sirf tere liye ab ek baar sona chahta hon tere saath ye keh kar Vinod dheere
dheere aage badhta hai Ritu uske aage hath jodti hui kehti hai

Ritu:- plz Vinod chor do jane do mujhe main tumhare aage hath jodti hon

Vinod:- han han bilkul chali jana par aaj raat mera bistar to garam kar do meri jaan kal
subah main khud tumhe chor aaunga itna keh kar Vinod Ritu par jhapat padta hai wo Ritu
ko apni baaho me daboch kar sofe par lita deta hai ab Vinod apne dono hatho se Ritu ke
dono hatho ko kas ke pakad leta hai aur apni ek tang ko Ritu ke dono tango ke upar rakh
deta hai ab Ritu bilkul bhi hill nahi pa rahi thi wo ab Vinod ke aage gidgidati hai

Ritu:- plz Vinod aisa mat karo main bardad ho jaungi par Vinod uski baat unsuni kar deta
hai

Ritu:- dekho Vinod choro mujhe warna main chillawngi

Vinod:- (haste hue) chillao zor zor se chillo par itna yaad rakhna ki yaha tumhari pukar
sunne wala koi nahi hai itni der me Ritu apni puri takat lagaker apna ek pair Vinod se
chudwa leti hai aur ghutno ko mod kar kas ke Vinod ke pet me marti hai jisse Vinod sofe
se neeche gir jata hai ab issi mauke ka fayda utha kar Ritu sofe se jaldi uthkar darwaje ki
taraf bhagti hai lekin Vinod jaldi se apne aapko sambhalta hai aur daud kar Ritu ke pair
pakad leta hai jisse Ritu mouh ke bal zameen pe gir jati hai ab Vinod usko apni aur
ghumata hai aur fir se uske upar chad jata hai aur uske dono hatho ko kas ke pakad leta
hai

Vinod:- sali bohat hath paon chalane lagi hai na ab tu kaha bhagegi ye keh kar Vinod apna
sar Ritu ke chehre pe jhuka leta hai par Ritu apna mouh ghuma leti hai jisse Vinod ke honth
Ritu ke gardan se takrate hai wo uske gardan ko bure tarike se kat leta hai jisse Ritu ki ek
zordar cheekh nikal jati hai par uski dard bhari cheekh sunne wala shayad waha koi nahi
tha ab usse samjhh me aa gaya tha ki usne Raj ko chorkar kitni badi galti ki thi aaj agar Raj
uske saath hota to usse ye din na dekhna padta Ritumann himann apne aap ko kosti ja
rahi thi aur bhagwan se apne liye dua mang rahi thi par kehte hai na agar bhagwan se
kuch sacche dil se mango to wo mil hi jati hai aisa kuch uss samay Ritu ke saath bhi hua
isse pehle ki Vinod aur aage badh pata tabhi darwaja khul jata hai aur Ritu aur Vinod ki
puri family samne khadi ho jati hai Vinod ki aisi ghinoni harkat dekh unke pairo ke neeche
se zameen hi khisak jati hai sabke mouh khule ke khule reh jate hai par Vinod ko to koi
hosh hi nahi tha usse to abhi tak pata hi nahi chala ki kab se unke maa baap waha khade
hai wo to apni hi dhun me Ritu ke saath zabardasti kar raha tha aur bechari Ritu dard ke
mere buri tarah karah rahi thi Vinod ki itni giri hui harkat dekh kar Vinod ke baap ke sar
pe khoon sawar ho jata hai aur chillate hue kehta hai

Vinod ka baap:- Vinod jaise hi ye awaaj Vinod ke kaano me padti hai to wo hosh me aata
hai aur apna sar utha ke dekhta hai samne apne pure pariwar ko khada dekh uske hosh
udd jate hai ab isse pehle ki wo kuch kar pata uska baap uske pass aakar uske baalo ko
mutthi me pakad kar usse uthata hai tab tak Ritu ki maa bhi Ritu ke pass aakar Ritu ko
uthati hai aur usse apne seene se laga leti hai aur Ritu bhi apni maa ke seene se lipat kar
rone lagti hai

Ritu ki Maa:- Ritu meri bacchi tu theek to hai na Ritu kuch nahi bol pati bas apni maa ki
baaho me lipte hue roti hi rehti hai uska rona dekh Vinod ka baap gusse se pagal ho jata
hai aur chillate hue Vinod se kehta hai Vinod ka baap tu iss had tak gir sakta hai ye maine
kabhi socha bhi nahi tha teri himmat kaise hui Ritu ke saath aisa karne ki

Vinod:- papa mujhe maaf kar do mujhse bohat badi galti ho gayi main apne hosh me nahi
tha isse aage Vinod aur kuch bol pata tabhi Ritu ka baap waha aakar 1 zordar tamacha
uske gaal pe lagata hai aur Vinod ka coller pakad kar kehta hai

Ritu ka baap:- teri himmat kaise hui meri beti ko chune ki ye keh kar 2 aur zordar tamache
uske gaalo pe lagata hai

Vinod:- sorry uncle mujhe maaf kar do mujhse bohat badi galti ho gayi abhi wo itna keh
hi paya tha ki nahi tabhi ek aur thappad uske gaal pe lagta hai par iss baar thappad Vinod
ki maa ne mara tha

Vinod ki Maa:- kamine sharam nahi aayi tujhe aisa karte hue kahi mouh dikhane layak
nahi choda tune ab to sharam aati hai tujhe apna beta kehte hue paida hone se pehle hi
tu mar kyu nahi gaya tab tak Vinod ka baap bahar se ek mote baas ka danda le aata hai
aur chillate hue kehta hai

Vinod ka baap:- kyu be bohat garmi hai na tere sarir me aaj teri sari garmi nikalta hon itna
kehkar uska baap dando ki barsaat Vinod par suru kar deta hai ab chillane aur karahne ki
bari uski thi par uski cheekho ka uske baap par koi asar nahi tha uske baap ki aankho me
to uss samay jaise khoon utar aaya tha wo to bas aankh band kiye tabadtod dando ki
barsaat Vinod par kiye ja raha tha apne bete ko iss tarah pit ta dekh uski maa ki aankho
se aansu nikal aate hai par wo uske baap ko nahi rok paa rahi thi shayad rokna bhi nahi
chahti thi kyuki wo janti thi ki uske bete ne itna ghinona kaam kiya tha ki uske liye ye bhi
saza kam thi maar khate khate Vinod adhamara sa ho gaya tha lekin fir bhi uske baap ne
usse maarna band nahi kiya par Vinod ki aisi halat dekh Ritu ka baap usse rokta hai wo
Vinod ke baap ka hath pakad leta hai

Ritu ka baap:- bas kar yaar maar dalega kya

Vinod ka baap:- yaar tu hat ja samne se aaj main iss kamine ko zinda nahi chodunga
Ritu ka baap:- nahi yaar iski wajah se main apna dost nahi khona chahta mere khatir ruk
ja ye sunkar Vinod ka baap apne gusse ko thoda control karta hai aur danda apne hath se
neeche fek deta hai aur Ritu ke baap se kehta hai

Vinod ka baap:- yaar mujhe maaf kar de mujhe nahi pata tha ki mere ye khoon itna ganda
niklega warna main kab ka ise kaat ke fek deta yaar kaha aaj hum log yaha aakar inko
surprise dene wale the aur kaha aaj yaha aakar ye sab dekhne lo mil raha hai Ritu ka baap
usse gale lage kehta hai

Ritu ka baap:- yaha bhagwan ki kripa hai jo hame sahi samay pe yaha bhej diya warna pata
nahi kya ho jata Vinod abhi bhi neeche leta karah raha tha ki uska baap bol pada

Vinod ka baap:- ab chal uth aur jake Ritu se maafi mang Vinod jaise taise uthta hai aut
Ritu ke pass jata hai Ritu jo abhi bhi apni maa se chipki ro rahi thi jaise hi wo Vinod ko
uske pass aata dekhti hai to wo dar ke maa se aur chipak jati hai aur uski taraf se apna
mouh ghuma leti hai ab Vinod Ritu ke pairo me gir jata hai aur kehta hai

Vinod:- mujhe maaf kar do Ritu mujhse galti ho gayi mai nashe me bahak gaya tha lanat
hai mujh par jo dosti jaise pavitra rishte ko ganda karna chaha iske liye tum mujhe jo bhi
saza do mujhe manzoor hai par Ritu fir bhi kuch nahi bolti aur apni maa se chipki bas
sissakti hi rehti hai ab Vinod ka baap Vinod ka hath pakad ke bahar le jate hue kehta hai
Vinod ka baap ab main tujhe yaha bilkul bhi rehne nahi dunga kal subah hi tujhe USA bhej
dunga itna keh kar wo Vinod ko lekar chala jata hai aur uske peeche uski maa bhi chali jati
hai ghar me ab sirf 3 log hi reh jate hai Ritu uski maa aur uske papa ab uske papa Ritu ko
apne seene se laga ke kehte hai

Ritu ke Papa:- chup ho meri bacchi kuch nahi hua tujhe dekh Vinod ko uske kiye ki saza
mil gayi na ab wo kabhi kuch nahi karega chal hum kal subah hi Delhi chalenge aur tu kuch
dino tak wahi rahegi theek hai Ritu bol to nahi pati bas haan me sar hila deti hai ab wo
teeno bhi car me baith kar chal dete hai adhe raste tak Ritu bilkul shant rahi uske maa
baap uska dil behlane ki puri kosis karte rahe magar Ritu par iska koi asar nahi hua wo bas
ek hi baat boli

Ritu:- maa aaj raat tum mere saath hi hostel me rahogi na

Ritu ki Maa:- han han beta kyu nahi main tere saath hi rahungi aur tere papa bagal me
bane guest room me rahenge theek hai humne tere warden se baat kar li hai Ritu fir se
apni maa se lipat jati hai uska rona band to ho chuka tha par wo andar se abhi bhi sehmi
hui thi thodi der me sab Ritu ke hostel pahuch jate hai Ritu aur uski maa Ritu ke room me
chale jate hai aur uske papa guest room me raat ke 12 baj chuke the jaha abhi sari duniya
jashan me dubi thi wahi Ritu apne upar hue haadse se ubarne ki kosis kar rahi thi par ye
itna aasan kaam nahi tha lekin bohat kosiso ke baad aakhir Ritu ki aankh lag hi jati hai Agli
subah Ritu uthkar fresh hoti hai aur tayar hone lagti hai jise dekhkar uski maa usse puchti
hai

Ritu ki Maa:- subah subah kaha ja rahi ho beti

Ritu:- maa main mandir ja rahi hon 1 ghante me wapas aa jaungi

Maa:- lekin beta kal raat ko hi tere saath aisa hua aur abhi tu mandir ja rahi hai

Ritu:- to kya hua maa kal jo hua so hua usse main ab bhool jana chahti hon aur aaj se ek
nayi suruat karna chahti hon iss liye sab se pehle mandir ja kar bhagwan ka aashirwad
lungi

Maa:- theek hai beta par jaldi aana hume Delhi ke liye nikalna bhi hai

Ritu:- ok maa main bas abhi aayi ye keh kar Ritu nikal jati hai aur thodi hi der me mandir
pahuch jati hai wo bhagwan ke samne hath jodkar khadi ho jati hai aurmann me kehti hai

Ritu:- bhagwan tumhari bohat badi kripa hai mujh par ki kal tumne meri faryad sunli aur
meri izzat bacha li maine suna hai ki agar koi sacche dil se tumse kuch mange to tum uski
baat hamesha sunte ho agar ye sach hai to plz bhagwan mera pyar mujhe wapas lauta do
bas ek baar usse mere samne lakar khada kar do main kasam khati hon ki usse fir kabhi
usse apne se alag nahi karungi bohat pyar karungi usse plz bhagwan meri ye duaa puri kar
do fir tumse kabhi kuch nahi mangungi kehte kehte wo apni aankhe band kar leti hai abhi
usse apni aankhe band kiye hue 2 minute bhi nahi hue the ki kisi ne peeche se uske kandhe
pe hath rakha apne kandhe pe kisi ka hath mehsus hote hi wo ek dum chonk jati hai par
jaise hi wo palat ti hai to wo bilkul shocked reh jati hai uski dil ki dhadkan kuch der ke liye
band ho jati hai kyuki samne Raj hontho pe halki mushkurahat liye khada tha

Raj:- aakhir tumhe bhi mujhse pyar ho hi gaya na Raj ke baat se Ritu ka dhayan tut ta hai
wo thodi hadbadahat me kehti hai

Ritu:- Raj tum yaha

Raj:- are ab itne sacche dil se mujhe pukarogi to bhala main kaise nahi aata Raj ki baat se
Ritu thoda sharma jati hai aur turant apna mouh ghuma leti hai aur jhoota gussa dikhate
hue kehti hai
Ritu:- kisne keh diya ki main tumse pyar karti hon main abhi bhi tumse nafrat karti hon
itna keh kar Ritu mushkura deti hai jise Raj nahi dekh pata

Raj:- acha to tum aise nahi manogi theek hai main ja raha hon lekin itna yaad rakhna ki ab
agar main gaya to fir kabhi wapas nahi aaunga ye kehkar Raj Ritu ki taraf dekhta hua
peeche hota rehta hai wo itna bhi dhayan nahi deta ki uske peeche thodi dur pe hi road
hai wo to bas Ritu ki taraf dekhta hua peeche hota rehta hai ab Ritu ko ahsaas hota hai ki
Raj usse sach me dur ja raha hai to wo Raj ki taraf palat ti hai par shayad tab tak bohat der
ho chuki thi Raj road tak pahuch chuka tha ab jaise hi Ritu Raj ko dekhti hai tabhi tez raftar
se aa rahi ek truck Raj ko kuchal kar chali jati hai ye dekh kar Ritu ke mouh se ek dardnak
cheek nikal jati hai

Ritu:- Raaaj Ritu bistar se uth baithti hai uske pure chehre pe pasina tha uski saanse bohat
tez ho gayi thi uski aankhe me aansu aa gaye the apni beti ki cheek sunke uski maa daud
kar uske pass aati hai aur usse apni baaho me leti hui kehti hai

Maa:- kya hua beta koi bura sapna dekha kya ab Ritu ko bhi hosh aata hai wo room ke
charo taraf dekhti hai ab usse ahsaas hota hai ki wo jo abhi tak dekh rahi thi wo sab ek
sapna hai par wo iss sapne ko dekh kar itna dar gayi thi ki apni maa se kas kar lipat kar
rone lagti hai

Ritu:- haan maa sapna tha ek bohat hi bhayanak sapna

Maa:- ro mat beti ek sapna hi to tha kal tujhe bohat gehra sadma laga tha shayad issi
wajah se tune koi bura sapna dekha hoga sab bhool ja beti sab theek ho jayega

Ritu:- (mann main) hi bhagwan ye sapna kabhi sach na ho Raj ko kuch mat hone dena
chahe meri jaan hi le lo thodi der tak Ritu aise hi apni maa se lipti hui roti rehti hai fir jab
wo kuch normal hoti hai to uski maa usse kehti hai

Maa:- chal beta ab uth ja 8 baj gaye hai jaldi se fresh ho ja thodi der me hume nikalna bhi
hai Ritu uth kar fresh hone chali jati hai 8:30 baj chuke the Ritu aur uski maa dono tayar
ho chuke the abhi wo nikalne hi wale the ki tabhi Ritu ka phone bajne lagta hai uske
warden ka phone tha

Ritu:- haan madem

Warden:- Ritu aaj subah hi tumhare liye ek parcel aaya hai mere cabin me rakha hai jate
samay le lena ok Ritu chonk jati hai

Ritu:- parcel par kisne bheja hai


Warden:- wo to mujhe nahi pata kisi ka naam bhi nahi likha hai

Ritu:- theek hai madem main abhi aati hon

Maa:- kya hua beta tujhe kisne parsal bheja

Ritu:- pata nahi maa ja ke dekhna padega ab dono room lock karke chale jate hai Ritu jab
cabin me apna parsal lene jati hai to parsal ka size dekh kar shocked reh jati hai

Ritu:- (mann main) itna bada parsal aakhir isme aisa kya hai aur kon bhej sakta hai yaha
par to mera aisa koi hai nahi jo itna bada parcel bheje ab wo iss bare me zyada nahu sochti
aur parsal ka box uthati hai box zyada bhari nahi tha wo aaram se usse utha sakti thi

Ritu:- ye itna bhari bhi nahi hai pata nahi kya hoga isme ek kaam karti hon ishe mummy
papa ke samne hi kholti hon itna keh kar wo box lekar guest room jati hai jaise hi uske
maa baap uske hatho me itna bada parcel dekhte hai to hairan reh jate hai

Papa:- are beta kisne bheja ye

Ritu:- pata nahi papa kon hai jisne mujhe itna bada parcel bheja isme to bhejne wale ka
naam bhi nahi likha

Maa:- beta tune khol ke dekha ki iske andar kya hai

Ritu:- nahi maa abhi nahi dekha

Maa:- to fir dekh na jaldi se

Papa:- haan beta dekh kya hai iske andar Ritu ab jaldi se uss box ko kholti hai uski
dhadkane bohat badh gayi thi uske hath kaanp rahe the par wo jaise hi kaapte hatho se
uss box ko kholti hai to uss box ke andar rakkhe saman ko dekh kar aascharya reh jati hai
wo dheere se box ke andar rakhe uss saman ko nikalti hai jise dekh uske maa baap bhi
aascharya chakhit reh jate hai iss samay Ritu ke hath me jo saman tha wo ek bohat bada
teddy bear tha aur usme ek chota sa card bhi laga hua tha jispe likha hua tha Happy
Birthday Dear aaj Ritu ka birthday hai par kal raat ko jo sab uske saath hua uss wajah se
wo aur uske maa baap ye bhool gaye the Ritu ye pakar itni khush ho jati hai ki uss teddy
bear ko kas ke apne seene se laga leti hai

Ritu:- thanks papa aap logo ko mera birthday yaad tha aur aap ka ye surprise gift mujhe
bohat pasand aaya par uske maa baap thode chintit the kyuki asal me to unko bhi Ritu ka
birthday yaad nahi tha
Ritu ke Papa:- sorry beta hame bhi tera birthday yaad nahi tha aur ye gift bhi humne nahi
diya ye sunkar Ritu soch me pad jati ki aakhir itna bada gift use bhej kon sakta hai kyuki
yaha ke uske koi friend usse itna bada gift nahi de sakte the aur Vinod ki abhi to halat bhi
nahi thi ki usse koi gift bheje aur usse bhi usse koi ummed nahi thi aur Poonam to usse
naraz hai bhala wo kyu bhejne lagi ab Ritu ko kuch samjh me nahi aata ki ye gift aakhir
usse kon bhej sakta hai tabhi uski nazar uss box me lage ek lebal pe jati hai wo gaur se uss
lebal ko dekhti hai usme uss shop ka naam aur no likha tha jaha se ye gift aaya tha wo
jaldi se uss number pe call karti hai ring ke baad call uthti hai ek ladki call uthati hai

Ladki:- hello

Ritu:- hello ji ek baat bataye ki aaj subah mere naam ka ek parcel aaya tha aapke shop se
kya aap bata sakti hai ye kisne bheja

Ladki:- madem aap apna naam bataiye aur aap kaha rehti hain

Ritu:- ji mera naam Ritu hai aur main SS College ke girls hostel me rehti hon

Ladki:- ji haan madem aaj subah hi aapko parcel bheja gaya hai kya aapko wo mil gaya

Ritu:- haan mila to hai par bhejne wale ka naam nahi likha hai ab aap ye bataiye ki ye
bheja kisne

Ladki:- madem ye gift hamere shop se karib 1 hafta pehle koi Mr Raj aake book kara gaye
the aur aaj ki date pe aapko bhejne ko kaha tha aur ye bhi kaha tha ki wo aapko surprise
dena chahte hai to parcel me bhejne wale ka naam nahi hona chahiye iss liye madem
humne uss parcel par unka naam nahi likha Raj ka naam sunte hi Ritu ki aankho se aansu
aa jate hai wo call cut kar deti hai aur fir se ek baar pyar se uss teddy bear ko dekh kar
apne seene se laga leti hai apni beti ki aankho me aansu dekh kar uske maa baap tadap
uthte hai

Maa:- kya hua beta tu ro kyu rahi hai aur kya kaha uss dukan wale ne Ritu kuch bol nahi
pati bas uss teddy bear ko apne seene se laga ke roti hi rehti hai uske papa uske sar pe
hath ferte hue kehte hai

Papa:- kya hua beta mujhe nahi batayegi hum dono to bilkul dost jaise hai na to fir apne
dost ko nahi batayegi ye sunkar Ritu ko shayad kuch himmat milti hai aur wo apne papa
se kehti hai

Ritu:- papa ye Raj ne bheja hai


Papa:- acha ab samjh me aaya lagta hai hamari beti kisi ke pyar me pad gayi hai

Maa:- aur uska naam Raj hai ye naam maine subah bhi suna tha beta tune jaroor ussi ke
bare me koi bura sapna dekha tha hai na

Ritu:- haan maa

Papa:- acha ye bata kaha hai wo humse nahi milwayegi

Maa:- mujhe meri beti par pura bharosha hai isne jise bhi chuna hai wo zaroor bohat hi
special hoga

Papa:- wo to hai par mujhe usse ek baar dekhna hai ki aakhir ye hai kon jo meri beti se
itna pyar karta hai kyu beta nahi milwayegi Raj se

Ritu:- (rote hue) kaise milwao papa wo to yaha hai hi nahi meri wajah se usko ye sahar
chodna pada dhoka kiya hai maine uske saath wo mujhe apni jaan se zyada chahta tha
par maine uske sacche pyar ka mazak bana diya mere samne rota raha gidgidata raha par
maine uski koi kadar hi nahi ki aur chale jane diya maine bohat bada paap kiya hai papa

Maa:- beta aisa kya hua hume puri baat bata fir Ritu apne maa baap ko puri baat bata deti
hai ant me sabki aankho me aansu the sab khamos the tabhi Ritu ki maa kehti hai

Maa:- Ritu ye tune kya kiya jane diya usko sahi galat ka farak nahi kar saki tu ye tune sahi
nahi kiya Raj hi ek aisa ladka tha jo tujhse itna pyar karta tha ki tere liye sari hade tod de
tune bohat badi galti kar di Ritu ab Ritu ki maa bilkul shant ho jati hai wahi Ritu abhi bhi
roye ja rahi thi ki tabhi uske papa khade hote hai

Papa:- chal khadi ho aur rona band kar rone se kuch nahi hoga galti tune ki hai to sudharegi
bhi tu ab tu hamere saath Delhi nahi jayegi tu ab seedhe Raj ke pass jayegi aur usse
manayegi chahe jaise bhi ho wo teri tension hai par mujhe wahi ladka chahiye tere liye
beta tu hi to hamari jaan hai teri khusi me hi hamari khusi hai ab Ritu apne aansu ponchte
hue kehti hai

