0% found this document useful (0 votes)
918 views42 pages

Rozon Kay Masail

Masail Rozon Se Muta’alliqa Tamam Zaroori Masail Se Muzayyan Ek Aam Fahm Tahreer (Roman English) Me By Mufti Muhammad Akmal
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
918 views42 pages

Rozon Kay Masail

Masail Rozon Se Muta’alliqa Tamam Zaroori Masail Se Muzayyan Ek Aam Fahm Tahreer (Roman English) Me By Mufti Muhammad Akmal
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd

Rozon Kay

Masail
Rozon Se Muta’alliqa Tamam
Zaroori Masail Se Muzayyan
Ek Aam Fahm Tahreer
By
Mufti Muhammad Akmal Qadri

1
‫ﺑِﺴﻢِ اﷲِ اﻟﺮﱠﺣﻤٰﻦِ اﻟﺮَّﺣِﯿﻢ‬

Ramazan Kay Rozon Ka Sharai Hukm


Suwal……Ramazan ke rozon ka sharai hukm kya hai ?
Jawab……Rozey har aaqil baligh musalmaan mard o
aurat par farz hai . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬
Rozon Kay Farz Hone Ki Shart
Suwal……Roza farz hone ki kya shart hai ?
Jawab……Is ki darj e zel chhe shartein hain:-
(1) Musalmaan hona (2) Baligh hona (3) Aaqil hona (4)
Tandurust hona (5) Muqeem hona (6) Haiz o nifaas se
paak hona . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬
Na Baligh Ko Roza Rakhwaane Ka Hukm
Suwal……Kya na baligh ko roza rakhwana chahiye ?
Jawab……Jab bachcha saat saal ka ho jaye to sarparast
ko chahiye ke usey rozey ki talqeen kare aur jab dus baras
ka ho jaye to ab sakhti karna lazim hai .
Ala Hazrat , Imam Ahlesunnat Quddisa Sirruhu farmate
hain ke bachcha jaise hi aathveen saal mein qadam rakhe
us ke wali par lazim hai ke usey namaz o rozey ka hukm
2
de aur jab giyaarhawaan saal shuru ho to wali par wajib
hai ke som o salaat par maare basharteke rozey ki taaqat
ho aur roza zarar na kare . ( �،‫� دوم‬،‫)�وٰى ر�� ج � ىد�د‬
Farziyyat Par Daleel
Suwal……Rozon ki farziyyat par kya daleel hai ?
Jawab……Allah Ta’ala ka ye farman e aalishan ,

Aey imaan waalo tum par rozey farz kiye gaye hain jaise
aglon par farz hue the ke kahin tumhein parhezgari miley.
(Tarjama e Kanzul Iman,P 2,Al Baqarah 183)

Ramazan Mein Sar e Aam Khaane Peene Ka Sharai Hukm


Suwal......Ba’z log ramazan mein sar e aam khaate peete
rehte hain , un keliye kya sharai hukm hai ?
Jawab……Agar islami hukumat ho to haakim e islam par
lazim hai ke aise shakhs ko qatl kar de .
Durre Mukhtar mein hai , ‘Jo shakhs ramazan mein bila
uzr jaan bujh kar e’laniya khaaye piye to hukm hai ke
usey qatl kar diya jaye .’

3
Is sakht hukm se ma’loom hua ke ramazan mein sar e aam
khana peena shariat ko shadeed naa pasand hai .
Ramazan Ke Rozon Ki Niyyat Ka Bayan
Suwal……Ramazan ke rozon ki niyyat ka waqt kab se
kab tak hai ?
Jawab……Ghuroob e aaftaab se dusre din dhahwa e
kubra tak . Yani poori raat mein bhi niyyat kar sakte hain
aur agar raat mein niyyat na kar sake to dhahwa e kubra
se pehle pehle bhi niyyat ho sakti hai . Masalan koi
shakhs raat mein na jaag saka , sub nou , dus baje aankh
khuli to ab niyyat kar le roza ho jaye ga .
( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)د ِر �ر‬

Suwal……Dhahwa e kubra ka waqt kab tak hota hai ?


Jawab……Is keliye namazon ke auqaat ka calendar
khareed lein . Dawateislami ke ijtimaa’aat ke baahar
Maktabatul Madina ke stall se baa asaani dastiyaab ho
jata hai us mein ek khaane mein dhahwa e kubra likha
hoga us ke neeche darj shuda auqaat se qabl niyyat ki ja
sakti hai .
Suwal……Kya din mein niyyat karne ki soorat mein koi
khaas shart bhi hai ?

4
Jawab……Ji haan , woh shart ye hai ke sahari khatm
hone ke ba’d se le kar niyyat karne ke waqt tak ‘roza yaad
hone ki soorat mein’ koi aisa fe’l sarzad na hua ho ke jis
se roza toot jata hai , masalan khaana peena ya jimaa
karna wagera . Haan agar bhoole se khaa pi liya tha phir
yaad aaya ke rozey ki niyyat karni thi to ab koi haraj nahi
‫ش‬
‫) ى تا‬
foran niyyat kar le . ( �،‫�ب ا�م‬،‫�� ا���طااوى‬
Suwal……Agar kisi ko ye mas’ala ma’loom na tha ke din
mein bhi niyyat ho sakti hai . Woh subh der se jaaga aur
ye soch kar ke aaj to raat mein niyyat na kar sakne ke
baais roza zaaye ho gaya kuch khaa pi liya to ab kya kare?
Jawab……Tauba ke saath saath , us rozey ki qaza bhi
lazim hai .
Suwal……Din mein niyyat karna to jaiz hai , lekin afzal
kya hai ? din mein niyyat karna……ya……raat mein ?
Jawab……Raat mein niyyat karna .
( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬

Suwal……Niyyat ka tareeqa kya hai ?


Jawab……Niyyat dil ke pokhta iraade ko kehte hain .
Aap dil mein kisi kaam ke karne ka pokhta irada
farmayein , yahi us kaam ki niyyat kehlaye gi .

5
Chunanche agar aap ne dil mein pokhta irada kar liya ke
kal roza rakhoon ga to niyyat ho gayi . (  ‫�ب‬،‫� ا ّول‬،‫�وىٰ ��ى‬
  �،‫)ا�م‬
lekin chunke niyyat ko basoorat e alfaz ada
kar lena sunnat hai lihaza ye alfaz ada kar lena baais
َ ‫ﺖ ِﻣ ْﻦ َﺷ ْﻬ ِﺮ َر‬
e sawab hoga , ‫ﻣﻀﺎن‬ ُ ‫ َو ِﺑ َﺼ ْﻮ ِم �َ ٍﺪ َﻧ َﻮ ْﻳ‬Main ne maah e
ramazan ke kal ke rozey ki niyyat ki .’
( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬

Suwal……Agar kisi ne raat mein niyyat ki , phir pokhta


irada kiya ke kal roza na rakhoon ga to ab roza rakhne
keliye jadeed niyyat ki zaroorat hogi ya wohi pehle waali
kaafi hai ?
Jawab……Jadeed niyyat karni pare gi , pehle waali niyyat
khatm ho gayi . Chunanche agar kisi ne nayi niyyat na ki
aur pehli niyyat ko kaafi samajh kar saara din bhooka

piyaasa raha to roza na hoga . (�،‫�ب ا�م‬،��‫ا مجبلدد ا‬،‫)ردا�ر‬
Suwal……Agar kisi ne poore ramazan ke rozon ki ek
saath niyyat kar li to durust hai ya nahi ?
Jawab……Ji nahi . Ye niyyat faqat ek rozey ke haq mein
maani jaye gi . Chunanche roza rakhne waale ko har
rozey keliye alahada niyyat karni hogi .

