## Starting 5 minutes
Narrator : kehte hai ki , koi dhanda ganda nahi hota na hi dhande se bada koi dharm. Aayiye dekhte
hai family business.
%% Father enters with a frame and sings a Sanskrit shlok.
%%entry of son.
Son : dosto aur sathiyo aap logo ka dhanyawad mai kaise du samajh me nahi aa rha , bss itna samajh
lijiye ki aap hai toh hum hai mai punha dohra raha hu ki aap hai toh hum hai. Yeh aap sab k mehnat
ka hi natija hai ki aaj hamari company BKL ko first quarter me note bandi k bawjud 1560 crore ka
profit hua hai , itna hi nahi hamare company ka business 10 naye shehro se bhi jud gaya hai . aap sab
k unconditional support k karan aaj mai BAI ka president hu IBA ka secretory hu aur IBTC ka founder
hu uplabdhiyo ki list bohot lambi hai.
Aaj hamari company ka foundation ka din hai aur sath hi sath mere pitaji ki punyatithi bhi. Aap sabhi
[unrecognized word] padhare mai tahe dil se aapka abhari hu. Aaj k iss khas awasar pr mai itna hi
kehna chahunga ki unchi aur vision , I repeat unchi sonch aur vision ka hona bohot jaruri hai tabhi
aap kisi bhi field me Aakash ki unchain ko choo sakte hai. Jab pehli baar pitaji ne mujhe business ki
barikiya samjhai toh sach kahu meri samajh me kuch nahi aaya , laga ki yeh aadmi pagal to nahi ho
gaya
%%Father clears throat.
Son : sorry! Lekin shayad mai unki soch aur vision dekh hi nahin paya , mujhe aaj bhi who din yaad
hai jab pehli baar mere pitaji ne mujhse kaha tha…
Father : Haram jade agar tune aaj meri baat nahi maani na, toh mai tere tukde tukde kardunga keh
de rha hu…
%% son falls near mother
Mother : Are kitna maaroge eklota beta hai mera , maar maar k andha kr diya hai abb kya jaan loge
iski.
Father : ha haa…. Jaan hi le lunga agar aaj isne meri baat nahi maani toh.
Son : are aap mere tukde tukde kr denge na fir bhi aapki baat nahi manunga , mai padha likha hu
yaar , inke tarah angutha chaap thodi hu jo ye jo kahenge manunga , mai aapki baat nahi manunga,
meri khudki soch hai samajh hai vision ha
Father : dekh rahi ho kaise chabar chabar jubaan chala rha hai , are bade chote ka assure ko koi gyat
nmahi reh gaya hai , meri baat mann lo warna
Mother : thoda dhairya rakhe, saans lijiye upar niche mai baat krti hu. Dekh beta yeh jo keh rhe hai
use ache tarah se samajh le aur bs waisa kr le beta
Son : are amma tumhe kya samjh me aata hai ,mai MBA hu MBA , MBA ki degree kya hoti hai pta hai.
Mother : kaha beta , hum anpadh gawar , hume ka pta ye MBA sembiye kya hota hai hum bs itna
jante hai yeh jo keh rhe hai who samajh le aur bss beta waisa kr le
Son : are amma yeh bohot hi nich wala kam keh rahe hai, itne nichta wala kaam main hi kr sakta
Father : tui se nichta ka kaam kehta hai, are tere baap dada bhi yahi kaam krte hai sidhi tarah se baat
mann le warna.… warna mai tujhe apne ghar se bahar nikal dunga keh deta hu haaa.
Son : haa toh chala jaunga aur wapas bhi nahi aaunga.
Father : haa toh jaaa na, yeh mera ghar hai maine pane kamai se kharida hai tera kauno adhikar nahi
hai ispe jaa
Mother : are ye kya keh rahe hair ok lijiye ise
Father : aaee chupp kro , chal hatt jaa bhag.
Son : haa toh jaa rha hu hmm…
Mother : are mera bacha , beta ek hi toh reh gaya tha mai jinda nahi reh paungi.
Son : arw amma aap kan khol k ek baat sunn lo , yeh mere tukde tukde bhi kr le na, fir bhi mai bhik
nahi mangunga, yeh mera ankhri faisla hai .
Father : mai bhi dekhta hu kaise bhik nahi mangega, are pagle yeh hamara [unrecognized word 4:24]
dhanda hai, are hamare teen pidhiyo se yahi kaam hota aaya hai beta , are tu bade bade
buissnesman k familiyo ko dekh le unke bete bhi wahi kaam krte hai jo unke baap dada krte aaye hai
are isme kauno burai nahi n hai beta..
Son : aapne isiliye mujhe padhaya likhaya MBA karaya, finance major , marketing major, supply chek
major ,mmm mai bhik nahi mangunga yarr
Father : haa toh MBA ki degree lekr tune konsa bohot bada teer maar liya, re do saal se tu office
office bhatak rha hai kauno Naukri mili, nahi n ?? to kya burai hai isme beta tu baith ja tu baith ja
beta hum tor samne bhik mang rahe hai tore pair pakad rhe hai please beta