Ritu:- lekin papa mujhe nahi pata ki wo kaha rehta hai

Papa:- main hon na abhi tere college me phone karke pata lagata hon ok waha to uska
address mil hi jayega itna sunte hi Ritu ke chehre me ek chamak aa jati hai wo turant apne
papa ke gale lag jati hai Ritu apne papa ke gale lagte hue kehti hai

Ritu:- thanks papa


Papa:- beta isme thanks ki kya baat hai har maa baap bas apne baccho ki khusi chahte hai
aur agar teri khusi Raj me hai to Raj hi mera damad banega ye sunkar Ritu ke chehre par
sharam ki laali bikhar jati hai wo dheere se mushkura deti hai aur apne pita ke seene me
apna mouh chupa leti hai uske papa bhi Ritu ki harkat dekh muskurate hue kehte hai

Papa:- are beta tu sharma kyu rahi hai ye sunke uski maa kehti hai

Maa:- aap bhi kaisi baat karte ho har ladki apni saadi ki baat sunker sarma hi jayegi apne
maa baap ki baat sunkar Ritu itni sarma jati hai ki wo waha aur khadi nahi reh pati wo
bhagti hui bathroom me ghus jati hai aur uske maa baap Ritu ki aisi halat dekhkar
mushkuraye bina nahi reh pate

Wahi dusri taraf subah ke 9 baj chuke the par Raj abhi bhi so raha tha kyuki raat ko wo
theek se so nahi paya tha aur sota bhi kaise kal raat ko jab sari duniya new year party
mana rahi thi wahi Raj judai ka gum apni aankho me liye Ritu ki berukhi ko yaad karke
aansu baha raha tha raat bhar wo yahi sochta raha ki aakhir ye pyar hai kya cheez aakhir
kyu itna dard milta hai isme wo inshan jise hum sirf kuch hi dino se jante hai kyu wo dil ke
itne kareeb ho jata hai ki uske aage duniya ki har khusi fiki pad jati hai kyu bas wahi chehra
har jagah dikhai deta hai kyu juban sirf uska hi naam hamesha lena chahti hai kehte hai
dil kaanch ka bana hota hai iss liye itna nazuk hota hai par jab koi kaanch tut ta hai to uski
awaaj badi dur tak jati hai lekin jab koi dil tut ta hai to uski awaaj koi sun kyu nahi pata jab
shareer me kahi bhi chot lagti hai to sirf khoon hi nikalta hai par jab dil me chot lagti hai
to aankho se aansu kyu nikalte hai raat bhar Raj apne inhi sawalo ke jawab dhundta raha
ant me nakaam ho kar wo neend ki aagosh me chala gaya yahi wajah thi ki wo abhi tak so
raha tha tabhi uske ghar ki door bell bajti hai uski maa jaldi se darwaja kholti hai samne
uska dost Sunny khada tha darwaja khulte hi Sunny bola

Sunny:- good morning aunty

Raj ki Maa:- good morning beta aao andar aao dono andar jate hai aur hall me jaker sofe
par baith jate hai

Raj ki Maa:- Sunny kya loge beta chai ya coffee waise Raj abhi bhi so raha hai tab tak tum
coffee piyo ok

Sunny:- are aunty ye sab abhi rehne digiye waise bhi main yaha abhi aap se kuch zaruri
baat karne aaya hon

Raj ki Maa:- han han bolo


Sunny:- pehle ye bataiye ki uncle office chale gaye

Maa:- haan beta tumhare uncle bhi nahi hai aur aur Raj bhi abhi so raha hai ab bolo bhi

Sunny:- aunty ye Raj ko hua kya hai wo iss tarah se react kyu kar raha hai hamesha
gumsum baitha rehta hai kuch bolta bhi nahi kya aapko usne kuch bola hai

Raj ki Maa:- haan beta mujhe pata hai aur main bhi tumse iss bare me baat karna chahti
thi ye sunkar Sunny ki aankhe jaanne ki utsukta se chamak jati hai

Sunny:- to fir aunty bataiye na ab Raj ki maa Sunny ko wo sari baat batane lagti hai jo Raj
ne usse batai thi puri baat sunne ke baad Sunny ek dum khamosh ho jata hai Sunny ki
khamoshi ko dekhte hue Raj ki maa usse kehti hai Raj ki maa Sunny tumhe aisa nahi lagta
ki Raj ne kuch jaldi kar di wo to ab Ritu ki shakal bhi nahi dekhna chahta

Sunny:- jaldi to Raj ne ki hi hai usse itni jaldi haar nahi manna chahiye tha aakhir pyar karta
tha usse

Raj ki Maa:- ab tu hi bata main kya karu mujhse Raj ki aisi halat dekhi nahi ja rahi itna keh
kar Raj ki maa ke aankho se aansu aa jate hai

Sunny:- are aunty ab aap mat ro main kuch sochta hon acha ye bataiye ki Ritu se aap ne
baat ki aakhir usne aisa kyu kiya

Raj ki Maa:- nahi beta maine koi baat nahi ki

Sunny:- to fir kariye na puchiye usse kyu kiya usne Raj ke saath aisa

Raj ki Maa:- par main kaise baat karu

Sunny:- isme sochne wali kon si baat hai aap number milao aur baat karo

Raj ki Maa:- par beta kya mera baat karna theek rahega

Sunny:- bilkul ab sochiye mat aur jaldi se Raj ka phone le kar aaiye maa jaldi se Raj ke
room me jati hai aur uske mobile me Ritu ka number dhundti hai par Ritu naam se koi
number save nahi tha tabhi uske maa ki najar ek naam ke pass aa ke ruk jati hai kyuki
waha kisi ka naam nahi sirf jaan likha hua tha uski maa samjh jati hai ki ye zaroor Ritu ka
hi number hoga wo halke se mushkura deti hai aur jaldi se wo number apne mobile me
save kar ke chupke se bahar chali jati hai Raj abhi bhi gehri neend me soya hua tha usse
iss baat ki bhanak tak nahi chali ab Raj ki maa jaldi se hall me jati hai jaha Sunny besabri
se uska intezar kar raha tha Raj ki maa ke waha pahuchte hi uski aankho me chamak aa
jati hai

Sunny:- kya hua aunty mil gaya number

Maa:- haan mil gaya par abhi bhi soch lo kya mera Ritu ko call karna theek rahega kahi
agar Raj ko pata chal gaya to

Sunny:- aunty aap zyada mat sochiye usse pata nahi chalega kyuki Ritu usse kabhi call
karegi nahi aur hum usse kabhi batayenge nahi ab Raj ki maa darte hue Ritu ko call laga
hi deti hai uske hath buri tarah se kaamp rahe the wahi Ritu abhi bhi bathroom me hi thi
aur uske maa baap Ritu ka saman pack kar rahe the Ritu ka mobile wahi bed pe pada tha
tabhi uski ring bajti hai

Ritu ki Maa:- beta tera phone baj raha hai

Ritu:- (andar se) maa dekho na kon hai uski maa screen me dekhte hai usme kisi ka naam
nahi sarf number likhkar aa raha tha uski maa call uthati hai

Ritu ki Maa:- hello

Raj ki Maa:- hello Ritu bol rahi ho

Ritu ki Maa:- nahi main uski maa bol rahi hon wo abhi fresh hone gayi hai

Raj ki Maa:- oh theek hai main baad me call karti hon

Ritu ki Maa:- theek hai waise aap bol kon rahi hai ye sun kar Raj ki maa kuch sochne lagte
hai wo sochti hai ki abhi unhe apna parichay dena theek rahega ya nahi ki tabhi Ritu ki
maa fir se bol padti hai

Ritu ki Maa:- hello aapne bataya nahi ki aap bol kon rahi hai

Raj ki Maa:- wo wo main wo Raj Raj ka naam sunte hi Ritu ki maa ke hontho pe muskan
aa jati hai unke pure sharir me khusi ki ek lahar daud jati hai

Ritu ki Maa:- aap aap Raj ki maa hai apne bare me sunte hi Raj ki maa shocked reh jati hai

Raj ki Maa:- (mann main) inko kaise pata Raj ke bare me kahi Ritu ne hi to nahi bataya

Raj ki Maa:- haan main Raj ki maa hon par aapko kaise pata
Ritu ki Maa:- mujhe Ritu ne sab bata diya hai shayad aapko bhi sab pata hai par yakin
maniye Ritu ko apni galti ka bohat pachtawa hai wo bhi Raj se utna hi pyar karti jitna ki
Raj Raj ki maa ye sunkar bohat khush ho jati hai

Raj ki Maa:- kya sach me Ritu bhi Raj se pyar karti hai mujhe to vishwash hi nahi ho raha
hai

Ritu ki Maa:- haan ye sach hai aur to aur uske papa ne to saaf saaf usse bol diya ki agar
koi mera damad banega to wo sirf Raj hi hoga

Raj ki Maa:- kya aap logo ko bhi ye rishta manzoor hai mujhe to umeed hi nahi thi ki Ritu
hamere ghar ki bahu banegi kyuki Ritu ne jo Raj ke saath kiya hai usse Raj bilkul tut gaya
hai par ek problem hai

Ritu ki Maa:- problem kon si problem problem ka naam sunte hi Ritu ke papa chonk jate
hai aur turant Ritu ki maa se phone le lete hai

Ritu ke papa:- hello bahan ji main Ritu ka father bol raha hon dekhiye aap logo ki jo bhi
problem hai main usse solve kar dunga haan agar aapki koi sharth bhi hai to wo bhi bata
digiye hame wo bhi manzur hai bas aap log meri beti ko apna ligiye wo nahi jee payegi Raj
ke bina main hath jod ke aap se vinti karta hon ye sunkar Raj ki maa thoda muskurate hue
kehti hai

Raj ki Maa:- are nahi nahi bhai sahab aap galat samjh rahe hai hamari koi sarthe nahi hai
bas Ritu hamere ghar ki bahu ban jaye aur hame kuch nahi chahiye Ritu ke papa ye sunkar
thoda nischint ho jate hain

Ritu ke Papa:- to fir aap kis problem ki baat kar rahi thi

Raj ki Maa:- problem darasal ye hai ki Raj ab Ritu se bohat nafrat karne laga hai pata nahi
ab usse ye rishta manzur hoga ki nahi

Ritu ke Papa:- acha to ye baat hai ab iski tension na aap lengi aur na hum log ye tension
sirf Ritu ki hai ab wo hi ishe dur karegi maine to usse bol diya hai chahe kuch bhi ho jo bhi
karna pade mujhe bas Raj hi chahiye isiliye to Ritu ko aaj bhej raha hon Raj ke pass usse
manane ke liye Raj ko manaye bina wo wapas yaha nahi aayegi ye sunkar Raj ki maa khusi
se ek dum uchal padti hai

Raj ki Maa:- kya Ritu yaha aa rahi hai wo bhi Raj ko manane ye to bohat hi khusi ki baat
hai kab tak aaye wo
Ritu ke Papa:- bas abhi nikalne hi wali hai yaha se 11 baje ki bas pakadegi to 8 baje tak
waha pahuch bhi jayegi

Raj ki maa:- ye to bohat hi achi baat hai acha bhai sahab mujhe Ritu se kuch baat karni hai
kya wo hai waha pe Ritu bathroom se abhi abhi nikli hi thi

Ritu ke Papa:- han han kyu nahi ab to wo aap ki hi hai ye kehte hue Ritu ke papa Ritu ki
taraf phone badha dete hai

Ritu:- kon hai papa

Papa:- Raj ki maa hai beta tujhse baat karna chahti hai ye sun kar Ritu thoda dar jati hai
par apne irado ko majboot kar ke wo phone pakad leti hai

Ritu:- hello namashte aunty kaisi hai aap

Raj ki Maa:- namashte beta main theek hon mujhe bohat hi khusi hai ki tum Raj ko manane
yaha aa rahi ho beta main tumhare saath hon aur haan tum yaha hamere saath rahogi
theek hai main nahi chahti ki meri hone wali bahu kisi hotel me rahe ok Raj ki maa ke
mouh se bahu shabdh sunkar Ritu fir se sharma jati hai sharam se uska chehra bilkul lal
ho jata hai wo bas haan me hi iska jawab de pati hai

Ritu:- ji

Raj ki Maa:- theek hai ab jaldi se hamere pass aa jao tumhe dekhe bina nahi raha jata aur
haan tum jaise hi Lucknow pahuch jao mujhe call kar dena ok

Ritu:- ji phone cut ho jata hai Ritu ka chehra sharam se abhi bhi lal hi tha uske chehre pe
sharam ki lali dekh kar uske maa baap samjh jate hai ki dono me kya baat hui hogi iss liye
wo chup hi rehte hai aur Ritu ke nikalne ki tayari karte hai 10:30 baj chuke the Ritu aur
uske maa baap car me baith kar bas stand pahuch jate hai aur bas ka wait karte hai wahi
dusri taraf Sunny Raj ki maa se kehta hai

Sunny:- aunty iska matlab Ritu aaj raat 8 baje tak pahuch jayegi ek kaam karta hon main
theek 7:30 baje Raj ko lekar bahar chala jaunga taki jab Ritu yaha aaye to Raj yaha na ho
kyuki wo agar yaha hua to Ritu ko andar bhi nahi aane dega aap to Raj ka gussa janti hi
hai lekin ek baar Ritu ghar ke andar aa jaye to Raj fir usse nahi nikal payega aur aap uncle
se mil kar puri planning kar lena ki Raj se kehna kya hai ki Ritu yaha kyu aayi hai

Raj ki Maa:- theek hai main koi plan banati hon 11 baj chuke the Ritu bas me baith jati hai
aaj wo bohat khush thi kyuki itne dino baad Raj se jo milne wali thi Raj se milkar wo kya
karegi usse kaise manayegi ye soch kar wo khus hoti ja rahi thi par ek dur bhi usse tha ki
kahi agar Raj na mana to to fir wo kya karegi kaha jayegi wo to ab jee bhi nahi payegi uske
bina yahi khusi aur gum ka mila jula asar uske chehre par tha lekin Ritu apna irada bilkul
pakka kar chuki thi anjam chahe kuch bhi ho par wo haar nahi manegi yahi soch liye Ritu
apne manzil ki aur badhi ja rahi thi samay apni raftar se bhaga ja raha tha shaam ke 5 baj
chuke the Raj wahi hall me baitha tv dekh raha tha ki door bell baji uski maa daudkar gate
kholti hai samne uske papa khade the Raj ki maa dheere se uske papa se kehti hai

Raj ki Maa:- suniye mujhe aap se bohat hi zaruri baat karni hai aap room me jaaiye main
abhi aati hon

Papa:- aisi kon si zaruri baat karni hai

Maa:- are aap jaaiye to sahi Raj ke bare me baat karni hai ab uske papa Raj ka naam sunte
hi chup ho jate hai aur apne room me chale jate hai Raj in sab se bekhabar tv dekhne me
magan tha thodi der me uski maa bhi room me aati hai

Papa:- haan bolo kya baat karni thi Raj ke bare me

Maa:- ek baat bataiye aap ko nahi lagta ki hamara Raj kuch badal sa gaya hai waha jane
se pehle kitna khush raha karta tha par ab wo jab se aaya hai tab se kitna udas rehne laga
hai

Papa:- haan wo to main bhi dekh raha hon pata nahi aisa kya hua uske saath tumhe kuch
bataya kya usne

Maa:- haan mujhe pata hai yahi batane ke liye to yaha lekar aayi hon

Papa:- to batao jaldi fir Raj ki maa uske papa ko wo sari baat bata di jo Raj ne usse batayi
thi sari baat sunne ke baad uske papa bhi bohat udas ho jate hai jise dekh uski maa kehti
hai

Maa:- aap udas mat hoiye ek achi khabar bhi hai ki Ritu yaha aa rahi hai Raj ko manane
wo apne kiye par bohat sarminda hai fir Raj ki maa phone par hui sari baat Raj ke papa ko
bata deti hai jise sunkar wo bohat khush ho jate hai

Papa:- ye to bohat achi khabar hai par ek cheez tumne galat ki hai mujhe ab bata rahi ho
jab sab kuch ho gaya

Maa:- sorry Baba galti ho gayi par ek baat to hai ki aapke bina ye plan pura nahi ho sakta
aap saath hai na hamere
Papa:- ye bhi koi puchne ki baat hai main hamesha tumhare saath hon ok

Maa:- theek hai ab aap fresh ho jaao main chai lati hon ye keh kar maa chali jati hai aur
papa bathroom me fresh hone ke baad Raj ke papa hall me aakar Raj ke pass baith jate
hai Raj ki nazre to tv par thi magar uska dhayan kahi aur tha shayad abhi bhi wo Ritu ke
bare me hi soch raha tha Raj ki aisi halat dekh kar uske pita ji ko samjhte der nahi lagti ki
wo iss samay kisi aur hi duniya me hai apne bete ki aisi halat par unhe bura to bohat lagta
hai par ek baat ki khusi bhi thi ki jiski wajah se uski ye halat hui hai aaj wo khud usse
manane uske pass aa rahi hai tabhi Raj ke pita ji ke dimag me ek plan aata hai wo Raj se
kehte hai

Papa:- kya hua deta kuch problem hai apne papa ki awaaj se Raj apni chetna me wapas
laut ta hai

Raj:- nahi papa aisi to koi baat nahi hai

Papa:- beta tum yaha aa kar kahi bor to nahi ho rahe ho kyuki jab se aaye ho tab se bas
ghar par hi rehte ho kahi jate bhi nahi

Raj:- mann hi nahi karta kahi jane ka aur waise bhi itne dino baad aaya hon to socha sara
time aap dono ke saath hi rahu papa acha beta jab tu hamere bare itna sochta hi hai to
ek kaam karega

Raj:- papa isme puchne wali kon si baat hai aap bas hukum karo

Papa:- soch le kahi mukar to nahi jayega pehle promise kar

Raj:- are papa aap ki har baat mere liye keemati hai chaliye tab bhi promise karta hon

Papa:- to sun aaj Delhi se mere ek dost ki beti yaha aa rahi hai aur wo kuch dino ke liye
yahi rahegi usse yaha kuch kaam hai aur tum uski help karoge Raj ye sun kar bura sa mouh
bana leta hai

Raj:- kya papa ab main uski kya help kar sakta hon waise bhi main usse janta tak nahi

Papa:- to jaan pehchan badha lena tumhari hi umar ki hai aur ab tum mana bhi nahi kar
sakte promise kiya hai ab Raj chah kar bhi kuch nahi kar sakta tha wo apna mouh banata
hua kehta hai

Raj:- theek hai kar dunga help uska bura sa mouh dekh kar uske pita ji ki hasi nikal jati hai
per wo apne aap ko jaise taise control karte hai issi beech Raj ki maa bhi chai lekar waha
aa jati hai aur baato ka silsila suru ho jata hai baat karte hue pata hi nahi chala ki kab 7 baj
gaye wo log apni baato me magan the ki tabhi Sunny waha aa gaya

Sunny:- chal yaar kahi ghum kar aate hai

Raj:- nahi yaar aaj nahi aaj papa ke friend ki beti yaha aa rahi hai usse yaha kuch kaam hai
mujhe uski help karni hai

Papa:- are beta ab itni jaldi bhi nahi hai usse yaha aayegi kuch dil rahegi fir wo agar tumse
kahe to kar dena help abhi Sunny kitnemann se tumne le jane aaya hai jaao ghumo jakar
waise bhi abhi hum bhi kuch der me nikalne hi wale hai tum yaha akele kya karoge Raj ki
maa bhi unke haan me haan mila deti hai aur Sunny bhi thodi zor zabardasti karta hai ant
me haar kar Raj ko Sunny ke saath jana hi pada uske jate hi uski maa kehti hai

Maa:- ab main bhi tayar ho jati hon Ritu ko bus stand se lene jana hai

Papa:- chalo main bhi chalta hon

Maa:- aap kya karenge waha ja kar

Papa:- are wo meri bhi kuch lagti hai main to jaonnga

Maa:- theek hai chaliye ab dono tayar hokar car me baith jate hai aur bus stop ki ore chal
dete hain abhi 8 bajne me kuch waqt baki tha wo dono bas stop pohnch kar bus ka wait
karte hain

Raj ke Papa:- ek baat batao uski koi photo hai tumhare pass

Raj ki Maa:- nahi

Raj ke Papa:- to fir usse pehchanenge kaise

Maa:- mere bete ki pasand hai to kuch khaas to hogi hi dekh lena bas pehli hi nazar me
pehchan jaonngi Raj ki maa ka jawab sunkar uske pita ji mushkuraye bina nahi reh pate
ab dono besabri se bas ke aane ka intezar karte hai ab to unhe 1 minute bhi 1 ghante jaisa
lag raha tha samay jaise gujar hi nahi raha tha dono apni hone wali bahu se milne ki khusi
me kuch zyada hi utawle ho gaye the aakhirkar bas aa hi jati hai sare log bas se utar jate
hai jis wajah se waha kafi bheed ho jati hai Raj ke maa baap ki nazar uss bheed me Ritu
ko talashti hai kyuki bas se kafi ladkiya utri thi aur sab ke chehre bohat sandar the par Raj
ke maa ki nazar un sab chehre se hat kar sirf ek chehre pe jakar tik jati hai jo bheed se
bilkul alag dikh rahi thi black salwar suit me baal khule hue maathe me ek choti si bindi
chehre me kuch paane ka confidence doodh si gori rangat kaale lehrate lambe baal jo uski
kamar tak aa rahe the bina make up ke bhi itni sandar thi ki koi bhi uska deewana ho jaye
Raj ki maa usse dekhte hi pehchan jati hai ki yehi Ritu ho sakti hai Ritu ko dekh kar to ek
pal ke liye Raj ki maa ki dhadkan hi ruk jati hai ab wo jakar Ritu ke samne khadi ho jati hai

Raj ki Maa:- Ritu tum hi Ritu ho na Ritu pehle to unhe gaur se dekhti hai fir wo bhi unki
awaaj pehchan jati hai ki yahi Raj ki maa hai wo jaldi se jhuk ke unke pair chuti hai

Ritu:- aapne kaise pehchana

Maa:- tum mere bete ki pasand ho kaise nahi pehchanti ye sunkar Ritu thoda sarma jati
hai uski saram dekh Raj ke papa kehte hai

Papa:- ab yahi khade rehne ka irada hai kya chalo ab jaldi ghar chalo ab sab car me baith
kar ghar chale jate hai raste me Raj ki maa Ritu ko sab samjha deti hai ki usse kya karna
hai kyuki Raj ko to ye nahi pata ki aa kon raha hai ab wo log ghar pahuch jate hai ghar
pahuch kar Ritu thoda fresh ho jati hai aur kitchen me Raj ki maa ki help karne lagti hai 10
baj chuke the Raj bhi wapas aa chuka tha par Ritu abhi tak Raj ke samne nahi aati ab Raj
aur uske papa khane ke liye baithte hai