6

(‫�م‬،‫�ب ا�م‬،‫ا مجبلدد ا� ّول‬،‫)در�ر‬

Suwal……Agar kisi ne ramazan mein galati se farz rozey


ke bajai nafl rozey ki niyyat kar li to ?
Jawab……Pehle dekha jaye ga ke niyyat karne wala koun
hai ? agar musaafir ho ya mareez ho to jis ki niyyat kare
ga wohi hogi aur agar muqeem ya tandurust hai to chahe
nafl ki niyyat kare ya kisi aur wajib ki , yahi ramazan ka

roza ada hoga .  ‫�ب‬،‫ا مجبلدد ا� ّول‬،‫ )در�ر‬- (  �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬
(‫�م‬،‫ا�م‬Khulasa ye hua ke musaafir ya mareez agar
ramazan ka roza rakhna chahein to unhein khaas usi ki
adayegi ki niyyat karna hogi , jab ke muqeem o tandurust
keliye khusoosiyyat ke saath us ki niyyat ki haajat nahi ,
balke nafl ki niyyat bhi us keliye kaafi hai .
Suwal……Agar musaafir ya mareez ne faqat rozey ki
niyyat ki , nafl wajib ya farz wagera takhsees na ki to ab
koun sa ada hoga ?
Jawab……Is soorat mein ramazan ka ada hoga .
( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬

Sahari O Iftar Ka Bayan


Suwal……Kya sahari khana rozey ki sharait mein se hai ?

7
Jawab……Ji nahi . Sahari khana sunnat e mubaraka hai ,
chunanche agar kisi ne jaan bujh kar sahari na khaayi to
bhi roza ho jaye ga agarche sahari khane ke sawab se
mahroom rahe ga .
• Rahmat e Aalam Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam
irshad farmate hain ke sahari khaao ke is mein barakat hai
. (Bukhari o Muslim)
• Sarwar e Konain Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam
ka farman hai , ‘hamare aur ahle kitab ke rozon mein farq
sahari ka luqma hai .(Muslim)
• Sayyid ul Anbiya Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam
farmate hain ke sahari kul ki kul barakat hai isey na
chhorna agarche ek ghoont pani hi pee lo kyunke sahari
khaane waalon par Allah Ta’ala aur us ke firishte durood
bhejte hain . (Musnad Imam Ahmad Bin Hanbal)
Note) Allah Ta’ala ke durood bhejne se muraad rahmat
nazil farmana aur firishton ke durood bhejne ka matlab
dua e maghfirat karna hai .
Suwal……Iftar kis chiz se karna chahiye ?
Jawab……Muballigh e A’zam Sallallahu Ta’ala Alaihi
Wasallam irshad farmate hain ke jab tum mein se koi roza
8
iftar kare to khajur ya chhuhaare se iftar kare ke in mein
barakat hai aur agar ye na milein to pani se ke woh paak
karne wala hai . (Tirmizi)
Iftar Ki Dua Kab Parhein
Suwal……Kya roza kholne ki dua

َ ‫ﮏ َﺗ َﻮ�َّﻠ ُْﺖ و �َ� ِر ْز ِﻗ‬


‫ﮏ اَﻓ َْﻄ ْﺮ ُت‬ َ ‫ﺖ َو �َﻠ َْﻴ‬ َ ‫ﺖ َو ِﺑ‬
ُ ‫ﮏ ٰا َﻣ ْﻨ‬ َ َ‫ ا َﻟﻠّٰ ُہ َّﻢ اِ ِ ّﱏ ﻟ‬parhna
ُ ‫ﮏ ُﺻ ْﻤ‬
zaroori hai……kya is ke ilava dusri duaaen bhi maangi ja
sakti hain ?
Jawab……Zaroori se muraad agar farz ya wajib hai to
nahi , haan ye dua sunnat zaroor hai . Chunanche is ke
ilava dusri duaaen bhi maangi ja sakti hain . Lekin behtar
ye hai ke is dua ko parhne ke ba’d mazeed dua maangi
‫ث‬
jaye . ( �،‫ ا�� � �ہ ل�صاا� و ���ہ‬ ‫ا�ب‬،‫� اول‬،‫)��ى‬

Suwal……Ye dua kuch khaa lene se pehle parhein ya


ba’d mein ?
Jawab……Umooman dekha gaya hai ke pehle dua parhi
jati hai ba’d mein iftar kiya jata hai , lekin ye tareeqa
khilaf e sunnat hai . Sunnat ye hai ke pehle khajur wagera
kuch khayein is ke ba’d dua parhein . Agar mazkoora dua
par hi gor kar liya jaye to baat bilkul waazeh hai . Kyunke
hum kehte hain , ‫ﺖ‬ َ َ‫‘ ا َﻟﻠّٰ ُہ َّﻢ اِ ِ ّﱏ ﻟ‬Aey Allah main ne tere
ُ ‫ﮏ ُﺻ ْﻤ‬
9
liye roza rakha’ ye baat usi waqt durust hogi jab roza rakh
chuke hon . Roza rakhne se pehle is tarah kehna yaqeenan
galat hoga . Phir kehte hain ‫ﺖ‬ َ ‫‘ َو ِﺑ‬Aur tujh hi par
ُ ‫ﮏ ٰا َﻣ ْﻨ‬
imaan laya’ yaqeenan imaan laane ke ba’d hi aisa kehna
sahi hai . Phir kaha jata hai , ‫ﮏ َﺗ َﻮ�َّﻠ ُْﺖ‬
َ ‫‘ َو �َﻠ َْﻴ‬Aur main ne tujh
par hi bharosa kiya’ ye baat bhi aqlan usi waqt durust
hogi jab insaan Allah Ta’ala par bharosa kar chuka ho .
Aur aakhir mein kehte hain ‫ﮏ اَﻓ َْﻄ ْﺮ ُت‬ َ ‫‘ و �َ� ِر ْز ِﻗ‬Aur main ne
tere hi rizq se iftar kiya .’ Saabiqa tamam baaton par
qiyaas karte hue yaqeenan ye baat bhi us waqt durust hogi
jab iftar kar chuke hon na ke haath mein khajur pakar ke
kahein ke main ne tere rizq se iftar kiya . Ummeed hai ke
baat samajh mein aa gayi hogi .
(Mulakkhas Az Fatawa Razawiyya)

Tawajjo farmayein……
Rozey Zaaey Hone Se Bachaayein
Aksar gharon mein mushaahada kiya gaya hai ke sahari
band karne aur iftar ka aagaaz karne keliye azaan ka
intizaar kiya jata hai . Halanke in dono ke band karne ya
kholne ka ta’alluq azaan ke saath nahi balke waqt ke saath
hai . Lihaza jab waqt ho jaye to chahe azaan ho ya na ho