Raj:- papa wo aapke dost ki beti kaha hai kahi dikh nahi rahi hai

Papa:- wo abhi kitchen me hai teri maa ki help kar rahi hai

Maa:- ruk abhi milwati hon itna keh kar maa awaaj lagati hai

Maa:- are beta zara pani ka jug to lana Ritu jug lekar waha aati hai par wo Raj ke peeche
khadi thi aur Raj khana khane me laga tha ab Ritu jaise hi Raj ke bagal wali kursi me baithti
hai to Raj mouh ghuma kar uski aur dekhta hai Raj jab apna mouh ghumake Ritu ki taraf
dekhta hai to ek pal ke liye uski dil ki dhadkane tham jati hai uski aankhe hairat se badi ho
jati hai ek halki si kampan uske pure sharir me daud jati hai usse aisa lag raha tha ki wo
khuli aankho se koi sapna dekh raha ho wo apni dono aankho ko ragadta hai aur fir Ritu
ki taraf dekhta hai tab bhi usse waha Ritu hi dikhai deti hai uska dil aur dimag ye manne
ko bilkul bhi tayar nahi the ki ye Ritu hai par aankho ka kya wo to usse baar baar Ritu hi
dikha rahi thi wo sar ghuma ke apne maa baap ki aur dekhta hai par wo dono to aise khana
khane me magan the jaise kuch hua hi na ho Raj fir Ritu ki taraf dekhta hai wo bhi bina
Raj ki taraf dekhe chup chap khana kha rahi thi teeno iss samay bohat hi normal behav
kar rahe the Raj un logo ko dekh karmann himann sochta hai

Raj:- (mann main) yaar kahi main pagal to nahi ho gaya hon iss ladki me mujhe Ritu kyu
nazar aa rahi hai kahi aisa to nahi ki Ritu ke bare me zyada sochne ki wajah se wo har kisi
me mujhe dikh rahi ho ya fir ho sakta hai ki sach me ye Ritu hi ho Raj apna ek hath dheere
dheere Ritu ki taraf badhata hai par kuch soch kar ruk jata hai aur hath peeche kheench
leta hai

Raj:- (mann main) nahi yaar ye Ritu to ho hi nahi sakti wo yaha aa hi nahi sakti ye zaroor
mera waham hi hai kyuki agar ye Ritu hoti to abhi yaha kuch bhi normal nahi chal raha
hota yaar ab main bhi chup chap khana khata hon nahi to sab sochenge ki main pagal ho
gaya hon ab Raj jaldi jaldi khana khane lagta hai wo kisi se nazre bhi nahi milana chahta
tha wo khana khatam karke waha se jana chahta tha wahi Raj ki aisi halat aur harkat kisi
se chupi nahi thi sabhi ko Raj ki halat pe hansi to bohat aa rahi thi par wo apne aap ko
control kiye baithe the Raj sabse pehle khana khatam karke tezi se apne room me chala
jata hai Raj ke jate hi sab khilkhilakar hasne lagte hai

Maa:- bechara buri tarah se chonk gaya tha

Papa:- mujhe to lagta hai ki wo abhi tak vishwash nahi kar pa raha hai ki ye Ritu hai

Maa:- haan aur nahi to kya wo to Ritu ko aise dekh raha tha ki koi sapna dekh raha ho itna
keh kar sab fir se hasne lagte hai par tabhi haste haste Ritu ko yaad aata hai ki usne Raj
ke saath kitna galat kiya tha uski aisi halat ki jimmedar sirf wo hi hai kis tarah se wo uss
raat Ritu se ro kar uske pairo me gir kar apne pyar ki bheek mangta raha par Ritu ne apne
daulat ke gurur me uski ek na suni usko wahi rota hua chod kar chali gayi ye sab yaad aate
hi Ritu ki aankho se aansho aa gaye Ritu ki aankho me aansu dekh kar Raj ke maa baap
uske dil ki baat samjhh jate hai

Maa:- beta jo hua usse bhool jaao ab tum usse badal to nahi sakti na to fir wo sab yaad
karke apna aane wala kal kyu barbad karna chahti ho ab tum Raj ko kaise manaogi ye
socho tumhe bilkul bhi haar nahi manni hai mujhe tumhari aankho me aansu nahi
confidence chahiye waise bhi hum sab hai na tumhare saath ok chalo ap aansu poncho
aur fir se mushkurao Ritu ab apne aansu ponch kar fir se mushkurane lagti hai wahi Raj
apne room me jakar bed me let jata hai aurmann me sochta hai

Raj:- yaar kal subah hi main Dr ke pass jaonnga aur apne dimag ka checkup karaunga kahi
bimari zyada badh gayi to sach me main pagal ho jaunga abhi Raj ye sab soch hi raha tha
ki tabhi uske room ka darwaja khulta hai uski maa hatho me doodh ka glass liye uske pass
aati hai

Maa:- le beta doodh pi le Raj uth ke baith jata hai

Raj:- kya maa tumhe to pata hi na ki mujhe doodh bilkul bhi pasand nahi fir bhi le aayi
Maa:- are jab se tu aaya hai tab se bada udhas rehta hai kahi aata jata bhi nahi iss liye to
main tere liye ye badam wala doodh layi hon chal ab jaldi se pi ja Raj be mann se doodh
ka glass le leta hai aur pine lagta hai tabhi uski maa kehti hai

Maa:- beta tu mila usse Ritu naam uska Delhi me rehti hai aur wo bhi tere hi sahar me
padhti hai par kis college me ye nahi pata ye sunte hi Raj samjhh jata hai ki abhi tak wo jo
dekh raha tha wo uska waham nahi tha matlab wo sach me Ritu thi ab Raj ka chehra gusse
se lal ho jata hai

Raj:- (mann main) iska matlab wo Ritu hi hai par wo karne kya aayi hai yaha ab kya chahiye
usse Raj ka gusse se bhara chehra dekh uaki maa situation sambhalti hui kehti hai

Maa:- jo bhi ho par hai bohat hi achi kitni jaldi humse ghul mil gayi kitni help ki aaj usne
kitchen me aur to aur dekhne me bhi kitni sandar hai aisa lagta hai ki aasman se koi pari
utar aayi ho ab Raj se Ritu ki aur tareef bardast nahi hoti wo jhunjlate hue kehta hai

Raj:- kya maa kab se uski tareef kiye ja rahi ho aisi bhi koi hoor ki pari nahi hai aur kya help
kiya usne khana to banana aata nahi hoga usse

Maa:- are tu usse itna chid kyu raha hai waise bhi agar khana nahi bhi banana aata ho to
kya seekh jayegi

Raj:- acha maa papa iss Ritu ke papa ko kab se jante hai aur ye Ritu yaha karne kya aayi
hai

Maa:- wo to mujhe bhi nahi pata ki usse yaha kon sa kaam hai par tumhare papa aur uske
papa dost hai ye main janti hon Raj ka gussa andar hi andar badhta ja raha tha wo maa ke
samne kuch bhi zahir nahi hone dena chahta tha

Raj:- acha maa ab mujhe bohat neend aa rahi hai tum jaao itna keh kar Raj fir se bed me
let jata hai aur apna mouh dusri taraf ghuma leta hai ab uski maa bhi waha se chali jati
hai Raj lete lete yahi sochta rehta hai ki aakhir Ritu yaha karne kya aayi hai ab dheere
dheere wo apne gusse se control khota ja raha tha 12 baj chuke the ab usse aur nahi raha
gaya wo uth kar Ritu ke room ke pass jata hai aur door knock karne ke liye jaise hi hath
lagata hai door apne aap khul jata hai kyuki Ritu ne door lock kiya hi nahi tha Raj andar
jata hai Ritu bed pe leti hui kuch soch hi rahi thi Raj uske pass jata hai aur gusse se puchta
hai

Raj:- tumhari himmat kaise hui yaha aane ki ab kya chahiye tumhe meri puri zindagi
barbad karke bhi tumhe chain nahi mila jo yaha mere maa baap ki zindagi bhi barbad
karne aa gayi dur reh tu mujhse aur meri family se Ritu iska koi jawab nahi deti wo bas
daud ke Raj ke seene se lag jati hai aur dheere dheere uski baaho me simat ti chali jati hai
Ritu ke iss harkat se Raj ek dum se apna gussa kahi bhool sa gaya wo to jaise kisi aur duniya
me pahuch chuka tha uski aankhe dheere dheere band hone lagi thi uske hath apne aap
Ritu ko apni baaho me lene ke liye badhne lage the par tabhi Ritu kehti hai

Ritu:- I love you jaan mujhe maaf kar do bas itna kehna tha ki Raj apni chetna me wapas
laut ta hai aur Ritu ko ek jhatke se apne se alag karta hua kehta hai

Raj:- mujhe chuna bhi mat wo haq tum kho chuki ho ab tum mujhse meri zindagi se dur
hi rehna yahi tumhare liye acha hoga waise ek baat samjhh me nahi aa rahi hai ki jab tum
mujhse pyar karti hi nahi ho to yaha karne kya aayi ho chahti kya ho tum Ritu muskurate
hue Raj ki sari baate sunti rahi Raj ki harkat se uske chehre par koi dard nahi tha kyuki
usse achi tarah se pata tha ki ye to hona hi tha jo dard usne Raj ko diya tha uske mukable
ye to kuch bhi nahi tha Ritu muskurate hue Raj se kehti hai

Ritu:- mujhe pata hai jaan ki tum mujhse bohat naraz ho aur hona bhi chahiye maine kaam
hi aisa kiya hai uss inshan ka dil dukhaya jo mujhse apni jaan se zyada pyar karta tha aur
main apne baap ke daulat ke nashe me itni andhi ho chuki thi ki kya sahi hai aur kya galat
usse samjhh hi na saki paap to maine kiya tha shayad issi paap ki saza upar wale ne mujhe
di itna kehkar Ritu ki aankho ne aansu chalka diye aur wo aage kuch na bol saki Raj abhi
bhi gusse se Ritu ki taraf dekh raha tha ek samay tha jab ye aansu uski jaan le lete the Ritu
ki aankho se giri aansu ki ek boond se uska dil jal uthta tha par aaj wahi aansu uske gusse
ko pighalne ke bajaye usse aur badha rahe the usse uske aansu bematlab ke lag rahe the
ab Raj jhunjla kar Ritu se kehta hai

Raj:- band karo apni ye nautanki ab tumhare ye magar macch ke aansu bhi mera faisla
nahi badal sakte ab seedhe seedhe batao ki tum yaha karne kya aayi ho Ritu apne aansu
ponchte hue kehti hai

Ritu:- mujhe pata hai ki aaj tumhe mere aansu meri sari baate nakli aur banawati hi
lagenge par mera yakin karo jaan main yaha sirf tumhare liye hi aayi hon mujhe ye bhi
pata hai ki iss janam me to tum mujhe dobara nahi apnaoge par kam se kam maaf to kar
hi sakte ho main ussi ke sahare apni puri zindagi kaat lungi plz jaan maaf kar do na

Raj:- (gusse se) maafi tum jaisi ladkiya maafi to kya mere nafrat ke bhi kabil nahi hai
tumhare liye yahi acha hoga ki kal subah hi nikal jana mere ghar se iske jawab me Ritu
muskurate hue kehti hai
Ritu:- maafi to main tumse le ke hi rahungi jaan chahe kuch bhi ho jaye usse pehle main
kahi bhi nahi jane wali itna keh kar Ritu aaram se bed me let jati hai Ritu ke iss baat se Raj
ka dimag aur bhi garam ho jata hai

Raj:- theek hai to main bhi dekhta hon ki tum yaha kaise rehti ho 3 din ke andar agar
tumko iss ghar se na nikal diya to mera naam Raj nahi

Ritu:- acha ji to tum mujhe challenge kar rahe ho par soch lena ki mujhe iss ghar se nikalne
ke chakker me kahi fir se mujhse pyar na kar baitho Ritu ko itne confidence me dekh kar
Raj thoda soch me pad jata hai Ritu Raj ko iss tarah sochte dekh kehti hai

Ritu:- kya hua jaan dar gaye abhi bhi waqt hai tum apna faisla badal sakte ho

Raj:- nahi main apna faisla bilkul bhi nahi badlunga main tumse nafrat karta tha karta hon
aur hamesha karta rahunga aur haan mujhe baar baar jaan mat bulaya karo mujhe nahi
acha lagta tumhare mouh se jaan shabdh sunna

Ritu:- main to kahungi tumhe jo kana hai wo karo itna keh kar Ritu ek gana gane lagti hai
jitne bhi tu kar le sitam haas haas ke sahenge hum ye pyar na hoga kam sanam teri kasam
ye sun kar Raj ka gussa aur bhi badh jata hai

Raj:- band karo apni bakwas aur jaao yaha se mujhe neend aa rahi hai

Ritu:- (muskurate hue) kya jaan tum to mere pyar me abhi se itna kho gaye ki ye tak bhool
gaye ki ye tumhara nahi mera kamra hai waise agar tumhara mood mere saath sone ka
kar raha hai to I dont mind aa jaao ye keh kar Ritu apni dono baahe Raj ki aur faila deti hai
Raj apne charo taraf dekhta hai tab usse ehsaas hota hai ki galti ussi se hui hai wo hi Ritu
ke room me khada hai wo bura sa mouh banate hue kehta hai Raj bhaad me jaao tum aur
bhaad me jaye tumhara kamra itna keh kar Raj apne pair patakta hua waha se chala jata
hai aur Ritu uski aisi shakal dekh kar haase bina nahi reh pati

Raat ke 1:30 baj chuke the neend to Ritu ke bhi aankho me bohat thi iss liye wo aankh
band karte hi so jati hai par Raj ka haal is samay kuch dushra tha usse kuch samjh me nahi
aa raha tha ki Ritu sach bol rahi hai ya jhoot wo ke kahawat hai na doodh ka jala chaach
bhi phook phook ki pita hai yahi haal abhi Raj ka tha wo Ritu par bahrosha kar bhi to kachal
kyuki ek baar to wo uske saath dhoka kar chuki thi ab pata nahi ye bhi uski koi chaal ho
yahi sab sochte sochte na jane kab uski aankh lag gayi usse pata hi nahi chala

Agli subah Raj ki aankh khulti hai wo time dekhta hai


Raj:- are yaar 10 baj gaye aaj to bohat der ho gayi itna keh kar Raj jaldi se utha aur
bathroom me fresh hone chala gaya thodi der baad bathroom se nikal kar wo seedha hall
me ja kar baith jata hai aur apni nazre charo taraf daudata hai par Ritu kahi nazar nahi aati

Raj:- (mann main) kaha gayi ye abhi tak so to nahi rahi chalo acha hai subah subah uski
shakal to nahi dekhni padegi ab wo ek chain ki saans leta hai abhi wo ye sab soch hi raha
tha ki tabhi peeche se Ritu dheere se uske kaan me kehti hai

Ritu:- mujhe dhund rahe the ye sun kar Raj buri tarah chonk jata hai aur palat kar uski
taraf dekhta hai Ritu iss samay white salwar sute me khadi thi baal khule hue aur side se
aage ki taraf kiye hue thi hontho me pink lipstick maathe me choti hi bindi aur hatho ko
bandhe mushkurati hui Raj ko dekh rahi thi Raj to usse dekh kar kahi kho sa gaya tha
saadgi me Ritu itni sandar lagegi ye usne kabhi nahi socha tha wo bina palak zhapkaye ek
tak Ritu ko dekhe ja raha tha uska dil bhi shayad Ritu ki khubsurti dekh dhadakna bhool
gaya tha Raj ko iss tarah apni aur ghurte dekh Ritu sharma jati hai

Ritu:- ab aise bhi mat dekho warna sach me mujhse fir se pyar kar baithoge Ritu ki baat
se Raj ka dhayan tut ta hai aur wo Ritu par se apni nazar hata leta hai

Raj:- ab itni bhi sandar nahi ho jo tumhe hi dekhta rahu

Ritu:- tumhe to theek se jhoot bolna bhi nahi aata zara meri aankho me aankhe dal kar
bolo ki tum mujhe nahi dekh rahe the par Raj ye risk nahi lena chahta tha kyuki wo achi
tarah se janta tha ki ab agar fir se usne Ritu ki taraf dekha to fir se uski nashili aankho me
kho jayega wo jaldi se apna mouh ghuma leta hai

Raj:- mujhe nahi dekhna kisi ki aankho me Ritu fir se mazak karti hui kehti hai

Ritu:- kyu dar gaye itna keh kar Ritu hasne lagti hai jisse Raj bohat chidh jata hai magar
usse ek shabdh nahi bol pata itne me uski maa hatho me nashte ki plate liye waha aa jati
hai aur Raj ko deti hui kehti hai

Maa:- le beta nashta kar le hum logo ka to ho gaya ek tu hi bacha tha waise kya baate ho
rahi thi dono me Ritu fir se Raj ki tang kheechte hue kehti hai

Ritu:- aunty aapka beta sharmata bohat hai mujhe to ab tak pata nahi chal raha ki ye
aapka beta hai ya beti ye kehti hui Ritu theek Raj ke samne wale sofe par baith jati hai Raj
ka to gusse se bura haal ho raha tha par iss samay wo chah kar bhi kuch nahi kar pa raha
tha kyuki uski maa jo waha baithi thi wo bas chup chap sar jhukaye nashta kar raha tha
apne bete ka mazak uddta dekh uski maa kehti hai
Maa:- are tum aisa kyu bol rahi ho mera beta sher hai sher ye sunkar Ritu se aur na ruka
gaya aur wo khilkhilakar hasne lagi Jisse Raj buri tarah se zhep jata hai aur gusse se apni
maa ki taraf dekhta hai Raj ka gussa dekh kar uski maa bilkul masoom banti hui kehti hai

Maa:- kya hua beta kuch galat kaha maine tum mere sher nahi ho ab Ritu aur bhi zor se
hasne lagti hai jise dekh Raj se ab aur na saha gaya aur wo bol hi pada

Raj:- maa isse keh do itna hasne ki zarurat nahi hai main subah subah koi badsurat chehra
nahi dekhna chahta iss liye iski taraf nahi dekh raha hon par Ritu pe iska koi asar nahi hua
wo abhi bhi hase ja rahi thi Raj ki baat sunkar uski maa kehti hai

Maa:- aisa kyu bol raha hai beta jiske hatho ka bana nashta tu kar raha hai ussi ki burai
bhi kar raha hai ye sun kar Raj fir se chonk jata hai kyuki jo nashta wo itne maze le kar kha
raha tha wo uski maa ne nahi balki Ritu ne banaya tha ye Raj ke liye kisi surprise se kam
nahi tha usse to pata hi nahi tha ki Ritu ko khana banana bhi aata hai wo hairat bhari nazro
se maa ki taraf dekhta hai jaise punch raha ho ki ye kaise mumkin hai Raj ke dil me uthne
wale sawal ko Ritu achi tarah se bhaap leti hai aur fir se uski tang kheechte hue kehti hai

Ritu:- aunty aaj kal ke ladke samjhhte hai ki hum jaisi modern ladkiyo ko kuch nahi aata
jabki ye inki bohat badi bhool hai agar hum zidd pe aa jaye to kuch bhi kar sakte hai Ritu
indirectly Raj ko open challenge de rahi thi jise Raj achi tarah se samjhh chuka tha par wo
kuch nahi bolta kyuki wo janta tha ki baato me Ritu se koi bhi nahi jeet sakta wo jaldi se
nashta khatam karke uth jata hai aur maa se kehta hai

Raj:- maa main bahar ja raha hon

Maa:- to fir beta tu Ritu ko bhi apne saath le ja wo bhi ghum legi kab tak ghar me baithi
rahegi maa ki baat se Raj chidhte hui kehta hai

Raj:- main kisi ko kahi nahi le jaonnga waise bhi main apne dosto ke pass ja raha hon ye
waha kya karegi itne me Ritu bol padi

Ritu:- to kya hua apne dosto se mujhe bhi milwa dena main bhi unse dosti kar lungi

Raj:- (gusse se) koi zarurat nahi hai ab Raj isse aage kuch kehta uski maa beech me hi bol
padi

Maa:- are tu meri baat nahi manega chup chap ishe bhi apne saath le ja main ab koi bhi
bahana nahi sunna chahti ok maa ki baat ne Raj ki bolti ek dum band kar di wo gusse se
apne room me jata hai aur tayar hokar aata hai aur gusse se Ritu se kehta hai
Raj:- chalo par Ritu jaise hi Raj ki taraf dekhti hai to uski hansi nikal jati hai ab Raj ka dimag
ghum jata hai aur wo gusse se maa ki taraf dekhta haipar ye kya uski maa bhi uski aur
dekhkar haas rahi thi Raj ka para aur bhi chadh jata hai

Raj:- ab kya hua pagal to nahi ho gayi tum dono wo Ritu ki taraf dekh kar kehta hai

Raj:- aur tumhe chalna hai ki nahi warna main jaa raha hon Ritu apni hansi bilkul nahi rok
pa rahi thi fir bhi wo jaise taise kehti hai

Ritu:- nahi main nahi jaonngi tum hi jaao

Raj:- bhaad me jao ye kehkar Raj thoda sa hi aage badha tha ki tabhi uski maa kehti hai

Maa:- (haste hue) are beta kya ho gaya tujhe teri tabiyat to theek hai na

Raj:- ab meri tabiyat ko kya ho gaya bilkul theek hon main

Maa:- beta agar jana hi hai to kam se kam pent to pahen le Raj ye sun kar bilkul shocked
reh jata hai aur apne neeche dekhta hai wo iss samay tshirt aur andarwear me hi tha wo
gusse ke chakker me pent hi pahenna bhool gaya tha wo sharam ke mere pani pani ho
jata hai aur bhag kar apne room me ghus jata hai

Udhar Ritu aur Raj ki maa dono apni hansi nahi rok pa rahe the jaldi hi Raj pent pahan kar
bahar aata hai Ritu aur Raj ki maa abhi bhi hanse ja rahe the ye dekh kar Raj chidh jata hai

Raj:- ab bas bhi karo tum dono bohat ho gaya par un dono ko Raj ki baat ka koi asar nahi
hota balki unki hansi aur bhi badh jati hai Raj ka gussa thoda aur badh jata hai

Raj:- bhaad me jaao tum log main ja raha hon itna keh kar Raj thoda aage badha hi tha ki
Ritu bol padi

Ritu:- are ruko main bhi saath chalti hon wo khadi ho kar Raj ke pass aati hai

Raj:- (gusse se) kyu abhi to keh rahi thi ki nahi jana tumhare saath ab kyu chal rahi ho Ritu
bina pent ke bahar jaoge to main kya koi bhi nahi jayega tumhare saath ab theek hai ab
chalo par abhi dono ki baate chal hi rahi thi ki Sunny waha aa gaya