10
iftar kar lena chahiye . Kyunke iftar mein jaldi shariat ko
matloob hai . Chunanche……
Rahmat e Aalam Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ka
farman e aalishaan hai ke Allah Ta’ala irshad farmata hai
ke mere bandon mein se mujhe zyada pyara woh hai jo
iftar mein jaldi karta hai . (Tirmizi) Aur Sayyid ul Anbiya ,
Habeeb e Kibriya Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam
irshad farmate hain ke ye deen hamesha ghaalib rahe ga
jab tak log iftar mein jaldi karte rahein ge kyunke yahood
o nasaara takhir karte hain . (Abu Dawood)
Isi tarah sahari band karne mein bhi azaan ka intizaar na
karein balke pehle se waqt dekh kar rakhen . Waqt khatm
hone se chand minute qabl sahari se faarigh ho kar achchi
tarah kulli wagera kar lein .
Zaroori tambeeh) Basa oqaat dekha gaya hai ke hamare
musalmaan bhai fajr ki azaan ke doraan bhi khaate peete
rehte hain . Shayed unhon ne ye khud saakhta mas’ala sun
rakha hota hai ke ‘jab tak azaan ho khana peena jaiz hai’
balke ba’z log to aise bhi milein ge jo ye kehte nazar aate
hain ke ‘abhi to qareebi masjid ki azaan hui hai , fulan
masjid ki azaan baaqi hai , jaldi se kuch khaa pi lo .’
Achchi tarah yaad rakhiye ke is tarah azaan ke beech
mein khaate peete rakhe gaye rozey zaaey ho jaate hain .
11
Chunanche tamam din bhooka piyaasa rehne ki
mashaqqat ke ilava aur kuch bhi haasil na hoga . Neez
sakht gunahgar alahada hon ge .
Is Wajah Se Rozon Ke Zaaey Hone Ka Sabab
Pehle bator e tamheed chand baatein yaad rakhen:-
1) Kisi bhi namaz ki azaan , waqt shuru hone ke ba’d di
jaye gi . Agar waqt se pehle de di , balke sirf Allahu
Akbar bhi waqt se pehle kaha , baqiya poori chahe waqt
ke andar hi di , tab bhi na hui . ( ‫ص‬،‫ ا�بب ا�ذان‬،‫ا�مجبلدد ا�ول‬،‫)در�ر‬
2) Fajr ka waqt tulu e subh e saadiq yani sahari khatm
hone ke ba’d shuru hota hai . (‫)�ن‬

3) Mazkoora dono masail se bakhoobi ma’loom ho gaya


ke fajr ki azaan sahari khatm hone ke ba’d hi di ja sakti
hai , is se pehle nahi . Is ke saath hi mukammal tor par
baat waazeh ho jati hai ke chunke fajr ki azaan sahari
band hone ke ba’d hi di ja sakti hai , pehle nahi ,
chunanche jis ne azaan ke darmiyan khaya piya ,
yaqeenan us ka roza zaaye ho gaya .
Suwal……Kya is tarah zaaye kiye hue rozon ki faqat
qaza hai ya kaffara bhi hai ?

12
Jawab……Is soorat mein qaza hai kaffara nahi . Wajah
inshaAllah mutala’a jari rakhne ki barakat se khud hi
waazeh ho jaye gi .
Suwal……Agar kisi ko roza iftar karwaya jaye to kya
sawab mile ga ?
Jawab……Sayyid ul Konain Sallallahu Ta’ala Alaihi
Wasallam irshad farmate hain ke jis ne halal khaane ya
pani se roza iftar karwaya , firishte maah e ramazan ke
auqaat mein us keliye istighfar karte hain , jab ke Jibrail
(Alaihis Salaam) shab e qadr mein us keliye talab e
maghfirat famayein ge . Aur ek riwayat mein hai ke jo
halal kamaai se ramazan mein roza iftar karwaye to
ramazan ki tamam raaton mein firishte us par durood
bhejte hain aur shab e qadr mein Jibrail (Alaihis Salaam)
us se musafaha farmate hain .
Aur ek riwayat mein hai ke jo roza daar ko pani pilaye ga
to Allah Ta’ala usey mere hoz se sairaab farmaye ga (jis
ki barakat se) jannat mein jaate tak piyaasa na hoga .
(Tabarani Kabeer)

13
Roza Torne , Na Torne Aur Makrooh Kar Dene Waali
Chizon Ka Bayan
Suwal……Kisi ne dil mein niyyat ki ke main roza torta
hoon to kya roza toot gaya ?
Jawab……Ji nahi , faqat niyyat karne se roza nahi toota
karta , ye us waqt tak na toote ga jab tak koi torne wala
kaam sarzad na ho . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬
Suwal……Roza kin kin wujuhaat ki bina par toot jata
hai?
Jawab……Is ki kayi wujuhaat hain :-
(1) Jimaa aur us ke mulhikaat (2) Jism ke manaafiz ke
zariye kisi chiz ka me’de tak pahuncha dena (3)Qai karna
.
Aur in umoor ki tafseel:-
Roza tootne ka pehle sabab:-
1……Jimaa karna ) Jimaa karne se roza us waqt jaye ga
ke jab roza yaad ho . Agar kisi ko roza yaad na tha aur
jimaa kar liya to na gaya . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� اول‬،‫)در�ر‬
Suwal……Kya haath se ghusl wajib kar lene ki soorat
mein roza toot jaye ga ?

14
Jawab……Ji haan . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� اول‬،‫)در�ر‬
Suwal……Haalat e roza mein zoja ka bosa lena..ya..gale
lagaana kaisa hai ?
Jawab……Jaiz hai . Basharteke inzaal ka sahi andesha na
ho agar ho to makrooh hai .
‫ث‬
( �،‫ا�ب ا�� � �ہ ل�صاا� و ���ہ‬،‫� اول‬،‫)��ى‬

Suwal……Agar in sooraton mein inzaal ho gaya to…..?


Jawab……Roza toot jaye ga .

( �،‫�ابب � ئ ىفسدد ا�م و �� ئ ىفسددہ‬،��‫ا مجبلدد ا‬،�‫) ا� ا�ا‬

Suwal……Agar zoja ko faqat kapre ke uper se chhua aur


inzaal ho gaya to……?
Jawab……Dekha jaye ga ke…..
(1) Zoja ne itne mote kapre pehne hue the ke jin se badan
ki garmi mahsoos na hui .
(2) Baareek kapre the jin ke baais garmi mahsoos hui .
Peli soorat mein roza na gaya , dusri soorat mein toot jaye
ga . ( �،‫�ابب � ئ ىفسدد ا�م و �� ئ ىفسددہ‬،��‫ا�مجبلدد ا‬،�‫)ا� ا�ا‬
Suwal……Kya ehtilaam hone se roza toot jata hai ?