Sunny:- yaar kahi ja rahe ho kya fir Ritu ki taraf dekh kar

Sunny:- ye kon hai inhe pehle kabhi nahi dekha yaha waise to Sunny ne Ritu ko kabhi nahi
dekha tha par usne idea laga liya tha ki ye Ritu hi hogi par Raj ke samne anjan banne ka
natak karta hai Sunny ki baat sunkar Raj ki maa kehti hai
Maa:- Sunny beta ye Ritu hai tumhare uncle ke dost ki beti Delhi me rehti hai kal raat ko
hi yaha aayi hai

Sunny:- hello Ritu ji kaisi hai aap

Ritu:- main theek hon aap kaise hai

Sunny:- abhi tak to sirf theek tha par aap ko dekh kar bohat theek hon aap hai hi itni
sandar Sunny ki baat sunkar Ritu mushkura deti hai aur dheere se Raj ki taraf dekh kar
kehti hai

Ritu:- wo to aap ko lagta hai warna kisi ko to meri shakal bhi pasand nahi un dono ki baato
se Raj kafi chidh jata hai asal me usse ab jalan hone lagi thi wo janta tha ki Sunny Ritu se
flirting kar raha hai kyuki Sunny ki life me ek ladki hai jise wo behad chahta hai iss liye wo
baat badalne ki kosis karta hai

Raj:- yaar main tere pass hi aa raha tha par tu hi aa gaya chal room me chalte hai

Sunny:- nahi yaar main to tujhse ye kehne aaya tha ki aaj film dekhne ka plan banaya hai
chal na tu bhi saath me

Raj:- acha aur kon kon hai

Sunny:- bhai aur koi nahi hai bas main aur Sunny dheere se Raj ke kaan ke pass aa kar
kehta hai

Sunny:- aur Swati

Raj:- yaar waha main kya karunga

Sunny:- bhai Ritu ji bhi to hongi tu tension kyu le raha hai fir Sunny Ritu ki taraf dekh kar
kehta hai

Sunny:- kyu Ritu ji chalengi na aap hamere saath

Ritu:- kyu nahi bhala aap ki baat main kaise tal sakti hon acha kab chalna hai

Sunny:- bas abhi nikalte hai

Ritu:- theek hai to main 2 minute me kapde badal kar aati hon itna keh kar Ritu jane ko
palat hi hai ki Raj phusphusate hue kehta hai jise sirf Ritu hi sun pati hai

Raj:- 2 minute me aaj tak ready ho payi hai 2 ghante se kam nahi lagenge par Ritu iska koi
jawab nahi deti bas mushkura kar chali jati hai Ritu ke jate hi Sunny Raj se kehta hai
Sunny:- yaar tu bhi jaldi se bike nikal le

Raj:- bike se nahi paidal chalenge

Sunny:- yaar itni dur wo bhi paidal bike se chal na

Raj:- ek baar keh diya na waise bhi aadha ghanta hi to lagte hai paidal chalna hai to bol
warna main nahi jata

Sunny:- yaar tu naraj kyu hota hai chal paidal hi chalte hai ok ab tak Ritu bhi aa jati hai ab
usne jeans aur tshirt pahan rakha tha ab teeno ghar se nikal padte hai teeno chup chap
chalte rehte hai fir Sunny hi iss khamosi ko todte hue kehta hai

Sunny:- Ritu ji aap apne bare me kuch bataiye na aapka bf to zaroor hoga kuch uske baare
me bataiye Ritu dheere se Raj ki taraf dekhti hui kehti hai

Ritu:- haan bf to hai par abhi thoda naraj hai manane ki to bohat kosish kar rahi hon par
maan hi nahi raha hai

Sunny:- kaisa pagal hai wo aap jaisi itni khubsurat ladki se bhagwan kabhi naraj na ho aur
wo naraj hai sach me pagal hai Sunny ki baat se Ritu thodi sanjida ho jati hai

Ritu:- dekhiye Sunny ji wo jaisa bhi hai meri jaan hai main uske khilaf ek shabdh nahi sun
sakti aur pagal wo nahi main hon wo bhi uske pyar me had se zyada chahti hon usse meri
hi galti ki wajah se wo mujhse naraj hai main hi uske pyar ko samjh na saki Ritu ye kehte
kehte chup ho jati hai uski aankhe num ho jati

Sunny:- sorry Ritu ji mera maksad aapke dil ko thes pahuchana bilkul nahi tha wo to anjane
me hi mere mouh se nikal gaya mujhe maaf kar digiye Ritu koi jawab nahi deti bas chup
chap sab ke saath chalti rehti hai wahi ye sari baate sunkar Raj ki aankho me ek chamak
aa jati hai uske dil me bhi Ritu ke prati humdardi jagne lagi thi par wo apne nafrat ko bhi
nahi chod pa raha tha ek ajeeb kasmakas me phasa hua tha wo thodi dur aur chalne ke
baad Ritu bhi normal ho jati hai aur Sunny se kehti hai

Ritu:- aap apne bare me to bataiye koi gf hai ya nahi

Sunny:- hai Swati naam hai uska

Ritu:- milwayenge nahi usse

Sunny:- kyu nahi abhi milwata hon bas wo aane hi wali hai Sunny itna keh hi pata hai ki
tabhi samne se Swati chali aa rahi thi
Sunny:- wo dekhiye wahi hai Swati ab Sunny Ritu aur Swati ko aapas me milwata hai dono
ek dusre se mil ke bohat khush ho jati hain ab charo baate karte hue mall pahuch jate hai
waha movie dekhne ke baad charo ek restaurant me khana khate hai fir sabhi apne ghar
ki taraf chal dete hai shaam ke 5 baj chuke the sabhi chal hi rahe the ki Sunny Raj se kehta
hai

Sunny:- bhai tum dono chalo main Swati ko ghar tak chod aata hon

Raj:- seedhe seedhe bol na ki tujhe privacy chahiye Swati ke saath

Sunny:- (muskurate hue) yaar jab tu janta hai to sabke samne kyu bol raha hai

Raj:- theek hai tu ja enjoy kar ye sunker jaha Swati sarma jati hai wahi Ritu mushkuraye
bina nahi reh pati ab Sunny aur Swati waha se alag chale jate hai bache Raj aur Ritu ghar
ki taraf chal dete hai dono dilkul chup chap the par Ritu bade pyar se Raj ki taraf hi dekhti
hui chal rahi thi Ritu ki ye harkat Raj se chupi hui nahi thi par wo kuch bol nahi raha tha
tabhi ek samasya Ritu ko gher leti hai wo chalte chalte ek dum se ruk jati hai paresani uske
chehre se saaf zhalak rahi thi wo Raj ko awaaj lagati hai

Ritu:- Raj ruko Raj jab uski aur dekhta hai to wo usse peeche khadi hui milti hai wo Ritu ke
pass jakar kehta hai

Raj:- ab kya ho gaya tumhe aise kyu khadi ho ghar nahi chalna

Ritu:- Raj ek problem ho gayi hai tum ghar ke liye ek auto kar lo plz

Raj:- (gusse se) maharani ho kahi ki jo tumhare liye har koi apni sawari liye khada rahega
madem jaha aap khadi hai na yaha se kuch nahi milega uske liye bhi aapko chalna padega
waise bhi ab zyada dur nahi hai ghar chalo jaldi

Ritu:- Raj kuch bhi karo par main nahi chal sakti plz samjhhne ki kosis karo

Raj:- yaar hua kya hai tumhe kya problem hai kuch to bolo

Ritu:- mujhe bolne me sharam aa rahi hai kaise bolu

Raj:- ajeeb ladki ho ek taraf keh rahi ho ki problem hai aur fir kehti ho ki bata nahi sakti

Ritu:- acha batati hon pehle apna kaan idhar laao Raj apna kaan Ritu ki taraf badha deta
hai fir Ritu dheere se kehti hai

Ritu:- Raj mere bra ka strap ek taraf se tut gaya hai aur tshirt pahan ke chalne se bohat
kharab lag raha hai ab plz kuch karo na Ritu ka masoom sa chehra dekh kar Raj ko uss par
bohat pyar aa raha tha par uska gussa uske pyar ko daba raha tha Ritu ki baat sunkar Raj
bhi thoda pareshan ho jata hai wo dheere se Ritu se kehta hai

Raj:- kya dheere dheere bhi nahi chal sakti yaha koi bhi sadhan milna bohat mushkil hai

Ritu:- samjhhne ki kosis karo Raj iss halat me chalna bohat hi mushkil hai mujhe bohat
saram aayegi Raj

Raj:- theek hai theek hai tum kuch karta hon tum yahi ruko ye keh kar Raj waha se chala
gaya kafi dur jane ke baad usse ek taxi mil gayi wo bhi double paise dekar Raj wo taxi lekar
Ritu ke pass aata hai aur usse lekar ghar ki taraf chal deta hai taxi me Ritu ko kuch na bolte
dekh Raj hi dheere dheere badbadata hai

Raj:- ajeeb ladki hai itni help ki fir bhi ek thanks nahi bola Raj ki ye baat Ritu sun leti hai
wo jawab deti hui kehti hai

Ritu:- thanks kis liye apni hone wali biwi ke liye tum nahi karoge to aur kon karega Raj
khayali polaaw mat pakao kisne keh diya ki main tumse shadi karunga ek se ek ladkiya
padi hai yaha

Ritu:- hogi ek se badhker ek par wo sab Ritu jaisi nahi hogi ek baat yaad rakhna tum sirf
mere ho main tumhe kisi aur ka nahi hone dungi meri jaan ho tum agar tumne kisi aur
ladki ke bare me socha bhi to main tumhe zinda nahi chodungi samjhe Ritu ki aankhe
gusse se lal ho chuki thi jise dekh kar Raj ki bolti band ho gayi thi par taxi ka driver unki
sari baate sun raha tha Ritu ki baate sun kar usse nahi raha gaya

Driver:- are madem ye kya baat hui aap apni jaan ko hi zinda nahi chodengi to fir kaise
chalega hahaha uski hansi sunkar Raj ki bhi hansi nikalne wali thi par wo apna mouh
ghuma leta hai aur khud par control karta hai Ritu gusse me kuch bhi bole ja rahi thi aur
uski baato pe hansi aana swabhawik tha par Ritu ko uss driver ki hansi bardast nahi hui

Ritu:- (gusse se) tum hamari baate kyu sun rahe ho yahi karte rehte ho kya sawari baitha
ke unki baate sunte ho mr tumhara jo bhi naam ho apne kaam se matlab rakho ok kisi ki
private baate sunkar usme interfere karte ho saram nahi aati upar se apne daant dikha
rahe ho Ritu ke ghuss ko dekh kar bechara driver bilkul saham gaya tha

Driver:- sorry madem galti ho gayi aage se aisa nahi karunga driver ki halat dekh Raj ko
bohat hansi aati hai par wo hans bhi nahi pa raha tha kyuki wo janta tha ki agar Ritu ne
usko hanste hue dekh liya to fir uski bhi khair nahi gusse me Ritu bilkul maa chandika ka
roop dharan kar leti hai Raj bhi kahi na kahi uske gusse se darta tha ab sab bilkul chup
chap the Ritu gusse me kuch bol nahi rahi thi aur ab un dono ki uske samne kuch bolne ki
himmat nahi thi thodi der me ghar aa jata hai Ritu sabse pehle utar kar andar bhag jati hai
Raj bhi utar kar driver ko paise dene lagta hai to driver kehta hai

Driver:- sahab kya sach me ye madem aapki hone wali biwi hai in 5 minute me hi meri
halat kharab kar di aur aapko to sari zindagi bitani hai sambhal kar rahiyega itna keh kar
taxi wala to chala gaya par Raj ke chehre pe ek meethi si muskan chod gaya kyuki Ritu ka
uss par itna haq jatana usse acha laga tha taxi ke jane ke baad Raj bhi andar aata hai
shaam ke 6 bajne wale the uske papa office se aa kar hall me baithe chai pi rahe thi Raj
bhi unke bagal me baith gaya Raj ko dekh kar papa usse kehte hai

Papa:- Raj ye Ritu ko kya hua wo bhag kar apne kamre me kyu ghus gayi ab Raj iska kya
jawab deta bra wali baat wo apne papa se to nahi kar sakta tha

Raj:- wo papa wo papa wo wo

Papa:- ye kya tab se wo wo laga rakha hai bolta kyu nahi kya hua usse kahi tune jhagda to
nahi kiya usse

Raj:- are papa aisi koi baat nahi hai

Papa:- to fir bol na wo iss tarah se kyu bhag ke gayi Raj ko kuch samjhh me nahi aa raha
tha ki wo kya kahe itne me uski maa waha aa jati hai

Maa:- are iske liye aap Raj par kyu baras rahe hai hum ladies ki aisi bohat si problem hoti
hai jo har kisi ko nahi bata pate uski bhi koi problem hogi jo Raj ko nahi pata aap to
khamkha isse dantne lage maa ki baat sunkar uske papa ab shant ho jate hai fir thodi der
me Ritu bhi waha aa jati hai aur baato ka silsila suru ho jata hai dekhte hi dekhte raat ke
10 baj jate hai sab milkar khana khate hai aur apne apne room me chale jate hai abhi Raj
apne bed me leta hi tha ki tabhi uske mobile par Ritu ka message aata hai wo jaldi se usse
padhta hai kya hua jaan aaj nahi aaoge mere pass par Raj iska koi jawab nahi deta wo fir
se let jata hai 2 minute baad ek aur message aata hai aao na jaan tumhe dekhe bina neend
nahi aayegi Raj iska bhi koi jawab nahi deta thodi der baad fir ek message aata hai jaan
gali dene ke bahane hi aa jaao main tadap rahi hon jaan tumhe dekhne ko ek baar aa jaao
is baar bhi Raj koi jawab nahi deta par halka sa mushkura zaroor deta hai thodi der baad
ek aur message aata hai jaan kya chahte ho ki main tadap tadap ke apni jaan de du to fir
theek hai mat aao waise bhi tumhari ye nafrat mujhe jeene nahi de rahi hai isse acha ki
main mar hi jaon tumhe bhi chutkara mil jayega ye padhkar Raj mann hi mann kehta hai
Raj:- kori dhamki de rahi hai wo aisa kuch bhi nahi karegi Raj apni aankhe band kar leta
hai aur uske agle message ka wait karta hai par ye kya ab to uske koi message bhi nahi aa
rahe hai 5 minute hue fir 7 minute fir 10 -15 ab to pure 20 minute ho gaye par Ritu ka ek
bhi message nahi aaya ab Raj thoda tension me aa jata wo bed se uth baithta hai ek anjana
sa dar usse lagne laga tha

Raj:- (mann main) yaar itni der ho gayi koi message nahi aaya kahi kuch galat to nahi kar
baithi waise bhi pagal hai kuch bhi kar sakti hai ab wo jaldi se utha aur bhag kar Ritu ke
kamre me chala gaya par Ritu bed pe bhi nahi thi ab uske dil ki dhadkan aur bhi badh jati
hai Ritu ko bed me na paa kar Raj bohat dar gaya tha wo mann hi mann sochta hai

Raj:- kahi maine der to nahi kar di kahi sach me to usne kuch galat nahi kar liya nahi nahi
aisa nahi ho sakta he bhagwan meri Ritu ko kuch nahi hona chahiye kab uska dar uske
aankho se aansu bankar behne lage usse pata hi nahi chala abhi Raj apni soch me duba
hua tha ki tabhi uske peeche se awaaj aayi aakhir majboor kar hi diya na yaha aane me
Raj ye sunkar chonk jata hai aur jaldi se apne aansu ponch kar peeche palat ta hai peeche
Ritu apne dono hath bandhe hontho pe ek pyari si muskan liye darwaje ke pass khadi thi
ab wo zhat se darwaja band kar deti hai aur badi ada se Raj ki taraf badhti hai pehle to Raj
Ritu ko apne samne sahi salamat dekhker ek chain ki saans leta hai par agle hi pal uske iss
harkat pe gussa bhi ho jata hai

Raj:- ye majak hai Ritu ye koi tarika hai itni raat ko kisi ko pareshan karne ka aakhir
samjhhti kya ho tum apne aap ko jomann me aaye wo karogi ab Ritu uske behad karib aa
chuki thi aur Raj iske aage kuch aur keh pata Ritu apna ek hath uske hontho pe rakhkar
usse chup kara deti hai aur khud ko Raj ke ek dum karib lakar bade hi sexy awaaj me kehti
hai

Ritu:- kuch mat bolo jaan tadap gayi thi tumhe dekhne ke liye tumhe pyar karne ke liye
bas ek nazar bhar dekh lene do tumhe thoda sa pyar kar lene do tumhe plz jaan ab Raj
usse gaur se upar se neeche tak dekhta hai Ritu ne uss samay black color ki ek transparent
gown pehan rakhi thi jisme uske badan ke aadhe se zyada hissa dikh raha tha uske khule
baal bilkul nagin jaise balkha rahe the uske sharir se nikalne wali bheeni bheeni khusboo
Raj ko madhosh kar rahe the kamre me jalti blue color ka 0 power ka night bulb mahool
ko rangin bana diya tha Ritu ke jism ki garmi aur maddham jalti nili roshni ne Raj ke pure
badan me aag laga diya tha wo ishe aur bardast nahi kar paa raha uska pura sharir kanpne
laga tha uske maathe pe pasine ki boonde saaf dikhai de rahi thi uski jaan uske halak me
atak gayi thi uske honth sukh rahe the uske dil ki dhadkane itni tez ho gayi thi ki shayad
Ritu ko bhi uski awaaj sunai de rahi thi pure kamre me bilkul khamosi chayi hui thi bas
awaaj thi to sarf un dono ke tez chalti saanso ki ab isse pehle ki Raj apne aap par kabu
pata Ritu ne ek aur jaan lewa harkat uske saath kar di Ritu ne ek halka sa dhakka dekar
Raj ko bistar pe gira diya aur khud bhi dheere dheere Raj ke upar let gayi Raj bhi itna
madhosh ho chuka tha ki uske andar Ritu ko rokne ki thodi si bhi takat nahi bachi thi ya
fir ye kahe ki wo ab Ritu ko rokna bhi nahi chahta tha wo bas apna dil thame Ritu ki agli
harkat ka wait karta hai ab Ritu apne dono hath ki ungliyo ko Raj ke hath ki ungliyo me
fasa leti hai aur apna chehra dheere dheere Raj ke chehre par jhukati chali jati hai Ritu ke
dahakte hontho ko apne hontho ki taraf badhte dekh Raj ki aankhe dheere dheere band
hone lagti hai ab uski saanse itni badh gayi thi ki jaise lag raha tha uski jaan abhi nikalne
wali hai Ritu apne hontho ko Raj ke gardan par rakh deti hai Raj uske hontho ki garmi
bardast nahi kar saka aur ek halki si siski uske mouh se nikal gayi Ritu kuch der tak apne
hontho ko Raj ke gardan par ragadti rahi fir apne komal gaal ko Raj ke gaal par ragadne
lagi ab Ritu apne hontho ko Raj ke hontho ke bilkul karib le aayi itne karib ki unke honth
aapas me halke halke chune lage the dono ek dusre ke saanso ki garmi ko achi tarah
mehsus kar rahe the ab Raj ki halat aur bhi kharab ho gayi thi ab usse bardast karna
namumkin ho chuka tha Ritu ke rasile hontho ko apne hontho me bharne ke liye wo
bekarar ho chuka tha uske honth apne aap hi khulne lage the par Ritu isse aage aur na
badh saki usne apne hontho ko thoda peeche kheech liye aur taktaki lagaye Raj ke chehre
ko dekhti rahi aur dekhte hi dekhte kab uski aankho se aansu nikal gaye usse pata hi nahi
chala wahi Raj aankhe band kiye aage aane wale hasin lamhe ko soch kar uttejit hua ja
raha tha ki tabhi aansu ki ek boond uske chehre par giri Raj turant apni aankhe kholta hai
Ritu ke maasoom aur pyare se chehre par aansu dekh kar uska kaleja fat jata hai wo Ritu
ki num aankho me jhankta hai to usko usme hajaro sawal tairte nazar aate hai shayad un
sawalo ke jawab uske pass the per pata nahi kyu wo Ritu ke un sawalo ka koi bhi jawab
nahi de pa raha tha wo bas mook bana uski aankho me dekhta hi reh gaya ab Ritu hi dono
ke beech ki khamosi ko todte hue boli

Ritu:- sorry jaan mujhe tumhari marzi ke khilaf aisa kuch bhi nahi karna chahiye tha par
kya karu aaj apne aap par control hi nahi kar pa rahi thi sorry jaan itna keh kar Ritu Raj ke
upar se hatne lagi Raj usse apne upar se hatne nahi dena chahta tha par wo usse aisa
karne se rok bhi nahi pa raha tha ab Ritu uthakar bed ke ek kinare baith gayi

Ritu:- tum jaao Raj ab se aisi galti dobara nahi hogi Raj thodi der tak Ritu ko dekhta hi raha
uskamann to kar raha tha ki abhi uthkar Ritu ko apne seene se laga le par wo aisa kar nahi
saka wo jaldi se utha aur apne room me jakar let gaya Ritu bhi uske jane ke baad bed pe
let jati hai neend ab un dono ki aankho se koso dur thi dono ek dusre ke bare me sochte
hue karwate badalte rahe aakhirkar badi mushkil se un dono ki aankh lag hi gayi

Agli subah 9 baje Raj ki aankh khuli aankh khulte hi usse raat ki sari ghatna yaad aa jati hai
aur aati bhi kyu nahi aisa kaand hi hua tha uske saath ek pyari si mushkaan uske chehre
pe fail jati hai wo uthkar bathroom me chala jata hai aur waha lage mirror me apne aap
ko dekhte hue sochta hai yaar kya kismat hai meri wo ladki jiska sara college deewana hai
aaj wo meri deewani banker mujhe manane yaha tak chali aayi bina anjam ki parwah kiye
bina kisi dar ke sirf mere liye akeli chali aayi sach me bohat chahti hai mujhe uski wo pyari
hi mushkurahat baccho jaise khilkhilakar hansna uski wo ada uff kahi jaan hi na nikal de
meri upar se uski wo neeli aankhe pyar bhara hai usme mere liyemann to kar raha hai ki
abhi jakar samet lu usse apni baaho me itna pyar karu itna pyar karu ki sare jahan ka pyar
bhi uske aage kam ho nahi nahi aise nahi bohat rulaya hai tumne jaan to thoda bohat
tadpane ka haq to mera bhi hai bas jaan thode din aur tadap lo fir uske baad main vada
karta hu ki kabhi tumhari aankho me aansu ki ek boond nahi aane dunga tumhare aansu
dekh kar mera dil jal uthta hai jaan nikal jati hai meri to fir aaj se mission tadpana suru
meri jaan tayar rehna main aa raha hon itna keh kar Raj jaldi se fresh hota hai aur hall me
chala jata hai hall me uski maa apne sar par kapde ki ek patti bandhe baithi hui thi Raj ye
dekh kar puchta hai