15
Jawab……Ji nahi . Rahmat e Aalam Sallallahu Ta’ala
Alaihi Wasallam ka farman hai ke teen chizen roza nahi
torteen:-
(1) Pachhna (2) Qai (3) Ehtilaam (Tirmizi)
Suwal……Kisi ko raat mein ehtilaam hua , sahari mein
aankh na khuli ke ghusl kar leta , to ab janabat ki haalat
mein rozey ki niyyat kar sakta hai ya nahi ?
Jawab……Rozey keliye paak hona shart nahi , chunanche
jis tarah paaki ki haalat mein roza shuru karna farz hai ,
isi tarah haalat e janabat mein bhi is ki ibtidaa karna farz
rahe ga . Balke agar koi saara din haalat e janabat mein
raha tab bhi roza na jaye ga . Haan namaz qaza karne ki
bina par gunah e kabeera ka murtakib zaroor hoga .
‫ث‬
( �،‫ا�ب ا�� � �ہ ل�صاا� و ���ہ‬،‫� اول‬،‫)��ى‬

Suwal……Agar kisi par raat mein ghusl wajib hua ,


aankh khuli to sahari khatm hone mein thodi der hi baaqi
hai , ab ghusl kare ya sahari khaye ?
Jawab……Usey chahiye ke ghusl ke do farz yani kulli
karna aur naak mein pani charhaana poore karke sahari
khaa le , baaqi ghusl sahari ke ba’d poora kar le .
(Bahar e Shariat,Hissa Duwum,Ghusl Ke Masail,Safha 33)

16
Suwal……Agar koi janabat ki haalat mein subh jaaga to
ab ghusl ke pehle do farz kis tarah poore kare ga ?
Jawab……Is soorat mein faqat kulli kare gargara nahi .
Yunhi naak mein pani daale , lekin usey uper soonghe
nahi . Ba’d e iftar dono farz mukammal kar le .
(Fatawa Razawiyya)

Roza tootne ka dusra sabab:-


2……Jism ke manaafiz ke zariye kisi chiz ka baatin
tak pahuncha dena .
Manaafiz ki wazaahat:-
Nufooz ka lughvi ma’na kisi chiz ke paar chale jana . Isi
se Manfaz hai yani paar chale jaane ka maqam . Is ki jama
Manaafiz hai . Insaani jism mein ba’z maqaamaat aise
hote hain ke jin ke zariye koi shai baahar se andar
saraayat karti hui baatin tak pahunch sakti hai , un
maqaamaat ko sharai lihaz se Manfaz se ta’beer kiya jata
hai . Masalan naak ke surakh , moonh , maq’ad aur
peeshaab ka maqam .
Note ) Jadeed tahqeeqaat se ye baatein waazeh ho
chukeen hain ke…..

17
(1) Dimaag o halq aur kaan ke surakh o halq ke darmiyan
manfaz nahi . Chunanche agar tel ya dawa kaanon mein
daali ya kisi tarah dimaag mein pahunch gayi to is se roza
na jaye ga , basahrteke kaan ka parda na phata ho .
(2) Jab ke aankhon aur halq ke darmiyan manfaz hai .
Chunanche aankhon mein dawa daalna roza tootne ka
sabab bane ga . (Raaqim ne is baare mein bazaat e khud
doctor hazraat se tafseeli guftgu ki , neez is baare mein
tafseel o tahqeeq par mushtamil kutub ka bazaat e khud
mutala’a bhi kiya , jis ke nateeje mein ye baatein bilkul
durust saabit hueen .)
Qadeem kutub e fiqh mein is ka bar’aks darj hai , chunke
us waqt tahqeeq ke mojooda jadeed tareen zaraaye
mafqood the , chunanche us zamaane mein is qism ke
masail ki bunyaad galaba zan par rahi jati thi . Agar
mojooda tahqeeqaat un akaabireen e islam ke zamaane
mein mojood hoteen to yaqeenan woh nufoos e qudsiyya
bhi aankhon mein dawa daalne ki soorat mein roza tootne
, jab ke kaan mein dawa daalne ki soorat mein na tootne
ka hukm hi marhamat farmate . Lihaza fi zamaana sciency
tahqeeqaat ki roshni mein ba’z masail mein tarmeem ko
akaabireen ka faiz hi tasawwur karna chahiye .

18
Manaafiz ke zariye saraayat kar jaane ke baais
darj e zel asbaab se roza toot jaye ga .
(1) Khaane peene se……
Suwal……Kisi ne bhool kar khaya piya roza
raha...ya…nahi ?
Jawab……Khaane peene se roza usi waqt jaye ga jab
rozadaar hona yaad ho , warna nahi .
Rasool e Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ka
farman e aalishan hai ke jis rozadaar ne bhool kar khaya
piya woh apne rozey ko poora kare ke usey Allah ne
khilaya pilaya hai . (Bukhari o Muslim)
Suwal……Kisi ko roza ki haalat mein bhoole se khaate
peete dekha to yaad dilana zaroori hai…ya…nahi ?
Jawab……Aisi soorat mein rozadaar ki haalat par nazar
ki jaye gi agar woh bahut kamzor hai , khaye ga to araam
se roza poora kar le ga , jab ke yaad dilaane ki soorat
mein kamzori itni zyada ho jaye gi ke roza poora karna hi
dushwar hoga to ab yaad na dilaya behtar hai aur is ka

bar’aks ho to yaad dilana wajib .’ ( �،‫�ب ا�م‬،��‫ا مجبلدد ا‬،‫)ردا�ر‬
Suwal……Agar rozey ki haalat mein koi chiz chakhi to
roza raha…ya…gaya ?
19
Jawab……Agar chakhne ka ye matlab hai ke thodi si chiz
halq se neeche utaar lena , to is soorat mein to roza toot
jaye ga . Lekin agar kisi chiz ko sirf zabaan se zaiqa
mahsoos kar ke moonh se baahar nikaal diya , halq mein
us ka zarra bhi na jaane diya , to na jaye ga . Ab agar ye
chakhna bila uzr tha to makrooh hai aur agar uzr ki bina
par tha to bila karaahat jaiz .
‫ث‬
( �،‫ا�ب ا�� � �ہ ل�صاا� و ���ہ‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

Suwal……Chakhne keliye kya uzr ho sakta hai ?


Jawab……Kisi behen ka shohar badmizaaj hai , agar
khaane mein namak mirch zyada ho gayi to laraai jhagra
kare ga ya koi aisi chiz khareedi ke jise na chakha to
nuqsaan ho sakta hai to ab chakhna jaiz hai .
‫ث‬
( �،‫ا�ب ا�� � �ہ ل�صاا� و ���ہ‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

(2) Huqqa , cigar…ya…cigarette peene se…..


Suwal……Agar koi sirf moonh mein dhuwan le kar
baahar nikaal de , halq mein le kar na jaye to….?
Jawab……Phir bhi roza tootne ka hukm diya jaye ga
kyunke ye us ka sirf khayal hai ke dhuwan halq mein nahi
ja raha , dhuwen ki qaleel miqdaar gair mahsoos tareeqe
se halq tak zaroor pahunch jati hai .

20
Suwal……Basa oqaat ghar ya masaajid mein agarbatti
sulghaa di jati hai…ya…raah chalte bus o wagon dhuwan
chhorti hui guzar jati hai , un ke dhuwen ka kya hukm
hai?
Jawab……Agar rozadaar hona yaad ho aur qasdan
dhuwan andar le gaye masalan agarbatti ke qareeb naak
karke zor se saans khaincha , to roza gaya warna nahi .
(3) Pan , Tambaku khane se….
Suwal……Agar koi pan tambaku ko khaye aur peek
thukta rahe to…..?
Jawab……Roza toot jaye ga kyunke unke baareek ajza
zaroor halq tak pahunch jaate hain .
(Fatawa Razawiyya Jadeed,Jild Duwum,S 486)

Suwal……Basa oqaat sahari khaane ke ba’d kulli ki


mohlat nahi milti ke waqt khatm ho jata hai , is soorat
mein agar koi daanton mein phansi hui roti wagera nigal
gaya to…..?
Jawab……Agar moonh mein phansi hui chiz chane ke
baraabar…ya…is se bari thi to roza toot gaya , warna nahi
. ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)در�ر‬