Raj:- are maa kya hua sar pe patti kyu bandha hai

Maa:- kal raat se beta sar me bohat dard hai abhi abhi to uth payi hon kuch nashta bhi
nahi banaya tere papa to bina nashta kiye hi office chale gayi

Raj:- are maa aap tension kyu le rahi hai aap jakar aaram karo nashta main bana leta hon
acha ek baat bataiye ki aapne dawa li

Maa:- haan beta wo to maine li hai par koi aaram nahi mila

Raj:- itni jaldi kaha aaram milega thoda time lagega theek hai aap yahi aaram se baitho
main chal bana ke lata hon itna keh kar Raj waha se jane laga ki uski maa fir se bol padi

Maa:- beta usse pehle zara Ritu ke room me chala ja dekh abhi tak uthi kyu nahi tabiyat
to theek hai na uski waise to bohat subah hi uth jati hai itna sun kar Raj mann hi mann
mushkura deta hai aur kehta hai

Raj:- (mann main) shayad abhi tak so rahi hogi kal raat ko usne jo kiya hai pakka uss wajah
se theek se nahi so payi hogi abhi dekhta hon waise bhi wo sote hue bohat pyari lagti hai
ab Raj daud kar Ritu ke room me jata hai dheere se darwaja kholta hai par Ritu usse waha
nahi dikhti wo dabe paaw kamre ke ander jata hai to bathroom se pani girne ki awaaj aati
hai

Raj:- (mann main) acha to naha rahi hai kya yaar usse sote hue dekhne ka itna acha mauka
hath se nikal gaya chalo koi baat nahi baad me dekh lunga abhi yaha se nikal leta hon ab
Raj palat kar waha se jane lagta hai abhi wo darwaje tak pahucha hi tha ki usko kuch aisi
cheej nazar aati hai jisse uske kadam apne aap ruk jati hai wo fir se palat kar bed ke pass
aata hai aur uss cheej ko bade gaur se dekhta hai wo kuch aur nahi balki wahi teddy bear
tha jo Raj usse uske birthday par surprise gift dena chahta tha

Raj:- (mann main) yaar ye to wahi gift hai jo main Ritu ko surprise ke roop me dene wala
tha main to ye bhool hi gaya tha Raj usko uthata hai to dekhta hai ki uss teddy bear ke
beech me ek dil bana hua hai aur uss dil me Ritu ne kuch likh rakha hai mere jeene ka
maqsad sirf tum hi ho I love you jaan aur uske neeche Ritu ke hontho ke nishan the Raj ye
padh ke mushkuraye bina nahi reh saka par ye kya uski aankho me to aansu bhi hai pyar
me shayad aisa hota hai choti se choti baad par dil khus ho jata hai to mamuli si baat par
aansu bhi nikal jate hai aisa kyu hota hai ye to wahi jante honge jisne kabhi kisi ko sacche
dil se chaha hai shayad issi ko ishq kehte hai jo iss samay Raj aur Ritu ek dusre se karte hai
Raj dheere se Ritu ke bane hontho ke nishan par apne honth rakh deta hai ek ajeeb si
shanti ek ajeeb sa umang uske dil me bharti chali jati hai wo to kisi aur hi duniya me
pahuch chuka tha ki tabhi bathroom me se kuch awaaj aayi aur Raj ka dhayan tut gaya wo
jaldi se teddy bear ko wapas apni jagah pe rakh kar kamre se bahar chala gaya Raj hall me
jakar apni maa se kehta hai

Raj:- maa wo shayad naha rahi hai aap aaram karo tab tak main sabke liye chai banata
hon itna keh kar Raj kitchen me chala gaya aur chai banane laga abhi chai bani bhi nahi
thi ki Ritu waha aa gayi

Ritu:- are wah to tumhe chai banani aati hai Raj iska koi jawab nahi deta Ritu fir se kehti
hai

Ritu:- acha hato main nashta bana deti hon Raj jhuta gussa dikhte hue kehta hai

Raj:- nahi main khud bana lunga mujhe tumhare hath ka khana nahi khana pata nahi kya
mila do usme

Ritu:- haan milawngi na dher sara pyar

Raj:- koi sa pyar jo kabhi kiya hi nahi usse acha to thoda sa zahar hi mila do kam se kam
sukun se mar to sakta hi hon
Ritu:- dekho ab tum subah subah mujhe gussa mat dilao tumhare marne se pehle main
na mar jaon theek hi rahega tumhari sari tension bhi khatam ho jayegi waise bhi tumhari
nafrat mujhe jeene to degi nahi Ritu apna mouh ghuma ke subakne lagti hai ye dekh kar
Raj chup chap kitchen se bahar chala jata hai

Raj:- (mann main) sorry jaan bohat bura hon main tumhe kitna rulata hon bas aaj ka din
aur mujhe thoda sata lene do kal main khud tumhe propose karunga thodi der me Ritu
chai aur nashta le aati hai sab milkar nashta karte hai baki ka sara din kuch khass nahi hua
dono ke beech meethi meethi nook jhonk hoti rahi par agla din Raj ke liye bohat hi special
tha Ritu ko propose jo karne wala tha par agle din uske saath aisa hoga ye usne kabhi nahi
socha tHa

Agle din Raj 8 baje hi uth gaya khush bohat tha wo aaj hota bhi kyu nahi na jane kitne dino
ki tadap ke baad aaj apne pyar ko apni jaan ko baaho me jo lene wala tha aaj dono ek
dusre ki baaho me khoob royenge apne dil ka dard ek dusre se batenge kuch Raj apni
kahega kuch Ritu apni sunayegi do bichade dil aaj fir se ek ho jayenge iss bheed bhaad
wali jagah se dur kisi ekant jagah me baith kar aaj ye dono prami apna sara pyar ek dusre
par newchawar karenge kya adbhut nazara hoga wo jab Raj aur Ritu fir se ek ho jayenge
ab to unke ghar wale bhi yahi chahte hai lagta hai ab unke dil permanently fix kar diye
jayenge wo bhi vivah ke maddhyam se par ye sab itni jaldi shayad nahi Raj uth kar jaldi se
fresh hota hai aur hall me jaker sofe me baith jata hai aaj uski nazar sirf Ritu ko hi dhund
rahi thi itne me uski maa waha aati hai

Maa:- are beta aaj badi jaldi jag gaya kahi jana hai kya

Raj:- nahi maa bas aise hi jag gaya

Maa:- theek hai tu baith main abhi tere liye chai lati hon

Raj:- are maa tum kyu kar rahi ho tumhare sar me to dard hai na waise Ritu kaha hai kya
aaj bhi so rahi hai

Maa:- are nahi wo to pata nahi kab ka uth gayi ab to wo nashta bana rahi hai

Raj:- (mann main) acha to meri jaan kitchen me hai Raj ab kuch nahi bolta bas chup chap
apni nazre kitchen me gada leta hai bechare ki aankhe tarash gayi apne chand ki ek zhalak
pane ko khair usse zyada sabar nahi karna pada thodi hi der me Ritu chai nashta lekar aa
gayi sabne mil kar nashta kiya Raj ki nazar sirf Ritu par hi tiki hui thi aaj wo usko kuch zyada
hi sandar lag rahi thi waise sandarta ke mamle me Ritu bemishal thi uski barabari kisi aur
se karna bewkufi hogi per pata nahi kyu aaj wo Raj ko roj ke mukable kuch zyada hi sandar
lag rahi thi ho sakta hai ye uske dil me bhara Ritu ke prati beshumar pyar ho waise bhi
kehte hai na ki dil me agar kisi ki surat ek baar bas jaye to uske aage aur kisi ka chehra
acha nahi lagta yahi haal shayad Raj ka bhi tha par usse Ritu ke khubsurt chehre me wo
dikh jata hai jo shayad aur koi na dekh pata wo tha Ritu ke khubsurat se chehre me chipa
uska dard uski tadap uski bebasi kehne ko to wo hans rahi thi par uski hansi me chupi uski
mayusi ko sirf Raj hi samjhh sakta tha uska tomann kar raha tha ki abhi uth kar Ritu ko
apne seene se laga le par aisa kar pana uss samay sambhaw nahi tha

Raj:- (mann main) bas jaan ab kuch hi der aur fir tumhare sare dard mere Raj se ab aur
bardast karna mushkil ho raha tha wo uth kar khada ho gaya aur maa se kaha

Raj:- maa mujhe ek jaruri kaam hai main abhi aadhe ghante me wapas aa jaunga itna keh
kar Raj chalne lagta hai Ritu kewal tarashti nigaho se Raj ko hi dekhti rehti hai na jane kyu
aaj Ritu Raj ki ye berukhi bardast nahi kar pati uski aankho se apne aap hi aansu nikal jate
hai udhar Raj darwaje tak pahuch kar ek baar palat kar Ritu ko dekhta hai to uske aansu
dekh kar uske dil ki dhadkan hi ruk jati hai kahi ab wo bhi na ro de iss liye wo apna mouh
ghuma leta hai aur jaldi se bahar nikal jata hai bahar jakar Raj puri planning karta hai ki
wo Ritu ko kaha propose karega kaise karega kab karega sari planning ho jane ke baad bhi
Raj ghar nahi laut ta kyuki ab uske andar Ritu ka samna karne ki bilkul bhi takat nahi bachi
thi samay bitta gaya dopahar ke 2 baj gaye ab Raj ghar pahuchta hai uski maa abhi bhi
sofe par chup chap sar jhukaye baithi thi wo unke pass jaker puchta hai

Raj:- maa tum yaha akeli kyu baithi ho Ritu kaha hai par maa koi jawab nahi deti aur uth
kar apne room me chali jati hai Raj ko ye bada ajeeb lagta hai par usko iss samay in sab
cheejo ki koi parwah nahi thi kyuki ab uska time ho chuka tha Ritu ko le kar jane ka dil me
hajaro arman liye aankho me kai sapne sanjoy hontho par muskan liye Raj Ritu ke room
me ghusta hai par ye kya Ritu to waha hai hi nahi wo na room me thi aur na bathroom me
pura kamra khali tha Ritu ka saman bhi waha nahi tha Raj ko kuch samjhh me nahi aa raha
tha ki aakhir Ritu kaha gayi wo apni maa se puchne ke liye palat ta hi hai ki tabhi uski nazar
bed pe rakhi ek kagaj ke tukde par padti hai wo jaldi se usse uthata hai wo Ritu ki chitthi
thi Raj usko padhta hai jaan mujhe pata hai ki tum iss kamre me zaroor aaoge aur iss
chitthi ko padhoge waise ab tak to tumhe sab pata chal hi gaya hoga main ja rahi hon jaan
hamesha hamesha ke liye tumhari zindagi se dur ab tumhe roj subah mere manhus chare
ko nahi dekhna padega waise tum bhi to yahi chahte the na aakhir tumne mujhe challenge
bhi diya tha aaj ussi challenge ka aakhari din hai jaan aur main tumhe haarte hue kaiae
dekh pati isiliye main khud hi chali ja rahi hon tumhara pyar to main na paa saki par
tumhari nafrat apne saath liye ja rahi hon ho sake to mujhe maaf kar dena jaan main
tumhare pyar ko tab na samjh saki galti to maine ki hai shayad issi ki saza upar wale ne
mujhe di tum nahi jante kya kya sahi hon jaan bohat kuch kehna chahti thi tumse apne dil
ka sara dard tumhe dikhana chahti thi par tum mujhse itni nafrat karne lage ki mai wo
kabhi bata hi nahi saki maine paap kiya tha jaan tumhe dhoka diya tumhara dil dukhaya
par tum to mujhe sacche dil se pyar karte the na fir tum itni jaldi kyu haar maan gaye kyu
tumhara pyar kamjoor pad gaya mujhe mana nahi sakte the chod ke chale aaye mujhe
waha par akeli par main bhi kitni besharam hon chali aayi tumhare peeche peeche tumhe
manane tumhara pyar pane main to ye bhool hi gayi thi ki jo paap maine kiya hai uski to
mujhe maafi bhi nahi mil sakti jaan main tumhe dukhi nahi dekh sakti isiliye ab main
tumhari zindagi se dur ja rahi hon mar to nahi sakti kyuki meri jaan per sarf tumhara hi
haq hai ab jee lungi tumhare bagair jaise taise par pata nahi kaise lekin kosis karungi main
ja rahi hon jaan hamesha khush rehna bye jaan apna khayal rakhna Ritu chali gayi
hamesha hamesha ke liye Raj ki zindagi se bohat dur aur peeche chod gayi apni hasin
yaade aisa kyu hota hai bhagwan itne imtehan kyu leta hai aap kisi ko had se zyada chahe
aur wo aapki hi wajah se aap se dur chala jaye to kaisa lagta hai ye to wahi bata sakta hai
jiske saath kabhi aisa hua ho chaliye hum kahani me aage badhte hai dekhte hai Raj ka
kua hua chitthi padhne ke baad chitthi padhne ke baad Raj ki aankho se aansuo ka sailab
foot pada uskamann to kar raha tha ki dharti yahi fat jaye aur wo usme sama jaye uske
sare armaan sare khawab tut ke bikhar gaye the halat ye ho gayi thi ki wo theek se khada
bhi nahi reh saka Raj zameen par ghutno ke bal baith gaya aur Ritu ki chitthi ko apne seene
se laga ke rone laga

Raj:- (rote hue) mujhe maaf kar do jaan bohat sataya hai maine tumhe bohat bura hon
main kitna pyar karti thi tum mujhse aur maine tumhare pyar ki kadar hi nahi ki par iss
baat ki mujhe itni badi saza mat do laut aao jaan laut aao badle me mujhe chahe koi bhi
saza de do lekin plz mujhe chod kar mat jaao kaise jeeunga tumhare bagair tabhi Raj ki
nazar kisi cheej par padti hai wo bilkul chup ho jata hai aur bhag kar usse uthata hai wo
thi Ritu ki gulabi chunri jo Raj ko behad pasand thi Raj usse gaur se dekhta hai to usme
wahi Ritu ka aansuo se bhara chehra dikhta hai jo aaj subah ghar se nikalte samay Ritu ki
aankho me dekha tha Raj usse kas ke apne seene se laga leta hai uski aankho se fir se
aansu nikal padte hai

Raj:- kyu maine itni der kar di kash agar maine thodi jaldi ki hoti to abhi meri jaan mere
baaho me hoti ye kehte kehte na jane Raj ko kya hua uska rona bilkul band ho gaya ek
naya josh uske andar bhar gaya
Raj:- nahi jaan tum aise nahi ja sakti main tumhe nahi jane dunga ek baar to main tumhe
kho chuka tha par ab main tumhe dobara nahi khona chahta Raj apne aansu ponchta hua
tezi se kamre se bahar nikal jata hai abhi wo room se bahar nikla hi tha ki tabhi Raj ke
mobile par ek call aata hai Raj jab usse dekhta hai to uski saanse tham jati uske kadam
apne aap ruk jate hai ek khusi ki lahar uske chehre par daud jati hai kyuki wo call Ritu ka
tha Raj jaldi se call uthata hai

Raj:- kaha ho jaan aur kyu kiya tumne aisa ab Raj isse aage aur kuch bolta samne se kisi
aadmi ki awaaj aayi

Aadmi:- hello bhai sahab main wahi taxi wala bol raha hon jo 2 din pehle aapko aur aapki
hone wali wife ko aapke ghar choda tha kuch yaad aaya Raj bilkul chonk jata hai

Raj:- haan han wo to theek hai par ye batao ki ye phone tumhare pass kaise aaya

Taxi wala:- wo bhai sahab kya hai ki maine abhi abhi madem ko bus stop par choda tha fir
main ek dukan par chai pine ruk gaya jab wapas aaya to dekha peeche wali seat par ye
mobile pada hai main wapas gaya tha unhe ye dene par pata chala ki bus 2 minute pehle
hi ja chuki hai tab maine call list chek ki jaha aapki photo ke bagal me jaan likkha hua tha
to main samjhh gaya ki ye aapka hi number hai to aapko call kar diya

Raj:- yaar ek kaam karoge plz

Taxi wala:- haan haa kyu nahi

Raj:- pata laga sakte ho ki madem ne kaha ki bas pakdi hai aur uss bas ka no kya hai

Taxi wala:- abhi pata karta hon

Raj:- theek hai tum pata karo main abhi aata hon Raj call cut kar deta hai aur daud kar
apni maa ke room me jata hai par door andar se lock hota hai

Raj:- maa main janta hon ki tum mujhse naraz ho hona bhi chahiye kaam hi aisa kiya hai
maine par maa main usse jaane nahi dunga main usse lene ja raha hon itna keh kar Raj
bike le kar bas stop ki aur nikal padta hai kareeb 15 minute me hi wo pahuch gaya taxi
wala usse bahar hi mil gaya

Raj:- haan pata lagaya

Taxi wala:- haan bhai madem ne Delhi ki bas pakadi hai aur ye raha uss bas ka number ye
kehte hue taxi wale ne Raj ko ek parchi thama di aur saath me Ritu ka phone bhi
Raj:- aapka bohat bohat dhanyawad aapne bohat bada ehsaan kiya hai mujh par

Taxi wala:- are nahi isme maine kuch nahi kiya sab upar wale ki meharbani hai wo nahi
chahta ki aap log alag ho waise ek baat kahu madem aapse bohat pyar karti hai taxi me
pure raste bas roti rahi unki aankho me bohat pyar bhara tha aapke liye itna chahne wala
badi kismat se milta hai ab aap der mat kariye jaldi ja ke unko rokiye unhe Raj bhi der nahi
karta aur taxi wale ko bye bolkar chal padta hai uss bas ki talash me jisme uski zindagi thi
Raj ab puri raftar se bike chalata hai kareeb 1 ghanta ho gaya use par bas ka kuch pata
nahi time beet ta ja raha tha 1 se 2 ghante ho gaye fir 2 se 3 ghante fir bhi bas kahi nahi
dikhi par Raj ne ummed nahi chodi usne kasam kha li thi ki chahe kuch bhi ho jaye wo Ritu
ko wapas la ke hi rahega bas issi ummed ke saath wo chala ja raha tha har bas par uski
nigah thi par jis bas ko wo kab se talash raha tha wo usse nahi mil rahi thi par wo kehte
hai na agar kisi cheej ko sacche dil se chaho to sari kaynaat tumhe usse milwane me lag
jati hai waisa hi iss samay kuch Raj ke saath bhi hua aakhir wo bas use mil hi gayi Raj ki to
khusi ka thikana hi nahi tha wo aur speed badha kar bas ke aage nikal jata hai thodi dur
jakar bike ek side me khadi kar ke bas ke samne khada ho jata hai pehle to bas 2-3 lambe
lambe horn marti hai lekin jab fir bhi nahi hat ta to majburi me driver ko bas rokna hi
padta hai bas rukte hi driver chillaya

Driver:- abe marne ke liye yahi bas mili thi kya

Raj:- sorry yaar par iske alawa mere pass aur koi chara nahi tha itna keh kar Raj bhagta
hua bas me chad gaya bas puri bhari hui thi Raj ki nazar uss bheed me Ritu ko talashne
lagti hai per Ritu kahi nazar nahi aati hai uska dil bechain ho uthta hai

Raj:- (mann main) kaha ho jaan ek baar dikh jaao bas par ab jab kismat ne unhe milane ki
thaan hi li to bhala kon rok sakta tha aakhir Ritu usse dikh hi jati hai Ritu seat me peeche
ki taraf apna sar tikay khidki se bahar dekh rahi thi uske chehre me udasi saaf dikhai de
rahi thi usse to shayad pata hi nahi tha ki Raj waha aa chuka hai Raj usse dekh kar ek chain
ki saans leta hai uske chehre par ek pyari si muskan aa jati hai ab wo dheere dheere Ritu
ki taraf badhta hai aakhir Raj ko uski Ritu mil hi gayi na jane kitni mehnat kitni kosiso ke
baad ab wo pal aa hi gaya jab wo apni jaan ko apne baaho me bharega hazaro sitar
uskemann me bajne lage the dil jhoom utha tha uska abhi tak jo aankhe usse dekhne ko
tarash gayi thi ab wahi aankhe usse dekh kar behne lagi Raj ke dil ko kitna sukun kitni
rahat mili thi wo shayad shabdo me bayan karna mushkil hai kyuki kuch cheeje aisi hoti
hai jiske liye koi shabdh bane hi nahi hote hai usse to bas dil se mehsus kiya ja sakta hai
wo iss samay Raj kar raha hai itni bheed me usse na to koi awaaj sunai de rahi thi aur na
koi dushra chehra dikhai de raha tha siway Ritu ke wo apne aansu ponch ke dheere dheere
Ritu ki taraf badhta hai in sab se be khabar Ritu abhi bhi udhasmann se taktaki lagay khidki
me se bahar dekhe ja rahi thi usse to pata hi nahi chala ki kab Raj uske pass aakar khada
ho gaya uska dhayan to tab tuta jab Raj ne uske kandhe par hath rakhta ab Ritu jaise hi
apna mouh ghuma kar Raj ko dekhti hai to wo bilkul chonk jati hai aascharya se uski
aankhe badi ho jati hai usse to samjhh me hi nahi aa raha tha ki wo koi sapna dekh rahi
hai ya fir sach me Raj uske samne khada hai kyuki iss samay Raj ka uske pass hona uske
liye kisi sapne se kam nahi tha wo dheere se khadi ho jati hai aur bina palak zhapkay ek
tak Raj ko hi dekhti rehti hai Ritu ko apni taraf aise ghurte hue dekh Raj kehta hai

Raj:- aise kya dekh rahi ho main hi hon aur ye koi sapna nahi hai Raj ki baat ka bhi uss par
koi asar nahi hua wo dheere se apna hath badha kar Raj ko chu ke dekhti hai fir jab usse
vishwash hota hai ki sach me Raj waha khada hai to uski aankho me ek chamak aa jati hai
aur ek pyari si mushkaan uske chehre pe khil jati hai ab isse pehle ki wo kuch kehti uski
nazar Raj ki aansuo se bhari aankho par padti hai uski mushkurahat fir se kahi gum ho jati
hai wo shayad Raj ke dil ka dard aur uski aankho me uth rahe sawal ko achi tarah se samjhh
gayi thi par iska jawab uske pass nahi tha tabhi to wo apna sar jhuka leti hai tabhi driver
chillata hai

Driver:- are kya hua utro jaldi tumhari wajah se sabko late ho raha hai ye sunte hi Raj jaldi
se Ritu ka bag uthata hai Raj chalo neeche utro Raj ye keh kar chalne lagta hai Ritu ke
mouh se koi awaaj nahi nikalti wo bhi chup chap Raj ke peeche peeche chal deti hai dono
ke utarte hi bas chal deti hai Ritu ka dil bohat zoro se dhadak raha tha wo bas apna sar
jhukay Raj ke samne khadi thi Ritu ko iss tarah khade dekh Raj kehta hai

Raj:- kaha ja rahi thi mujhe chod kar par Ritu koi jawab nahi deti Raj fir kehta hai

Raj:- samjhti kya ho tum apne aap ko jab dil me aaya chali aayi jab dil kiya chali gayi meri
icchao mere armano ki koi keemat nahi hai gussa hone haq sirf tumko hai tumne jo mere
saath kiya uske liye main zara sa naraz bhi nahi ho sakta are natak kar raha tha main taki
ek acha sa samay dekh kar tumhe bahar le jakar propose karu kitni planning ki thi aaj ke
liye maine kya kya sapne dekhe the par tumne sab tod diya Ritu apna sar jhukay chup
chap sab sunti ja rahi thi aur kehta hi ja raha tha

Raj:- apne dil ki baat to tumne chitthi me likh ke bata di par jab main batana chahta tha
tab tum ja rahi ho yahi pyar hai tumhara manane aayi thi na mujhe fir kya hua bolo jawab
kyu nahi deti Ritu sar jhukay dheere se kehti hai
Ritu:- mujhe laga ki ab tum mujhse pyar nahi karte aur wo challenge bhi to tha main
tumhe haarte hue kaise dekhti

Raj:- are bhaad me gaya challenge jab dil haar gaya to ye challenge kya cheej thi aur tumhe
kisne kaha ki main tumse pyar nahi karta mere nas nas me sirf tum hi basi ho sote jagte
uthte baithte har jagah sirf tum hi nazar aati ho meri zindagi ke aakhari saansho me bhi
sirf tumhara hi naam likha hai ab Raj apne aapko aur nahi rok pata aansu foot padte hai
uski aankho se wo apni dono baahe Ritu ke samne faila deta hai

Raj:- (rote hue) I love you jaan adhura hon main tumhare bina aake mujhe pura kar do
jaan bohat pyar karta hon tumse nahi jee sakta tumhare bina plz mujhe chod kar mat jaao
ab Ritu se bhi bardast karna mushkil tha kyuki iske liye wo na jane kab se tadap rahi thi ab
jab Raj apni baahe failakar uske samne khada tha to wo bhala apne aapko kaise rok pati
bhag ke simat gayi Raj ki baaho me aur uske kandhe par sar rakhkar rone lagi

Ritu:- nahi jaan ab main tumhe chod kar kahi nahi jaungi bohat tadpi hon main tumhare
bina I love you too jaan ab Raj bhi Ritu ko apni baaho me kas leta hai dono apni aankhe
band kiye ek dusre ke pyar ko apne prati mehsus karne lagte hai yahi to Raj chahta tha
sahar ke bheed se dur kisi ekant me jakar Ritu ko apne dil ka haal bataye usse apni baaho
me lekar khub roye ye hua bhi par iss tarah se ye usse nahi socha tha khair jo hua acha hi
hua aakhir jaise bhi ho dono fir se ek ho to gaye

Shaam ke 7 baj chuke the dono sari duniya se bekhabar abhi bhi ek dusre ki baaho me
simte hue the ek ajeeb si shanti ajeeb si santusthi un dono ke chehre me thi apni aankhe
band kiye hue dono ek dusre me iss kadar khoye hue the ki unhe time ka pata hi nahi
chala dono ka dhayan tab bhang hua jab Raj ka phone bajne laga Raj ne dheere se Ritu ko
apne se alag kiya Ritu ka chehra dekh kar lag raha tha ki ab wo ek pal ke liye bhi Raj se
alag nahi hona chahti thi ek tadap uski aankho me thi Raj ye achi tarah se samjhh sakta
tha kyuki wahi tadap wo bhi mehsus kar raha tha Raj bade pyar se uske chehre par hath
rakh kar kaha

Raj:- bas 1 minute jaan pehle dekh lu kiska call hai Raj jaldi se phone nikalta hai uski maa
ka call tha

Raj:- haan maa

Maa:- Ritu mili

Raj:- haan maa abhi mere saath hi hai


Maa:- sorry beta maine tujh par gussa kiya par kya karti tune kaam hi aisa kiya tha ro ke
gayi thi yaha se wo aur mujhse uske aansu dekhe nahi gaye

Raj:- are maa aapka haq banta hai gussa karna aakhir papa ki bhi izzat ka sawal tha kya
jawab dete apne dost ko ki unke bete ke behavior ke wajah se unki beti ro ke gayi yaha hi
(bechara Raj wo to abhi tak issi bhram me hai ki Ritu uske papa ke dost ki beti hai aur unke
rishte ke bare me mummy papa ko kuch nahi pata)

Maa:- beta zara Ritu ko phone dena Raj Ritu ki taraf phone badha deta hai

Ritu:- haan aunty haan theek hai ok haan han Raj chup chap bas yahi sunta raha kyuki
maa ki baat wo sun nahi sakta tha aut Ritu bas haan ok theek hai ke alawa kuch aur bol
nahi rahi thi thodi der baad Ritu ne phone Raj ko de diya call abhi bhi cut nahi hua tha

Raj:- haan maa

Maa:- chal ab jaldi se ghar wapas aa ja der mat kar theek hai

Raj:- bas maa abhi nikalta hon par ghar pahuchne me time lag jayega

Maa:- koi baat nahi par sahi salamat usse le ke aa Raj halka sa mushkura deta hai aur
chidhate hue apni maa se kehta hai

Raj:- acha to sirf ussi ko sahi salamat le aau chahe mujhe kuch bhi ho jaye

Maa:- ab marungi main badmash kahi ka kuch bhi bolta rehta hai agar tujhe kuch ho jaye
to kya hum jee payenge chal ab der mat kar jaldi aa

Raj:- ok maa ab call cut ho jata hai Raj Ritu ki taraf dekhte hue kehta hai

Raj:- chale jaan apne ghar itna keh kar Raj bike ki taraf badhta hai par jaise hi ek kadam
badhata hai Ritu uska hath pakad ke apni aur ghuma deti hai aur fir se uske seene se lag
jati hai Raj bhi usko apni baaho me bhar leta hai

Ritu:- promise me jaan ki tum ab kabhi mujhe chod kar nahi jaaoge promise me ki tum
zindagi bhar mera saath nibhaoge promise me ki tumhara pyar mere liye kabhi kam nahi
hoga har janam me tum sirf aur sirf mere hi rahoge promise karo jaan Raj ek lambi saans
le kar kehta hai

Raj:- main promise karta hon jaan main tumhe hamesha pyar karta rahunga tumhe kabhi
chod kar nahi jaunga aur ye janam to kya har janam me main sirf tumhara hi rahunga par
tum bhi to wada karo Ritu jaan wada kya main to kasam khati hon ki jis din mera pyar
tumhare prati thoda sa bhi kam hua wahi mera aakhari din hoga ab Ritu ki aisi baat sun
kar Raj ka gussa hona swabhawik tha wo Ritu ko apne se alag karta hua kehta hai

Raj:- dobara aisi baat kabhi mat karna bohat tadpa hon tumhare liye ab aisi baat karogi to
main seh nahi paunga mar jaunga turant Ritu ek pyari si muskan liye Raj ke dono hath
pakad kar apne kaan par rakhti hui kehti hai

Ritu:- sorry Baba galti ho gayi fir kabhi aisi baat nahi karungi maaf kar do Ritu ki pyari si
muskan dekh kar Raj ka gussa bilkul chu mantar ho jata hai aur wo Ritu ke kaan se apne
hath hatakar uske chahte ko thaam leta hai

Raj:- tumhari yahi ada to mujhe ghayal kar deti hai ab Raj dheere dheere apna chehra Ritu
ke chehre ki taraf badhata hai Ritu ko samjhhte der nahi lagi ki Raj kya chahta hai wo
turant usse rok deti hai

Ritu:- (idhar udhar dekhte hue) kya kar rahe ho chodo mujhe

Raj:- are apni jaan ko kiss kar raha hon

Ritu:- yaha road par kuch to saram karo kahi bhi suru ho jate ho sab dekhenge to kya
sochenge

Raj:- koi kuch bhi soche mujhe kya mujhe abhi kiss chahiye bas

Ritu:- nahi abhi kuch nahi pehle ghar chalo fir raat ko room me aana tab sochungi

Raj:- (khush hote hue) to fir pakka na aaj raat ko mouh meetha karwaogi

Ritu:- haan pakka par abhi chalo jaldi nahi to aunty pareshan ho jayegi Raj ab Ritu ko
chidhate hue kehta hai

Raj:- haan bhai ab to unhi ki pareshani dikhegi saas jo tehri hum jo ek kiss ke liye pareshan
hai wo nahi dikhai dega sab aurate ek jaisi hi hoti hai matlabi Ritu ek ghusa Raj ke seene
me marti hui kehti hai

Ritu:- bohat bure ho tum hamesha mujhe chidhate rehte ho jaao main tumse baat nahi
karti Ritu bura sa mouh bana kar apne hath bandh kar khadi ho jati hai Raj ye dekh kar
hasne lagta hai

Raj:- acha Baba sorry fir kabhi nahi chidhaunga ab chale sahi me let ho raha hai ab dono
bike me baith kar ghar ke liye nikal padte hai bag ko Raj ne bike ke peeche ek side se
bandh liya tha jisse Ritu aaram se Raj se chipak kar baith jati hai wo apna ek hath aage se
Raj ke kamar par rakh leti hai aur aankhe band kar apna sar Raj ke kandho par bohat sukun
mil raha tha usse aur mile bhi kyu na aakhir apna pyar jo fir se pa liya tha ek pyari si
muskan uske hontho par phail jati hai shayad aane wale hasin palo ke bare me soch rahi
hogi yahi haal Raj ka bhi tha dono chup chap apne ghar ki taraf chale ja rahe the ki tabhi
Ritu ko kuch yaad aata hai

Ritu:- jaan ek baat batao ki tumhe kaise pata chala ki main bas se ja rahi hon ye to maine
aunty ko bhi nahi bataya tha aur to aur main iss bas me hon ye kaiae pata chala

Raj:- tumhe wo taxi wala yaad hai jisko uss din tumne danta tha

Ritu:- haan

Raj:- bas ussi ne bataya

Ritu:- matlab

Raj:- are meri tube light tum ussi taxi me to baith kar bas stop gayi thi aur apna mobile
ussi taxi me bhool gayi thi fir usne mujhe call karke bataya aur ussi ne bas ka no bhi diya
tab jakar maine tumko dhunda

Ritu:- acha to main uske taxi me baithi thi main itni dukhi thi ki maine kuch dhayan hi diya
ki kaha baithi hon

Raj:- waise acha hi hua ki tum uske taxi me baithi aur apna mobile bhool gayi ye sab na
hota to tum aaj mujhe chod kar chali gayi hoti Ritu ab apne dono hatho se Raj ko kas leti
hai

Ritu:- ab main tumhe chod kar kahi nahi jane wali

Raj:- main kahi jane dunga tab na

Ritu:- jaan I love you soo much

Raj:- I love you too jaan dono issi tarah meethi meethi baate karte hue ghar pahuch hi
jate hai Ritu ko dekh kar Raj ke mummy papa ke chehre par khusi ki ek lehar daud jati hai
Raj ki maa Ritu ko apne gale se lagati hui kehti hai

Maa:- Ritu beta main tumhe bata nahi sakti ki tumhe wapas dekhkar main kitna khush
hon aaj agar tum wapas na aati to main kabhi Raj se baat nahi karti Ritu Raj ki maa se alag
hoti hui kehti hai
Ritu:- nahi aunty isme iski koi galti nahi hai ye to bas mujhse mazak kar raha tha main hi
kuch zyada serious ho gayi thi

Maa:- par kuch bhi ho beta galti to isne ki hi hai aur iski saza bhi ishe milegi Raj abhi tak
chup chap hi khada tha par saza ka naam sunte hi bol pada

Raj:- are maa sorry to bol chuka hon ab kis baat ki saza itne me Raj ke pita ji bol pade

Papa:- tu to chup hi ho ja tune jo kiya wo maafi ke layak nahi hai meri bacchi ko rulaya
tune saza to tujhe milegi aur wo saza tujhe hum nahi Ritu degi fir maa Ritu ki taraf dekh
kar kehti hai

Maa:- haan beta ab tu hi ishe saza degi aur ye mana nahi karega ok Ritu dheere se Raj ki
taraf dekhti hai Raj bhi ussi ko dekh raha hota hai ab Ritu dheere se muskurate hue kehta
hai

Ritu:- theek hai aunty agar aap log chahte hai ki main isse saza du to main dungi par abhi
nahi baad me sahi samay aane par itna keh kar Ritu dheere se Raj ko ek aankh maar deti
hai Raj to wahi dher ho jata hai fir Raj ki maa kehti hai

Maa:- chalo bohat der ho gayi ab tum dono jakar hath mouh dho ke aao tab tak main
khana lagati hon dono apne apne room me chale jate hai karib 10 minute ke baad sabhi
dining table par baith kar khana kha rahe the ki tabhi Ritu ke mobile par ek message aata
hai Ritu jaldi se dekhti hai Raj ka message tha khane ke baad mujhe sweet dish chahiye
raat ko room me aaunga door lock mat karna Ritu ye padh kar dheere se Raj ki taraf dekhti
hai jo ussi ke bagal me baith kar chup chap khana kha raha tha thodi der baad Raj ke
mobile par ek message aata hai Ritu ka sweet dish ke liye room me aane ki zarurat hai
main abhi bana deti hon bolo kya khaoge fir Raj ek aur message karta hai ye to bohat galat
baat hai tumne promise kiya tha main raat ko aa raha hon aur mujhe chahiye ab Raj jaldi
se khana kha kar apne room me chala jata hai aur sahi samay ka intezar karta hai

Raat ke 12 baje Raj apne room se nikal kar Ritu ke room me jata hai aur dheere se darwaja
khol kar andar ghus jata hai Ritu aankhe band kiye hue peeth ke bal bed me leti hui thi wo
iss samay ek dheeli si tshirt aur pajama pehne hue thi Raj dheere se uske bagal me usse
bilkul sat ke let jata hai Ritu aankhe band kiye hue Raj se kehti hai

Ritu:- aa gaye jaan bohat der kar di

Raj:- sahi samay ka wait kar raha tha jaan taki ab hame koi disturb na kare waise bhi
zindagi me pehli baar kiss karne ja raha hon tumhe ab Ritu dheere se apni aankhe kholti
hai to dekhti hai ki Raj ka chehra theek uske upar aur uske chehre ke bilkul kareeb tha wo
apni dono baahe Raj ke gale me daal deti hai aur kehti hai

Ritu:- mujhe zindagi me pehli baar kiss karne ja rahe ho iska matlab isse pehle kisi aur ko
kiss kar chuke ho

Raj:- jaan tumhe lagta hai ki tumhe pehle meri life me koi aur bhi thi Ritu mushkura kar
kehti hai

Ritu:- jaan main sirf mazak kar rahi thi mujhe pura yakin hai ki main hi wo ladki hon jo
tumhari zindagi me sabse pehle aayi thi ab Raj jaldi se Ritu ke hontho par ek ungli rakh
kar usse chup kara deta hai

Raj:- ab aur ek bhi mazak nahi itna keh kar Raj dheere dheere Ritu ki taraf jhukne lagta hai
Ritu ye dekh kar hi madhosh hone lagti hai uski saanse tez ho jati hai uski aankhe band
hone lagti hai honth kanpne lagte hai ab dono ke honth itne kareeb aa chuke the ki wo
dono ek dusre ki saanso ko bhi mehsus kar pa rahe the aur fir wo pal aaya jiska in dono
ko besabri se intezar tha aakhir unke honth apas me mil hi gaye ek dabi hui aaaaah nikal
gayi un dono ke mouh se nikle bhi kyu na pyar ka pehla chumban jo tha ab unke honth
harkat karne lage the ek gehra chumban unke beech suru ho gaya tha dono aankhe band
kiye hue masti me ek dusre ke honth chuse ja rahe the iss kiss ke saath un dono ka pyar
aur bhi gehra hota ja raha tha unki ye kiss kareeb 10 minute tak chali ant me jab dono ki
saanse foolne lagi to Raj ne apne honth alag karke thoda sa peeche kheech liye Raj apni
aankhe khol ke Ritu ko dekhta hai Ritu abhi bhi aankhe band kiye tez tez saanse le rahi thi
2 minute lage Ritu ko normal hone me ab Ritu dheere se apni aankhe kholti hai aur Raj ki
aankho me aankhe daal kar kehti hai

Ritu:- tum bohat bure Ritu sirf itna hi keh pati hai ki Raj fir se apne honth uske hontho par
rakh deta hai aur fir se ek gehra chumban un dono ke beech suru ho jata hai ab kareeb 5
minute ke baad dono alag hote hai ab Raj aaram se peeth ke bal let jata aur Ritu uske
seene par apna sar rakh ke let jati hai dono ek chehre par ek ajeeb si shanti thi dono apni
aankhe band kiye hue mand mand mushkura rahe the dono bilkul khamos the tabhi Raj
iss khamosi ko todta hua kehta hai

Raj:- jaan ek baat punchu bura to nahi manogi

Ritu:- jo bhi puchna hai pucho jaan main kyu bura maanne lagi apne jaan ki baate mujhe
kabhi buri nahi lagti
Raj:- ye batao jaan ki tum itni meethi kyu ho aisa lag raha hai ki pure sarir me sahad ghul
gaya ho Ritu dheere se Raj ke seene me ek ghusa markar kehti hai

Ritu:- dhat badmash bohat gande ho tum hamesha mujhe cheedte rehte ho Raj apne left
hand se Ritu ki peeth sehlate hue kehta hai

Raj:- sach keh raha hon jaan tum bohat meethi ho agar thodi der tak aur kiss karta rehta
to pakka sugar ki bimari ho jaha

Ritu:- ab chup bhi raho mujhe sharam aa rahi hai aur nahi suna jata Raj ab chup ho jata
hai par apna hath lagatar uski peeth par ferta rehta hai tabhi Ritu ko apni peeth par kuch
chubhta hua mehsus hota hai wo jaldi se uth baithti hai aur Raj ka hath pakad kar uske
baye hath ki aasteen ko upar karti hai jaise hi wo hath ki kalai ke upar ka hissa dekhti hai
to uski aankhe fati ki fati reh jati hai wo hairat bhari nazro se Raj ki taraf dekhti hai Raj
halka sa mushkura deta hai wo shayad Ritu ke dil me uth rahe sawal ko achi tarah samjhh
sakta hai Ritu jab Raj ki kalai ko dekhti hai to wo bilkul shocked ho jati hai kyuki uski kalai
me Ritu naam likha tha aur dekh kar pata chal raha tha ki wo kisi dhaar dar cheej se likha
gaya hai Ritu ko kuch samjhh me nahi aa raha tha ki ye sab kya hai wo bas sawal bhare
nazro se Raj ko dekhti hi ja rahi thi Raj uske andar uth rahe sare sawalo ko achi tarah
samjhh sakta tha wo mushkura kar Ritu se puchta hai

Raj:- aise kya dekh rahi ho

Ritu:- ye sab kya hai jaan kab tumne mera naam likha aur kisse

Raj:- chaku se Ritu ye sun kar aur bhi chonk jati hai

Ritu:- kya chaku se par kyu

Raj:- aur kya karta jaan yaha main akela tadap raha tha tumhari yaad me pal pal mar raha
tha socha hath ki nas hi kat lu mar jaunga to tumhari yaad se chutkara to milega lekin pata
nahi kyu main nas nahi kat paya aur apne aap tumhara naam likhta chala gaya Ritu ye sun
kar apne aap ko aur nahi rok pati Raj ki hath me likhe apne naam ko hontho se laga kar ro
padti hai Raj se uska rona na dekha gaya aur wo bhi uth kar baith jata hai fir Ritu ke chehre
ko apni taraf ghuma ke uske aansu ponchte hue kehta hai

Raj:- jaan ab bas bhi karo tum janti ho ki main tumhe rote hue nahi dekh sakta meri jaan
jalti hai
Ritu:- aur meri jaan ka kya choot tumko lagti hai to uska dard mujhe hota hai meri jaan ki
to koi fikar hi nahi hai tumhe itna kehkar Ritu fir se ro deti hai Raj usse apne seene se laga
leta hai

Raj:- sorry jaan galti ho gayi ab tam ro plz nahi to ab main bhi ro dunga

Ritu:- (rote hue) kyu karte ho aisa pehle rulate ho fir manate ho par ab main aisa kabhi
nahi hone dungi ab ek pal ke liye bhi tumse alag nahi houngi warna pata nahi tum aur kya
kya kar baithoge Raj uski peeth sehlata hua kehta hai

Raj:- ek pal bhi tum mujhe akela nahi chodogi iska matlab janti ho tumhe mujhse saadi
karni hogi Ritu ka rona kam ho gaya tha

Ritu:- haan mujhe tumse saadi karni hai aur wo bhi college join karne se pehle Raj ye sun
kar mushkura deta hai Raj jaan tum to bohat hi utawli ho gayi suhagraat manane ke liye
aisa hai to abhi mana lete hai na saadi baad me kar lenge Ritu ab bilkul sharma jati hai aur
ek ghusa fir se Raj ke seene me marti hui kehti hai

Ritu:- tum bohat bure ho itna keh kar Ritu kas se Raj ko apni baaho me bheech leti hai
abhi undono ka hansi mazak chal hi raha tha ki tabhi Raj ki nazar Ritu ke gale pe padti hai
waha kuch gehre nishan bane the Raj unhe dekh kar kehta hai

Raj:- jaan tumhare gale par ye nishan kise hai Ritu ye sunkar turant Raj se alag ho jati hai
aur tshirt se uss jagah ko chupati hui kehti hai

Ritu:- wo wo kuch nahi jaan ab aise hi par Ritu ke chehre ke badalte bhaw ko dekh kar Raj
samjhh jata hai ki Ritu zaroor usse kuch na kuch chupa rahi hai Raj uska ek hath apne sar
pe rakh deta hai

Raj:- tumhe meri kasam batao mujhe kya hua tha Ritu apna hath peeche kheech leti hai

Ritu:- jaan isme kasam khane ki baat kya hai main keh rahi hon na ki kuch nahi hua wo
aise hi ho gaya Ritu nahi chahti thi ki Raj ko kuch bhi pata chale ki uske saath kya hua tha
wo janti thi ki Raj gusse me kuch bhi kar sakta tha par Raj samjhh gaya tha ki kuch to aisi
baat hai jo Ritu usse nahi batana chahti lekin wo kaha manne wala tha Ritu ko apni kasam
dekar sach bolne ko mazboor kar hi diya fir Ritu ne sari baat Raj ko bata di jise sunkar Raj
ka gussa satwe aasman par chad gaya