21
Suwal……Agar miswak wagera ki bina khoon nikal kar
halq mein chala gaya to kya hukm hai ?
Jawab……Agar khoon ka zaiqa halq mein mahsoos hua
to roza gaya , warna nahi . ( �،‫�ابب � ئ ىفس دد ا�م و � � ئ ىفسددہ‬،��‫ا�مجبلدد ا‬،�‫)ا� ا�ا‬
Suwal……Kya injection…ya…drip charhaane se roza
toot jata hai ?
Jawab……Chunke injection ya drip ki soorat mein dawa
manaafiz se dakhil e badan nahi hoti balke sharyaano ya
ragon ke zariye andar pahunchti hai , lihaza is se roza nahi
jaye ga . Lekin ba’z ulama deegar illaton ki bina par roza
torne ka hukm farmate hain , lihaza is mas’ale mein janib
e ehtiyaat ikhtiyar karni behtar hai .
Suwal……Wuzu ke doraan kulli karte ya naak mein pani
charhaate waqt , pani achanak o bila qasd halq o dimaag
tak chala gaya to kya hukm hoga ?
Jawab……Qasdan tha ya bila qasd , dono sooraton mein
agar roza yaad tha to gaya , warna nahi .
( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬

Suwal……Wuzu mein kulli ki , phir pani bilkul phenk


diya sirf thodi si tari moonh mein reh gayi , usey thook ke
saath nigal gaya , roza raha…ya…nahi ?

22
Jawab……Is soorat mein roza na jaye ga .
( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)در�ر‬

Suwal……Agar rangeen dhaaga moonh mein jaane ki


bina par thook rangeen ho gaya aur phir us rangeen thook
ko nigal liya to….?
Jawab……Roza gaya . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)در�ر‬
Suwal……Agar roya aur us ke aansoo moonh mein chale
gaye aur woh unhein thook ke saath nigal gaya , to…..?
Jawab……Agar ek do qatre hain to na gaya aur agar itne
zyada the ke poore moonh mein namkeeni mahsoos hui to
gaya . ( �،‫�ابب � ئ ىفس دد ا�م و � � ئ ىفسددہ‬،��‫ا�مجبلدد ا‬،�‫)ا� ا�ا‬
Suwal……Ba’z log kehte hain ke apna thook ya balgham
nigal jaane se roza toot jata hai , kya ye durust hai ?
Jawab……Ji nahi , chahe ye kitni hi miqdaar mein kyun
na hon roza na jaye ga . Haan kaafi saara thook jama
karke nigalna makrooh hai .
‫ث‬
( ‫ص‬،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫ )در�ر‬-( ‫ص‬،‫ا�ب ا�� � �ہ ل�صاا� و� � �ہ‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

(4) Qai karna……


Suwal……Kya qai se roza toot jata hai ?

23
Jawab……Is mein pehle do chizen dekhi jayein gi:-
(1) Bila ikhtiyar qai hui…ya…(2) Jaan bujh kar koi aisa
fe’l kiya jis se ulti hui , masalan halq mein ungli wagera
maar kar nikaali ……Pehli soorat mein roza na jaye ga
chahe ulti kam ho ya bahut zyada . Dusri soorat mein phir
dekhen ge ke
(1) Qai moonh bhar hai…ya… (2) Moonh bhar se kam
hai . ……Dusri soorat mein roza na jaye ga .
Pehli yani moonh bhar hone ki soorat mein phir dekhen
ge ke….(1) Qai karte waqt roza yaad tha…ya…(2) Nahi .
Pehli soorat mein roza gaya , dusri soorat mein na gaya .
Khulasa) Is mas’ale ka khulasa ye hua ke ulti ki soorat
mein roza sirf us waqt jaye ga jab qai jaan bujh kar ki ho ,
moonh bhar ho….aur….roza bhi yaad ho .
Suwal……Tel ya surma ya khushboo lagaane se roza
gaya…ya…nahi ?
Jawab……In mein se kisi chiz se roza nahi jaye ga .
‫ث‬
( ‫ص‬،‫ا�ب ا�� � �ہ ل�صاا� و� � �ہ‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

Suwal……Peeche zikr kiya gaya tha ke aankhon aur halq


ke darmiyan manfaz hai , lihaza surme se roza toot jana
chahiye ?
24
Jawab……Qiyaas to yahi chahta hai , lekin chunke
Hadees e Paak mein saraahatan surma ki ijaazat ata farma
di gayi lihaza is se roza na jaye ga . Hazrat Anas Radi
Allahu Ta’ala Anhu kehte hain ke ek shakhs Bargah e
Risaalat Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam mein haazir
hua aur arz ki , ya Rasoolallah Sallallahu Ta’ala Alaihi
Wasallam! meri aankhon mein takleef hai , kya main
rozey ki haalat mein surma lagaaloon ? Rahmat e Aalam
Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ,
‘haan’. (Tirmizi)
Suwal……Kya gheebat , chughli , jhoot wagera se roza
jata rahe ga ?
Jawab……Ji nahi . Haan! rozey ki noraaniyat khatm ho
jaye gi . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)در�ر‬
Suwal……Kya rozey mein miswak ya toothpaste karne se
roza toot jata hai ?
Jawab……Miswak se nahi jaye ga balke jis tarah aam
dinon mein miswak karna sunnat hai isi tarah rozey mein
bhi miswak karna sunnat e kareema hai .
Hazrat Amir Bin Rabi’ah Radi Allahu Anhu farmate hain
ke main ne beshumaar baar Rasoolullah Sallallahu Ta’ala
Alaihi Wasallam ko rozey mein miswak karte dekha .
25
(Abu Dawood)

Haan toothpaste mein ehtiyaat darkaar hai , agar us ke


baareek ajza halq tak pahunch gaye to roza gaya , warna
nahi . Lekin dono sooraton mein bila uzr is ka iste’maal
makrooh zaroor hai kyunke haalat e roza mein bila uzr
kisi chiz ka chakhna makrooh hota hai .
(Fatwa Razawiyya Jild Dahum Jadeed)

Suwal……Ba’z log kehte hain ke zawaal se pehle miswak


karein us ke ba’d makrooh hai , kya ye baat durust hai ?
Jawab……Ji nahi . Zawaal se pehle aur ba’d e zawaal
‫ث‬
dono tarah durust hai . ( ‫ص‬،‫ ا�� � �ہ ل�صاا� و� � �ہ‬ ‫ا�ب‬،‫� اول‬،‫)��ى‬

Roza Rakhne Ke A’zaar


Suwal……Roza na rakhne keliye kya kya chizen uzr ban
sakti hain ?
Jawab……Darj e zel chizen:-
(1) Safar (2) Hamal (3) Bachche ko doodh pilana (4)
Maraz (5) Haiz (6) Nifaas (7) Burhaapa (8) Halaakat ka
khof (9) Kisi ka na rakhne par majboor karna (10) Jihad
…….In Sab Ke Baare Mein Zaroori Tafseel……
(1) Safar…..