Raj:- kya uss kamine Vinod ne tumhare saath jabardasti ki uski himmat kaise hui tumhe
chune ki main usse jaan se mar dunga Ritu usse samjhati hui kehti hai
Ritu:- nahi jaan tum ab aisa waisa kuch bhi nahi karoge usse jo saza milni thi mil gayi wo
apne kiye par bohat hi sarminda tha

Raj:- (gusse se) tum bilkul chup raho main usse nahi chodne wala

Ritu:- isiliye main nahi batana chahti thi dekho tumhe meri kasam tum kuch bhi nahi
karoge

Raj:- kyu kyu mujhe tum apni kasam de rahi ho apni kasam wapas lo tum nahi janti iss
samay mere seene me aag jal rahi hai main usse nahi chodunga ab jab Ritu ne dekha ki
Raj ka gussa shant hi nahi ho raha to wo thoda sa uchak kar Raj ke hontho par apne honth
rakh diye ab Raj ki bolti ek dum band ho gayi kareeb 2-3 minute kiss karne ke baad Raj ka
gussa kuch shant hua ab Ritu dheere se Raj se alag hoti hui kehti hai

Ritu:- jaan ab main tumhe khona nahi chahti jo hua usse bhool jaao main tumhare saath
ek nayi zindagi suru karna chahti hon plz mere khatir sab bhool jaao Raj Ritu ko apne
seene se laga leta hai

Raj:- jaan main tumhare liye saans lena bhool sakta hon to ye baat kon si badi cheej hai
Ritu ye sunkar mushkura deti hai aur Raj se chipak jati hai dono kuch der aise hi ek dusre
me khoye rehte hai fir Raj uth kar apne room me chala jata hai na jane kitne dino ke baad
aaj un dono ko ek meethi neend aati hai

Agli subah Raj ki aankh 11 baje khulti hai kal raat ko kafi der se sone ki wajah se aaj uski
aankh itni der se khuli wo jaldi se fresh ho kar hall me jata hai waha jakar dekhta hai ki 2
log aur bhi baithe the par Raj unko nahi pehchanta tha unme se 1 aurat thi aur 1 mard aur
Ritu uss aurat ke bagal me baithi thi Raj ke maa baap bhi wahi baith kar unse baate kar
rahe the Raj bhi un sab ke beech jakar baith jata hai par usse kya pata ki ab usse ek jordar
jhatka lagne wala tha Raj bhi waha sab ke saath baith jata hai uske baithte hi uske papa
suru ho jate hai

Papa:- uth gaye laat sahab aaj itni jaldi kaise uth gaye abhi to sirf 11 hi baje hai thodi der
aur so jate papa ki baat sun kar Raj bohat sarmindagi mehsus karta hai wo apna sar jhuka
ke kehta hai

Raj:- sorry papa wo raat ko aankh der se lagi thi tabhi jaldi uth nahi paya

Papa:- to kya kar rahe the janab aap raat bhar jo so nahi sake itne me aaye hue mehmaan
me se wo aadmi bol pada
Aadmi:- are rehne digiye padh raha hoga aaj kal ke bacche aisa hi karte hai raat raat bhar
padhai karte hai aur din me der tak sote hai Raj ki maa bhi iss baat ka samarthan karte
hue kehti hai

Raj ki Maa:- aur nahi to kya aap to bas bina puri baat jane iss par baras pade beta tu ruk
main abhi tere liye nashta lagati hon aur itna keh kar Raj ki maa uth kar kitchen me chali
gayi tab tak Raj ke papa bhi normal ho jate hai

Papa:- chal theek hai koi baat nahi inse milo ye Ritu ke papa hai aur ye Ritu ki maa hai Raj
sab ko namashte karta hai itne me Ritu ke papa fir bol pade

Ritu ke Papa:- aur beta graduation ke baad kya karne ki soch rahe ho

Raj:- uncle IPS ki tayari karne ki soch raha hon bas ek baar selection ho jaye

Ritu ke Papa:- kyu IPS hi kyu padhne me tez ho MBA kyu nahi karte Delhi me bade bade
aur ache ache institut hai mere kehne par tumhe admission bhi mil jayega uske baad
tumhe ache ache job apne aap mil jayenge aur chahe to tum apna khud ka business bhi
kar sakte ho Raj halke se mushkura deta hai

Raj:- manta hon uncle ki MBA karne ke baad mujhe badi se badi company me aasani se
job mil jayega achi khasi salary bhi milegi ghar me sari sukh suvidhaye hongi par uncle
kabhi kisi garib ke bare me socha hai bechare din bhar mehnat karke bhi apna aur apne
pure pariwar ka pet theek se nahi bhar pate kabhi aapne footpat par soye un beghar
besahara logo ke bare me socha hai un becharo ko ek chaat tak naseeb nahi hoti kab kon
si gadi unhe kuchal de maut ka dar hamesha unko laga rehta hai hamari sarkar agar unke
liye gareebi aawasiy yojna ke tahat koi zameen bhi deti hai to kal ko koi bada
businessmann ussi zameen ko unche daamo me kharid kar waha building bana dega jaha
har ek flat lakho carodo me bikti hai ab ek gareeb aadmi jo din bhar mehnat majduri karke
bhi theek se apna pet tak nahi paal sakta wo bhala itne mahenge flat ko kaise kharid sakta
hai ek gareeb baccha agar apni bhuk mitane ke liye hamere aage hath faila de to hum aisa
react karte hai jaise usne hum se hamari jaan mang li ho aur usse aise bhaga dete hai jaise
ki wo insaan nahi koi janwar ho aur ghar par apne kutte ko din me 4 baar chikan khilate
hai usko aise dularte hai jaise hamari sampatti ka agla waris wahi ho kyu uncle kyu hum
unhe pyar se ek roti nahi khila sakte kyu hum un begharo ke liye ek chaat ka intezam nahi
kar sakta itna rupay paise kAmane se hame kya mil jayega kya wo sab hum apne saath le
jayege jab thode se hamara gujara ho sakta hai to hum utne se hi santust kyu nahi hote
hamesha paise ke peeche kyu bhagte hai in paiso ne to hamere andar ki insaniyat hi
khatam kar di are agar ek aawara kutta bhi kahi mar jata hai to baki kutte chilla chilla kar
uss ilake ke sare kutto ko ekattha kar ke kehta hai ki dekho aaj apna ek saathi mar gaya
aur hum agar raste me kisi ko marta dekh le to bas usse waise hi dekhte hue nikal jate hai
kyuki sab ko paisa kAmane ki jaldi hai koi bhi usse hospital tak nahi le ke jata hum sochte
hai ki kon pade iss pachde me marta hai mere hame kya kon wo mera sage wala hai itna
bol kar nikal jate hai sab paiso ke peeche pagal hai are jab bhagwan ne hame banane me
koi bhed nahi kiya to ham kon hote hai aamir gareeb ka bhed karne wale kehne ko to
hamara desh aazad ho gaya par hum gulam ho gaye paiso ke gulam main janta hon ki
mere ek akele ki aisi soch se ye desh nahi badlega par suruat to kisi ek ko hi karni padegi
na gandhi ji ne bhi akele hi suruat ki thi baad me pura hindushtan unke saath chala aur
hame aazadi mili main bhi ladunga ek IPS officer banke un gareeb aur besahara logo ko
liye jo iss system aur kuch bhrast netao ke karan abhi bhi gulami ki zindagi jee rahe hai koi
mera saath de ya na de par main hamesha unke haq ke liye ladta rahunga agar maine ek
bhi inshan ko uska haq dilwa diya to main apna ye jeewan safal samjhunga are hamara ye
jeena bhi koi jeena hai roz ghar se office aur office se ghar bas issi me khush agar karna hi
hai to kuch aisa kare ki samjh me hamara naam ho aur hum sar utha kar keh sake ki nahi
hum kisi ke gulam nahi hum purn rup se aazad hai itna keh kar Raj chup ho jata hai ghar
me charo taraf sannata cha jata hai ab koi kuch bole bhi to kya sab chup chap bas Raj ki
taraf hi dekh rahe the par Ritu ki aankho me halke halke aansu chalak aaye the ye aansu
kisi gum ke nahi balke khusi ke the pehle usse apne pyar par naaz to tha hi aaj usse uss
par garv bhi ho raha tha tabhi iss khamosi ko todte hue Raj fir se bol pada

Raj:- mujhe maaf kar dijiye uncle maine aapse iss tarah baat ki par mera irada aap ko dukh
pahuchane ka bilkul bhi nahi tha main to bas bhawnao me beh kar wo sab bolta chala
gaya jo mere dil ne kaha Raj ka itna bolna tha ki nahi Ritu ke papa khade ho jate hai aur
Raj ko bhi uske kandho se pakad kar khada karke apne gale se laga lete hai

Ritu ke Papa:- beta main tumhare jajbaato ki kadar karta hon aur iss baat ki khusi bhi hai
ki tum jaise naujawan aisi soch rakhte ho meri beti ki pasand par mujhe kabhi koi shaq
nahi tha par aaj tumse mil kar tumse baat karke ye mehsus kar raha hon ki meri deti ke
liye tumse acha jeewan saathi aur koi ho hi nahi sakta fir Ritu ke papa Raj ke papa ki taraf
dekh kar kehte hai

Ritu ke Papa:- Varma ji main jald se jald in dono ki saadi karwana chahta hon kyuki baad
me agar iskamann badal jaye to main meri beti ke liye iske jaisa dushra nek dil insaan nahi
dhund paunga ab Raj ko ye kisi 440 volt ke zordar jhatke se kam nahi lagta wahi Ritu
sharma ke apne room me bhag jati hai sabhi bohat khush the par Raj ko kuch samjhh me
nahi aa raha tha ki ye sab ho kya raha hai kahi sab ko uske aur Ritu ke bare pata to nahi
chal gaya par kaise kon bata sakta hai unhe kahi Ritu ne to nahi bataya nahi nahi wo nahi
bata sakti aisi baat bhala koi ladki kaise kisi ko bata sakti hai agar Ritu nahi to fir kaise sab
ko pata chala Raj apne inhi sawalo me uljha hua tha Raj ko asmanjas me dekh Raj ke pita
ji bolte hai

Raj ke Papa:- kya hua beta kuch pareshan lag rahe ho

Raj:- nahi papa aisi koi baat nahi hai bas ye saadi ki baat kuch samjhh me nahi aayi itna
sun kar sab hansne lagte hai Raj ki maa bhi tab tak nashta le kar aa chuki thi tab uski maa
hi usse kehti hai

Raj ki Maa:- are beta tu zyada soch mat kyuki itna sochna tere bas ki baat nahi hai teri
soch se 10 kadam aage ki soch hum log rakhte hai tu bas chup chap nashta kar Raj ko abhi
bhi kuch samjhh me nahi aa raha tha

Raj:- par maa ye sab kaise aur kab tay hua plz kuch bologi ya fir issi tarah paheliya bujhaogi

Maa:- (haste hue) maine bola na ki pehle nashta kar to chup chap nashta kar fir baad me
tujhe sab bataungi theek hai ab bechara Raj aur kya bol sakta tha baith gaya chup chap
nashta karne par aise halat me wo theek se nashta bhi nahi kar pa raha tha jaise taise thus
raha tha aakhir usse iss paheli ko jald se jald janna tha nashta karte karte wo sabki baate
bhi sun raha tha sab saadi ki hi baate kar rahe the aur wo bhi un dono ke college jane se
pehle Ritu ke papa dekhiye mujhe in dono ki saadi inke college jane se pehle karwani hai
aap logo ko aapatti to nahi hai Raj ke papa kuch soch kar bolte hai

Raj ke Papa:- itni jaldi inki saadi kya theek rahegi mera matlab hai abhi wo dono padh rahe
hai pehle padhi complete kar le fir baad me saadi kar di jayegi waise bhi itni jaldi sari
vayavastha karna bohat mushkil hai aur hamere sare rishtedar bahar rehte hai unse bhi
to invite karna hai sab kuch itni jaldi kaise ho sakta hai

Ritu ke Papa:- main samjhh sakta hon saadi me bohat si tayariya karni hoti hai aur main
to ladki wala hon mujhe to zyada tension lena chahiye par aap khud ko meri jagah rakh
kar dekhiye aisa ladka aap apne hath se jane dete

Raj ke Papa:- ye aap kaisi baat kar rahe hai Ritu ko maine kabhi Raj se alag nahi samjha
balki usse main Raj se zyada chahta hon par abhi ye unki age nahi hai saadi ki itne me Ritu
ki maa bol padti hai

Ritu ki Maa:- mere pass ek plan hai jisse aap dono ki problem solve ho sakti hai Raj ki maa
haan to boliye na
Ritu ki Maa:- bhai sahab aapki problem ye hai ki itni jaldi saadi karane se aapke koi
rishtedar yaha nahi aa payenge aur saadi dhoom dhaam se nahi ho payegi aur Ritu ke
papa aap ki ye problem ye hai ki baad me agar kahi Raj kamann badal gaya to Ritu ka kya
hoga dono ek saath han han kar dete hai Ritu ki maa aage bolti hai

Ritu ki Maa:- to fir ek kaam karte hai abhi dono ki sirf court marriage kara dete hai dono
balig bhi hai koi problem bhi nahi hogi baad me dono ki dhoom dhaam se saadi kar di
jayegi ab to aap dono ko koi problem nahi hai idea bohat hi acha tha sab Raji ho jate hai
Ritu ke papa turant registrar office me phone lagate hai aur kisi se baat karke parso ki
date nikalte hai sabhi khush the siway Raj ke kyuki usse to bas abhi bhi wahi tension khaye
ja rahi thi ki aakhir sab ko unki baat pata kaise chali Raj abhi issi uljhan me baitha nashta
kar raha tha ki tabhi uske mobile par ek message aata hai wo phone dekhta hai message
Ritu ka tha saadi mubarak ho jaan Raj ye padh kar thoda sa mushkura deta hai par ye kya
ek aur message wo bhi Sunny ka par Raj jab usko padhta hai to uske hosh udd jate hai
message me likha tha saadhi mubarak bhai Raj aur soch me padh jata hai

Raj:- (mann main) yaar ab ishe kaise pata chala aaj subah se ho kya raha hai mere saath
ek ke baad ek jhatke hi milte jaa rahe hai aur ye bhi nahi pata ki aage aur kitne jhatke
milne wale hai Raj se ab bardast kar pana bohat hi mushkil ho gaya tha uska dimag ab puri
tarah se chakra gaya tha kyuki Sunny ko bhi ye sab pata hai par kaise Raj uthkar seedhe
apni maa ke pass gaya aur unka hath pakad kar

Raj:- maa mere room me chalo kuch baat karni hai

Maa:- (hanste hue) are beta mujhe pata hai ki tu kya janna chahta hai tu yahi baith main
sab batati hon Raj ek baar sab ki taraf dekhta hai sab uski aur dekh kar mushkura rahe the

Raj:- maa yaha sab ke samne nahi andar chalo

Maa:- beta baat to tujhe sabke samne hi karni padegi kyuki iss kand me hum sabki barabar
ki bhagedari hai Raj se ab aur sabar kar pana mushkil tha iss liye baith gaya wahi par

Raj:- ab bataiye aap logo ko sab kaise pata chala

Raj ki Maa:- main batati hon beta tujhe yaad hai ki ek raat tu apne kamre me ro raha tha
aur maine uska karan pucha fir tune jo bataya usse mujhe yahi laga ki tune bohat jaldi kar
di thi tujhe haar nahi manni chahiye thi main manti hon ki uss samay jo Ritu ne kiya wo
sahi nahi tha par teri baat se mujhe aisa lag raha tha ki kahi na kahi uske dil me bhi tere
liye kuch hai per wo samjhh nahi pa rahi hai kyuki natak hi sahi par usne jab tujhse pyar
kiya tha wo dil se kiya tha yahi baat main tujhe samjhana chahti thi par tu kuch sunne ko
tayar hi nahi tha par mujhse teri ye udasi dekhi nahi ja rahi thi tab maine Ritu se baat
karne ka faisla kiya par tab tak shayad Ritu ko apni galti ka ehsaas ho gaya tha kyuki jab
meri Ritu ki mummy se baat hui Raj ka itna sunna tha ki nahi wo maa ki baat kat te hue
bola

Raj:- baat hue matlab number kaha se mila aapko maine to kabhi bataya nahi

Maa:- (hanste hue) tere mobile se aur kaha se jab maine tere mobile pe jaan likha dekha
to samjhh gayi yahi Ritu ka number hai aur mila diya Raj ye sun kar bohat hi zhep jata hai
bechara apna sar neeche kiye hue sharam se gada ja raha tha itne me Ritu ki maa bol padi
Ritu ki maa haan beta jab Ritu ke phone par tumhari maa ka phone aaya tab hum Ritu ka
bag pack kar rahe the kyuki jab use apni galti ka ehsaas hua to wo tadap rahi thi tumse
milne ke liye fir jab humne tumhare bare me suna to tum tabhi hame pasand aa gaye the
aur to aur tumhare uncle ne to Ritu ko saaf keh diya tha ki tumhe manaye bagair wo Delhi
wapas mat jaye kyuki beta tumhare jaisa damad hum khona nahi chahte the fir tumhari
maa ne hame sari planning samjha di aur bhej diya Ritu ko tumhare pass ab Raj apne papa
ki taraf dekhte hue kehta hai

Raj:- iska matlab aap aur uncle dost nahi hain

Raj ke Papa:- hum to ek dusre ko jante bhi nahi the bas aaj hi mile hain

Raj:- ye plan bhi maa ka hi tha

Raj ki Maa:- karna pada warna kya kehti ki Ritu tujhe manane aa rahi hai to tu usse aane
deta Raj ko ab sab samjhh me aa chuka tha wo halke se mushkura kar kehta hai Raj matlab
aap sab ko hamere bare me pehle se hi pata hai aur aap sab ne milkar mujhe ullu banaya
hai yaha tak ki Ritu ne bhi mujhe kuch nahi bataya acha ek baat batao maa ki jab Ritu yaha
se ja rahi thi aur agar main usse wapas na lata to aap logo ka sara plan fail ho jata Raj ki
iss baat se sab zor se hansne lagte hai Raj ko kuch samjhh me nahi aa raha tha ki isme
hansne wali kon si baat hai Raj ke shakal dekh uski maa kehti hai

Maa:- beta tujhe kya lagta hai Ritu yaha se ro ke wapas Delhi ja rahi thi nahi beta wo bhi
hamere plan ka hissa tha mera gussa hona Ritu ka uss taxi me mobile bhool jana fir taxi
wale ka tere pass phone aana ye sab hamari plan thi ab Raj ka mouh khula ka khula reh
gaya usse to vishwash hi nahi ho raha tha ki uske saath itna bada game khela gaya

Raj:- itna bada drama wo bhi sab log milkar ab Raj apni maa ke samne apne dono hath jod
leta hai
Raj:- maa tum kya ho itna dimag kaha se lagati ho par ek baat tumne sahi nahi ki ye sari
baate tumne Sunny ko bata di maa beta asal baat to ye hai ki ye sari planning Sunny ki hi
hai hum to bas usse follow kar rahe the Raj bilkul chonk ke khada ho jata hai

Raj:- kya ye sari planning Sunny ki hai matlab usse sab pata tha

Maa:- haan beta aaj ussi ki wajah se Ritu tere pass hai Raj ab bahar jane laga to uski maa
usse puchti hai

Maa:- ab kaha ja raha hai

Raj:- uss kamine Sunny ka mouh todne itna keh kar Raj tezi se bahar chala gaya Raj
pahuchta hai Sunny ke ghar me jaha Sunny apne room me aaram se leta hua apni gf se
baat kar raha tha wo karwat ke bal leta hua tha jisse uski peeth darwaje ki taraf thi Raj
dheere se uske room me jata hai aur dabe pair uske pass jake khada ho jata hai Sunny ko
bhanak tak nahi thi ki Raj uske peeche khada hai wo to bas masti se apni gf se baat karne
me laga tha

Sunny:- (phone per) yaar ek pappi do na plz plz plz bs ek baar ye galat hai are bhai hai to
kya hua maro goli sale ko acha acha sorry to jaldi se ek pappi de do Raj bohat der tak uski
ye nautanki sunta raha

Raj:- (mann main) sala meri band baja ke yaha aaram se let kar pappiya le raha hai ruk
abhi deta hon tujhe pappi ab situation kuch aisi hoti hai Sunny apne mobile ko hontho se
laga kar muuu karta hi hai ki tabhi Raj ek kas ke laat uske pichawade me lagata hai aur
Sunny seedhe bed ke neeche aur uske mouh se nikalti hai aahh wo turant peeche dekhta
hai aur kehta hai

Sunny:- abe tu

Raj:- haan main Sunny jaldi se khada hota hai

Sunny:- sale mara kyu

Raj:- kamine waha sabke samne mera popat bana diya aur khud yaha aaram se let kar
pappiya le raha hai main teri jaan le lunga Sunny Raj ko apni ore aata dekh bhagne laga
Raj bhi uske peeche peeche bhagta hai

Raj:- ruk sale bhag kaha raha hai

Sunny:- pagal kutta samjha hai mujhe jo tujh jaise pagal haathi ke samne aao Sunny chaat
ki taraf bhag jata hai Raj bhi uske peeche peeche chaat par jata hai
Raj:- Sunny ruk nahi to bohat pitega itna kehte hi Raj ladkhadaker gir jata hai usse girte
dekh Sunny bhag kar uske pass aata hai

Sunny:- bhai lagi to nahi ab issi mauke ka fayda uthakar Raj Sunny ko pakad leta hai aur
uska ek hath mod deta hai

Raj:- ab bata kyu kiya aisa sale sabke saath mil kar mujhe ullu bana diya dekh sab hans
rahe hai mujh par pata nahi Ritu kya soch rahi hogi mere bare me ab uske samne jaane
me bhi saram aayegi

Sunny:- bhai ye sab to tere liye hi kiya hai agar maine ye sab na kiya hota to aaj tum dono
fir se ek nahi hote Raj ye sunte hi Sunny ka hath chod deta hai aur usse apni aur ghuma
ke apne gale se laga leta hai

Raj:- thanks bhai aaj teri wajah se Ritu mujhe wapas mil gayi

Sunny:- oye dobara fir kabhi thanks mat bolna yaar dost hai tu mera dost kya bhai manta
hon tujhe to fir tujhe takleef me kaise dekh sakta hon yaar tere liye jaan de sakta hon to
ye sab to kuch bhi nahi hai