26
Suwal……Safar se kitni door jana muraad hai ?
Jawab……Is se muraad sharai safar hai . (Agar koi
shakhs apne shahr ki hudood se taqreeban saarhe
sattaawan meel ya 92 kilometer door jaane ke iraade se
baahar nikal gaya to woh sharai musaafir hai . Yunhi itni
door ja kar pandrah din se kam thehrne ki niyyat ki jab
bhi musaafir rahe ga .) ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)در�ر‬
Suwal……Agar kisi ne din mein safar shuru kiya to kya
aaj ka rakha hua roza tor lene ki ijazat hai ?
Jawab……Ji nahi . Ye roza poora karna farz hai . Safar ,
rozey keliye us waqt ‫ت‬ uzr bane ga jab doraan e safar sahari
‫ب‬
aaye . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬
Suwal……Agar koi najaiz kaam keliye safar ikhtiyar kare
to kya ab bhi usey roza na rakhne ki ijaazat hogi ?
Jawab……Ji haan . Safar chahe jaiz kaam keliye ho ya
najaiz kaam keliye , dono sooraton mein roza chhor sakta
hai . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� اول‬،‫)در�ر‬
Suwal……Agar musaafir doraan e safar roza rakhna
chahe to ?
Jawab……Agar roza rakhne us keliye sakht takleef o
mashaqqat ka baais bane to makrooh , warna afzal . Yunhi
27
agar us ke rufaqa roza na rakhen aur nafqa un sab ke
darmiyan mushtarak ho to us keliye bhi roza rakhna afzal
‫ث‬
hai . ( ‫ص‬،‫ ا�� � �ہ ل�صاا� و� � �ہ‬ ‫ا�ب‬،‫� اول‬،‫)��ى‬

Suwal……Aaj kal ke aaraam dah safar bhi uzr ban sakte


hain ?
Jawab……Ji haan .
Suwal……Agar musaafir zawaal se pehle pehle kisi jagah
pahunch kar pandrah din qiyaam ki niyyat kar le to kya ab
rozey ki niyyat kare ga ya nahi ?
Jawab……Agar us ne subh saadiq se ab tak kuch khaya
piya nahi ya khaya piya lekin bhool kar to niyyat karna

wajib hai , warna nahi . ( �،‫�ب ا�م‬،‫ا مجبلدد ا�ول‬،‫)��ہ �ہ‬
(2) Hamal aur (3) Bachche ko doodh pilana…..
Suwal……In keliye roza tark karna kis soorat mein jaiz
hai ?
Jawab……Jab inhein apni ‫ ت‬ya bachche ki jaan jaane ka
‫ب‬
sahi andesha ho . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬
Suwal……Ye kaise ma’loom hoga ke roza in ki ya
bachche ki jaan le sakta hai ?

28
Jawab……Is keliye kisi maahir aur khof e Khuda rakhne
waale doctor se ruju karna chahiye ya saabiqa zindagi
mein kabhi bachche ki jaan ‫ت‬ jaane ki soorat mein is ka
‫ب‬
tajriba hua ho . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬
Maraz…..
Suwal……Maraz kin sooraton mein uzr waaqe hoga ?
Jawab……Jab mareez ko maraz barh jaane ya der mein
achcha hone ya kisi uzv ke zaaye ho jaane ya tandurust ko
beemar ho jaane ka ghaalib gumaan ho .
‫ت‬
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

Suwal……Ghaalib gumaan ki kya soorat hogi ?


Jawab……Is ki teen sooratein hain:-
(1) Us ki koi zaahiri nishaani payi jati ho . Masalan roza
rakha , jis ke baais maraz mein izafa shuru ho gaya .
(2) Zaati tajriba ho . Masalan pichhle saal roza rakhne par
shadeed beemar ho gaya tha .
(3) Kisi bahut maahir aur khof e Khuda rakhne waale
doctor ne us ki khabar di ho .
‫ت‬
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

29
Note) Yahan khof e Khuda ki qaid is liye barhaayi gayi
hai ke aam faasiq o faajir doctor ma’mooli ma’mooli
baaton par roza chhor dene ka mashwara de daalte hain .
Chunanche un ke mashware par roza tark karna jaiz na
hoga .
(5) Haiz aur (6) Nifaas……
Suwal……Agar kisi ne roza rakh liya aur din mein haiz
aana shuru hua to kya ye haiz roza torne keliye uzr hoga ?
‫ت‬
‫ب‬
Jawab……Ji haan . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬
(7) Burhaapa……
Suwal……Roza chhorne keliye kis qism ka burhaapa
shart hai ?
Jawab……Itna burhaapa ke jis mein shadeed kamzori
ghaalib aa jaye aur is zo’f ke baais ‫ت‬ roza rakhna na ab
‫ب‬
mumkin ho na aainda . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬
Suwal……Is qism ke burhaape ke haamil shakhs ko
sharai lihaz se kya kaha jata hai ?
Jawab……Usey shaikh e faani kehte hain .
Suwal……Aisa shakhs roza na rakh sake to kya kare ?

30
Jawab……Har rozey ke badle ek miskeen ko do waqt pet
bhar kar khana khilaye ya ek sadaqa e fitr ki miqdaar yani
saarhe chaar ser ‫ ت‬aata , ya is ki qeeamt kisi miskeen ko de
‫ب‬
de . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬
Suwal……Agar aisa boorha garmiyon mein rozon ki
taaqat nahi rakhta lekin sardiyon mein rakh sakta hai to
kya ab bhi fidye de sakta hai ?
Jawab……Ji nahi . Ab us par farz hai ke sardiyon mein

un ki qaza ada kare . ( �،‫� � ا�ارض‬،��‫ا مججلدد ا‬،‫)در �ر‬
Suwal……Kya boorhi khatoon keliye bhi yahi hukm hai ?
‫ت‬
‫ب‬
Jawab……Ji haan . ( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

(8) Halaakat ka khof……


Suwal……Is ki kya soorat hogi ?
Jawab……Bhook o piyaas itni shadeed ho ke marne ka
sahi khof ho ya aql chale jaane ka andesha ho .
‫ت‬
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

(9) Kisi ka na rakhne par majboor karna……


Suwal……Is se kya muraad hai ?

31
Jawab……Is se muraad ikraah e sharai hai yani kisi ne
qatl ya kisi uzv ko kaat dene ki ya shadeed maar peet ki
sahi dhamki di aur roza rakhne wala jaanta hai ke agar is
ka kehna na maana to ye jo keh raha hai kar guzre ga .
(Bahar e Shariat,Hissa Panjum,Safha 84)

(10) Jihad……
Suwal……Mujaahid ko kisi soorat mein roza chhorne ki
ijaazat hai ?
Jawab……Jab usey yaqeen ho ke dushman se muqaable
ki soorat mein rozey ki wajah se zo’f ghaalib aa jaye ga .
‫ت‬
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

Suwal……Mujaahid ne roza rakha phir ye soch kar ke aaj


muqaabala hoga roza tor diya , phir muqaabala na hua , to
kya hukm hai ?
Jawab……Sirf qaza hai kaffara nahi .
‫ت‬
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا�� � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� ا ّول‬،‫)��ى‬

Roza Torne Par Qaza O Kaffara Lazim Hone Ki Sooratein


Pehle chand masail yaad rakhiye ke roza torne se kaffara
lazim aane keliye do shartein hain:-

32
1) Raat mein niyyat ho . Chunanche agar kisi ne din mein
niyyat ki thi aur phir roza tor diya to qaza lazim hogi ,
‫ت‬ ‫ش‬
‫) ى تا‬
‫�ابب � ب ىفسدد � ا�م و بب‬،‫�� ا���طااوى‬
kaffara nahi . ( �،‫ � � ا�رۃ‬
(2) Roza torne ke ba’d usi din mein bila ikhtiyar koi aisa
mu’amala waaqe na hua ho ke jiske baais roza iftar karne
ki ijaazat hui . Masalan aurat ko haiz ya nifaas aa gaya ya
roza torne ke ba’d aisa shadeed beemar ho gaya ke jis
mein roza na rakhne ki ijaazat hai , to kaffara saaqit ho
gaya . ( �،‫�ب ا�م‬،‫ا�مجبلدد ا�ول‬،‫)��ہ �ہ‬
Haan agar kisi ne roza torne ke ba’d din mein sharai safar
ikhtiyar kiya to chunke ye bila ikhtiyar nahi , chunanche
‫ت‬ ‫ش‬
‫) ى تا‬
ab kaffara saaqit na hoga . ( �،‫�ابب � ب ىفسدد � ا�م و � � ا�رۃ‬،‫�� ا���طااوى‬
‫بب‬

Suwal……Kin sooraton mein qaza o kaffara dono aur kin


sooraton mein faqat qaza lazim hoti hai ?
Jawab……Awwalan zehan nasheen rahe ke bunyaadi tor
par teen chizen roza torne ka sabab waaqe hoti hain:-
(1) Jimaa karna (2) Jism ke manaafiz ke zariye kisi aisi
chiz ka dakhil e badan hona ke jise bator e dawa ya giza
iste’maal kiya jata ho . (3) Jaan bujh kar moonh bhar qai
karna .
In se qaza o kaffara lazim hone ki sooratein……….

33
Roza tootne ka pehle sabab:-
• Jimaa karna……Yahan ibtidaa’an chand baatein yaad
rakhen ke……
i) Roza torne keliye sooratan jimaa se muraad ye hai ke
mard ka roza yaad hone ki soorat mein kisi zinda ya
murda ya aurat ke agle ya pichhle maqam mein apne aala
e tanaasul ko kam az kam hashfa tak dakhil karna , chahe
inzaal ho ya na ho . (Is soorat mein maf’ool ka roza bhi
toot jaye ga , basharteke usey majboor na kiya gaya ho) .
ii) Ma’na e jimaa se darj e zel baatein muraad hoti hain:-
• Apni sharmgaah ko kisi dusri sharmgaah mein dakhil
kiye begair maaddah e manwiyya nikaalna . Jaise haath se
ghusl wajib karna .
• Apni sharmgaah ko kisi aisi sharmgaah mein dakhil
karke maaddah e manwiyya nikaalna jo aadatan mahal e
shahwat na ho . Jaise kisi jaanwar se badfe’li karna .
• Apni sharmgaah ke iste’maal ke begair kisi aadatan
mahal e shahwat ke iste’maal ke baais inzaal ho jana .
Jaise zoja ka bosa lene par inzaal ho jana .
Pas jab sooratan jimaa paya jaye to qaza aur kaffara
34
dono lazim hon ge aur jab ma’nawi e’tibaar se paya jaye
to sirf qaza hai aur jab sooratan aur ma’nan dono tarah na
paya jaye to roza na jaye ga . Jaise kisi ki taraf faqat nazar
‫ت‬
karne se inzaal ho jana . (�‫ببب ى�ر‬، �،‫�ابب � ب ىفسدد ا�م و �� ب ىفسددہ‬،��‫ ا�مجبلدد ا‬،‫)رد ا�ر‬
� ‫ف‬

Roza tootne ka dusra sabab:-


• Roza yaad hone ki soorat mein jism ke manaafiz ke
zariye kisi aisi chiz ko dakhil e badan karna ke jise bator e
dawa ya giza iste’maal kiya jata ho . ( �،‫�ب ا�م‬،‫ا�مجبلدد ا�ول‬،‫)��ہ �ہ‬
Note) Giza se muraad har woh chiz hai jis ke khaane ki
taraf tabiat e insaani maael aur us ke zariye baatini
khaahish poori hoti ho . Ba’z ulama ke nazdeek giza har
us shai ko kaha jaye ga ke jis se jismaani quwwat o taaqat
ka nafa haasil kiya ja sakta ho . ( �،‫�ب ا�م‬،‫ا�مجبلدد ا�ول‬،‫)��ہ �ہ‬
Aur Raddul Mukhtar mein darj hai ke us shai se jise bator
e giza iste’maal kiya jata hai , fuqaha e kiram ki muraad
ye hai ke us se woh chiz muraad hai jo salaah e badan ka
sabab banti ho baain soorat ke woh un ashya mein se ho
ke jinhein bator e dawa ya giza ya lazzat keliye khaya jata
ho . ( �،‫�ابب � ب ىفسدد ا�م و �� ب ىفسددہ‬،��‫)ا�مجبلدد ا‬
Pehle ma’loom ho chuka ke manaafiz e badan chaar
hain:-

35
(1) Moonh (2) Naak ke surakh (3) Maq’ad (4) Peeshaab
ka maqam .
Pas ab yaad rakhiye ke agar moon ke zariye , roza yaad
hone ke bawujood koi dawa ya giza baatin tak pahunchi
to qaza kaffara dono lazim hon ge aur agar baqiya
manaafiz ke zariye koi giza ya dawa dakhil e badan ki ya
moonh ke zariye dawa o giza ke ilava koi aur chiz andar
le gaye to faqat qaza lazim hogi .
Giza ki ta’reef ke pesh e nazar darj e zel ashya moonh ke
zariye andar le jaane ke baais qaza o kaffara dono lazim
aayein ge . (1) Khana khaya (2) Pani piya (3) Kisi
mahboob ka ya buzurg ka thook lazzat ya tabarruk ki
niyyat se nigal gaya (4) Kachcha gosht khaya , agarche
murdaar ka ho (5) Woh mitti khayi jis ko aadatan khaya
jata ho (6) Thoda sa namak khaya (7) Maghsooba ya chori
ki chiz khayi (8) Khushk pista ya baadaam chabaa kar
khaya (9) Woh patte khaye jinhein aadatan khaya jata ho
masalan mooli ke patte (10) Bhune hue chaawal ya chane
khaye (11) Sahari ka niwaala moonh mein tha ke waqt
khatm ho gaya ya bhool kar khaa raha tha , yaad aane par
, moonh ka niwaala nigal gaya .

36
Aur giza ki ta’reef ke pesh e nazar hi mundaraja zel ashya
ko moonh ke zariye dakhil e badan karne ki bina par sirf
qaza lazim aaye gi .
(1) Apna thook moonh se baahar nikaal kar dobara nigal
gaya (2) Dusre ka thook nigal gaya jab ke woh mahboob
ya koi buzurg na ho (3) Sara hua gosht khaya (4) Aisi
mitti khayi jise aadatan na khaya jata ho (5) Thook mein
khoon ki miqdaar zyada thi , usey nigal gaya (6) Chhilke
samet anda ya anaar khaya (7) Kachche chaawal ya
kharbooza wagera khaya (8) Kisi ke moonh ka ya apne
moonh ka niwaala baahar nikaal kar dobara khaa gaya (9)
Kharbooze wagera aisa chhilka , jis se tabiat ghin khaati
ho khaya (10) Rooi , patthar , kankar , ghaas ya kaagaz
wagera khaya (11) Bahut se aansoo nigal gaya .
Roza tootne ka teesra sabab:-
• Jaan bujh kar moon bhar qai karna:
Is se faqat qaza lazim aane ke baare mein saraahatan
Hadees e Pak mein bayan farma diya gaya . Chunanche
Hazrat Abu Hurairah Radi Allahu Ta’ala Anhu se marvi
hai ke Rasoolullah Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam ne
irshad farmaya ke jis par qai ne galaba kiya us par qaza
nahi aur jis ne qasdan qai ki us par rozey ki qaza hai .