Raj:- I love you yaar

Sunny:- bas kar pagle ab rulayega kya ab dono dost milkar saadi ki planning karne lagte
hai fir chala shopping ka daud kapde gehne aur bhi bohat si cheeje sab zoro soro ke saath
kharida ja raha tha do din kaise beet gaye pata hi nahi chala issi me Raj aur Ritu ki aankho
hi aankho me ched chad lagi hi rehti thi ab aaya saadi ka din sabhi aaj bohat khush the aur
ho bhi kyu na aakhir din hi aisa hai maa baap khush the kyuki unke baccho ki saadi hone
ja rahi hai aur Raj aur Ritu khush the kyuki aaj unke pyar ko ek naya naam milne wala tha
bohat khusnaseeb the dono jinke pyar par aaj mohar lagne ja rahi thi un dono ki khusi ka
koi thikana nahi tha khair wakil ka phone bhi aa gaya 10 baje registrar office bulaya hai
sab tayar ho jate hai Raj ne aaj serwani pehni thi kamal ka lag raha tha udhar Ritu ne
lehanga choli pehan rakha tha hatho me chudiya maathe par mang tika pairo me payal
kaano me zhumke aur make up ke liye parlor se kisi ladki ko bulaya hua tha jab wo apne
room se tayar ho ke nikli to sab ke sab dekhte hi reh gaye kayamat lag rahi thi jaise swarg
se koi apsara utar aayi ho Raj ka mouh to khula ka khula reh gaya wo to Sunny waha tha
jisne usse sambhal liya warna aaj to Raj ka kaam tamam ho hi gaya tha ab sab theek samay
par court ke liye nikal pade theek 1030 baje sab registrar ke pass khade hote hai registrar
dono se papar par sine karwata hai aur kehta hai aaj se aap dono kanunan pati patni hai
Sunny dono ko ek ek phoolo ka haar deta hai aut dono ek dusre ko mala pehna kar ban
jate hai pati patni saadi to ho chuki Raj aur Ritu dono hamesha hamesha ke dusre ke ho
chuke ab Raj ke pure sarir me ek alag tarah ka romanch bhar raha tha aakhir pehli raat wo
kab aur kaise manayega kya kya karega wo jab Ritu dulhan bani bada sa ghunghat dale
sharmain hui si kamre me baithi uska intezar kar rahi hogi kaha se suru karega wo issi
tarah ke soch me duba Raj sab ke saath court se bahar aata hai Ritu ke saath un antarang
palo ke bare me soch kar Raj kuch zyada hi uttejit ho gaya tha tabhi to usse har kaam me
jald bazi kar raha tha jaha sab abhi khana khane kisi bade se hotel me jane ki baat kar rahe
the wahi Raj ko to bas ghar jane ki jaldi thi uski uttejana shayad Sunny samjhh gaya tha
ab Sunny Raj ko chedte hue dheere se uske kaan me kehta hai

Sunny:- bhai thoda control kar bhabhi kahi bhagi nahi ja rahi hai

Raj:- (muskurate hue) chup kar kamine aisi koi baat nahi hai

Sunny:- wo to tere chehre se hi pata chal raha hai sale bilkul bhookha bhediya lag raha
hai tu jaise abhi zhapatta mar dega

Raj:- acha ab chup ho ja warna yahi pit jayega mujhse abhi undono ki baate chal hi rahi
thi ki tabhi Raj ki maa Raj ke pass aakar kehti hai

Maa:- Raj tujhse kuch baat karni hai chal mere saath aur fir Raj ka hath pakad kar sabse
thodi dur le jati hai

Maa:- dekho beta mujhe pata hai ki iss samay tumharemann me kya chal raha hai aur ye
swabhawik bhi hai saadi ke baad aise khayal aana lazmi hai har kisi ko iss din ka besabri
se intezar hota hai bohat se arman hote hai aaj ke din unke mann me waise hi jaise abhi
tumharemann me hai par aaj situation kuch dusri hai hume tum dono ki saadi kisi majburi
ke chalte itni jaldi karni padi to abhi tum aisi waisi koi bhi harkat nahi karoge tum samjhh
rahe ho na main kya kehna chahti hon

Raj:- haan maa

Maa:- main chahti hon ki pehle tum log ache se padh likh lo tum kuch ban jaao fir hum
tum dono ki saadi dhoom dhaam se karenge tab tumko jo karna hai kar lena koi tumhe
nahi rokega lekin tab tak apne aap ko control karke rakhna ok Raj ke sare armano par pani
gaya tha na jane kya kya soch raha tha sab bekar ho gaye the Raj nirash to ho gaya tha
par wo samjhh sakta tha ki uski maa kuch galat nahi keh rahi thi itni jaldi uska aage badhna
theek nahi tha wo dheere se apni maa se kehta hai
Raj:- maa tum bilkul tension mat lo tum jo bhi keh rahi ho main wahi karunga tumhare
bharoshe ko tutne nahi dunga maa ye sun kar bohat hi khush ho jati hai aur Raj ko apne
gale laga leti hai

Maa:- chal ab jaldi se ghar pahuch kar packing bhi karni hai

Raj:- packing kis liye maa

Maa:- are wapas college nahi jana hai kya yahi rehne ka irada hai tum dono aaj saam ko
hi wapas ja rahe ho fir kya tha sab chal pade waha se pehle hotel fir ghar sari tayariya ho
chuki thi wapsi ki sahi samay par dono sab se vida lekar chal pade bas stand ki aur ab
dekhna ye hai ki jab dono saath me college jayenge to sab ka kya reaction hoga saam ke
5 baje chuke the dono bas me baith jate hai aur chal padte hai apne college ki aur Ritu
khidki ki taraf baithi hui thi Raj uske bagal me ab Ritu dheere se apna sar Raj ke kandhe
par rakh deti hai aur Raj se kehti hai

Ritu:- jaan aakhir tum mere ho hi gaye ab koi bhi hame juda nahi kar sakta ek baat batao
jaan kahi main koi sapna to nahi dekh rahi kaise tum meri zindagi me aaye kaise tum meri
jaan ban gaye aur ab dekho kaise hum ek aise rishte bandh gaye jisse hum kabhi juda nahi
ho sakte jaan agar ye ek sapna hai to bhagwan kare ki kabhi meri aankh na khule aur ye
sapna kabhi bhi na tute itna keh kar Ritu Raj ki ek baah pakad kar dheere se apni aankhe
band kar leti hai ab Raj bhi apna sar Ritu ke sar par rakh deta hai aur ek lambi saans lekar
kehta hai

Raj:- jaan hai to ye haqikat par kisi sapne se kam nahi hai pata hai bachpan me ek kahani
suni thi ek ladka jo bilkul bhi sandar nahi tha koi usse pyar nahi karta tha hamesha wo
ghar par hi rehta tha kahi bhi nahi jata tha kyuki har koi uski badsurati ka mazak udata tha
bas uske mummy papa hi usko pyar karte the ek din wo gumsum sa kahi baitha hua tha
ki tabhi aasman se ek sandar si pari utar ke aati hai aur uss ladke dekhte hi usse pyar ho
jata hai fir wo pari uss ladke ko hamesha hamesha ke liye apne saath le jati hai mere saath
bhi kuch aisa hi hua tum jaisi pari meri zindagi me aayi aur apne pyar me hamesha
hamesha ke liye kaid kar liya aur dekho aaj tum mujhe apne saath le bhi ja rahi ho ye
sunkar Ritu ke hontho par ek pyari si smile aa jati hai

Ritu:- dhat main koi pari wari nahi ho aur khabar daar jo fir kabhi meri jaan ko badsurat
kaha to uske jaise handsome koi nahi hai ab dono chup the bas apni gati se chali ja rahi
thi bahar halka halka andhera hone laga tha dono baaho me baahe dale ek dusre ke pyar
me dube hue the ki tabhi Raj ko ek shararat sujhi
Raj:- jaan ek baat batao kya sach me ab mujhe sari zindagi tumko zhelna padega ye sunkar
Ritu zor se Raj ke hath me ek chutki kat leti hai

Raj:- aahh kya kar rahi ho pagal ho kya

Ritu:- haan hon aisi baate karoge to marungi hi na aarti thode hi na utarungi

Raj:- yaar main to bas thoda sa mazak kar raha tha tumne to sach me hi pel diya

Ritu:- haq banta hai mera aakhir tumhari biwi hon Raj mushkura ke kehta hai

Raj:- jaan tumhe pata hai ki biwi ke bohat se farz hote hai

Ritu:- acha aur wo kon kon se hote hai main bhi to sunu

Raj:- apne pati ka pura khayal rakhna khana banana pati ka hath pair dabana aur bhi kuch
perSonal kaam jaise Ritu Raj ke hontho par apna hath rakh kar uski baat beech me hi band
kar deti hai

Ritu:- bas bas iske aage aur kuch bhi nahi sunna Raj uska hath dheere se hata deta hai

Raj:- kyu kya hua are suno to main kaam to tumne suna hi nahi

Ritu:- bola na aur kuch nahi sunna mujhe pata hai ki tum ab gandi baate karoge

Raj:- (hanste hue) gandi baate are madem isse achi baat aur koi ho hi nahi sakti

Ritu:- acha chup raho mujhe ab neend aa rahi hai

Raj:- sona hai abhi thoda ruk jaao ghar pahuch jaye fir dono saath me mil kar soyenge

Ritu:- nahi bilkul nahi yaad hai na aate waqt mummy ji ne kya kaha tha aisi waisi koi bhi
harkat nahi karni Raj thoda chidhte hue kehta hai

Raj:- haan pata hai yaar mummy ne bhi ajeeb mushkil me daal diya saadi karwa di waha
par hum dono ke liye alag se ek ghar rent pe dilwa diya par kuch kar nahi sakta aise me
ek saath rehne ka kya matlab Ritu ye sunkar hans deti hai jise dekh kar Raj aur bhi chid
jata

Raj:- hanso khub hanso tumhe kya farak padta hai tadpaunga to main Ritu dheere se Raj
ke gaal par ek kiss karti hui kehti hai

Ritu:- jaan kisne keh diya ki main nahi tadpungi kya mujhe acha lagega par unhone jo kaha
hai hamere bhale ke liye hi kaha hai khud socho agar hum wo sab karte hai to hamari
padhai par kitna asar padega aur tumhara sapna IPS banne ka uska kya wo main tut te
hue nahi dekh sakti kyuki ab wo sapna sirf tumhara hi nahi balki mera bhi hai jaan main
tumhe IPS officer bente dekhna chahti hon kya mera itna sa khawab pura nahi karoge Raj
apne ek hath se Ritu ke gaalo ko sehlate hue kehta hai

Raj:- jaan main tumhare liye apni jaan de sakta hon to ye choti si iccha nahi puri kar sakta

Ritu:- tum itne ache kyu ho jaan waise ek baat bolu mummy ji ne aisa waisa kuch karne
ko mana kiya hai par kiss karne ko mana nahi kiya itna keh kar Ritu sharma kar Raj ke
seene me apna mouh chupa leti hai wahi Raj ki aankho me ek chamak aa jati hai

Raj:- to issi baat pe abhi ek kiss to banta hai

Ritu:- nahi abhi kuch nahi pehle ghar pahuch jaye fir dono ke beech issi tarah ki kahtti
meethi nok zhok chalti rahi kabhi Raj Ritu ko chedta to kabhi Ritu Raj ko ab dono hanste
khelte pahuch hi jate hai ussi sahar jaha se unke pyar ki suruat hui thi

Agli subah wahi Rudrapur ka SS College aaj bhi pehle jaisa hi din tha sare students college
aa rahe the kuch student college ground me the kuch canteen me to kuch library me
Manish aur Riya ground me khade gunguni dhoop ka anand lete hue baate kar rahe the
aur unka saath Ajay aur Poonam bhi de rahe the tabhi college ke main gate se entry hoti
hai hamere hero ki wahi purana andaz chehre me bharpur confidence aankho me ek
zabardast chamak full attitude aaj mahool bilkul pehle din jaisa tha jab usne iss college
me admition liya tha par uss din aur aaj ke din me kuch change tha us din wo bilkul akela
tha par aaj uske saath uska pyar tha uski jaan thi ya fir seedha seedha kahe to aaj uske
saath uski wife thi ab jaise hi dono baaho me baahe dale gate se entry marte hai to waha
maujud sabhi logo ki aankhe fati ki fati reh jati hai sab khade ho kar unhi dono ko dekh
rahe the sabhi ko ye kisi chamatkar se kam nahi lag raha tha kyuki sara college unko janta
to tha par unke iss rishte ko koi nahi janta hai siway 4 logo ke Manish Ajay Riya aur
Poonam ab jab unki nazar Raj par padti hai to charo ke chehre par muskaan phail jati hai
par unki ye muskaan zyada der ki nahi thi kyuki ab jaise hi unki nazar Raj ke saath chal rahi
Ritu par padti hai to unki sari khusi gayab ho jati hai charo bilkul stabdha reh jate hai hairat
se sabki aankhe badi ho jati hai ab jo paaw Raj ki taraf badhne ja rahe the wahi paaw ab
jam gaye the kisi ko kuch samjhh me nahi aa raha tha ki sab hua kaise Raj aur Ritu jaise
jaise unki taraf badh rahe the un charo ki dil ki dhadkane bhi badh rahi thi aur ant me wo
samay bhi aaya jab dono unke samne khade the Raj muskurate hue charo ko dekhta hai
par unke chehre ki badli rangat aur aankho me uth rahe anginat sawalo ko dekh kar Raj
ko unki manodasa samjhhne me der nahi lagi
Raj:- kya hua tum sab ko aise kya dekh rahe ho par kisi ke mouh se koi awaaj nahi nikal
rahi thi sab un dono ko ghoor ke hi dekhe ja rahe the Raj fir se un se kehta hai

Raj:- are kuch to bolo kya hua ye main hi hon aur ye Ritu hi hai aur tum sab hame aise
ghoorna band karoge sab jaise apni neend se jagte hai aur fir ek dusre ka mouh dekhne
lagte hai iss dauran Ritu bilkul chup chap hi thi ab Manish kuch kehne ko hota hai

Manish:- yaar bas itna hi kehta hai fir chup ho jata hai aur Ritu ki taraf dekhne lagta hai
usko chup dekh Raj kehta hai

Raj:- haan kya hua bol na ruk kyu gaya ab Ajay kehta hai

Ajay:- bhai thoda side me chal kuch baat karni hai Raj ko samjhhte der na lagi ki Ajay usko
side me lejakar kya puchna chahta hai

Raj:- dekho tum logo ko jo bhi puchna hai Ritu ke samne hi pucho kyuki ab ham dono alag
nahi hai ek ho gaye hai ab ye meri wife hai hamari saadi ho chuki hai bas Raj ka ye kehna
tha ki nahi sabke pairo ke neeche se zameen hi khisak jati hai sab bade gaur se Ritu ki taraf
dekhne lagte hai kyuki abhi tak sab sirf Ritu ke chehre ko hi dekh rahe the uski maang pe
sindur aur gale ka mangalsutra par kisi ka dhayan hi nahi gaya ab Manish kehta hai Manish
bhai tu chal mere saath sach me kuch baat karni hai

Raj:- (muskurate hue) mujhe pata hai ki tum sab kya soch rahe ho yahi na ki Ritu ne jo
mere saath kiya uske badle main isse maaf karke saadi kaise kar sakta hon

Manish:- haan

Ajay:- bata bhai aisi kon si majburi ho gayi thi

Riya:- Raj tum sab jante hue dobara aisi galti kaise kar sakte ho Raj se aur suna nahi gaya
aur wo beech me hi bola

Raj:- dekho jo hua wo sab purani baate thi usse bhool jana hi behtar hoga bas itna samjhh
lo ki ab ye meri biwi hai meri zindagi hai aur main iske khilaf kuch bhi nahi sun sakta Raj
ki aisi baate sun kar Manish bol pada

Manish:- yaar tu bilkul badal gaya hai

Raj:- badla main nahi tum log ho jo bina kuch sach jane ulta seedha bol rahe ho

Ajay:- kis sach ki baat kar raha hai tu wo sach jo isne tujhe dhoka diya tere pyar ka mazak
banaya ya fir wo jab tu rota raha gidgidata raha aur ye apne ghamand me chur tujhe rota
bilakhta chor ke chali gayi yaar ye kon si patti bandh rakhi hai aankho me jisse tujhe iski
koi bhi galti dikhai nahi de rahi ya fir tu jaan bujh kar dekhna nahi chahta

Raj:- patti to pehle meri aankho me bandhi thi jo isse chor ke chala gaya tha na jane kya
kya sehti rahi yaha par kisi ne iska saath nahi diya apni takleefo se khud ladti rahi manta
hon isne mere pyar ko nahi samjha par maine kya kiya main to pyar karta tha na isse fir
kyu haar maan ke wapas chala gaya kyu nahi lada apne pyar ke liye sari galti tum logo ko
issi ki dikh rahi hai ab Raj Poonam ki taraf dekh kar kehta hai

Raj:- kya hua iske saath kuch pata bhi tum logo ko ab Ritu kas ke Raj ka hath pakad leti hai
Ritu ab chodo na wo sab baate mat batao kisi ko

Raj:- nahi jaan batane do mujhe mat roko tumhe meri kasam Ritu ab usse rokti bhi to
kaise Raj fir se bolna suru karta hai

Raj:- uss Vinod ne iske saath zabardasti karne ki kosis ki izzat lutna chahta tha wo iski par
ye ladti rahi uske saath bachati rahi khud ko sirf mere liye tum to iski best friend thi na
Poonam fir tumne ishe kyu akela chor diya jab ishe sabse zyada tumhari jarurat thi tab
tumne iska saath chor diya Ritu ne jo mere saath kiya tha usme tum bhi barabar ki hissedar
thi fir tum sahi kaise hui jab ishe apni galti ka ehsaas hua to ye aayi thi na Poonam tumhare
pass yaha saam ko iss college me tumne uske saath kya kiya uski ek baat bhi nahi suni wo
to rone aayi thi tumhare kandhe par sar rakhkar kehne aayi thi ki usse bohat badi galti ho
gayi par tum logo me se kisi ko iske aansu nahi dikhai diye chor diya sabne akela isko issi
baat ka fayda uthaya uss kamine Vinod ne le gaya ishe yaha se behlakar wo to kismat achi
thi ki ye bach gayi warna na jane kya ho jata itna keh kar Raj chup ho gaya uski aankho se
aansu behne lage the uski kya sabhi ki aankho me aansu the Raj aur Ritu ek dusre ke aansu
ponchte hai

Raj:- ek baat sun lo tum log ye meri biwi hai bohat pyar karta hon isse itna keh kar Raj Ritu
ka hath pakad kar kehta hai

Raj:- chalo jaan yaha hamere pyar ko samjhhne wala koi nahi hai itna keh kar dono waha
se jane lagte hai par tabhi Manish Raj ka hath pakad leta hai Manish yaar dost ki baat ka
itna bura maan jayega ki use chor ke chala jayega usse maaf bhi nahi karega maaf kar de
na bhai bs itna hi kehna tha ki Raj Manish ko gale laga leta hai

Raj:- yaar dosto se bhi koi maafi mangta hai kya pagal ab Ajay se bhi na raha gaya lag gaya
un dono ke gale
Idhar Raj Manish aur Ajay teeno ek dusre ke gale lage hue the wahi Poonam apna sar
jhukay Ritu ke pass aati hai

Poonam:- mujhe bhi maaf kar do Ritu anjane me mujhse bohat badi galti ho gayi thi
tumhari friend hone ke bawjood tumhe samjhh nahi payi Ritu dheere se Poonam ke
chehre ko upar uthati hai aur uske aansu ponchti hui kehti hai

Ritu:- teri aankho me aansu ache nahi lagte aur gale se laga leti hai Poonam ko ab bachi
Riya wo bhi Ritu ke pass jakar kehti hai

Riya:- kya mujhe bhi thodi jagah milegi tum dono ke beech me Ritu mushkura kar apna ek
hath faila deti Riya ke samne fir kya tha Riya bhi zhat se un dono ke gale lag jati hai aaj
sab kuch theek ho gaya Raj ko uska pyar mil gaya uske dost uske saath ho gaye ek insaan
ko isse zyada aur kya chahiye har dum saath nibhane wale dost khud se zyada chahne wali
hamesha uska khayal rakhne wali ek ladki aur aise maa baap jo uske dil ki baato ko bolne
se pehle hi samjhh jaye ye sab cheeje bohat hi kismat walo ko milti hai apna Raj bhi bohat
kismat wala tha jo usse ye sab kuch mila bas thodi si takleefo ke baad waise bhi sacche
pyar karne wale ko hamesha kisi na kisi imtehan se gujarna hi padta hai lekin jeet hamesha
saccha pyar karne wale ko hi milti hai aur yaha bhi kuch aisa hi hua khair ab sab theek ho
gaya tha Raj aur Ritu college me sabse mile har koi unke rishte se khush tha sare teachers
ne unko aashirwad bhi diya aaj sara din aise hi nikal gaya dopahar ke 2 baje college ki
chutti hui dono apne ghar pahuchte hai Raj apna laptop khol kar mail chek karta hai uske
bohat sare dosto ne usse saadi ki mubarak baad di thi wo unhe padhta hai tab tak Ritu
apne kapde badal kar aa jati hai usne ek bohat hi dheela dhala tshirt aur pajama pehan
rakha tha Ritu Raj ke pass aakar kehti hai

Ritu:- kya jaan ghar aa kar hi laptop le kar baith gaye kya khaoge ye to bataya hi nahi Raj
muskurate hue kehta hai

Raj:- dekho na jaan mere kitne dosto ne mujhe saadi ki mubarak baad bheji hai aur bhi
bohat se log hai jinhone hame saadi ki dhero shubkamnaye bheji hai itne me Ritu laptop
ko band kar deti hai

Raj:- yaar ye kya kiya

Ritu:- tab se isme ghuse hue ho kuch puch rahi hon uska koi asar nahi jaldi batao kya
khaoge Raj jaldi se laptop side me rakh kar khada ho jata hai aur dheere dheere Ritu ki
taraf badhta hai
Raj:- aaj main tumhe khaunga shayad Ritu Raj ke irade bhap jati hai wo dheere dheere
peeche hatne lagti hai

Ritu:- dekho jaan tumne kaha tha ki aisa waisa kuch nahi karoge

Raj:- aaj tum mujhse nahi bachne wali promise kal se nibhaunga par aaj mujhe koi nahi
rok sakta Raj daud kar usse pakad leta hai aur apni baaho me utha leta hai

Ritu:- jaan plz chodo mujhe

Raj:- chodne le liye thode hi na uthaya hai Raj Ritu ko baaho me lekar room me ghus jata
hai aur darwaja band kar deta hai ab shayad hame yaha se chalna chahiye kisi ki privacy
me jhankna achi baat nahi hoti pyar ke yahi to anmol pal hote hai jo koi kisi se share nahi
karta are ye kya ab to ander se sisskiyo ki madhur awaaje bhi aane lagi hai lagta hai dono
ek dusre ke prem rang me rangna suru ho gaye ab to hame yaha bilkul bhi nahi rukna
chahiye

THE END

You might also like