37
(Tirmizi,Abu Dawood)

Suwal……Subh e saadiq ke ba’d bhi khaata raha ba’d


mein ma’loom hua ke waqt khatm ho chuka tha ya iftar
kar liya ba’d mein khabar hui ke abhi waqt baaqi tha , to
kya hukm hoga ?
Jawab……Us ka roza na hua lekin is soorat mein qaza hai
, kaffara nahi . ( �،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬
Suwal……Agar kisi ko ghuroob e aaftaab mein shak tha
lekin usne iftar kar liya phir ba’d mein zaahir hua ke
ghuroob e aaftaab na hua tha to ab kya hoga ?
Jawab……Us par us rozey ki qaza bhi hai aur kaffara bhi
. (�،‫�ب ا�م‬،‫� ا ّول‬،‫)�وىٰ ��ى‬
Suwal……Kisi ko khaane peene par majboor kiya gaya to
kya hukm hoga ?
‫خت‬
Jawab……us par faqat qaza lazim hai . (‫)در �� تار‬

Suwal……Bhool kar khaya , piya , jimaa kiya , ya nazar


karne se inzaal hua ya ihtilaam hua ya qai hui , in sab
sooraton mein kisi ne ye soch kar ke roza toot gaya
qasdan kuch khaa pi liya , to sirf qaza hai ya kaffara bhi ?

38
Jawab……Jawab se qabl ye usool yaad rakhna mufeed
rahe ga ke har woh mu’amala ke jis ke zariye roza tootne
ke silsile mein shuba paida ho sakta hai , is ke ba’d jaan
bujh kar khaane se sirf qaza lazim aati hai , kaffara nahi
jaise ke suwal mein mazkoora tamam sooratein . Kyunke
roza yaad hone ki soorat mein khaane , peene , ya jimaa
karne se roza toot jata hai , lihaza mazkoora chizon ke
baare mein bhi mushaabahat ki bina par ye khayal paida
ho sakta hai . ( �،‫�ابب � ب ىفسدد ا�م و �� ب ىفسددہ‬،��‫ا�مجبلدد ا‬،‫)رد ا�ر‬
Lekin yahan ye bhi yaad rahe ke ye ri’aayat us shakhs
keliye hogi jise ye na ma’loom ho ke qai ya ihtilaam se
roza toot jata hai , chunanche agar mas’ala ma’loom hone
ke bawujood khaye piye ga to ab kaffara bhi lazim hoga .

‫ا�ع ا�� � � بب‬،‫ا مجبلدد ا�ول‬،‫�وىٰ ��ى‬
( �،‫ � ا��ء و ا�رۃ‬

Is ke bar’aks agar kisi chiz se roza tootne ka shuba paida


na hota ho aur us ke ba’d koi jaan bujh kar khaa pi le to
ab qaza aur kaffara dono lazim aayein ge . Masalan surma
lagaya , ya aurat ka bosa liya , saath litaya lekin inzaal na
hua……wagera . ( �،‫�ابب � ب ىفسددہ‬،‫ا�مجبلدد ا�ول‬،‫)رد ا�ر‬
Rozon Ki Qaza Se Muta’alliq Masail
Suwal……Ramazan ke rozon ki qaza ke silsile mein
niyyat ka kya hukm hai ?
39
Jawab……Is baare mein do baatein yaad rakhna zaroori
hain:-
(1) In rozon keliye niyyat , raat mein sahari khatm hone se
pehle pehle hi ho sakti hai , din mein nahi .
(2) Inhi mu’ayyan rozon ki niyyat karna hogi , chunanche
ye nafl ya kisi aur wajib ki niyyat se ada na hon ge .
( �،‫�ب ا�م‬،‫� اول‬،‫)�وىٰ ��ى‬

Suwal……Agar kisi ne safar ya maraz ki wajah se roza na


rakha hatta ke marne ka waqt aa agya to kya un par un
rozon ke fidiye ki wasiyyat karke jana zaroori hai ?
Jawab……Yahan dekha jaye ga ke unhein qaza rakhne ka
mauqa mila tha ya nahi . Agar safar ya maraz ke baais
bilkul mohlat na mili to ab wasiyyat karke jana un par
wajib nahi , haan agar karein ge to tihaai maal mein jari
hogi aur agar unhein mohlat mili thi lekin susti ki wajah
se na rakh sake to ab wasiyyat karke
‫ ت‬jana wajib hai .
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا��ص � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� اول‬،‫)��ى‬
Suwal……Agar un logon ne wasiyyat na ki thi , qareebi
ta’alluq waalon ne khud ehsaanan fidya ada kar diya to
ada ho gaya ya nahi ?

40
Jawab……Ada ‫ت‬ho jaye ga , lekin un par fidya dena wajib
‫ب‬
nahi . ( �،‫ا�ب ا��ص � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� اول‬،‫)��ى‬
Suwal……Agar wali un ki taraf se roza rakh le to…..?
Jawab……Khaalisatan badani ‫ ت‬ibaadat dusre ki taraf se
‫ب‬
ada nahi ki ja sakti . ( �،‫ا�ب ا��ص � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� اول‬،‫)��ى‬
Suwal……Agar kisi par qaza baaqi thi , us ne na rakhi
hatta ka agla ramazan aa gaya to ab koun se rozey rakhe ?
Jawab……Mojooda ramazan ke .
‫ت‬
‫ب‬
( �،‫ا�ب ا��ص � ا��ار ا� ى � ا��ر‬،‫� اول‬،‫)��ى‬

Rozon Ke Kaffare Se Muta’alliqa Masail


Suwal……Ek roza torne ka kaffara kya hai ?
Jawab……Is ki teen sooratein hain:-
(1) Ek ghulam azaad kare……ya
(2) Pai dar pai , lagaataar saath rozey rakhe……ya
(3) Saath masaakin ko do waqt per bhar kar khana khilaye
‫ق‬ ‫نى‬
. ( �،‫ ا��ا‬ � ‫ � � �رۃ �  سق�ھاا‬،‫)�ر ا��ح‬

Suwal……Agar kisi ne do rozey torey hon to……?


Jawab……Do rozey chahe ek ramazan ke hon ya do ke ,
dono keliye ek hi kaffara kaafi hoga . Lekin iske liye
41
zaroori hai ke ye kaffara dono rozon ke torne ke ba’d diya
gaya ho chunanche agar kisi ne ek roza tora aur us ka
kaffara ada kar diya , phir dusra tora to ab saabiqa kaffara
dusre rozey keliye kaafi nahi , is keliye alag dena hoga .
‫ق‬ ‫نى‬ ‫) شى ق‬
( �،‫� � �رۃ �  سق�ھاا � ا��ا‬،‫��ا ا���طااوى‬

Suwal……Agar koi rozey rakh kar kaffara ada kar raha


ho , aur darmiyan mein beemari wagera ki wajah se koi
roza chhoot jaye to……?
Jawab……Ab naye sirey se rozey rakhne hon ge , saabiqa
rozey shumaar nahi kiye jayein ge , chahe 59 rakh chuka

ho . ( �،‫�ابب ا�رۃ‬،‫ا مجبلدد ا� ّول‬،‫در �ر‬

----------------------------------------------------------------------------

42

You might also like